Quran-o-Itrat Academy Question Answer

Ladies Sunday Madrsa


Online Hawza Papers

  Topic:  Janabat Ke Ahkam

  Ques. ID 40811

Print   

  Question apke pass pani k balti ho apne ghusal wajib krna he.agr ap ka hath pani ko ko lag jae to kya pani napak ho jae ga.? Agr napak jism k touch hone se pani napak hota he to phr ghusal kistarh kya jae?  
  Country  karachi - pak
  Answer Junub shaks(jis shaks per ghusl e janabat wajib ho jaay) ka badan or paseena paak hay hatta k jo shaks kisi haram kaam(maslan zina ya istimna) k zerye se hi junub hoa ho os ka paseena bhi paak hay. Or agar aisay shaks ka haath qaleel paani se lga bhi jay tu pani paak rahay ga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 114). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sistani sb  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 47533

Print   

  Question phone per wife say baat kerny ya us k baray may sochnay may ager husband ya wife ka pani kharig hojata hy tu ghusal wajib hota hy ya nahi ???  
  Country  guangzhou - china
  Answer jo ratubat mard shehwat anghais tasaworaat k waqt insan apni sharamgah mai mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32949

Print   

  Question If someone has doubt that after doing the ghusal (shower / bath) he has done the neeat of Ghusal e Janabat or NOT. Then what he should do.Whereas, he remember that everday he has in his mind that while taking shower he does the ghusal, either Wajib or Not. What is the status of his Ghusal for that day, when the Ghusal was Wajaib and he is doubtful about his Neeat.  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer At the time of doing ghusl, it is not necessary to have in mind that one is performing an obligatory Ghusl. It is sufficientif one performs the Ghusl with the intention of Qurbat, i.e. complying withAllah’s orders. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 357)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Agha Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46998

Print   

  Question Sir mera ap sy ye sawal hai k if jab bndy ki shaadi ho jaye to us k bad jab husband wife sohbat krty hain to us k bad koi chez eat krny sy pehly ghusl krna zarori hai ya nai j zrori hai to kon sa ghusl krna chahiye kya ap ans kr skty hain please muje is k baary mein information chahiye..  
  Country  Valdosta - U.s.a
  Answer 1)Mujnib (jis shakhs par ghusl e janabat wajib ho gya ho) k lie khana aur pina makrooh hai laikin agar hath moo dho lai aur kulli kar lai to makrooh nahi hai aur agar sirf hath bhi dho lai to karahat kam ho jati hai. 2)Jis shakhs nai apni biwi k sath hambistri ki ho os par ghusl e janabat wajib namaz aur is jaisi doosri ibadatoo ko anjam denay k lie wajib ho jata hai. lehaza agar mujnib honay k baad koi bhi wajib ibadat ka waqt phounch gya ho to ghusl krna wajib ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355, 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46954

Print   

  Question assalam alaikum, agar kisi ladki se baat karte huye penis se pani aa jaye to kya mai napak ho jayunga aisi surat me kya mai namaz par sakta hu? kya nahana jaroori hai aisi halat me? plz clarify my doubt. sukriya  
  Country  mumbai - india
  Answer 1)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) 2)Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid j  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 47041

Print   

  Question Zehen me gande khayalat ane say mani k aik do chote qatre nikal jain to kya ghusal karna farz ho jata hy ?? Agr nahi to kya just wuzu kar k namaz parhi ja sakti hy ?  
  Country  Islamabad - Pakistan
  Answer 1)Haram k baray mai sochna agar inzal ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82) 2)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) 3)Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 4)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 34627

Print   

  Question A.A , begum sy malaap k kitne dair bad ghusal laina chahiye. agr hum 1 din bad ghusal laitay ha tu us ka ghuna tu nai ho ga ....????????  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Ghusl e janabat namaz aur is jaisi doosri ibadaton k lie wajib ho jata hai warna wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356-8)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ghusal  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45847

Print   

  Question ASLAM O ALAIKUM mera swaal ye ke ager janabat ka ghusl na kiya jaye aur sirf wazu kiya jaye to iska kya hukm hai kya koi kafara hoga ya nahee ager hoga ti aok dafa ka kitna kafara agar ghusl ghar walo se sharm ya koi aur waja se na kiya jaye to.aur app pleaze mere liye dua kare ke ALLAH mjhe dua atta farmaye ab mera shohar dwai le raha hai please dua kare ke hamen aulad ho jaey AMEEN.  
  Country  riyadh - saudi arabia
  Answer Janabat ki wajah sai ghusl wajib hua ho to sharam ki wajah sai ghusl ko tark kar k wazoo nahi kia ja sakta hai. bal k faqat ghusl hi karna paray ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 638-716)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid none  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5863

Print   

  Question salam, jab my soti hu to muje nid me aksar orgasm hojata hai, kya is k liye gusul zarury hai ya nahi?  
  Country  bangalore - india
  Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5651

Print   

  Question salam.kya khwateen ki money bhi kharij hoti ha?aur kya bgher sex kiye bhi kharij ho skti ha?aur agr aesi surat ho to kya ghusal wajib hota ha ya nahi?aur raham se nikalne wali deegar ratoobat k bary ma kya ahkam han?  
  Country  rawalpindi - pakistan
  Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid agha sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46182

Print   

  Question AOA, sir mera sawal hai k kia wife k sath sirf late janey se aur hath laganey se mehsoos ho k chand qatrey kharij ho gey hain aur kaprey par lag gey hain to kia is surat me b gusal farz hota hai yaa jazbaat se mada kharij ho to gusal farz ho jae ga. plz jawab zaroor dein.  
  Country  rawalpindi - pakistan
  Answer Insan jo ratubat apni biwi k sath shehwat anghaiz tasaworat k waqt apni sharamgah me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahi hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-45)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46197

Print   

  Question Jima k bad ghusal k bare me quran k Kia ahkam Kia he, ghusal foran krna chie ya Suba uth k b Kia ja sakta he (ghusal late krne se Guna hota he ya nahi)  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Ghusl e janabat foran karna wajib nahi hai bal k wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri ibadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 41110

Print   

  Question Salam. ye kasy pta chlay ga ky kharig mani hy ya ratubat ya kuch or plz in ma difference bta dn. 2. agar 3 ya 4 drop nikly ho or mahsoos na ho or ye sookh jay tab en ma farq kesy pta cahly ga.  
  Country  Multan - Pakistan
  Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Agr ksi shaks k maqam-e-peshab sy koi liquid niklay aur wo ye na janta ho k wo mani hai,peshab hai ya koi aur cheez tou agar wo liquid sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust hogaya ho tou wo mani hai lihaza wuzu toot jaega aur gusal-e-janabat bhi krna hoga,lakin agar sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai,lihaza agar wo peshab hai tou wuzu toot jaega magar gusal nahi krna parega.is k ilawa agr wo liquid jo kbhi kbhi sehwat(sex intentions) ubharnay par merd k penis sy nikalta,nikla hai tou usay mazee kehtay hain aur wo paak hoti hai aur us sy wuzu bhi nahi tootta aur gusal bhi nahi krna hota. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45915

Print   

  Question sir mein dr ho mujah apsey ye swal karna ha k aurat k breast wagaira ko cherna ya chimtana sath us sey penis sey pani ka nikalna hota ha kia aisi sorat mein ghusal farz ha.  
  Country  peshawar - pakistan
  Answer Mard jo ratubat apni biwi sai shehwat anghais tasaworaat k waqt insan apni sharamgah me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. laikin agar os ratubat k mani honay ka yaqeen ho to phir ghusl wajib ho jae ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid hanfi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45985

Print   

  Question Assalamualaiku, Mera Sawal yeh hai ke agar main kisi ladki se phone pe baat karta hun ya rubaru baat karta hun usse baat karte samay mere Penis se ek do qatre pani ki tarha nikal jate hain to kya mujh par ghusal wajib ho jayega aur kiya mera kapda bhi napaak ho jayega mujhe kapde badalne honge aur nahana bhi hoga.......................  
  Country  Delhi - India
  Answer 1)Jo ratubat shehwat angais tasaworat k waqt insan apni sharamgah mai mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahi hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) 2)jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Paaki aur Napaaki  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46043

Print   

  Question Sir ! Mera Question ye hai k , kia ehtalam k bad suba uth kar Nahaya baghir break-fast kiya ja sakta hai ?? Islam mein is k baray mein kia hukam hai ... Please bta dain ..  
  Country  Faisaladad - Pakistan
  Answer Khana aur pina mujnib par makrooh hai laikin agar hath moo dho lai aur kulli kar lai to makrooh nahi hai aur agar srif hath dho lai to bhi karahat kam ho jae gi. isi terah mujnib k lie sona(sleeping) bhi makrooh hai albetta agar wazo kar lai to makrooh nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45303

Print   

  Question mainay pehlay question kiya tha apsay us k izafa mai yeh b poochna tha k agar periods k dooran ap say sex hogaya hai tu abh shower yani nahanay ka kya tareeqa hai. kya wudu kar k nahaya jaa sakta hain periods k dooran ya phir pehlay say hi napak honay ki wajah say yeh napaki door nhn ki jasakti jabh tak periods khatam nhn hotay? please jawab dijeye ga jald hi.........  
  Country  alain - uae
  Answer Ghusl e janabat aik alag wajib hai aur ghusl e haiz alag wajib hai ab is mai aap ki marzi hai k ya to aap donoo ka alag alag ghusl karain yani jab aap par janabat ka ghusl wajib hua to aap nai wo ghusl anjam dai dia phir aglay din aap ka haiz ka khoon band ho gya to phir aap os ka ghusl anjam dai laikin aap ye bhi kar sakti hain k haiz sai pak honay k bad janabat aur haiz ki niyat kar k aik hi ghusl anjam dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 387)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid about having sex during periods  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45366

Print   

  Question AS SALAM O LAKUM, Sir mera sawal ye he, kabhi kabhi insan ko lagata e k aetlam o gaya e lakin money nikla nahe ota balke pani ki tara k ak ya do katre nikle ote hn to is par b ghusal farz ota e ya nahe? Or aetlam k bad ghusal ki neat oti e ya nahe, Or aetlam k bad ghusal ka sunnat tariqa. Or ghusal se pelhe wazu farz e ya nahe?  
  Country  Quetta - Pakistan
  Answer 1)Ehtilam ka matlab ye hai k neend ki halat mai mani ka niklna. Is k alawa wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) 2)Aur agar yaqeen ho jae k mani nikli hai to ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) 3)Jis shakhs nai ghusl e janabat kia ho os k lie zaroori hai k namaz k lie wazoo na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 389) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Gusal  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 41297

Print   

  Question assalamo allaikum molana sahab mera question ye hai napakiyat ki halat me banda tasbiyat kar sakta hai matlab ...Allah o akber ..subhan Allah..Ahumdulillah... ki tasbee perh sakta hai ...quran or namaz to perhna mana hai kia tasbee perhna b mana hai ???  
  Country  madina - saudia arabia
  Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Halat e janabat main baghair quran k alfaaz ko hath lagay Quran ki on ayaat ko perhna jaiz hay jin main wajib sajdah nah hota.Laikin Quran majeed ki 7 se ziyada aisi ayaat perhna jin main sajdah wajib nah ho makhrooh hay.Halat janabat main on 4 ayaat ko perhna jin k perhnay se sajdah wajib ho jata hay,haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354-5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45059

Print   

  Question jab mian biwi sth ho par sex na karin lakin pani khariz ho to kia gusal lazim hy ya nahi.? ya phr sex karin par mani karij na ho or pani hi kharij ho to kia gusal lazim hy ya insan sirf us jaga ko dho kr nimaz parh skta hy  
  Country  jingzhou - china
  Answer Jo ratubat insan biwi k sath shehwat angaiz tasawarat k waqt apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo pak hai aur is sai ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid pakezgi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45040

Print   

  Question ehtelam hogaya .... kya ghusal k baad trouser k sath shirt b change karna lazim hoga jab k shirt aur vest pe kuch nahi laga tha... please answer .... and ghusal mein wazoo b shamil hai? thanks  
  Country  abu dhabi - uae
  Answer Ghusl e janabat k baad dubara wohi kapray pehan saktay hain agar wo kapray pak hon is k alawa ghusl e janabat krnay k bad namaz parhnay k lie zaroorai hai k wazoo na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356-89)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ah le sunnat  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 41325

Print   

  Question assalam o alaikum sir meri 1 friend hai or mai jb b us say voice chat krta hon to srf geela pan ajata hai( mani nhi) jis say mere kapre napak hojate hen or phir mujy namaz parhne k lye dubara shawar lena parhta hai plz iska koi hal btaen...  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Wo liquid k qatray jo kbhi kbhi shehwat(sex intentions) ubharnay par merd k peshaab k maqam sy nikaltay hain usay mazee kehtay hain aur wo paak hain,aur us par gusal bhi krna wajib nahi. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 44786

Print   

  Question agar mad ka uzu khas, aurat k vegina se touch ho jaye but dakhool na hua ho to kiya ghusal wajib ho jata hai ya dakhool k bagher aur mani k nikaly bagher ghusal wajib nahi hota??  
  Country  tank - pakistan
  Answer Do cheezoo sai insan mujnib ho jata hai jis mai sai aik jima (intercourse) aur dosera mani ka kharij hona laikin agar mard ka penis aurat k vargina sai touch ho to ghusl wajib nahi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-49)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Imam Abu hanifa  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 44377

Print   

  Question sir plz tell me agar gusal e janabt se pehly he haiz a jae to kya phr b janabt ka gusal krna ho ga ? ya haiz se farig hunay k bad he gusal ho ga?  
  Country  gujranwala - pakistan
  Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he aur q k haiz k aalam mai namaz haram ho jati hai is lie haiz sai pak honay k bad ghusl janabat namaz parhnay k lie wajib ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 40399

Print   

  Question salaam, sir puchna ye tha k agr orat ki rat ko khawb any pe mini a jay to kia ghusal zarori hy? agr hy to kia libas tabdeel krna bhi zarori hy? plz ans me as soon as possible  
  Country  faisalabad - pakistan
  Answer Gee haan, agar aurat ko ehtilaam yani sotay main mani nikal aay tu ghusl wajib ho jata hay,aur namaz k liay on kaprho ko bhi tabdeel kerna hoga jin par mani lagi hoe hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #345,786) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 40355

