Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question maray dada nay aik makan apnay naam say kharida aur us ka khums nahi diya. wo makan hum ko rehnay kay liye dey diya(tofay kay tor pay) magar meri dadi kay naam hay. kia is makan may namaz parhna sahi hay? agar sahi nahi to hum kahan namaz parhain? meri mammi kahan namaz parhain?  
Answer Jis marhoom nay zakat aur is jaisay dosray maali wajibaat (masalan khums) ada na kiye hoon,uski jaaidad main koi aisa tasarruf karna jo wajibaat ki adaigee main maanai na ho masalan us kay ghar main namaz parhna wurasaa ki ijazat say jaiz hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.145,Masala No.863...Agar koi shakhs kisi shia isna asheri musalmaan ko koi aisi cheez batoor atiya day jis ka khums na diya gaya ho to us kay khums ki adaigee ki zimmedari atiya denay walay par hay aur jis shakhs ko atiya diya gaya ho us kay zimme kuch nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.263,Masala No.1733.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.