Answer |
Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
1) Apnay hathoon ko aajizi aur adab ki niyat se baandhnay se namaz ehtiyaat e wajib ki bina per batil ho jati hay.or agar namaz main haath baandhnay ka kaam shariyat ka hokum samajh ker karain tu aisa kerna haram bhi he .
2) Mustahab hay k namaz ki perhi takbeer or namaz ki dermiyaan digar takbain kehtay waqt haatho ko kano k baraber tak lay jain(yani rafa yadain karain).(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 944,1113 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|