Print   

  Question mera sawal hai kay mujhy lecuriya ki bemari hai to mujhy samhj nahi ata kay us main mani aur mazi aur wadi main kasy farq karn kabhi kahi jel type ki ratubat hoti hai chipkany wali to wo kia mani hoti hai plzz btaa dain mujhy  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid wahabi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43850

Print   

  Question Agar sharamgah se shahwat se kch pani jaisa nikle kya usse gusl farz hota hai???  
  Country  bhavnagar - india
  Answer Jo ratubat insan shehwat angaiz tasawarat k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo pak hai aur is sai ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid question  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43838

Print   

  Question My question about tahart mujhe masla pochna hai kay agar koi shaks kisi aurat kay pistan choosta hai aur jama nai karta tu kia us par ghsal wajib huwa ya nai aur agar koi us aurat kay nechay bosa lay. phr bi kia ghusal wajib ho ya nai ya us ko sirf wazu karna paray ga  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer Jee nahi is sai ghusl wajib nahi hota hai ghusal 2 cheezoo sai wajib hota hai 1: jima krnay sai 2: Mani k niklnay sai. Is k alawa ghusl e janabat wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid every one  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43615

Print   

  Question Sir mera sawal yeh hy ke agr insan khd ko apni mar. zi sy junub karey to kitni days mein wo namaz nahi pert skti?  
  Country  queeta - pakistan
  Answer 1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) 2)Jo shakhs jan boojh kar mani nikalay os ko namaz parhnay k lie ghusal e janabat karna paray ga phir namaz parhni ho gi namaz ki choot nahi milay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 40056

Print   

  Question Agha shb maney pehly bhi ye sawal pocha tha bt koi reply ni aya so plz is baar lazmi jawab dijiye ga, kya husband n wife ek raat mey ek baar sex karny k baad bina ghusal janabat kiye dusri baar bhi sex kar sakty hain? Or agar isi tareky sey hamal ho jaey to usky bary mey kya ahkamaat hain?? Plz reply zarur kijiye ga.  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Ehtilaam (sotay main mani ka nikalna) k baad, baghir ghusl k jima(Intercourse) kerna makhrooh hay laikin jima k baad baghair ghusl kiay dobarah jima kerna jaiz hay or makhrooh bhi nahi hay.(Ref:Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3, maslah #5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Sistani shb.  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 42725

Print   

  Question Assalamualikum , Mera sawl hai ki kya koi handpractice kar nai sai gushul wajib hoti hai kya? Agar wajib hoti hai to isse kaisa paak karna chayee ? kaprai ko kaisai paak karna chayee................plz answer my mail id  
  Country  Bhubaneswer - India
  Answer 1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) 2)Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) 4)Agar mani badan par lag gae ho to pehlay ya ghusl k doran osay pak krna paray ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 371) 5)Kapray ko pak krnay k lie pehlay mani ko hatana ho ga phir aik dafa qaleel pani is par dala jae aur phir os ko nichora bhi jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 156)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 42816

Print   

  Question agar peshab karne ke baad badan me kamzori ka ehsas ho to kya ghusl janabat karna padega...kya peshab ke saath mani bhi kharij ho sakti hai...  
  Country  LUCKNOW - INDIA
  Answer Baaz awqat jo ratubat peshab k bad kharij hoti hai osay wida kehtay hain aur wo pak hai aur os sai ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid imamSISTANI  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 39904

Print   

  Question A.O.A Sir mera sawal ye hai k Mard aur aurat ke sex ke baad jism me pehne gaye sare kapre napak hojate hain ya sirf libas ki woh jaga jo ke manni ko touch karay? ky sex ke baad ghusal ker ke wohi kapre pehne jasakte hain?  
  Country  kabul - Afghanistan
  Answer Sirf wo jaga najis hoti hai jis jaga mani lagi ho or ghusl k baad aap wo kaprhay dobarah pehen saktay hain jo sex k waqt pehnay hoay thay agr wo mani say najis nah hoay hoon, Q k najis libaas main namaz nahi hogi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah#119,786). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 42231

Print   

  Question gusal krne k bad saaf kapre pehinne k bad aik tk wohi kapre pehine ho phr wo napak kapre sirf 2,3 ghanto k liye pehine to kia gusal wajab jo jaye ga>?  
  Country  quetta - pakistan
  Answer Jee nahi is sai ghusal wajib nahi hota hai, Ghusal e janabat 2 cheezo sai wajib hota hai 1:Jima sai 2: Mani k kharij honay sai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ayatullah sistani d.b.  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 40487

Print   

  Question mary kapry aksar ahtallam sa gandy ho jatay hann or nahany ko dil nahei karata jab ka ma usei din nahaya hooon to kaya un he kapron ma nammmaz par sakta hooo ?  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer 1)Agar rat ko sotay huay mani kharij ho jae to Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. aur ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. 2)Namaz parhnay walay ka libas pak hona zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356, 787)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid urdu  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 39611

Print   

  Question ASSALMUALIKUM MERA SAWAL YE HAI KE JAB HAM PAR GHUSUL WAJIB HOTA KYA HAM US HALAT ME NAKHUN (NAILS) KAT SAKTE HAI AUR JISM KE BAL KAT SAKTE HAI KYA (ZERE NAF) PLZ TELL ME ASSALAMUALIKUM  
  Country  HYDERABAD - india
  Answer Jee han jism k baal saf kr saktay hain aur nails bhi kat saktay hain . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354-55)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 40233

Print   

  Question Assalamualykum! Sir jb b muje ehtelam hota he our ghusal krta ho, to har bar ghusal k bad peshab ki jaga say mani k qatray aatay he, me ghusal say pehlay peshab b kr leta ho, per b ye hota he, aap mujay ye bataye k ye pak he ya napak.  
  Country  peshawer - pakistan
  Answer Mani kharij honay k baad insan k lie peshab karna mustahab hai. Aur agar peshab na karay aur ghusl k baad is k peshab ki nali se ratobat kharij ho jis k baray me wo na jaanta ho k mani hai ya koi aur ratoobat to wo ratoobat mani ka hokum rakhti hai. aur agar peshab kr lia ho to wo ratubat pak hai aur is sai ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 347) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 34986

Print   

  Question AOA! Respected sir, Me ne ap se yeh puchna tha k ,,, mujhy raat ko ehtlaam ho gaya tha aor subah uth k me ne ghussal bhi kiya aor jab din k waqt mein washroom gaya to mujhe aisa laga k din mein koi 2/3 qatray aye hain ............. ab office mein to me ghussal kar nahi skta tha to Phir din mein me ne jo kuch khaya Piya wo Haath dho kr khaya Piya to kia me ne iss halat mein jo kuch khaya piya wo mere liye haram/makrooh tha ??????????? plz iss silsiley mein meri rahnomaiye kijiye  
  Country  Islamabad - Pakistan
  Answer 1)Is surat mai ye dekhna pray ga k aap nai ghusl krnay sai pehlay peshab kia tha k ya nahi agar peshab na kia ho aur ghusl k bad peshab k makhraj sai jo ratubat kharij ho jis k baray mai maloom na ho sakay k peshab hai k koi aur ratubat to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai aur dubara ghusl krna ho ga aur agar peshab kr lia tha to wo mani nahi ho gi aur ghusl dubara wajib nahi ho ga. 2)Agar wo ratubat mani ho to hath moo dho lia ho to khanay pinay mai karahiat kam ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 347, 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 33442

Print   

  Question sir g muje bht ziyda jarjahan hota hai har waqt mani k katary atey hain mein bht kamzor b ho kia karo  
  Country  pakistan - bilalmukherjee@yahoo.com
  Answer Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid mangloor  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32470

Print   

  Question AssalamoElaikum din k waqt kaam kaaj k oqat men ager mani ka mamoli sa qatra nikal jay to kya ghusel e janabet ker ferz hy? meny aik Aalim sy pocha ye masala to unhony bataya k is terha jo mani kharij hoti hy usy hum mani nahi nahin kehty mani wo hy jo uchel k nikly or ager nimaz ka waqt nikla ja raha hy to ap ghusel e janabet k baghair namaz pereh sakty hain. me apna shak door kerna chahta houn. Wassalam Ali Raza  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Mani ko pechan’nay ki 3 alamat hain 1:shehwat k sath niklay yani os k niklnay k waqt shehwat mehsos ho, 2: is k niklnay k bad badan sust ho jae, 3: uchal kar nikli ho. Agar is terah niklay to wo mani ka hokum rakhti hai yani namaz aur doosri abadat k lie ghusl e janabat krna zaroori ho ga. is k alawa wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-45, 70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Ayatullah Ali Al seestani / Ayatullah Hafiz Bashir  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 33413

Print   

  Question Salamalaikum...mera sawal ye hai ke agar badan pe najasat(mani) lag jaaye...aur use paani se saaf karne ke baad wuzu karenge to namaz ada hojayegi ya ghusl karna zaroori hai.  
  Country  Hyderabad - India
  Answer Mani niklnay k bad namaz aur is jaisi doosri ibadatoo ko anjam denay k lie ghusl e janabat wajib ho jata hai. lehaza agar mujnib(mani niklna) honay k bad koi bhi wajib ibadat ka waqt phonch jae to ghusl krna wajib ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Muslim  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 33575

Print   

  Question Sir meri peshab ma mani ky qtry aaty hen  
  Country  Mansehra - Pakistan
  Answer Wo ratubat jo baz awqat peshab k bad niklti hai agar peshab os sai mila hua na ho to pak hai aur ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 33566

Print   

  Question Assalm o Alikum! Moulan sahab insan ki sharamgah se mani ka nikalna haram hay ye hame pata hay magar jo kisi chez ko dekhne white transparent liquid nikalte hen unse kia insan napak hojata hay aur kia unpe ghusal wajib hojata hay?  
  Country  Pakistan -
  Answer Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 34414

Print   

  Question agar pakhana kartea waqat peashab kea rastea sea mani nikal jayea tu insan napak ho jata hai ya nahi  
  Country  dhanbad - india
  Answer 1)Agar yaqeen ho k mani hai to ghusl e janabat namaz wagira k lie wajib ho jae ga. 2)Wo ratubat jo baz awqat peshab k bad niklti hai agar peshab os sai mila hua na ho to pak hai aur ghusl bhi wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 21868

Print   

  Question kya ham sex k bad khana kha skty hain bina nhaye?sehri ki bat ni wesy normal khana,,,sex ya mani niklny k bad kha skty han bina nhaye?ya yh bi ibadat men ata hai.plz guide me  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Mujnib (jis shakhs par ghusl e janabat wajib ho gya ho) k lie khana aur pina makrooh hai laikin agar hath moo dho lai aur kulli kar lai to makrooh nahi hai aur agar sirf hath bhi dho lai to karahat kam ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sunny  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 35419

Print   

  Question meaning of mani insan bibi ke sath kab napak hota hai ya koi buri chiz ke bare me sochna ya galat chiz dekhne se insan kab tak napak nahi ho sakta hai  
  Country  new delhi - india
  Answer 1)Do cheezo say insan mujnib(halat e janabat) ho jata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is k alawa ghusl wajib nhi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 344) 2)Haram k baray mai sochna agar inzal(mani kharij hona) ka sabab na banay to ehtiyat e mustahab hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82) 3)Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 38292

Print   

  Question sir ma yah pochna chahta hon kah jab ma pni wife sa sex kar raha hota hon to agar bacha uth jay to kaya doodh pila sakti ha ya nahi/ agar pila sakti ha to kasy  
  Country  khanewal - pak
  Answer Bachay ko doodh pila sakti hai q k halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354,355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 38236

Print   

  Question kya porn video dekhne se ghsal faraz ho jata ha  
  Country  Rawalpindi - Pakistan
  Answer 1)Porn video ko dekhnay sai ghusl wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344) 2)Ethiat e wajib k toor per fahash filmoo(porn movies) aur tasveeron(porn pictures) ko dekhna haram he agar chahah shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 38224

Print   

  Question agr raat ko sote time sapne me koi hamari pusy ko suck kare or phir us time hame discharge hone ki feeling aaye bt ek dam sote sote aankh khul gayi toa check kiya k ham discharge nahi hue or sab dry hai toa us condition me gusal wajib hai?  
  Country  delhi - india
  Answer Jee nahi is sai ghusl wajib nahi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-353)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid patelnagar  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32996

Print   

  Question As salam wale kum jab mere shohar mujhe kiss karte hai ho me napaak mani jaugi or iske liye gusal wajhib hai kya?  
  Country  delhi - india
  Answer Jee nahi kiss krnay sai sohar aur biwi donoo par gusal wajib nahi hota hai. (Ref : Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 344)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 37542

Print   

  Question ghusal e janabat ka tarika aur niyat tafseel se batayen  
  Country  hyderabad - india
  Answer Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1:Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. 2:Ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid allama sistani sahab qibla  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 37547

Print   

  Question SLAM. mera question yeh ky kia ik najaas admi nohay aur zikar e ahal e bait(a.s) najas halat men sun sakta hy computer wagra pe?  
  Country  attock - pakistan
  Answer Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354-55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid agha sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 33055

Print   

  Question Mulana saab mera sawal ya ha k agar rat ko ekhtalam howa ha aur jald hi pata chal gaya ha aur neshaan b toray say hain.aur sardi b bohat ha gusal ni kar saktay tu kai llegs ko dhoo lana kafi ho ga aur ma nay kai bar aysi hi namaz per li kai ma nay sai kiya help me plzzz  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Note : Is website pr fiqahe jafria k mutabiq jawab dia jata hai Mani nikalny sy insan par gusal wajib hojata hai chahay mani kam ho ya ziada aur nend mai nikli ho ya jaghtay hue, gusal e janabat wajib hai laikin agar aap k lie pani ka istemal aisay haraj aur mushaqat ka sabab banay jo aam tor par bardasht nahi kia jata to aap tayammum kar k namaz parh saktay hain.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 344, 663)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid hanfi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 36342

Print   

  Question Mard Hazrat pe kia ghusal ki halat men kuch khana peena islaam men kesa hai yani jb tak ghusul kar na len tb tak kuch kha pi nahen sakte? ap is sawal pe kuch roshni dalen. Shukria  
  Country  Usta Mohammad Balochistan. - Pakistan
  Answer Mujnib yani wo shakhs jis par ghusl e janabat wajib ho gya ho chahae mard ho ya aurat os k lie khana aur pina makrooh hai laikin agar hath moo dho lai aur kulli kar lai to makrooh nahi hai aur agar srif hath dho lai to bhi karahat khatam ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 26072

