Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question MERI EK RISHTEDARNE KISI GAIR MAZHAB KE LADKE SE SHADI KAR LI HAI ARU HUM LOG USKO WAPAS APNE GHAR BULANA CAHATE HAI PER SIRF USI KO KOI DUA ZAROOR BATA DE 
Answer Ager larki musalmaan hai to us ko samjaain ke ye shadi Sharan batil hai, or ager wo larka musalmaan ho jaae to phir dono shadi kar sakte hain lekin dubara nikah hoga. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 393 , 394 , 395 , 396 , eidition # 5). Shab e jumma, shab e jumeraat ya roz e jumma bawazoo hone ke baad roh e qibla beeth kar sura e Muhammad ki tilawat karain, phir sura e anaam ki aayat 125 tak tilawat karain, phir foran khare hogaain or do (2) rakat namaaz e hajat pharye (1st rakat main al-hamd ke baad 7th mataba aayat ul al-kursi (al-aliyu al-azeem) tak, phir 7th martaba sura e kosar(inna aatyana) pharye, phir ruku o sujood anjaam de kar 2nd rakat bhi 1st ki terhan anjaam dejye, ) namaaz ke foran baad sura e anaam ki aayat no 124 se sura e anaam ki aakri aayat 165 tak tilawat kijye, pharne ke baad sajde main ja kar 70 martaba laa ilaha illa llaho muhammadon rasool u llahi pharye, phir ALLAH QAZI UL AL-HAJAAT se dua kijye INSHALLAH ALLAH QADIR O TAWANA ap ki dua qabool farmaae ga. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 41 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.