Answer |
Sura e Ahzaab (sura # 33) ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain. (Ref : Naway e salaheen pg # 352).
Wazifa batanay k sath aap ko ik Shariat e Muqaddasa ke maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: is terhan ki mohabbat o dosti jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). |