Answer |
Zina karna gunah_e_kabira hai.
(Ref:Ayatullah sistani, Minhaj_us_Saliheen,Part#1, Maslah#30)
apko sache dil se toba karni chahiye. Parverdigar ne quran majeed me wada kiya hai k wo toba karne walon ki toba ko qabool karta hai.Aysa hargiz nahi ho sakhta k wo apne wade per amal na kare.
(Ref : website ayatollah sistani (d.b). ques # 1 , toba)
Jo shakhs shadi na krne ki wajah se haram kaam men mubtila hota ho us pr wajib hai k shadi kare.
(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 2407, eidition31)
1)Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37)
2) Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e tehreem surah no 66 ki tilawat karay ga to Khuda osay toba tun nusooh ki tawfeeq ata farmaye ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37)
|