Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat Ul Allah Sistani 
Question Taqleed Karna Zarori Ha Kya? Or Taqleed Kese Ki Jati Hai? 
Answer Deeni ahkamat men zaruri hai k insan ya to khud mujtahid ho matlb k kisi deeni amal ko anjam dene pr koi deene daleel rakhta ho, or agr ye mumkin na ho to phir deeni ahkamat men Ehtiyat pr amal kre jo ek mushkil kam hai(ismen apne zamane k tmam barre ulma or mujtahideen k fatwa ka ilm rakhna zarurui hota hai us k bad us sab pr Ehtiyat krte hue koi amal krna hota hai), or agr ye 2 tareeke insan k liye mumkin na ho to zaruri hai k wo khud kisi dosre mujtahid ki taqleed kre. O r deeni ahkamat men taqleed ka matlb ye hai k ksi mujtahid k fatwe pr amal krna hai or ye bhi zaruri hai k jis mujtahid ki taqleed ki jaye wo mard, baligh, aaqil, shia-asna-ashri, halazada, zinda or aadil ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 01- 02) (Khuda ap ki tofiqaat men izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.