Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question asslaam waalequm wa rehmtull janab mera masla thora alag hai to app se darkhawst hai ki tafsil se bayan farmai darasal mera nikah ke 10 deen baad kisi beemari ki bahane se mere sasoral waalo ne mujhe or meri biwi ko bulwa kar use apni beti ko rakh liya or mujhe apne waalden ko bhejne ko kaha gaya mujh par jhoote ilsamaat lagayi jo ilzamaat saabit nahi nahi jinka koi wazood nahi us din ke raat ko larki ke ghar se phone aya ki hame kuch galat fehmi ho gayi thi hamse galti ho gayi aap kal aakar beti ko le jaye agle din mere waalid or chaca jab waha pauchai to unhai jabar dasti beetha liya gaya or unse se ghar per phone kerway gaya ki ladke ko bulwo jab maine jaane se mana kiya to mere waalid ko marne ki dhamki di gayi is ke baad unka ek admi hamare ghar per ek haat se likha talaaq naama leker aaya or mujhe jaber dasti us tallaq namai per sing karna para ab mera sawaal ye hai ki kya ye talaaq hoga kuki mai talaaq nahi dena chata tha mai abhi bhi larki ko rakhne ko tayaar ho larki bhi apne maa baap ki baato me aa ker mujh se talaaq mang liya doosra wo log mujh per den moher ki rakam ka bhi dawa kar rahai hai app mujhai batai ki mai is ke kilaaf kuch kar sakta hu  
Answer Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.