Answer |
1)jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya roktok mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhalifat se inhen aziat hoti ho to aulad k liye un ki mukhalifat karna haram hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1387 eidition 31)
2)baite per waldain k 2 farz aaid hote hain:
1) waldain se naiki kare yane agar wo zarorat mand ho to in k lye infaaq(karcha) kare aur in ki zindaghi ki zaroriaat ko pura kare aur insane fitrat aur mizaaj k taqazo k mutabiq in ki zindaghe se mutaliq mamool ki farmaish ko bhi pura kare. Aise farmaishaat jin ko thukrana in k ahsaanaat k muqable me napasaddida samja jata hai. albata ye farmaishaat waldain ki qowat wa zooaf k mutabiq muktalif ho sakte hain.
2)waldain k sath husne solook hai. yani in se apne qool wa faile k zarie bura salooq na kare .agarche wo is per zulme kar rahe ho.
3)agar (upper biaan kiye hoa)mana me waldain se ahsaan is amar ka mutaqazi ho k baita baab(ya mah) k qareeb rahe ya shafqat ki bina per baite k bahroni mulke safar se baab(ya mah) ko aziyat ho to ise chaiay k wo lazami tore per safar tarak kare bashat ye k is se baite ka nuqsaan na hota ho warna safar tarak karna wajib nahe . (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 345,350 , pg # 211,214, eidition 5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|