Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Mamla 
Question Marhoom ki pehli biwi se talaq hogaya aur unse 2 ladkey hai, 1 majood nahi hai aur 1 majodd hai. marhoom ki dosri biwi se koi aulad nahi hai. Marhoom ki walida, 2 bhai aur 1 behan hai. marhoom ki muzabani wasiyath hai ke unki behan ko 200sq.yds mein se 100sq.yds dena hai. Shariyath ki roshni mein kiss tarha iss ka faisla hoga. Inayath farmiye. Allah Hafiz 
Answer 1)Marhoom ki zameen jo k 200sq yds ka faqat teesra 3rd hissa merhoom ki behen ko bataur e wasiyat diya jaey ga, Q k wasiyat faqat maal k 1/3 hisse men chalti hai, or wasiyat teesre 3rd hisse se ziyada ho to baqi 2 hisson men agr marhoom k wurasa raazi hoon to wasiyat ko pura kerne kia jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2685). 2)Q k marhoom k pehli biwi se ek olad maujood hay or walida bhi maujood hai, to wasiyat per amal kerne k baad in 2 afraad k hote hoe kisi or ko marhoom ki milkiyat men se kuch bhi nahi mile ga, wasiyat ko pura karne k baad marhoom k baqi maal ka 8th hissa(1/8) marhoom ki (mojuda) biwi ko diya jaey ga is tarh k us k shohar ki milkiyat men se zameen,baagh,khet men se aurat ko meeras nahi milti or naa hi uski qeemat.Sirif raqam or zameen k oper ki imarta or samaan or fasal ki qaeemat ka 1/8th hissa mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2728). 3) Os k baad baqya milkiyat k 6 hisse kiay jaen ge jin men se ek marhoom ki maa ko or baqi 5 hisse uski maujoda aulad ko diya jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2698). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.