Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalamualaikum maine ek kuwari ladki ke saath zina kiya aur usi se shaadi ki aur shaadi se pehle uske saath kai baar zina kiya aur zina karne se pehle maine us ladki se bola bhi ke ye gunaah hai to us ladki ne kaha ke tum mujh se shaadi kar rahe hona gunaah nahi hai aap please bataiye ke mai kya karoon maine zina kiya hai aur usi ladki se shaadi ki aur mujhe ek ladki hai to kya mai us ladki se shaadi karke theek kiya ya nahi aur maine khuda se touba ki hai aaj mujhe maloom pad raha hai to mai aap se pooch raha hoon ke ab mai kya karoon.kya mera nikah jayaz hai ya nahi. please bataiye.bohot meherbani hogi mai kya karoon. 
Answer 1) Jis shakhs ne kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hai k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) 2) Ghuzishta amal k liay Allah say Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey (Ref : sistani.org ques # 1,toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.