Print   

  Question maine suna hai ki mazi ak dirham se zyada nikal jaane par insaan naapak ho jata hai,mera sawal hai ki wadi kitna nikal jaata hai to insaan naapak ho jaata hai,mere har peshab ke baad thoda sa wadi nikal jata hai,agar ye har peshab ke baad nikle aur baar baar pant par lage to kya wo pant naapak ho jaayega?  
  Country  Ranchi - India
  Answer Mazi pak hoti hai chahay jitni miqdar ho or agar wadi peshab se na meli hoi ho to pak hai chahay jitni miqdar main ho.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ??  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15469

Print   

  Question Husband aur wife ka libaas ke saath makhsus jagay touch hojain aur mani na ain to kya khusal dono pe wajib ho jatha hai k nai  
  Country  Quetta - Pakistan
  Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. 2 chezo se insane per ghusl wajib hota hay aik mani k kharij honay se or doosra jima kerne se(yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main). (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #344 ). Note: biyaan gay fatway k mutabiq aap dono per ghusl wajib nahi hoa, Q k sharam gaah main dakhool nahi hoa.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Hanfi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32259

Print   

  Question aslmkm... main jab lunch karke ofc me thodi der rest karta hoon phir jab neend se utha to appne kapdo per kuch 2 ya 3 white colored dhabbo ko dekha.. ab main ofc me hoon ghar jake ghusl nahi kar sakta.. badi meherbani hogi mujhe iska jawab jald hi milega to.. kyuki meri asr aur maghrib ki namaz choot rahi hai  
  Country  hyderabad - india
  Answer Agar aap ko yaqeen hay k ye mani k qatray hi hain tu aap ghusl e janabat kern wajib hoga or jis jagah mani k qatray lagay hoon on ko paak karain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32827

Print   

  Question Salam....janab kuch majburi ki wajah se zyada der tak janabat ki halat me reh sakte hai ya nai....?  
  Country  gujarat - india
  Answer Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he, is sai pehlay wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ayatullah ali hussain sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 33307

Print   

  Question Aslamu alikum sir mera q yeh hai k agr zehan me galt tasawrat sy nechy sy 1 ya 2 drops nikal jay mani k to kia gusal wajib hai? or agr nai wajib to islam me kitni reyat hai ? mean kitny drops aye ya koi drops ka size bataya ho mean chany k dany k jitna ETC..........?  
  Country  lahor - pakistan
  Answer 1)Haram k baray mai sochna agar inzal(mani kharij hona) ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82) 2)Jo ratubat shewat anghaiz tasaworat k waqt insan apni sharamgah me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahi hota hai aur na wazu batil hota hai. 3)Mani k niklnay sai insan mujnib ho jata hai chahae kam niklay ya ziada, (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344, 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32169

Print   

  Question ap mjy y bta skty hein ky ager mein kici sy piar krt hun but pta nhi Q mein nichy sy zara sa pani nikal ata hy or hmysha tb hi hota hy jb mein us ky sath hun lykin ajeeb y ky wo sochty bi nhi tb bi pani ky katry nikal jaty hein puchna y hy ky kia ager mein un 2 ya 3 katry hoty hein un ko pani sy lga ky saf kr lon to kia myri nemaz ho jay gi ya gusal wajiz hy????plz btaye islamic point off view sy ............................plzzz  
  Country  non - pak
  Answer 1-Agar yaqeen ho k mani hi nikli hay to namaz roza or is jaisi degar ibdaat k anjaam dainay k liay ghusl karna wajib ho ga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 356 ) 2-Jo ratubat shewat anghese tasaworat k waqt insaan apni sharamgah me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32820

Print   

  Question A.o.a Kya gusul napaki ho jane k bad roti ya koe bhe chiz nahi khai ja sakti jab tak k gusul na krle mujhe is number p jawaab bheje shukrya.03048002228  
  Country  larkana - pakistan
  Answer Mujnib (jis shakhs par ghusl e janabat wajib ho gya ho) k lie khana aur pina makrooh hai laikin agar hath moo dho lai aur kulli kar lai to makrooh nahi hai aur agar sirf hath bhi dho lai to karahat kam ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 355)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 18141

Print   

  Question agr her roz soty waqt moni k qatry nikal jain ar pta na chaly to kia insan pak ha k napak?  
  Country  gujranwala - pakistan
  Answer 1)Do cheezo say insan junub(halat e janabat) ho jata hay. i)mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say, chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k sath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyar main ho ya nahi. Mani k niklnay sai insan mujnib ho jata hai. 2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid HAZART MUHAMMAD S.A.W.S  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 18434

Print   

  Question Kia larki husband say intercourse karnay k baad , bagair ghussal kiye namaz parh saqti hay?  
  Country  Manchester - England
  Answer Jima karnay sai sohar aur biwi donoo mujnib ho jatay hain aur ghusl janabat namaz parhnay k lie wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid F  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32198

Print   

  Question a o a. kya gusal farzhonay par humm qurann pakk ke talawat krr saktahnn binna hath lagayaquran pakk ko numbar 2 kya gusal farz hona parr zubann na pakk hote hy ya pakk plzzz tell me aoa  
  Country  hafizabad - pakistan
  Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. 1-Halat e janabat main baghair quran k alfaaz ko hath lagay Quran ki on ayaat ko perhna jaiz hay jin main wajib sajdah nah hota.Laikin Quran majeed ki 7 se ziyada aisi ayaat perhna jin main sajdah wajib nah ho makhrooh hay.Halat janabat main on 4 ayaat ko perhna jin k perhnay se sajdah wajib ho jata hay,haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354-5) 2- Halat e janabat main zaban najis nahi hoti,laikin is halat main khana or peena makhrooh hay, agar hath or monh dhoo lay or kulli kerlay tu makhrooh nahi hay or agar sirif hath dhoolay tub hi karahiyat kam ho jay gi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32676

Print   

  Question Ihtalam ki bimari me ghusal ka kia hukam he.  
  Country  Gujranwala - pakistan
  Answer 1)Agar rat ko sotay huay mani kharij ho jae to os ko ehtilam kehtay hain aur is sai ghusl wajib ho jata hai. aur ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-57)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 2)Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370) Ehtilam sai bachnay k lie : Sonay say pehlay ba-wazoo halat mai surah e mea’rij(surah no. 70) ko aik martaba parhay aur surah e noor likh kar takiay(pillow)k nichay rakhay to ehtilam sai mehfooz rehay ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Imam Abu Hanifa  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17200

Print   

  Question AOA sir mera ye Q hy k kya janabat k baad gusal karne se pehle bache ko doodh diya ja sakta hy?  
  Country  faisalabad - pakistan
  Answer Halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354,355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 31606

Print   

  Question Salamalequm Sir kya agar hamare thoda pani sa nikala hai to kya hum majlis mai beth sakte hai jabki hume pata hai ki ye mani nahi h jiski wajha se gusl wajib h  
  Country  Delhi - India
  Answer Jo ratubat shahwat anghez tasawarat k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo pak hai aur is sai ghusl bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. aur majlis mai bhi ja saktay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sistani sahab  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32473

Print   

  Question Assalam O Alaikum Sir mera ap se ye sawal hai ke mera azu tanasul jab khara hota hai aur phr jab normal ho jata hai to aus me se drops atay hai to ye mujhe koi bemari hai ya kia hai plzzzz sir mujhe ais ka hal batay.  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Wo ratubat jo khabi khabi shewat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 31490

Print   

  Question agr ehtlam ho jae to kya us k liye ghusal lazmi hai ya bnda kuch aor b kr skta hai?  
  Country  sialkot - pakistan
  Answer Agar rat ko sotay huay mani kharij ho jae to os ko ehtilam kehtay hain aur namaz ya is jaisi doosri ibadat k lie ghusl wajib ho jata hai. aur ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 356, 357)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 31315

Print   

  Question میرا سوال یہ ھے کہ اگر مجھے احتلام ہوتا ہے تو اس صورت میں کیا صرف پتلون تبدیل کرنا کافی ھے؟ Plaese reply me in my email mentioned above , Thanks in advance  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer 1)Agar rat ko sotay huay mani kharij ho jae to os ko ehtilam kehtay hain aur is sai ghusl wajib ho jata hai. aur ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. 2)Agar kapray par mani lag gae ho to namaz parhnay sai pehlay os ko pak kia jae ga ya tabdeel kia jae ga warna namaz batil shumar ho gi. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 356, 357, 345, 80 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid just a muslim  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15580

Print   

  Question Mera question ye hai ki mujhe sirf saq hai ki kuch pani jaisa aya hai, lekin kahi jahir nahi hai, Kya mera roza tot gya hai, aur kya main bagar gusal k namaz ada kar sakta hu! Kya rozy k alawa is tarah ho jae to bagar gusal k namaz ho sakti hai???  
  Country  Mumbai - India
  Answer Agar mani apni jagah se harkat karay laikin kharij nah ho ya insan ko shak ho k mani kharij hoe hay ya nahi tu os per ghusl wajib nahi hay. Agar bay ikhtiyaari ki halat main kisi ki mani kharij ho jay tu oska roza batil nahi hay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 1570,351). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15594

Print   

  Question Mulana shab meri problem ye he ke mujhe pesab me mani nikalti he kya mujhe har bar gusal karne ki jarorat hogi.ya bina gusal kiye namaj padh sakta hu  
  Country  roorkee - india
  Answer Agar yaqeen ho k mani hi nikli hay to namaz roza or is jaisi degar ibdaat k anjaam dainay k liay ghusl karna wajib ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356 ) Aur wo ratoobat jo baaz awqaat peshab k baad niklti hay osay wadi kehtay hain agar peshab is say mila hua na ho to wo pak hay aur ghusl bhi wajib nahi hota hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70 ). Wazifa: Aap homoeopathic Medicine damaina pentarkan drops(Made in Germany Dr. wiilmar schwabe karlsruhe) subah, dopeher, raat 10 qatray aik ghoont pani main daal ker istemaal karain insha allah jald hi tamaam jinsi bimariyaan khatam ho jay gi.or aap normal tariqay se apni zindagi guzaarne lagain gay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sex  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17711

Print   

  Question salamunaleykum janab agar mani niaklney key bad peshab karey or istabra karey or uskey bad koi ratwobat nikley ya na maloom ho ki kiya hai to kiya insaan pak hoga ya najis  
  Country  lucknow - india
  Answer Mani kharij honay k baad insan k lie peshab krna mustahabb hai aur agar peshab krnay k baad istebra kray aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai shak ho k peshab hai ya mani to wo pak hai. aur agar yaqeen ho k peshab hai ya mani to to wajib hai k ehtiyatan ghusl kray aur wazoo bhi karay(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 347)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17154

Print   

  Question JAISA KE HAMRE ILM MAIN KE MUSHT ZANI HARAM HAI. IS KE BARE MAIN MERE 2 SAWAL HAI. 1) YEH KE MUSHT ZANI KERTE WAQAT MANI NA NIKALE MAGER JISM SE PASINA AJAYE TO KYA GUZUL WAJIN HOJATA JAI. 2) MUSHT ZANI KERTE WAQAT MANI NA NIKALE MAGER FEEL HO KE MANI NE HARKAT KI TO GUZUL WAJIB HAI. PLS JAWAB ZAROOR DIJAYE GA MERI ID PE AUR YEH SAWAL APNE QUESTIONS MAIN ZAROOR ADD KIJAYE THNKS  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Insan 2 cheezo sai mujnib hota hai, un mai sai aik mani ka kharij hona hai laikin agar mani apni jigha sai harkat kray laikin kharij na ho to phir ghusl wajib nhi hota hai. Is k alawa pasina aanay sai ghusl wajib nhi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 344-389)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Ayatullah Sistani R.A  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17028

Print   

  Question salam sir meri umer 21 saal hai or meri shadi bhi nahi hui or meri mani ka masla hai sir plz is ka koi ilaj bataye mai bohat pareshan hoti hun meri namaz nahi hoti mujhy koi hal bataiye k ye khatam hi ho jay thank u  
  Country  ghaza - makha al mukarama
  Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ??  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3511

Print   

  Question KAYA KISI MARD YA AURAT KA KISI NA MAHRMA PAY DBARAH QASDAN NAZAR DALNAY PER GUSUL FARZ HOJATA HAI?  
  Country  AUH - UAE
  Answer Do cheezo say insan mujnib(halat e janabat) ho jata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is k alawa ghusl wajib nhi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 344) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khumeni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16977

Print   

  Question A.O.A mera sawal ye ha k agar koi shaks in boray kamo say rukna chaehy or sotay wakht koi aisa khawab daikh liya jis say mani kharij ho gai to kia kerna chaeay or gusal janabat ki neat kaisi ki jai  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Agar rat ko sotay huay mani kharij ho jae to os ko ehtilam kehtay hain aur is sai ghusl wajib ho jata hai. aur ghusl e janabat ki niyat k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” k iraday sai ghusl kray to kafi hai. yani niyat kray k “ghusl janabat krta hon ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ”. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-57)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ayat u lah saistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16771

Print   

  Question ghusl-e-janabat kab wajib hota hai  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer 1)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. 2)ye zaroori nhi k insan ghusl k waqt niyat kray k wajib ghusl kar raha hai bal k faqat “ ﻗﺮﺑﺔﺍﻠﻰﺍﷲ ” yani khuda ki bargah mai aajazi k iraday sai ghusl kray to kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356-57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16768

Print   

  Question kia bevi ham besteri k baad bechy ko dou d qela sakti he ya nahe  
  Country  narowal - pakistani
  Answer Halat e janabat main aurat k liay apny bachay ko doodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat krnay k baad ya wuzu ker k bachay ko doodh pilay(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354,355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14226

Print   

  Question Salam-o-alaikom Ma ye janna chahta hun ke mani semens ke chand qatre peshab karne se pehle ya peshab karne ke bad kharij ho jain to kiya ghusal karna faraz ho giya.  
  Country   - Abu Dhabi U.A.E
  Answer Agar yaqeen ho k mani hi nikli hay to namaz roza or is jaisi degar ibdaat k anjaam dainay k liay ghusl karna wajib ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356 ) Aur wo ratoobat jo baaz awqaat peshab k baad niklti hay osay wadi kehtay hain agar peshab is say mila hua na ho to wo pak hay aur ghusl bhi wajib nahi hota hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12711

