Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name SISTANI 
Question IK MASJID KA DOSRI MASJID SE FASLA 5KM AUR 200METRE HAI JABKE FASLA SARAY 5KM HONA CHAIY TO KIA IN DONO MASAJID MAIN NAMAZ JUMMA KI ADAIGI HO SAKTI HAI 
Answer Jume ki namaz k sahi hone ki chand sharten hen. 1.Bajamat parha jana. 2.Namaz se pehle do khutbe parhna, 3.Jumme ki do namazon k drmiyan 1 Farsakh(tqreeban 51/2 kilometers) se kam fasla na ho, bs jab jume ki dusri namaz 1 frsakh se kam fasle pr qaaim ho or do namazen ek hi wqt men parhi jaen to dono batil hongi or agr ek namaz ko dusri namaz pr sabqat hasil ho(mtlb ek wqt k etbar se pehle ho dusri bad men) chahe tkbeerat-ul-ahraam ki had tak hi q na to wo namaz jo wqt k aytbar se pehle hui hai sahi hogi or dusri batil hogi(leikn ye us wqt hoga jab dono namazen sahi or tmam sharton k sath ada horahi hon albatta agr aysa na ho to dono men se jo namaz sahi or mukammil sharait k sath ada ki jarahi ho wo hi sahi shunmar hogi chahe wo wqt k aytbar se bad men hi ada ki jarahi ho). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 720).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.