Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sistani 
Question 5 time ki namaz ke fazilat ke waqt kya hai. Aur kya majlis e hussain ke dauran agar namaz ka waqt shuru ho jaye to majlis e hussain se alag ho kar namaz ada karni chahiye jab ke kuch der baad namaz ada karne se namaz khaza nahi hogi. 
Answer 1)Namaz e zohar ki fazilat ka waqt zawal aur shakhis(lerkrhi) ka sayah ki wo miqdaar jo zohar k baad paida ho 7 may say char 4 hiso k baraber pohunch jaay os k darmiyaan he. Namaz e asr ki fazilat ka waqt shakhis(lakrhi) k sayah ki wo miqdar jo zohar k baad paida ho 7 may say 6 hiso k baraber pohunch jaay os k darmiyaan he. (ye waqt os waqt ka hay jab shaded garmi na ho aur jab shaded garmi ho to in dono namazoo ki fazilat ka waqt shakhis k baraber aur shakhis ki dogni(double) miqdaar k dermiyaan baghair faaslay k hay.) Maggrib ki fazilat ka waqt os k liay jo musafir nahi hay maghrib say shafaq k chalay janay tak yani humrae magribia(magrib ki surkhi) aur jo musafir ho os k liay fazilat ka waqt raat k 1/4 hissay tak hay.aur isha ki fazilat ka waqt shafaq k chalay janay say yani humrae magrabia say raat k aik 1/3 hissay tak hay. Subah ki namaz ka waqt e fazilat fajr say lay ker subah ka asmaan per zahir honay tak hay,or awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz perhna afzal hay. Isi terha tamaam fazilat k waqtoon me jaldi karna pehlay bataye gay waqtoon par afzal he. (Ref: sistani(d.b),minhaajus saliheen, part#1,maslah#504). 2)Munasib nahi he k namaz me takheer ki jaay. Aur is qadar takheer karna jaiz nahi he k namaz qaza ho jaay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 191 , pg # 88). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.