Print   

  Question mera sawal yeh hai ki hu kin kin chizon se naapak ho jate hai,agar oral sex kiya to kya hum namaz nahi padh skte? shaadi k baad gusal ka kya hukam hai ?  
  Country  mumbai - india
  Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Do cheezo say insan mujnib(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Note : agar oral sex sai mani kharij ho jae to insane mujnib ho jata hai. 3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sunni muslim  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3265

Print   

  Question assalaelaikum kya biwi ko hambistari kebaad koi ghusl karna padta hai aur agar jasmaani taaluqaat na bane par uske jism par agar mera sharmgaah se nikla liquid lag jae pto use ghusl karna padega? meharbaani karke us ghusl ko karne ka tareeqa bhi bataein shukriya  
  Country  basti - india
  Answer Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay jis mai sai aik jima krna (intercourse) hai. aur agar koi shakhs aurat sai jima kray aur azu e tanasul (penis) supari ki miqdar tk ya is sai ziada dhakil ho jae to ye dhokool faraj mai ho ya dubr(back side) aur chahae balig ho ya na balig aur chahae mani kharij ho ya na ho donoo mujnib ho jatay hain. Aur namaz ya is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat krna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 343,348,356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15246

Print   

  Question me jab soti hoon to mujhe k khwab ate hain me nahi dekhna chati ase gand khaab plz mujhe batain mujhe nahi pata chalta k janabat ka pani aya k nahi aya ku k aksar washroom se ho k aa k latti hoon to trouser wase b gila hota hai washroom ki waja se mujhe bataye meri help kijye me kia karon plzzz help me me bohot pareshan me so b nahi sakti kuch alamat bataye urat ki janabat ki plzz  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16423

Print   

  Question shohar k sath hmbistari karny k bad kitni dyr tak gosal karna jaiz hai ya kitni dyr tak gusal k bina rah sakty han  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota hai. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ....  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16421

Print   

  Question salam mjhy ye pochna hai k agr mard ko ahtlam ho jata hy to gosal se pehly peshab krna zrori hai kia ya ahtlam k bad bgair peshab keye gosal kr lia jay to ye thek hy ya nhi plz btana thanks  
  Country  manama - bahrain
  Answer Mani kharij honay k baad insan k lie peshab karna mustahabb hai. Aur agar peshab na karay aur ghusl k baad is k peshab ki nali se ratobat kharij ho jis k baray me wo na jaanta ho k mani hai ya koi aur ratoobat to wo ratoobat mani ka hokum rakhti hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 347) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13868

Print   

  Question mera qtn hai ki nind ki halt m agr mani nikal jaye to gussal krna zaruri hota hai?  
  Country  mumbai - india
  Answer Do cheezoo sai insan mujnib ho jata hai jis mai sai aik mani ka kharij hona hai chahae neend ki halat mai hi niklay aur ghusal e janabat wajib namaz prhnay k lie aur aisi hi doosri ebddat k lie wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344,356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16159

Print   

  Question assalamun alaikum agar baligh hone ke thode saal baad ghusl janabat ka pata chale to kya sab wajib namaz phir se padhni padegi  
  Country   - india
  Answer Aap par sari namazoo ki qaza lazim hogi. Han , jo namazain aap nai ghusl k baad parhi hain chahae ghusl e janabat ko anjam na dia ho jaisay maslan khabi jummay ka ghusl kia ho to phir is k baad ki namazain shi ho gi.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 15,pg # 25-26)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15982

Print   

  Question Aoa sir . . Maen ny yeh p0chna h k maen jb jb apni grl frind sy bt krta h0n to kch aisi batain hojati hyn k meray azu tanasal(penis) sy kuch rt0bat kharij hojati hy . . .js ki vja sy phr maen namaz wagaira nhe parta k gusal wajib hogya h . . .buT yeh bh0t h0ta hy . . .din maen har 3 hrx k bd to gusal nhe hoskta kindly guide meh according to sistani saheb k mj pe gusal wajib h0jata hy ya nhe?  
  Country   - Pakistan
  Answer 1)Jo ratubat shewat anghese tasaworat k waqt insane apni sharamgha me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) 2)Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Sistaani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15960

Print   

  Question Assalamualaikum hazrat mera savaal a hai ki agar bura ya ganda khaya aaye our 2 khatre peshab ke raste nikle to voh kya hai mani mazi ya wadi aur iske nikal ne se ghusl toot ta hai  
  Country  banglore - india
  Answer 1)Jo ratubat shewat anghese tasaworat k waqt insane apni sharamgha me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) 2)Agar haram k baray mai sochna mani niklnay ka sabab na bnay to ehtiyat e mustahab hai k osi trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 199, pg # 82) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid hanafi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15961

Print   

  Question Assalamualaikum hazrat mera savaal a hai ki agar bura ya ganda khayal aaye our 2 khatre peshab ke raste nikle to voh kya hai mani mazi ya wadi aur iske nikal ne se kya ghusl toot jata hai ya nahi  
  Country  banglore - india
  Answer Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Jo ratubat shewat anghese tasaworat k waqt insane apni sharamgha me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) 2)Haram k baray mai sochna jb k wo shewat ka sabab banay agar is sai mani na niklay ti ehtiyat e mustahabb hai k ose trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 199, pg # 82) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid hanafi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15065

Print   

  Question asalam o alikum... bohat sharmindagi or nadamt ky sath halat e majboori mai ye poochny per majboor ho ky jub bhi mai tv per ya computer py ya kahir or KISI aurat ya behayai wali tasweer dekh lo ya is cheez ka khiyal ajaye to mery sharam ga se pani khareej hojata hai, baraye mehrabi mujhe is ka koi elaj bata dain or is halat mai kia GHUSAL WAJIB HAI>=?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer 1)Ehtiyat e wajib k toor per fahash filmoo aur tasweeron ko dekhna haram hai agar chaha shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) 2)Jo ratubat shewat anghese tasaworat k waqt insane apni sharamgha me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) aur agar sharam gah sai niklnay walay pani k baray mai yaqeen ho k mani hai to ghusl wajib ho jae ga. 3)Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le. .(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14655

Print   

  Question Mera question hai ki agar kuch sex ki baat socho to penis se white colour ka liquid nikalta hai kya jab namaz ho sakti hai.  
  Country  Delhi - India
  Answer 1)Agar haram k baray mai sochna, mani niklnay ka sabab banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199). 2)Agar aap ko kisee tarah bhi yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee aur namaz aur doosri abadaat k lye ghusl e janabat karna zaroori hay. 3)Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15058

Print   

  Question Mera sawal yeh hai ke kiya jis tarah ladhko ko ahtlam hota hai aur un par ghusl wajib hojata hai is tarah ladhkion ko bhi hota hai or un per ghusl wajib hojata hai. Plzz mujhe puri tafseel bataen ke woh pani kis had tak hota hai kuin ke main bohat arse se is masle se pareshan hun jaldi jawab dijiye  
  Country  Genova - Italy
  Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13922

Print   

  Question Slam plz reply kre ma 4th time question kr ra ho pur koe reply ne aia 1) mry badan sa aksar shewat ke wja sa safeed pani yani mazi nikal ati ha kea wo pak ha,ma us k sath nimaz purh skta ho,plz give ma clear ans. 2) T.v daikhma ksa amal ha? Or tv pur gher mahrum orto ko lazt ke nigah sa daikhna or bagher lazt ke nigah sa daikhna ksa amal ha. Plz reply must jzakallah  
  Country  Taxila - Pakistan
  Answer 1)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) 2)TV drama dekhna lazzat kay baghair jaiz hay laikin agar TV dramay main kaam karnay wali na-mehram khawateen kay jism kay wo hissay jo aam toor say chupay hotay hain,dikhai dain ,ya dekhnay wala shehwat kay saath dekhay ya is kay Haram main parnay ka khouf ho to phir inhain dekhna Jaiz nahi hay.Ref: Istiftaat A.Sistani I-30. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Syed Ali hussaini sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14791

Print   

  Question Salam..mera sawal ye haii k mere jism se hameshaa mani khareej hote rehtee haii...is k liye mujhe per ghusal wajib hai ya nhi..? jab k mani k nikalne ka koi time nhi haii..or kabhi kabar mani kharij hone k bare mein pata nhi chalta k kis waqt kharij howee..to mujhe per is k liyee kiya huqam haii...  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid aqa-e-sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14814

Print   

  Question salam mera sawal hai k mere sharam ga se chaltay phir te thora thora safeed pani ata rehta ha bna sex ko sochay aur karay ya pani parta rehta ha thora thora kya me aise halat me namaz par sakti hu roza rak sakti hu quran par sakti hu jism pak rehta ha ya nai aur haan kapray change karna chai ya ha ya nai? plz reply fast  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14727

Print   

  Question aslam o alaikum mera ap sy ye swal hai k agr main apni wife k sath sex karny k liye condom use karta hon or main discharge ho jata hon mtlb k meri (mani)condam maynikal jati hai mera ghusal karna wajib ho gya hai to kya meri wife ka bhi ghusal karna wajib ho ga?  
  Country  lahore - pakistan
  Answer 1)Merd k liay jaiz hay k wo condam istemaal karay laikin ehtiyaat wajib ye hay k is k istemaal kernay say pehlay apni biwi say ijazat lay lay. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 465 pg # 254) 2)Agar koe shakhs aurat se jimma(intercourse) karay aur azo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dkhool fraj(uqle sharamgha) me ho ya pichlay maqam me aur chahae wo balig ho ya na balig aur chahae mani kharij ho ya na ho donoo junub ho jatay hein.(aur donoo per ghusl e janabat wajib ho hata he.) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid aiyt ullah sastani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13735

Print   

  Question Sir salam: mara question ye hai k mard ki mani say paly jo liquid type pani nikalta hai kia us m pregrency sperum hoty hai our kia us k bad gusal farz ho jata hai our agar nahi hota to jab ham bivi say jimma karty hai our discharge nahi hoty to tab gusal keun farz ho jata hai islam ki rooh say is ki hikmat kia hai our jimma k bad gusal per bhe islam ki hikmat per rooshni dall dayThanks  
  Country  Lahore - pakistan
  Answer 1)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) 2) Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 3) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Immam abu hanifa  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14615

Print   

  Question Salam mera sawal ye hai k larki ki sharm gaa k sy jo pani nikalta hai kisi be time kia us jism napak ho jata hai means k daily aata hai thora thora  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Aurat k sharamgaah se nikalne wali har ratubat najis nahi hay sirif wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14301

Print   

  Question assalamo alaykum. "nawaytu anigtsali min gusalil janabati aaujo billahe minas saytanir rahim bismillah hirrahmanir rahim, bismillah hil azime wal hamdu lilahe ala dinil islam." kya gusl ki ye duaa sahi he  
  Country  ahmedabad - india
  Answer Ghusl e janabat ki dua mustahab he wajib nahi or dua ye hay k .(Allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen)( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين) (Ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14305

Print   

  Question salam, i want to ask that some time with out any reason liquid discharge from vagina or clitoris........kia is tarah dono surato mai ghusal e janabat wajib ho jata hai?  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ayatula Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14504

Print   

  Question Salam alikum may janna chahta hu ke.Jab hai mey raat me sota hu mujhe one katra ahtelam ho jata hai halake napake anderbiar me nahi lagta hai.Ab mey kay karu plz help me  
  Country  PATNA - INDIA
  Answer 1)Wo ratubat jo khabi khabi shewat ubhrney per mard k peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71). 2)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14424

Print   

  Question AoA.. Sir mera sawal ye hai k agar me ksi larki k sath kuch dair guzarta hun or usko touch krta ho ya kiss krta hun.. Or agar aista krny sy mery penis sy safed ktry yani mazi kharj ho jaye tho kya mai ghusal krunga ya bs sirf wazo krunga  
  Country  Peshawar - Pakistan
  Answer 1)Wo ratubat jo khabi khabi shawat ubhrney per mard k peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71). 2)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 3)jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 4)Bivi k alawa kisi bhi na.mehram ko lazzzat k iraday se chomna ya os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna haram hay ghunah e azeem hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30 )(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14371

Print   

  Question Salam. Sir. Ineed to know that if there is no intercourse and no semon but had orgasm after some intimate activity with husband, then ghusal will wajib or not  
  Country  Islamabad - Pakistan
  Answer Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. If she reach climax and has discharge then that discharge is najis and ghusl al-janabah is required too (ref. Recive e mail from imam ali foundation eanswer@najaf .org) Terjuma :agar wo aurat shehwat ki inteha tak pohach jaay aur ratubat (semen) kharij ho chuki ho to ye ratubat (semen) najis hai aur is aurat per ghusl janabat wajib hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14268

Print   

  Question Mera sawal ye hai k mein jb kabhi koi ghalt video, sexy story etc parhta hun to mere penis se kuch pani type cheez niklti hai jo itni garhi nahi hoti, kia us k niklne se mujh pr ghusal wajib hota hai ya nahi? Plz mujhe ye lazmi bta dein, mein kai dafa isi masle ki wajah se namaz bi chor deta hn. Plz reply fast.  
  Country  Fateh jang - Pakistan
  Answer 1-Ehtiyaat e wajib k taur per fahash filmoo aur tasveeron ko dekhna haram he agar chaha shak aur lazzat k bagair dekha jaay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) 2-Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per{maslan kisi aurat se baat kertay hoay ya lazzat ka khiyaal sochtay hoay} merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67). 3-Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 4-Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). 5-Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrney per mard k peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14117

Print   

  Question Salam,aurat se hambistari karte waqt meri najasat(mani) aurat ko lage to kia uspar gusl wajib hoga,  
  Country  Mumbai - India
  Answer 1-Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 2-Agar koe shakhs aurat se jimma karay aur azo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dkhool fraj me ho ya pichlay maqam me aur chahae wo balig ho ya na balig aur chahae mani kharij ho ya na ho donoo junub ho jatay hein.aur ghusl e janabat wajib ho hata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348) 3-Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Sistani saheb  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14025

Print   

  Question Asalam o Alaikum. Mera question hy kh agr husband aur wide ny humbistri ki aur baad mein buchy ny doodh pina chaha, tu kia meri wife wuzu ker ky buchy ko doodh pila sukti hy ya wo phly gusal kery aur phir buchy ko doodh pilay. Shukria  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Halat e janabat main aurat k liay apne bachay ko dhoodh pilana jaiz hay or wajib nahi hay k ghusl e janabat kerne k baad ya wuzu ker k bachay ko dhoodh pilay(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 354,355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Sistani sb  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13577

Print   

  Question minni ks color ki hoti hai?kia safed pani k anay say gusal wajib hota hai?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid aka sestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13494

