Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name nikah 
Question Assalam u alaikum janab mujhe nikah karna hai kya hum khud nikah larka larki kissi ko witness banaye bina nikah kar sakte hai ?? or nikah karne k liye hume konsi surat ya ayat parhni hogi ya kiss tarah karna hoga or agar chupke nikah karle ghar walo ko bina bataye phir ghar wale bhi hamara nikah kare to aisa jaiz hai nikah par nikah ??  
Answer 1)Nikah me shart ha k (makhsoos) alfaaz k zariye eijaab or qabool kiya jaye. or koi bhi amal eijaab k qaim maqaam nahi ban sakta.(lehaza alfaaaz ada karna zaroori hai)(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 245 masla #439) Nikha per gawaho hona zarori nahe hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 3) Ehtiyat e wajib ki bina per nikah(nikah k alfaaz) arabi me perhai jaay agar khud mard aur aurat arabi me na persakte ho to arabi k ilawa kisi aur zabaan me nikah per sakte hai. Masln phele mahar moiiyan karne k bad aurat kahay me ne is mahar per jo moiiyan ho chuka hai apne app ko tumhari biwi banaya is k lmhe bher baad mard kehe me ne is shadi ko qabool kiya to nikah sahe hai. aurat agar pele se shadi shuda na ho (yani pele shohar se is k intercourse na hoa ho ) to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2335,2333,2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). . 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.