Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Dargaoun pe jana 
Question 1.Dargahoun pe jasakte kya? 2.jeans ya paent ke pahenche moud sakte kya namaz ke waqt? 3.neend ki halat mai agar hatelam hojaye toh kaisa gusool karna chahiye? 4.Agar imam sahab namaz padhare aur namaz mai apne se koi ghalti hogayi toh sajde sawood karna zaroori hai? 
Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Jee han dargahoon par ja sakhtay hain is may koi haraj nahi hay. (Ref : Email rec from Ayatullah Sistani d.b. dated : March 9, 2011) 2)Jee haan jeans ya pent k pa’enchay morh saktay hain. Aur zaroori hay k mard chahay osay koe dekh na raha ho namaz ki halat may apni sharamgah ko chopa,ay aur behter ye hay k naaf se ghutnay tak badan chopa,ay. 3)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 776, 360-365, 357) 4)jin 5 kaamo ki wajah se sajdah e sahaw kerna hota hay agar yehi kaam namaz e jama,at main bhi hojain tu namaz k baad sajdah sahaw kerna hoga.Laikin agar bholay se imam e jama,at se pehlay ruku ya sajday se sar uthya or imam e jama,at ruku ya sajday main hi ho tu ehtiyaat ki bina per zarori hay k dobara ruku ya sajday main chalay jain, is sorat main ruku ya sajday ki ziyadati se namaz batil nahi hoti.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1223, 1452-3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.