Print   

  Question ager janabat mai mard ny condom use kia ho or aurat k ander sy b kch na nikly to kya aurat wazo kr k namaz parh skti hai ya nhe?  
  Country  Alriyadh - Saudi Arabia
  Answer Note : is web site me fiqah e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Agar koe shakhs aurat se jima karay aur uzo e tanasul(penis) supari( point of circumcision) ki miqdaar tak ya is se ziyada dakhil ho jay, chahay ye dkhool farj me ho ya pichlay maqam me aur chahay wo baligh ho ya na-balig aur chahay mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein,aur ghusul e janabat wajib ho jata he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Brailvi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13157

Print   

  Question me eighteen saal ki hun n jb me ap k question parhti hun na jis me sex ka zkr ya phr suckin waghera ka zikr ata he tu mra aik liquid ata he kia wo najis he n kia uska ghusl he  
  Country  dubai - united arab emirates
  Answer wo rutubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Had tak ho keh usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.or isi terah bina ber ehtiyaat e wajib agar hejaan e shewat ki intayha tak bhi nah pohanchay magar paani inta ziyada ho kitna poori rizamandi k mauqay per kharij hota hay.(yani aisi sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per ghusl wajib hoga). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid aqae seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13136

Print   

  Question assalamualaikum mne ye syt parhi aur bht kch hasil kia me ALLAH aur ap logon ki bht sukarguzaar hun k mne kafi chizain sekhen mje aik sawal ye puchna tha k me jse ye sawal waghera parh rhi t tu jb mun me lene suck krne waghera ki bten ain tu mre andr se liquid nkla tu kia wo liquid najis he aur kia us k lye ghusl waghera he  
  Country  dubai - united arab emirates
  Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Kharij hoti hay Agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intehaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid aqae haaj syed ali hussaini seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13093

Print   

  Question Main ne pehle bi ye sawal pucha hey magar koi Reply nai aya . Sawal ye hey K main Jb koi Gandi Video Dekhta hun to Mere Penis K oper LAIS Dar 1 ya 2 qatrey ateey hain . Mere khayal main un ko Mazzi kehtey hain . Kia Un se gusal Frz ho jata hey ya nai . Agar Gusal Farz nai Bi hota to kia Kapre change karna lazmi hain . Plz Jaldi Answer de dain . Full detail se Jawab de . Khuda Hafiz  
  Country  Faisalabad - Pakistan
  Answer 1- Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. 2- wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per{maslan kisi aurat se baat kertay hoay ya lazzat ka khiyaal sochtay hoay} merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13090

Print   

  Question mera sawal ye hai ki mere sharamgaah se kabhi kabhi mani nikal jata hai .iski wajah se gusul kana jaruri hai  
  Country  mirzapur - india
  Answer 1-Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per{maslan kisi aurat se baat kertay hoay ya lazzat ka khiyaal sochtay hoay} merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67). 2-Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 3-Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Mujtahid-e-Taqleed:  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12959

Print   

  Question If husband/wife sleeping together and husband discharge semen in dream and semen touch the wife body.Is ghusul farz on wife although it will be farz on husband.  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Ceremonial bath (ghusl) is obligatory only for husband not for wife. And wife must wash only her body and where semen has been touched with wetness.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 119,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Hanfi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12980

Print   

  Question kya sex karne k bad zaruri hai gusal karna baghair gusal kie kuch kaya jae toh wo haram nai ogah  
  Country  quetta - pakistan
  Answer Jee haan gahr k kaamo se farigh ho ker ghusl e janabat ker saktay hain Q k ghusl-e-Janabat fauran kerna wajib nahi hay ghusl e janabat tu sirif namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat k liay wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12671

Print   

  Question mara sawal ye hai k.hy jima ky bad agar aurat jaldi gusul na kar saky to kia islam main ous ky leye koi reyait hai. kia vho ghar ky kamun sy farig ho ky gusul kar sakti hai???  
  Country  multan - pakistan
  Answer Jee haan aurat apne gahr k kaamo se farigh ho ker ghusl e janabat ker sakti hay Q k ghusl-e-Janabat fauran kerna wajib nahi hay ghusl e janabat tu sirif namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat k liay wajib hota hay..(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12387

Print   

  Question Mera swal yeh h k kya adult movie dakne k bad ghusal zaruri h  
  Country  Sialkot - Pakistan
  Answer 1-Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. 2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12278

Print   

  Question assalam o alikum! me ye pochna chahti hun k agar hum child plan kar rahe hoon or sex karien per sex kay bad bath na lysakien pore din tu kya iska asar pregnancy pe parega? mera matlab hai iski wajase kya pregnant nahi hoskhte? ya pregnant hone k liye ya pregnant hone k liye nahana zaroori hai  
  Country  al ain - uae
  Answer 1- Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Warna wajib nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356). 2- Halat e janabat main 9 cheezain makhroh hain jin main se aik ye hay k halat e jabat main khana peena makhroh hay, laikin agar haath monh dholay or kulli kerlay tu makhroh nahi hay or sirif haath dholay tu bhi karahiyat kam hojaay gi. Or is halat main sona bhi makhrooh hay, albatta agar wuzu kerlay ya paani nah hone ki wajah se ghusl k badlay tayammum kerlay yu phir sona makhroh nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid muslim  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12137

Print   

  Question asslam o alaikum mera question yeh hai kay agr hum raat ko koi bura khyal na dekh kr sotay hai to phir b ihtlam ho jata hai to is ko roknay ki kiya wojohat hai aur ghusal is may wajib hai kia aur ghusla kaisay kia jata hai pori detail btaiye meri se thori ghlti ho jati hai ghusal krtay waqt aur agr hum mani khud kharij krtay hai to ghusal wajib hai aur agr kisi se bat krtay waqt ikhraj ho to phir b wajib hai kia matlb mera kehne ka yeh hai kay mujhe app btaiyen kay ghusal kab wajib hota hai aur kaisay krtay hai bus ye detail chaiye  
  Country  lahore - pakistan
  Answer 1- Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. 2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) 2- Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per{maslan kisi aurat se baat kertay hoay ya lazzat ka khiyaal sochtay hoay} merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67) 3- Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath). Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. (ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ghusal  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 11913

Print   

  Question aurat ka halat e janabat mein bachy ko dhodh dena ya pilana.  
  Country  sharq - kuwait
  Answer Aurat ka halat e janabat main bachay ko dhoodh pilana jaiz hay or makhooh bhi nahi hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah# 354,355).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 11940

Print   

  Question Mera sawaal yeh hai keh please INZAAL ke kia meanings hain? Or INZAAL ki soorat se kia muraad hai? Aksar phone per apne Fiance se baat kertay waqt cher chaar se agar wetness feel ho tou kia mujh per ghusl wajib hai? I am a woman. Also aksar finace ke samne atay waqt agar aisa kuch feel ho (or intention ghalat na ho) kia phir bhi ghusl wajib hai?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer 1-Inzaal arabi zaban ka lafz hay jis ka matlab “mani nikalna”(discharging of semen) hay.(Ref: ferozol lughaat ,pg#130). 2-Inzaal ki sorat se murad ye hay k jis shaks k jism se mani nikalay tu is halat ko halat e janabat ya inzaal ki halat kaha jata hay. Is halat main 5 chezain haram hain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#354 ). 3-wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 11942

Print   

  Question mujhay lecuria ka masla hai bht ziada bar bar kapre badlna or nahana mushkil hai kia ap bata sakte hain k jagah saaf ker k un kapron se bgair nahae namz perh skte hain ya ni?  
  Country  rawalpindi - pakistan
  Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3308

Print   

  Question AssalamuAlekum! Dear Sir mey ek Married hoon, Mujhey Maloom Karna hey k Mujhey Qatron ka marz hey, mey so ker uthoon or kapron per koi nijasat na ho lekin ye shak hey ya yaqeen hey k qatra aaya ho ga to kya gussal wajib ho ga? Kya sirf Khayal anet se ya biwi se Kiss kerney se Qatra aaey to Gussal wajib ho ga?  
  Country  Lahore - pakistan
  Answer 1)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. i) Shewat key saath niklay ii) Uchal ka nikley iii) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. 2) Jo ratubat shawat ubharnay per ya aurat k sath chair char k waqt insan apni sharamgah me mahsoos karta he wo paak he aur os se ghusl bhi wajib nahi hota.aur na hi wo wuzu ko batil karti he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345 , 70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3318

Print   

  Question KIA SERF SAFED PAANI NEKL AANE SE GHOSAL WAJIB HOTA HE BAGHER KISI KO CHOVE ?  
  Country  KARACHI - PAKISTAN
  Answer Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat/ lazzat (Lust) k saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemaar honey ki sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg # 27,67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 11596

Print   

  Question asak,during pregnancy i get aroused very fast by any thought of foreplay,love making etc. and release some white substance but cannot understand whether im relaxed after that or not.is it wajib to make ghusl then?is pregnancy counted in illness?  
  Country  lucknow - india
  Answer 1 A person enters the state of Janabat in two ways: (i)- Sexual intercourse. (ii) - Discharge of semen, while sleeping or when awake, little or more, with lust or otherwise, voluntarily or involuntarily. When one cannot ascertain whether the fluid emitted from one,s body is semen, urine or something else, it will be treated as semen if it is thrown out with lust and if the body is slackened. If all or some of these signs are not present the fluid will not be treated as semen. In the case of illness, the fluid may not come out with sudden swiftness and the body may not slacken; but if the emission takes place with lust, it will be treated as semen. 2 If movement of seminal fluid is felt but not emitted, or if a person doubts whether or not semen has been ejaculated, Ghusl will not be obligatory upon him. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#351 )  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid AYAT ULLAH SISTANI  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 11607

Print   

  Question AOA, Let me know if any women put some medicine in her vagina did she need to have perform ghusul-e- janabat or any other type of ghusul.?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. No, no ceremonial bath (ghusl) is on her due to this work.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah# before 344 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ahlesunnat  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 11296

Print   

  Question Aslmkm mai ye janna chahtu ke agar pesaab karne ke bad kuch khatre chamdi par chipke ho phir hum clean kare to kya taharat hogi ya phir ghusul karna padega  
  Country  Hyderabad - India
  Answer Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee or ghusl e janabat kerna wajib hoga. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Answer  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 6827

Print   

  Question This is a very informative forum and I have a question as well.My question is if you see a wet dream and do jama in it but in actual the semen is not released or you wakeup at nearly when somthings about to come out.In this case does ghusl becomes wajib?.Thanks  
  Country  Manchester - UK
  Answer A person enters the state of Janabat in two ways: 1. Sexual intercourse 2. Discharge of semen, while sleeping or when awake, little or more, with lust or otherwise, voluntarily or involuntarily. When one cannot ascertain whether the fluid emitted from ones body is semen, urine or something else, it will be treated as semen if it is thrown out with lust and if the body is slackened. If all or some of these signs are not present the fluid will not be treated as semen. In the case of illness, the fluid may not come out with sudden swiftness and the body may not slacken; but if the emission takes place with lust, it will be treated as semen. If movement of seminal fluid is felt but not emitted, or if a person doubts whether or not semen has been ejaculated, Ghusl will not be obligatory upon him.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 344,345,351)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 9857

Print   

  Question mara sawal ya han k mojh ko bewi ko fon karty waqit chand katry aty han kaya alaj han  
  Country  barsolona - spean
  Answer Wo ratubat jo kabhi kabhi shehwat ubhrney per mard ki peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masail Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid badalona  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 6422

Print   

  Question Kya ghusal k bagair khana peena jaiz hai?? or ager pani na ho to majboori mei kyaa kerna chahiyee??  
  Country  karachi - pakistan
  Answer 1)Mujnib per khana aur pina makrooh he haram nahi. Laikin agar haath monh dho le aur kulli kar le to makrooh nahi he aur agar sirf haath dhoo le to bhi karahiyat khatam ho jati he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 6403

Print   

  Question After hambistari of husband & wife in night it is gunah to enter kitchen, touch kitchen utensils, drinking water & broom before taking ghusl.  
  Country  Bhopal - India
  Answer Mujnib per khana aur pina makrooh he. Laikin agar haath monh dho le aur kulli kar le to makrooh nahi he aur agar sirf haath dhoo le to bhi karahiyat khatam ho jati he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5943

Print   

  Question asalam o alkium main ap say pehaly bhi kahin bar question kar chuki hon magar abi tak ap na reply nahi dia maujh plz bata dein... mujh zadaa tar sex ki feeling hoti hain jis ki wajha say mani nikal jati hai..jab k main 5tymz namaz quran wagira sab parhti hon...kia yeh theek hai..main bohat control karti hon magar phr bhi asaa hojataa hai plz mujh jawab zaroor dein...i m wai8ing  
  Country  karachi - pakistan
  Answer 1)Agar zehan(mind) me haram k baray me sochnay se mani niklnay ka sabab nah bane to ehtiyaat e mustahab he k is kaam ko tark kar dia jay(yani ye kaam haram nahi hay magar behter hay k is kaam ko terk kiaya jaay).Laikin agar mani nikal jaay to haram he. (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 199, pg # 82). 2) wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid none..  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 9738

Print   

  Question please tell me dua for Ghusl e Janabat in Arabic and in Urdu.  
  Country  gilgit - pakistan
  Answer Ghusl e janabat ki dua mustahab he or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) ﺍﮮ اﷲ ﻤﻴﺮﮮ ﺪﻞ ﻜﻮ ﭙﺎﮎ ﻜﺮ ﺪﮮ ﺍﻮﺮ ﻤﻴﺮﻯ ﻜﻮﺸﺸﻮﮟ ﻜﻮ ﻘﺒﻮﻞ ﻜﺮ ﺍﻮﺮ ﻤﻴﺮﮮ ﻠﻴﮯ ﺠﻮ ﺘﻴﺮﮮ ﻨﺰﺪﻴﮎ ﺨﻴﺮ ﮨﮯ ﻮﮦ ﻘﺮﺍﺮ ﺪﮮ ۔ ﺍﮮ ﷲ ﻣﺠﻬﮯ ﺘﻮﺒﮧ ﻜﺮﻨﮯ ﻮﺍﻠﻮﮟ ﺍﻮﺮ ﭙﺎﮎ ﻠﻮﮔﻮﮟ ﻤﻴﮟ ﺴﮯ ﻘﺮﺍﺮ ﺪﮮ (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 4391

