Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayat Ullaha Sistani  
Question bad-e-salam mara sawal ye hey ki mujay gusal-e-janobat ka mukammal tareeka maloom kerna hay us ki wajb aur mustahib dono parts ko janna hay..2)kya ager koi just namaz say kuch time pehly gusal-e-janobat kary or usi per namaz ada kary to yee sahi ho ga dono soratoon may (ik k us k pass wazu ka time ho or dosra ki us k pass wazoo ka time na ho) ya usay namaz k liyee phir say wazoo kerna paday ga...plz mujy is ka tafseelan jawab dain...iltamas-e-dua 
Answer 1)Ghusl e janabat kartay waqt ki mustahib dua. ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). 2)Ghusl ka tareeqa : Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. 3)Ghusl ki niyat : Ye zurari nehi ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. 4) Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zarooori he k namaz k lie wazoo na karay. Chahae waqt ho ya na ho. (ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah # 357-365, 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.