Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mein nikah krna chahta hun ghar waly razi ni dono k or nikah k bad aik sal tk larki ko apny sath rakhny ki condition mein ni hun agr nikah k bad sex kr lia jay or jb tk hum sath na reh skty hun tb b mila jay to kia islam mein ijazt ha?or agr hum family planning b krty han aik sal tk to kia hukam ha? 
Answer Sab se pehli bat to ye hai jab tak larki k wali(bap ya dada) larki ko nikah ki ijazat na den tab tk nikah nahi ho sakta , han agr larki k walden nikah ki ijazat deden to phir ap k liye mtlb larke k liye apne walden se ijazat lena zaruri nahi hai, nikah ho sakta hai, albatta chonke nikha k bad wo larki apki biwi hojayegi to is hawale se ap pr kuch zimedariyan ajayengi is tarah k us larki ki ghiza(khana, peena) libaas, rehaish or zindagi ki baqi zaruriyat ka intazam ap pr wajib hojayega, or agr ap ye chizen use na de paen to chahe ap is condition men na bhi hon tab bhi ap apni biwi k maqrooz hojaenge, or isi family planning krna bhi apk liye jaiz hai albatta uski tmam shrton ka lehaz krte hue. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2341-2376)(Khuda aap ki tawfiqaat men izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.