Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Salaam Alaikum, Fajr, Maghrib aur Isha ki Namaaz me Surah hamd aur dosri Surah ka buland awaaz me perhna zaroori hai ? kitni buland awaaz ? Aur Zuhr aur Asr ki namaaz me kitni slow awaaz me ? Aur kya ye namaaz ka rukn hai ( aisa na karne pe namaaz batil hai ) ? Ayatullah Khoie aur Ayatullah Seestani ke fatwe ke mutabiq jawaab dein  
Answer Jee haan Mard kay liye Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say parhna zaroori hay Is ka Mayaar URF hay aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay.aur Agar jaan boojh kar jahan buland awaz say parhna hay aahista parhay aur jahan aahista awaz main parhna hay wahan buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahih hay.Ref:Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.