Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani 
Question kya muttah kunwari larki se kia jaa sakta hai ? aur muttah ki mukammal sharait kia hain? 
Answer 1) Jee haan kanwari lerki se bhi muta kia jasakta hay.laikin ye wazeeh rahay k kawari(virgin) lerhki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerhki ka Baap ya Dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larhki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). 2) Nikah ki do qismain hain 1:Daimi nikah 2:Gair daimi nikah(Mutaa) aur donoo ki shriat aik jaisi hain. Aqd e nikah ki shara,it me hain k :- 1- Ehtiyaat wajib he k sahih arabi me parha jae. 2- ye k mard ya orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha rakhte hon. 3- sigha parhne wala aaqil ho aur agar apne lie parhe to baligh hona bhi zaruri he. 4-mard aurat mu’aiyan hoon 5)-mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335) Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.