Print   

  Question sir mein apni girl friend se bath kar raha tha`` khuch hansi mazak kya aisi hi` mera koi ghalat erada nai tha. bulke ek serious topic pe bath ho rahi thi. khuch der bad aise mehsos hoa jaise koi qatra baher aya ho` bath room ja ke dekha tou ek mamoli sa qatra tha kya roza makhro ho gea hai`` aur woh mani kum lagti thi...  
  Country  abbot abad - pakistan
  Answer 1) Wo ratoobat jo khabi khabi shehwat abhrney per mard k maqam e peshab se kharij hoti he usi mazi kahte hein wo pak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70) 2)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345). Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei Q k gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 4414

Print   

  Question mara yah sawal hai k hambistri k bad BV ka lehay gusal karna lazmi hai?  
  Country  Islamabad - pakistan
  Answer jee hay. hambistari k baad shohor or b.v dono ko ghusul kerna hoga.Q k 1)Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). 2) ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 6577

Print   

  Question sar raat ko bivi se humbisteri karne ke baad ghusal kiye baghair so sakte haen kiun ke subha uthhne se phele phir humbisteri karni ho,our kya bivi uzoo ko chat sakti hai  
  Country  seoul - korea
  Answer Jima k baad baghair ghusl k sona makhroh hay.albattah agar wuzu ker lain ya pani nah honay ki wajah se ghusl k badlay tayammum kerlain tu phir sona makhroh nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 355) 1) Aik dafa jima karnay k bad dubara jima karnay k lie ghusl k bagair jima karna makrooh nahi he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) 2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) 3) Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Warna wajib nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid yes  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 6706

Print   

  Question If wife sucks dick of her husband or her husband lick her vegina only no intercourse do gusul e janabat wajib by doing that act only  
  Country  lahore - pakistan
  Answer A person enters the state of Janabat in two ways: 1. Sexual intercourse 2. Discharge of semen, while sleeping or when awake, little or more, with lust or otherwise, voluntarily or involuntarily. Result: So if you did not do intercourse or semen is not discharge from your penis and your wife vegina by suking and liking, then no ghusl e janabat will be obligatory on both of you. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Siatani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 6839

Print   

  Question 1.shewat se ratobat nikle to ghusal janabat wajib he yeh sehwat se ratobat nikal ne ka kia matlab he? 2.shewat se ratobat nikle to kia ghusal janabat wajib he ur agar roza raka hoo tho to bee ghusal janabat wajib he?  
  Country  abu dhabi - uae
  Answer 1)shehwat se ratobat nikalnay ka matlab lazzat or khahish k saath ratobat ka jism se kharij hona hay.(Ref: fairozul lughaat pg#852 ). 2)Agar rozay ki halat me bay-ikhtiyaari ki halat main kisi ki mani kharij ho jay to to is se roza batil nahi hota he.Laikin os per ghusl wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ayat ulal sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 6916

Print   

  Question Assalam O Alekum,,, Mera. Sawaal Yeh Hai Ki Mere Koa Baar Baar Aithlam (Money) Nikal jaati Hai . Toa Ab Isse Mai Namaz Pard Sakta Hoa Ki Nahi.Ab Baar Baar Ghusul Kaise Karo Mai. Din Bhar MAi Office MAi Rehta Hoa  
  Country  mumbai - india
  Answer Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67) 2)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 7269

Print   

  Question Sir,mera sawal hai k jab mai raat ko sota hon aur suba jab utha hon tab mere kapdo par kuch dabhe hote hai aur kabhi small small white dabhe hote hai jo bagair uchle aur kabhi bagair shahwat k nikalte hai tu kia mai ise mazi samjho kyon k ye gair mahsoos taur par nikalte hai  
  Country  Hyderabad - India
  Answer Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345) 4)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Ibaadat  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 7553

Print   

  Question aoa mera swal ye h k aik urat ki sharam gah se sufid rang ka mada nklta h kia ye napak hota h.kia urat namaz prh sakti h agr namaz kdoran bi a jay  
  Country  wah cantt - pakistan
  Answer Wo ratobat jo aurat se shewat k saath kharij hoti he agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aaloda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 7713

Print   

  Question salam. kapdo k sath hambistari ki or mard ko mani nikal gaya to kya mard or orat dono per gusl ferz ho gaya??  
  Country  ahmedabad - india
  Answer Note : is web site me fiqah e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Agar koe shakhs aurat se jima karay aur uzo e tanasul supari ki miqdaar tak ya is se ziyada dakhil ho jay, chahay ye dkhool farj me ho ya pichlay maqam me aur chahay wo baligh ho ya na-balig aur chahay mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein.aur ghusul e janabat wajib ho jata he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid hanafi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 7714

Print   

  Question salam. kya miya biwi hambistari karte ho lekin mard ki sharmgah biwi ki sharmgah k ander enter nahi hoti to kya miya biwi dono per gusl farz ho jata he?? pls detail me samjaiye...  
  Country  ahmedabad - india
  Answer Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Agar koe shakhs aurat se jimma karay aur azo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dkhool fraj me ho ya pichlay maqam me aur chahae wo balig ho ya na balig aur chahae mani kharij ho ya na ho donoo junub ho jatay hein.aur ghusl e janabat wajib ho hata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid hanafi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 7704

Print   

  Question Ladki ke paas kuch de bait ne se mani nikalti hai to kya mujhe gusl kar ke namaz pad na hoga ya aise hi bina nahaye namaz pad sakta hu  
  Country  Mumbai - India
  Answer 1)Agar mani niklnay ka yaqeen he to Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Warna wajib nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) 2)wo ratoobat jo khabi khabi shawat ubharnay per mard k ala e tanasul se kharij ho ose mazi kehtay hein. (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356,70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Mani ka nikalna  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 7715

Print   

  Question salam. miya biwi sohbat karne k bad agar so jana chahte he to kya gusl kiye bagair so sakte he????  
  Country  ahmedabad - india
  Answer Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Jima k baad baghair ghusl k sona makhroh hay.albattah agar wuzu ker lain ya pani nah honay ki wajah se ghusl k badlay tayammum kerlain tu phir sona makhroh nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid hanafi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 7720

Print   

  Question Asalam,sir kiya ghusl e janabat se pehlay peshab karna zarori hota hai? logo ka yeah kehna hai k ghusl se pehle peshab karna chahe or nahi?  
  Country  kabul - Afghanistan
  Answer Mani kharij honay k baad insan k lie peshab karna mustahab he. Aur agar peshab na karay aur ghusl k baad is k peshab ki nail se ratobat kharij ho jis k baray me wo na jaanta ho k mani he ya koe aur ratoobat to wo ratoobat mni ka hokum rakhti he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 347) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 8018

Print   

  Question asllam-o-alikum janab mera sawal ha k ager hasband apni wife k sath mushabat karta ha tu ager dono discharge nhi hotey tu kia suba uth kar nahna partha ha namaz or quran parhney k liyey kia ap muj ko is ki tafseel bata saktey ha  
  Country  jaleeb - kuwait
  Answer Agar koi shakhs aurat se jima karay aur ezu e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dakhil ho hay to chahae mani kharij ho ya na ho donoo mujnib ho jatay he aur namaz parhnay k lie aur aisi hi doosri abadatoon k lie ghusl e janabat wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348, 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3201

Print   

  Question mani nikalnay kay bachanay ka tareeqa?  
  Country  Sukkur - Pakistan
  Answer Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 1)First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) 2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khumeni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5771

Print   

  Question Assalamo Alaikum Mera masla yeh hai kay agar 1 ya 2 dafa taharat na ki jay to nahay begair namaz ho jay gi ya ghusal wajib ho ga. thanks  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer 1) Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. 2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ___________ cant understand this word  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3208

Print   

  Question sex ke bad ghusl ki dua ladki ke liye  
  Country  gwalior - india
  Answer Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khoie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3172

Print   

  Question ghusl e janabat ki dua  
  Country  hyderabad - india
  Answer Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khoie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5955

Print   

  Question as salamo alaikum , pls. provide gusul ki dua for janabbate  
  Country  mumbai - india
  Answer Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2811

Print   

  Question Gusl-e-janabat is wajib or not.  
  Country  Dehradun - India
  Answer Ghusl e jannabat wajib namaz parhnay k lie aur is jaisi doosri ibadaat k lie wajib ho jata he. Lakin namaz e mayyat , sijdah e sawh , sajdah e sawh aur quran majeed k wajib sajdooh k lie ghusl e jannabat zurari nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khumeni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 7527

Print   

  Question is guslejanabat wajib even if we dont have intercourse and only have foreplay?  
  Country  Bangalore - india
  Answer Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. Aur ghusl e janabat wajib hota he. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is k alawa insan mujnib nahi hota he(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail maslah # 344).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid agha seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 7676

Print   

  Question mujhey ghusl ki dua english me aur urdu chaiyea aur dua e janabat ki dua b english me aur urdu me chaiyea  
  Country  hyd - india
  Answer Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÊÞÈá ÓÚíí æÇÌÚá ãÇ ÚäÏß ÎíÑÇð áí ¡ Çááåã ÇÌÚáäí ãä ÇáÊæÇÈíä æÇÌÚáäí ãä ÇáãÊØåÑíä ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5770

Print   

  Question salam agar najasat ka alam hai aur namaz ka waqt nazdeek hai , aur itna nazdeek hai k ghusl nahi kiya ja sakta to kya us halat mein namaz kaza karein ya padhein  
  Country  lucknow - india
  Answer Jab waqt tang ho k agar aik shakhs ghusl karay to sari namaz ya is ka kuch hissa waqt k baad parha ja sakhe to zarori he k ghusl k badlay tayammum karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 668). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid akha shistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5747

Print   

  Question asslam o alaikum sir mera sawal ya hai ky larki jab apny sath khud kuch karti hai or mani waste hoyi hai to kia us par gusal farz hai.larka hn par mujy is bat main confuion hai sir plz is ky bary main mere elam main azafa karian.  
  Country  gujrat - pak
  Answer 1)Aurat k lie apni sharam gaah ko itna cherna jaiz nahi he keh is ki lazzat urooj tak pounch jaay aur usay inzaal ho jaay aur agar us se is ki lazzat urooj tak pounch jaay aur us ka behna wala mawaad kharij ho jaay to is per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5759

Print   

  Question mai pochna chahta ho k agr bina sehwat k jism se pani aa jay lekin itna khas pat nai chalta/ to is sorat me gusal karna faraz hai? or mery zehan me beth chuka hai k mera gusal thak nai hota agr ho saky to thek tareka bata dain shukkrya  
  Country  hafizabad - Pakistan
  Answer 1)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345) 4)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) 2) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. (ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) 3)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 383)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5857

Print   

  Question Kiya aik maan halat-e-janabat main apney bachey ko Doodh pila Sakti hey? is breast feeding allowed in Janabat?  
  Country  Islamabad - Pakistan
  Answer Jee haan, Halat e janabat janabat main maan doodh pila sakhti hay Q keh Halat e janabat main mujnib per 5 chezain haram hain or 9 chezain makrooh hain.in main doodh pilana shamil nahi hay  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Hazrat-e-Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3091

Print   

  Question Assalam-u-aalaekum, Ghusle Janabat krte howe jo pani ki cheentey jisam se pani wali baalti ya tab main girti hai kya uss cheenton se balti ya tab ka pani najas ho jata hai ya nahi? jawab dey kr mashkoor farmae.  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Ghusl e janabat k doran girnay wala pani pani paak hota hay.jab tak k is main koe nijasat shamil nah ho.masslan mani ya paishab waghaira.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 114). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5886

Print   

  Question asalam o alkium sir mujh ap say ak sawal karna hai plz jawab zaroor dia ga...meri age21 hai and aksar maiin releax hojati hoon..mind main ajeeb batay aaati hain..jab main check karti hon tu mani nickal jati hai and main 5waqat ki namaz bhi parhti hon..kia yeh theek hai..plz jawab zaroor dein..by email main bohat pershan hon is chez ko lay kar  
  Country  karachi - pakistan
  Answer 1) Agar sochna mani niklnay ka sabab nah bane to ethiat e mustahib he k is kaam ko tark kar dia jay . (ref : Mujtahid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 199, pg # 82) 2 Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Kharij hoti hay Agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intehaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) 3) Aurat k lie apni sharam gah ko itna chehna jaiz nahi he k is ki lazzat urooj tak pounch jaay aur usay inzaal ho jaay aur agar us se is ki lazzat urooj tak pounch jaay aur us ka behna wala mawad kharij ho jaay to is per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5893

Print   

  Question Sir mera sawal yeh hai k bivi sai mubashrat k baad insaan agar ghusal subah kerray to kia ghusal kernay say pahlay woh aisi halat main hota hai kai koi zikr ya tasbeeh ker sakay.  
  Country  nil - pakistan
  Answer Koe bhi zikr ya tasbeeh parh sakhtay hein magar Quran majeed ki 7 se ziadah(more) asi aayat perhna jin me sajdah wajib na ho makrooh he.jab k jin ayat k perhnay se sajdah wajib hota he haram he. Apnay badan ka koe hissa(part) Quran majeed k alfaaz se mas(touch) karna haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 354 , 355)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 6492

Print   

  Question mubasrat kay baad bina ghousal kya khan peena jaize hae ya na jaize  
  Country  khi - pak
  Answer Mujnib k lie ghusl karnay se pehlay khana aur pina makrooh he lakin agar hath moo dho le aur kulli kar le to makrooh nahi he aur agar sirf hath dho le to bhi karahat kam ho jati he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 6292

Print   

  Question mera sawal hai kay agar larki apni ungli farg main dalti hai tu kaya us pay ghusl faraz ho ga? kaya ye haram kam hai? us ka maza bhi lay?  
  Country  lahore - Pakistan
  Answer 1 : Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Kharij hoti hay Agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intehaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). 2: Aurat k liay apni sharamgaah ko itna cherhna jaiz nahi he k is ki lazzat orooj tak pouhanch jaay aur usay inzaal ho jaay aur agar us se is ki lazzat orooj tak pouhanch jaay aur us ka behnay wala mawaad kharij ho jaay to os per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 6262

Print   

  Question Salam, When a person gets mujnib, can he/she wear the same shirt again after gusl?  
  Country  Melbourne - Australia
  Answer Yes, you can wear these clothes if najasat has not transfered on the cloths. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Ayat Ullah Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 6318

Print   

  Question kia ahtilaam sab larkon ko hota hai? kia  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Please refer to the doctors in that. (ref : e mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : April 5, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid moiz  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 4019

