Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalam O Alaikum! Sawal kuch ye hai ke aaj se 10 saal pehle meray bahan aur behnoi ka jhagra hua. Aur meri bahan uss waqat Hamal se thee.Behnoi ne ghuse mai bahan ko bola ke mai ne tumhe dee, Mai ne tumhe dee,Mai ne tumhe dee.Aur ye baat us ki behnoi ki walda ne aur bahan ne sunni. Aur uss ke baad masla theek ho gaya dono aapas mai rehne lagay ab un ki 4 betain hain. kya uss waqat jo behnoi ne bola tu meri bahan ko Talaq ho gai ke nahi. agar ho gai hai tu woh 10 saal se saath reh rahe hain. aur un ki ab 4 betiyaan hain.Bohat parechan hoon. Agar aap ka koi mobile no. hai tu aap se direct caal kar ke bhi baat kar sakte hain. Shukriya! 
Answer Ye talaq sahi nahi he. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil merd(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.