Answer |
Zarori hai kay insaan rozana ki wajib namazo ki pehli aur dusri rakaat me pehlay alhamd aur phir kisi 1 surah ki tilawat karay aur ehtiat-e-wajib ye hai ke 1 mukammal surah ki tilawat karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah#965) Namaz ki tesri aur chute rakat me faqad aik dafa alhamd ya aik dafa tasbiaat-e-arba perhi jasakte hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah#992 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |