Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question muj se mera dost puchta hai isha aleosalm ka zikar budest ke kitab may hay aur gotam ka zikar gita may hai magar tumare muhmmad salalao aleo salm ka zikr dusre kitab may nahi hai aap ke pass is ka kiya zabab hai  
Answer In kitabo se ap ki murad ya to wo kitabain hen jo insan ki likhi howi hen ya wo jo insan ki likhi hui nahi hen. 1-Agr ye wo kitaben hen jo insan ki likhi howi hen to MUHAMMAD (salamun aly hi wa aale hi) ka hamari kitaboo ke lilawa doosri kitaabo main bhi zikar howa hai. 2-Agr wo kitabain murad hain jo insaan ki likhi howi nahi hain to un main AP(salamun aly hi wa aale hi) ka zikar moojood hai. 1 or 2 point ko sahi tor pr jaane ke liye ya to khud kitaaboo ka mutaaliaa karen ya phir apne qaribi aalimon men se kisi aalim se pochye. Hm ap se is baat ki taraf ishara karne ke liye ke AP(salamun aly hi wa aale hi)ka zikar pehle ki aasmaani kitaboo main mojood hai ik siyaaq bayaan karte hen jis per ap kafi baton ko rakh sakte hen.sura e saff ki aayat no 6 main ALLAH farmaata hai jis ka mafhoom ye hai, ke HAZRAT EESA(a.s) ne apne baad aane wale ese RASOOL ke kushkabri di jin ka naam AHMAD hai, ye or is hi terha ki or aayaat or riwaayat jab in ko MASOOM(a.s) ne musalman or geer muslim ke saamne para or sabit kiya to koi munkir in ke un kitaboo men hone ka inkaar na kar paya. (haq ko haq ke sath doondne wale ko haq mil kar rehta hai). Likin hosakta hai ke MASOOM(a.s) ki gaebat ki waja se hamari dalilen mukamal tor per her kisi ko samjh na aa saken lekin jab MUHAMMAD salamun aly hi wa aale hi ke waris IMAAM E MEHDI IBNE ASKARI(a.s) zahoor farmaae ge to ap apne ehtijaam main jo MAKKAH main ho ga us men logon ke samny ye dua farmaenge or is terha se apne dawe ko sabit farmaenge ge ke munkir ke leye inkaar karne ki koi gunjaish nahi rehe gi, jis terha her MASOOM(a.s) ki ye hi seerat rahi hai jo kitabon ko samjne walon per roshan hai.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.