Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question main aik larke se piyar karti hon or wo mujh se or ham ne piyar mai har tarah ki limits cross ki or ham se zina hogya.....ab ham dono toba karna chahte hain....Allah kia hamain maaf kar day ga ? or kiaa ham ab shadi kar sakte hain tooba k baad ? hamain apas mai hi shadi karni chahye ya apne raste alag kar lene chahye ? 
Answer Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wade per amal na kare, Or ghuna se bachne k liye mazboot irada chahiye.(Ref : Email sistani.org ques # 1 , toba) Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) Jis shakhs ne kisi orat se zina kiya ho or us se shadi karna chahae to is k lie Ehtiyat_e_wajib ye hai k wo donon toba karne se pehle nikah na karen.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.