Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question itikaf kin halat mein chor saktay hain 
Answer Agr etkaaf krne wala un asbab k siwa jin men etakaaf men nikalne ki ijazt hai masjid se nikle to uska atakaaf batil hojata hai, is men msla janne or na janne wale k drmiyan koi farq nahi hai balke bhule se bhi masjid se nikle to atkaaf batil hojayega magr ye k wo majburi men nikle ya usko zbrdati nikala jaye ya uska nikalna kisi zaruri hajat misal k tor pr peshab ya pakhane ya ghusle jinabt ya ghusle istihaza ya ghusl mas-e-mayyit k liye ho agrche uska sabab us k ikhtiyar se hi ho, namaz-e-juma men hazir hone k liye , janaze men sharik hone k liye , namaz-e-janaza , mayyit k ghusl or kafan, dafan k liye or bimar ki ayadat krne k liye masjid se bahir nikalana jaiz hai albatta dusre tmama wok am jo shar``ee rujhan rakhta hen ehtiyat wajib ye hai k unk liye bhi masjid se bahir na nikla jaye mgr ye zarurt aysi ho k jis se chhorqa na jasakta ho, usi tarah ehtiyat-e-lazim ye hai k masjid se nikle to qrib treen rasta ikhtiyar kre or zarurt se ziyada rukna jaiz nahi hai or ayse kamon men mashghool hona jis se atkaaf ki sirat baqi na rahe atkaaf ko batil kr deta hai agrche is ka masjid se bahir nikalna zbrdasti nikalne ki waja se ya majburi ki waja se hi q ho or jab wo masjid se nikla hua ho to tb bahir saye men bethna jaiz nahi balke Ehtiyat-e-lazim ye hai k kam pura hojane k bad mutlaqan bahir na bethe mgr ye k majburi ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # )  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.