Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Nammaaz me buland perhne ke bare me kya hukum hai ? Kitna buland aur sirf qiraat ya zikr bhi please detail me jawab dein  
Answer 1:Mard par Aihtiyat ki bina par wajib hay kay subah ,maghrib aur Isha ki namazon main Al-Hamd aur soora buland awaz say parhay aur mard aur aurat dono par aihtiyat ki bina par wajib hay kay zohar aur asar ki namaz main Al-Hamd aur sora aahista parhain..2:Subah,Maghrib aur Isha ki Namaz main aurat Al-Hamd aur sora buland awaz say ya aahista jaisa chahay parh sakti hay laikin agar na-mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho to aithiyat ki bina par aahista parhay aur kaifiyat ye ho kay usay apni awaz sunana haram ho to zaroori hay kay aahista parhay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to aihtiyat e laazim ki bina par uski namaz batil hay.3:Agar koi shakhs jis namaz ko buland awaz say parhna zaroori hay usay jaan boojh kar aahista parhay ya jo namaz aahista parhni zaroori hay usay jaan boojh kar buland aawaz say parhay to aihtiyat e lazim ki bina par uski namaz batil hay.laikin agar bhool janay ki wajah say ya masala na jannay ki wajah say aisa karay to sahih hay.naiz al-hamd aur soora parhnay kay doraan bhi agar wo mutawajjeh ho jaey kay is say ghalati hoi hay to zaroori nahi hay kay namaz ka jo hissa parh chuka ho usay dobara parhay. 4:Agar koi shakhs Al-Hamd aur soora parhnay kay doraan apni awaz mamool say ziada buland karay masalan in sortoon ko aisay parhay jaisay Faryaad kar raha ho to uski namaz batil hay.Note: In tamam masail main buland aur aahista parhnay kay masalay ka talluq faqat Qirat say hay baqiya Azkaar main usay Ikhtiyaar hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.980,981,982,983.Pg.161. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.