Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Hazrat Sahib ye frma den k kya nikah k liy gawah ka hona zarori hy ya jst mrd aort ALLAH ko ya Quran ko gwah bna k nikah kr skty hn r 1 dosry ko qbol kr skty hn? 
Answer Nikha pr gawahon hona zaruri nahi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 3eidition 4) Orat agar pele se shadi shuda na ho ya phir bewa ho lekin is tarah k(guzishta shohar se is k intercourse na hua ho)to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai bger bap ya dada ki ijazt k nikah sahi nahi hai. Ehtiyat-e-wajib ki bina per nikah(nikah k alfaaz) arabi me parhai jaye agr khud mard aur aurat arabi me na persakte ho to arabi k ilawa kisi aur zabaan me nikah per sakte hai. Masln phele mahar moiyan karne k baad aurat kahay me ne is mahar per jo moiiyan ho chuka hai apne app ko tumhari biwi banaya is k lmhe bher baad mard kehe me ne is shadi ko qabool kiya to nikah sahe hai.aurat agar pele se shadi shuda na ho ya phir bewa ho lekin is tarah k(yani pele shohar se is k intercourse na hoa ho )to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2335,2333,2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.