Print   

  Question my name is sarfraz sir mera sawal ye hai ke shewat ke ane se drops lazmi niklte hai ya kabhi kabhi niklate hai aur aur sir mujhe shewat bohat ziada ati hai aur main bar bar bath room jakar check karta ho ke koi drops tu nahi nikla aur mujhe shak bohat hota hai yani main bohat wahmi ho gaya ho plz iska ka koi tarika bataye ke mera shak door ho jaye i m very thankfull to you  
  Country  lahore - pakistan
  Answer 1)Wo ratubat jo khabi khabi shawat ubhrney per mard k peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71) 2) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). 3) Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345) 4)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3885

Print   

  Question aoa,i wan to know tht is secretion before ejaculation pak or napak?kiya us k nikalnay k bad bhi nahany ya kapray badal k namaz perhni hoti hai?aur aurat/khatoon ki secrection k kiya orders hn?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer 1) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). 2) Agar discharge hone se murad vo pani he jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5610

Print   

  Question .Assalamoalikum...nend ki halat mai shewat hoo ..or uss k badd pani k kuch drops nikal ayyin ...jo k mazi ki tahan k hootay hai...tu kiya wo ehtailam he khalyee ga ...kya uss halat mai ghusal wajib hoo jata hai... REPLY ASAP Shukriya Allah Haffiz  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayatullah Seestani (d.b), Tauzee hul masail, maslah#345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Agha-e-Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5428

Print   

  Question salaam! sir m unmarried girl. me panch waqt namaz parhti hun, mera masla ye hay k me jab koi love story parhti hun ya koi romantic drama dekhti hun to ratubat kharij hoti mehsoos hoti hay, mera libas kharab nhi hota hay, kia ye kamzori ki waja se hay ya ye napaki hay? is soorat me mujh par ghussal farz hoga ya nhi me bagher ghusal k namaz parh skti hun? jawab jaldi dijyega..  
  Country  karachi - pakistan
  Answer wo rutubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Had tak ho keh usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.or isi terah bina ber ehtiyaat e wajib agar hejaan e shewat ki intayha tak bhi nah pohanchay magar paani itna ziyada ho jitna poori rizamandi k mauqay per kharij hota hay.(yani aisi sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per ghusl wajib hoga).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid ..........  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5172

Print   

  Question aslam o alikum sir mera sawal yeh hy k..koi sexy sen yah larki sy phn par baat karny sy agr mazi kharij ho jay toh ghusal zarori hy? aur kya hum unhin kapron main nimaaz parh skty hain? plz plz reply  
  Country  lahore - pakistan
  Answer ye ratoobat paak he Aur kaprha bhi paak he is ratubat k saath hi namaz perhna sahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5389

Print   

  Question AGAR BIVI K SAATH HAMBISTRI NA KI JAYE SIRF BOSA KIA JAYE OR IS DURAN MANI KHARIJ HO JAYE JABKAY SHARAMGAHAIN TOUCH NA HOON TO KIA IS SURAT MAIN GHUSAL KARNA CHAHYE?  
  Country  GUJRANWALA - pakistan
  Answer Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Aur is se ghusl e janabat wajib hota he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid AHLE HADEES  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5374

Print   

  Question a.s sir me yeh pochna chahta hu k jab me sex ki story sunta hu to mere sharam gha se pani nikaltey hai ab mujhey ye pata b nahi k ratoobat kya hai bas wo pani k tarha hai yani k peshab nahi hai to us pe ghusal wajin hai aur kapre ko dhona chaiye k nahi thankssss plz plz ive me a solution  
  Country  KARACHI - PAKISTAN
  Answer Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid JANABAT  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5602

Print   

  Question kya wife k saat humbisteri k bad bager gusal k quarani ayyat par kar so sakte hai?  
  Country  karachi - Pakistan
  Answer Quran majeed ki 7 se ziadah(more) asi aayat perhna jin me sajdah wajib na ho makrooh he.aur jin ke perhna se sajdah wajib hota he haram he. Apnay badan ka koi hissa(part) Quran majeed ke alfaz se mas(touch) karna haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 354 , 355)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5287

Print   

  Question assalam valekum,ghusl-e-jinbat kab kiya jata hain aur uski dua kya hai? Aadmiyon ke liya kitane ghusl hain aur unki dua kya hain?  
  Country  hyderabad - india
  Answer Ans : 1) Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. 2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) 3)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). 4)Wajib ghusl 7 hein. 1) ghusl e istehazah 2)ghusl e haiz 3)ghusl e nifaas 4) ghusl e janabat 5)ghusl e mas e mayyat 6)ghusl e mayyit 7) wo ghusl jo mannat ya qasam waghera ki wajah se wajib ho jay. In 7 ghusl me se pahle 3 ghusl auratoon se khas hein baqi 4 ghusl mard or aurat dono per wajib ho sakhte hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) pg # 62).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5230

Print   

  Question Sir.. peshab k qatrey jism par lagne Gusul karna lazmi hai ya nai agar hai to konsa gusul kiya jata hai? or mani nikalne k bad konsa?  
  Country  Hyderabad - Pakistan
  Answer 1)Agar peshab k qatray jism per lag jain tu wo hissa najis ho jaay ga aur us ko paak karna ho ga na k poray badan ko dhona hoga. Paak karney ka tareeqa ye he k nijasat hata nay k baad 2 dafa paani baha’ein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 154) 2) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is se ghusl e janabat wajib ho jey ga.(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Ayatullah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5237

Print   

  Question agr be akhtiar uzue khas se pani nikle mean some drops when we think of any sexual incident. then is ghusl wajib aur it is ok to just wash the penis and cloth where drops were fell  
  Country  gujranwala - pakistan
  Answer 1)Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). 2) Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5070

Print   

  Question Subject: ghusal k masaail sir, mje ye driaft krna ha k agr rat ko hm bistri ki ho r sari rat r subh tk sperm absorb rhn lykn subh ghusal kia r bad me dophr ko urine k sath ya waisy sperm kharij ho gay to nahana farz ho jata ya nahi? halanke shuhwat se na nikle hn?plz mje jaldi jawab dijie ga me bri kush makush me hn. thanx a lot.  
  Country  vehari - pakistan
  Answer Mani kharij honey ke bad insane ke lie peshab karna mustahab hay. Aur agar paishaab na karay aur ghusl k baad is k makhraj e paishaab say ratubat kharij ho jis k baray me wo nah jaanta ho ke mani he ya koe aur ratubat to wo ratubat mani ka hakum rakhti hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 347).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5067

Print   

  Question Subject: ghusal k masaail sir, mje ye driaft krna ha k agr rat ko hm bistri ki ho r sari rat r subh tk sperm absorb rhn lykn subh ghusal kia r bad me dophr ko urine k sath ya waisy sperm kharij ho gay to nahana farz ho jata ya nahi? halanke shuhwat se na nikle hn?plz mje jaldi jawab dijie ga me bri kush makush me hn. thanx a lot.  
  Country  vehari - pakistan
  Answer Mani kharij honey k baad insaan k lie peshaab karna mustahab he. Aur agar peshaab na karay aur ghusl k baad is k makharaj e peshab se ratubat kharij ho jis ke baray me wo na janta ho k mani he ya koi aur ratubat to wo ratubat mani ka hakum rakhti he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 347)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 4587

Print   

  Question mera sawal ye hai ke hum bistar hone ke baad janabat ki ghusul mard ku jahiz hai  
  Country  gujrat - india
  Answer Agar koe shakhs jima karay aur azu e tannasol supari ki miqdaar tak ya us se ziada aurat ki faraj(sharamgaah) me daakhil ho jaay to chahay ye dhakhool faraj me ho ya dubur(pakhanay ka maqaam) me ho aur chahay baligh ho ya na-baligh aur chahay mani kharij ho ya na ho dono per ghusl wajib ho jay ga.( (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 348)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 4694

Print   

  Question salam hazrat ap muje batae jnabat hoti kiya hai plz??  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 4659

Print   

  Question salam,kya janabat ki halat ma QURAN parh sakta hain?aur kia tahreer ko touch kar ka bhi parh sakta hain ya nhi...pl tell me soon as possible  
  Country  Mianwali - Pakistan
  Answer Quran majeed ki 7 se ziadah(more) asi aayat perhna jin me sajdah wajib na ho makrooh he.aur jin ke perhna se sajdah wajib hota he haram he. Apnay badan ka koi hissa(part) Quran majeed ke alfaz se mas(touch) karna haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 354 , 355)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 4916

Print   

  Question When exactly Ghusl-e-Janabat becomes wajib for a woman? what is the tariqah?  
  Country  Pune - India
  Answer b.t. 1)Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. 2)Agar koi shakhs jima karey aur azu e tannasil supari ki miqdar tak ya us se ziada ayrat ki faraj me dhakil ho jay to khown ye dhakool faraj me ho ya dubr me ho aur kaown balig ho ya na balig aur khown mani kharig ho ya na ho donoo per ghusl wajib ho ga. Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 , 348 , 367 , 372)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3988

Print   

  Question suba ko jab ma apni sharwar pa niga dalta hon to wo karak hoe vi hote ha,to ma apni rat pa ghor karta hon to sirf ya pata chalta ha ka sirf money ka oochal na ka amal hoa ha baqi nishaniyan ni hoe to ma is ko money man lon. thank q.  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3986

Print   

  Question Mera sawal yeh hai kai kia mian biwi mulaqat kai bad aur ghusal sai pehlay kuch kha pee saktay hain.  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Jee haan,hambistari k baad, ghusl say pehlay khana peena jaiz hay.laikin aisa kerna makhroh hay.haan agar haath monh dhoolain or kulli ker lain tu makhroh nahi hay.or agar sirif haath dhoolain tub hi krahiyat(makhroh) kam ho jaay gi.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#355).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3839

Print   

  Question agar neind me nijasat(mani) ajayeto ghusul jaruri hai? aur uski dua kya hai?  
  Country  vijayawada - india
  Answer Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). Ghusl e janabat ki dua perhna mustahab hay wajib nahi.or wo dua ye hay: ۱- Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÊÞÈá ÓÚíí æÇÌÚá ãÇ ÚäÏß ÎíÑÇð áí ¡ Çááåã ÇÌÚáäí ãä ÇáÊæÇÈíä æÇÌÚáäí ãä ÇáãÊØåÑíä (Allaa humma tah hir qalbee watqabbal sa’yee waj’al maa indaka khairal lee . Allaahummaj al’nee mi’nat taw’wabeena waj al’nee minal mutatah’hireen ) ۲- Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÇÔÑÍ ÕÏÑí æÃÌÑ Úáì áÓÇäí ãÏÍÊß æÇáËäÇÁ Úáíß ¡ Çááåã ÇÌÚáå áí ØåæÑÇð æÔÝÇÁÇð æäæÑÇð ¡ Åäß Úáì ßá ÔíÁ ÞÏíÑ (Allaahumma tahhir qalbee wash’rh sadree wa ajir alaa lisaa’nee mid’hataka was’sanaaa alaik. Allaahummjalho lee tahooran wa shifaan a wa nooraa. innak alaa kulle shaiein qadeer.) (Ref: sistani(d.b),sheh e urwatul wusqa,part#1, maslah#683 ).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2941

Print   

  Question difference between mazi and mani?  
  Country  melbourne - australia
  Answer Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khamnaie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2909

Print   

  Question agar begair kuch kiye koi sex story sun k ya soch k ya tv p sexy sen dekh kar jo pani nikalta ha wo pak ha k nai ya usk bad gusal wajib ha.  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemaar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah seestani(D.B)Tauzeehul masil,malah#70,354-353)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2801

Print   

  Question assalamualikum sir my question is k kiya hlate jnabat main quran majeed sunnay main koi gnah ha plz axplane me thanks ALLAH HAFIZ  
  Country  rawalpindi - pakistan
  Answer Halat e janabat main quran majeed sunnay main koe gunah nahi hay.balkeh halat e janabat main quran majeed ka perhna bhi jaiz hay.laikin 7 say ziyadah ayaat ka perhna makhroh hay(yaani 7 ayaat k baad say sawaab khuch kam milay ga),or wo 4 ayaat perhna jin k perhnay per sijadah wajib hojata hay perhana haram haain.or janabat main quran majeed ki tehreer(writing) ko choona bhi haram hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#354,355).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2804

Print   

  Question as salam u alaikum.agar ghusal janabat kiay baghair bivi nashta bana dey or dono usi haalat mein khaa lien to woh halal hay k haraam?is k baray mein kia hukam hay?  
  Country  riyadh - saudia arabia
  Answer Halat e janabat main khaana peena makhrooh hay, laikin agar haath(palm),monh(face) or kolli ker lay tu ye kaam makhroh bhi nahi hay, or agar sirif haath hi dhoolay tab bhi karahiyat(makhrooh) kam hojati hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#355).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2408

Print   

  Question sir apne bata ya nahi ke uchal se kiya murad hai aur shehwat kise kehte hai plz tell me fast maine yahi sawal apse kaye dafa kar diya hai but apne answer nahi diya plz jawab bata de aur maine apse ye bhi pochna tha ke agar mazi nikle ya ratoobat tu kapre napak tu nahi hote aur ye ratoobt kiya hoti hai plz tell me fasat thankzzzz  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Mani ka uchal ker nikalnay say muraad hay k wo aik dam say bahar aati hay(yani jump maar kar),or shehwat say muraad hay k mani k jism say bahar aanay per aik lazzat(lust) si mehsoos hoti hay.or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Seestani(D.B)tauzee hul masail Maslah#70,71,345).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2489

Print   

  Question sir mera sawal ye hai apse ke agar kapro per mani lag jaye tu usko pak karne ka kiya tareeqa hai plz answer me fast thanks  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Agar mani lag jaye tu usko paak karne ka tareeqa ye hay k mani ki nijasat ko door ker k aik mertabah os jagah per paani daala jaay,jab wo paani beh jaay tu wo cheez paak hojati hay,laikin libaas or is jaisi hi chezoo ko nichornah bhi zarori hay.(ref:Ayat Ullah Ayat Ullah Seestani(d.b), (d.b), Tauzee hul masail, maslah#155).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2509

Print   

  Question rat ko sote waqt koi sexy khawab dekh raha ho or mehsos ho k ahtlam ho raha ha or usi waqt ankh khol jae. apni sharamga ko dekhe to us me se koi ratubat (mani,mazi,gadi)na nikle to kia ghusal wajib ho jata ha  
  Country  lahore - pakistan
  Answer agar kisi shaks ko shak ho k os k jism say mani nikli hay ya nahi tu os per ghusl e janabat wajib nahi hay.mazeed ye k mazi,wazi,wadik nikalnay per ghusl wajib nahi hota.(Ref:Ayat ullah Seestani(D.B)tauzee hul masail Maslah#351 & 70).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2493

