Answer |
1) Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki bargah men pasti or khuzu k izhaar k liye parhe or ye zarori nahi k niyat ko apne dil se guzare ya maslan zaban se kahe k (2 rakat namaz, fajr ki sunnat parhta hun qurbatan illal_laah).
2)zaroori hai k insane shuru sai aakhir tk apni niyat par qaim rahe.Agr wo namaz men is tarah gafil ho jaye k agr koi puche k wo kia kr reha hai to os ki samajh men na aye k kia jawab de to is ki namaz batil hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930_932.(Khuda apki tawfiqat men izafa farmaye)
|