Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Talaq Magna 
Question Meri Biwi muj se talaq ka matalba akele main kar rahi hai 
Answer Agr ap talaq dena chahen to ap talaq de sakte hen. or talaq men is ki tamam sharait ka khayal rakhna zaroori hai, jo ye hen. 1. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2. Talaq zabani di jaye yani likh ker talaq dayna batil hai or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaye. 4. talaq do adil(jo zaahiran gunahgaar na hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo se bachte hon) gawaho ki maujodgi men di jaye. 5. zarori hai k mard talaq apne ikhteyar se de or agr use apni bivi ko talaq dene pr majbur kia jaye to talaq batil hai. 6. Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, lehaza agr wo maslan mazaq ya nashe ya ghusse ki halat men talaq de to,talaq sahi nahi hogi. (Ref: Ayat-ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, masla # 345)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.