Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question salam o alaicum mujhy btaeen k shukranay k nawafil ya wese hi agr nafal prhny hon tau uska time kab kab hota he waziha btaye ga shukria  
Answer Yomia namazon ki mustahabat(nawafil) ka wqt moyin hai jese Zuhar ki nafila(jo k 8 rakat hen) zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke wqt parhi jati hen or us waqt tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-zuhar se pehle ada krna mumkin ho, isi tarah Asar ki nafila(jo k 8 rkat hen) asar se pehle parhi jati hen, Magrib ki nafila(jo k 4 rkat hai) maghrib ke bad parhi jati hen or jahan tk mumkin ho ise magrib ke waqt ke andr anjam diya jaye. Esha ki nafila(jo k 2 rkat beth kr parhi jati hen) ka waqt Isha ke bad aadhi raat tak hai, or behtar hai ke ise baad-e-esha foran parhliya jaye. Fajar ki nafila(jo k 2 rkiat hen) is se pehle pahri jati hen, or is ka waqt namaz-e-shab ke waqt ke itni der bad hota hai jis men namaz e shab pahri ja sake.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #756,757,758,759,760).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.