Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name hamal 
Question bivi kai saath hamal li waqi sex karna chahey ya nahe 
Answer Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Intercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay waqt khaas taur per jab wo haamilah ho.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah #2382). (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504). Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.