Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Fika Hanfi 
Question Assalam-o-Alaikum Mera sawal ye hai k agar shak ho k ehtalam k bad mani jo trouser ya shalwar ko lag jati hai, shayed trouser ka wo geela hissa bister ko touch ho gya hai lekin bister pe koi nishan nazar na aa raha ho to us soorat mein bistar pak ho ga ya napak. Agar trouser pe lagi hui mani dry ho chuki ho aur us trouser k sath koi aur kapra lag jaye jahan mani lagi hai wahan to kya wo kapra bhi napak ho ga. 
Answer Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Agar koi pak cheez kisi najis cheez se lag jay aur dono ya in may say aik is qadar tar(wet) ho k aik ki tari doosri tak pounch jay to pak cheez najis ho jati hay. Aur kapra, ya aisi doosri cheezain tar(wet) ho to in k jis hissay ko najasat lagay gi wo najis ho jay ga or baqi hissa pak rahay ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119-122) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.