Print   

  Question kya aurat ki vagina ki sucking halah ha ya haram ha, or ky mard k penis ki sucking halah ha ya haram.  
  Country  lahore - pakistan
  Answer bismehi taala, (mian-biwi k darmiyan) Aisa karna Jaiz hay, magar ye kay ratoobat Halaq say na niglay. Ref:Istiftaat A.Sistani I-2.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2466

Print   

  Question Assalamoalaikum.sir mere satt aksrr assa mehsaoos hoota hai ..kai mere pisab ki jaga sai kuch drops kharij hoo gai hai...so plzz iss mai gusall karna hota hai ..ya voo pkk hai ......ALLAH HAFFIZ  
  Country  karachi - Pakistan
  Answer w.s., Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2409

Print   

  Question Every 3 to 4 times a day a sticky substance comes out of penis I think it is mani. it comes out even i am no thinking of sex. I offer 5 times prayer. I m very worried will i get gunah.  
  Country  Mumbai - India
  Answer bismehi taala, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2372

Print   

  Question salaam mera Question yea he ke mara shohar aghar khud ke or meri marzi se muje back me karna chai tu kya ye jaiz he.  
  Country  mumbai - india
  Answer w.s., agar aurat razi ho tab bhi yeh kaam shadeed makrooh hai. (REF: www.sistani.org)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2357

Print   

  Question aa jana biwi ko back siad karna os ke marzi b ho.ghunnah ha ya nikaha tota ha thank u  
  Country  ksrachi - pakistan
  Answer bismehi taala, peechay se jima karna aurat (women) ki marzi kay bagair ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai aur agar aurat razi bhi ho to yeh kaam shadeed makrooh hai. (REF: www.sistani.org)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2353

Print   

  Question Salam! Mjhe ye bataden kay islam main shariat kay mutabiq wife sey humbistary ka kya tariqa hai please?  
  Country  Sukkur - Pakistan
  Answer bismehi taala, Aala-e-Tanasul ghair mutaaraf tareeqay say daakhil karnay main zaroori hay kay Aurat bhi raazi ho. Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par Aurat ki razamandi kay baghair Dubur-pakhany kay maqaam- main Jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki razamandi kay daath dubur main jima karna sakht makrooh amal hay.Ref:www.sistani.org Arabic-Jima.19,23  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2350

Print   

  Question assalmu alikum-me ye janna chahta hu k ek shohar ka uski bewi k sath sex karne ka islam ki roshni me kya tarika hona chahiye..plz tell me.  
  Country  meerut - india
  Answer w.s., Aala-e-Tanasul ghair mutaaraf tareeqay say daakhil karnay main zaroori hay kay Aurat bhi raazi ho. Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par Aurat ki razamandi kay baghair Dubur-pakhany kay maqaam- main Jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki razamandi kay daath dubur main jima karna sakht makrooh amal hay.Ref:www.sistani.org Arabic-Jima.19,23  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2196

Print   

  Question salamun alikum sawal ya ha k agr biwi apny mian k uzwe tanasul ko itna chusay k inzal ki had ajay or mian apny ap ko bahir discharge kar day.is halat mai us ka mujib hojana halal ha ya haram.kia ya istamna k zumray mai tu nai ata.  
  Country  lahore - pakistan
  Answer w.s., Aisa karna Jaiz hay,magar ye kay ratoobat Halaq say na niglay. Ref:Istiftaat A.Sistani I-2.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2272

Print   

  Question can you please explain in details of what exacly to do or recite, to become paak again after having sex?  
  Country  PEI - canada
  Answer bismehi taala, First and foremost is recommended urination (Testbre), even if out any moisture suspected semen after washing do not have to return. And then purified into the impurity so that your body is clean of any impurity and remove any blocker prevents water from reaching the skin (dye nails for example). Now comes first intention Vtnoi (bathed ghusl (for example) an act of worship to God Almighty) and faith enough in the purpose of self does not need the term. Then wash the head and neck pouring water on them an engine of your hands to make sure that the water has reached all parts of the head and neck that did not reach water, but to do so. Then wash the rest of the body on the safe side first you wash the right side of the body is first poured water on it and move your hand to ensure the water to all parts of the right side, including money Alaourtan Wei Shi joint venture between the left and right. And do not forget the soles of the foot and between the fingers. Then wash the left side pouring water over them and move the hand to ensure that the water to all parts of the body, and as it did on the right. Then they have completed the washing. And you can move your hand in any direction you want during the washing and what you want you can pour water in the body should be as dry as some believe, but must have most of the washing water from the humidity. This type of Washing-called ordinal. There is another type called Alaratmasi is that all your body immersed in the water a lot (the river, for example) one time and faith. Incidentally, all Alagsal whether obligatory or desirable only differ in intention (except to wash the deceased) and substitute for ablution (except istihaadah and Alagsal which is not proven mustahabb).  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2180

Print   

  Question kia shohar apni biwi ki breast or sharmga chaat or chus (suck) sakta hai?  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer bismehi taala, yeh cheez jaiz hai laikin sharamgah se nikalney wali ratoobat ko peena ya moon mai lena jaiz nahi hai Ref:Istiftaat Ayatullah Sistani  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2169

Print   

  Question Mujhe ek or sawal poochna hai k...agr koi esi baat karne se pani aajye to kya ghusal wajib hota hai?ya kuch sex k bare mai suna jaye to gela hone se kya ghusal wajib hai??plz do ans me plz plz plz  
  Country  farwaniya - kuwait
  Answer bismehi taala, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1734

Print   

  Question kiya miya biwi k hum bister hone k baad miya ka back side say ana magar kerna wahaan say he jahaan say ejazat hai islam may jaiz hai k nahi?  
  Country  salalah - oman
  Answer bismehi taala, miya-biwi jis tarh bhi dono razi ho ek-dusre se lazzat utha sakte hain. haiz ki halt me jemaa karna jaiz nahi he or maqaad me dukhul nahin karna chahiye.(www.sistani.org. topic: ham bistari q.5)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1778

Print   

  Question MIAN BIVI IKATHAY HOON KAPRAY BHI UTRAY HOON IKATHAY LIPTAY HOON LEKIN INZAL NA HO TO KIA GHUSAL WAJIB HOTA HAY KE NAHEEN  
  Country  KHUSHAB - PAKISTAN
  Answer bismehi taala, do chizo se insan junub ho jata he awal jema aur duwwam mani k kharij hone se (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 351) (junub hone ki surat me gusale janabat wajib hota he)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2149

Print   

  Question Assal-o-alikum, men ya puchna chahta hun ke hum miyan biwi pager chadar daly milty hen is men koi harj to nahi ha jabke humne ak dosry ko pura dakha bhi ha.  
  Country  karachi - pakistan
  Answer w.s. Mian bewi aik dosray ka poora badan dekh saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.327 Aytullah Seestani (d.b.)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2151

Print   

  Question pls dont publish my email id aurat ka shehwat se mani nikalne ka matlab samjhaiye kya aurat ko bhi inzaal hota hai jaisa mard ko hota hai janbish ke saath pls reply soon  
  Country  abha - saudi arabia
  Answer bismehi taala, Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 Pg.62.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1877

Print   

  Question hum bistri karnay kay bad ghusal karna parta hai ager mani na nikle ho to is sorat main ghusal karna partay ga ya nahi  
  Country  lahore - pakistan
  Answer bismehi taala, agar koi shakhs jema kare or uzue tanasul supari ki miqdar tak ya us se ziyada orat k faraj me dakhil ho jae to khawah mani kahrij ho ya n ho dono mujnib ho jate hain(ref: tawzihul masail, Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 348) (ghusale janabat karna zaroori hoga.)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1881

Print   

  Question mani ke qatre girne se kia gusal farz ho jata hai?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer bismehi taala. jee han. gusal janabat wajib ho jayega.(ref: tawzihul masail Aytullah Seestani masaala no.344)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1890

Print   

  Question ASALAMUALLIKUM JANAB MEIN APNI MANGATAR SE BAAT KARTA HUN TO MERI SHARAM GAGH SE PANI NIKALNEY LAGTA HAI MEIN JO BHI BAT KARUN TO MANI JO HOTA HAI WHO MANI KI TARAH NAHI HOTA HAI DROOPS HOTE HAIN DABANEY SE NIKALTEY HAI OR LESS BANTI HAI TO KIYA IS MEIN GHUSAL WAJIB HAI  
  Country  karachi - pakistan
  Answer w.s. Salam un Alaikum, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1880

Print   

  Question agr koi shatain ke behkawe me aa kar fahas tasveer dekhe aur us ke ek ya do qatre nikel jae to us ke lie gusal farz hai ya phir wazo kar ke namaz par sakta hai  
  Country  karachi - pakistan
  Answer b.t. Salam un Alaikum, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1920

Print   

  Question Dear sir, Assalam-o-alaikum mera sawal ye ke main jub big peshab ker tu hun to us ke sath muj ko drops aa te hain yaan koi hot cheez kha loon to phir bi lees dar cheez nikelti hai batien ke us so raat me ghusal farz hai i wait your message your sincerely fahad ali  
  Country  pakistan - sialkot
  Answer w.s. Salam un Alaikum, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1911

Print   

  Question kia aurat ko us ka husband peechay se fuck kur sukta hai?  
  Country  rawalpindi - pakistan
  Answer b.t. aur peechay se jima karna aurat (women) ki marzi kay bagair ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai aur agar aurat razi bhi ho to yeh kaam shadeed makrooh hai. REF: www.sistani.org  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1936

Print   

  Question mera sawal yeh hai ke , aurat main jo jinsi khefiyat bedaar hoti hai , jis ke waja se transparent pani nikalta hai [ mani ] , woh kitna nikale tu aurat pak hai aur kis hadh ke baad woh napak hojati hai ius mani ki waja se. Kindly respond as soon as possible.  
  Country   - UAE
  Answer b.t. Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 Pg.62.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1953

Print   

  Question Assalam u Alaikum. My question is "Agar apni fiance se bat kerte ho agar uzwe tanasul se jo ratobut nikalti hai jo k pak hai n us wuzu batil nhn hota tu kia us k sath apne clothes ko bi pak kerna perta hai?" ya kapre bi pak hote hain us ratubat k kharij hone k bad??  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer w.s. cloth pak he or pak karne ki zaroorat nahi (Jo ratoobat Cher Char k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo PAAK hai aur GHUSL bhi wajib nahi hai). Ref:Tauzeeh Ayatullah Sistani Prob No 345  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1987

Print   

  Question MUJHE MALUM KARNA HAI K QURAN SHARIF KIN AUQAT MAIN NAHI PARH SAKTE AUR ASER K BAD NAMAZ AUR QURAN SHARIF PARHANE KA KIYA KIYA HUKUM HAI. SHUKRIYA  
  Country  KARACHI - PAKISTAN
  Answer janabat ki halat main un ayat main se kisi ayat ka padhna jin ke padhnese sajada wajib hata hain haram hain. wo ayatain (1) sure sjda ayat 15 (2) sure fusselat ayat 37 (3) sure wannajam ayat 62 (4) sure alaq ayat 19 hain. (masala no.355 tawzihul masail aqai sistani (d.b.) urdu)  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 2005

Print   

  Question dabar mai dakhol k baad gusal wajib hai? agr pora dakhol na howa ho?  
  Country   -
  Answer agar koi shakhs jema kare or uzue tnasul supari ki miqdar taq ya us se ziyada orat ki farj main dakhil ho jae to Khawah ye dukhul farj main ho ia dubar me or khawah wo baligh ho ya nabaligh or khawah mani kharij ho ya na ho duno mujnib ho jate hai (masalan no. 348, tawzuhul masail Ayatullah sistani (d.b.)) or mujnib hane ki bina par gusale janabat wajib ho jaega.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1322

Print   

  Question mera sawal yeih hai ka agar ko e jawan howa aur us ki mani bhi nilalti hai lakin us ko ghusal ka pata nahi tha kay kis tarah kartay hain aur ghusal kay baghir he namaz ada karta raha to ab us ko kya karna chaiyay kya ko e kafara ada karna ho ga  
  Country  Islamabad - Pakistan
  Answer A.Sistani kay nazdeek us ki namazain batil hain,aur usay tamam namazoo ki qaza karni hogee magar koi kaffara nahi hay.*:Agar usay ghusl kay hawalay say hi maloom nahi tha aur us nay ghusl nahi kiya balkay wuzu kar kay namazain parh lee to wo chahay Jahil-e-Qasir ho ya Jahil-e-Muqassir ho is ko tamam namazoo ki qaza karni hogee.*:Agar usay ghusl kay hawalay say to maloom tha laikin ghusl ka tareeqa maloom nahi tha to agar us nay ghusl is tarah say kiya kay pehlay sar dhota tha to is ka ghusl sahih hay aur agar aisa nahi karta tha to agar wo jaahil-e-qaasir tha to namazoo ki qaza nahi hay aur agar jahil-e-muqassir tha to qaza laazmi hay.....** Jahil-e-Qaasir:Jis kay liye masala maloom karna mumkin na ho...** Jahil-e-Muqassir:Jis kay masala maloom karna mumkin ho aur wo kotahi karay ya jaan boojh kar maloom na karay.Ref:Jadeed Masail Book-2 Pg.No.92,Mujtahid say poochay gaey sawalaat Book-3 Pg.25,Book-1 Pg.No.23.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 935

Print   

  Question salam walekum mera sawal yeh hai kai agar kisi shaks ko ahtelam ho to kia us kai liye yeh zarori hai kai woh apni bedsheet aur clothes ko wash kare ya sirf gusl -e- janabat karlena hi kafi hai plz reply me soon waslam  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer BedSheet ko paak karna wajib nahi hay,aur kapray agar un umoor main istemaal karay kay jis main kaproon ka paak hona shart hay masalan Namaz to wajib hay kay kaproon ko paak karay.Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1128

Print   

  Question my question is that " agar kisii larkay say baat kartay howay rutubat niklay too kia gus e janabt wajib hay ?"  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 Pg.62.  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 1112

Print   

  Question salam alaykum mera aik sawal hain ka jab main apni biwi sa pak main telephone pain bat karta hu to mere sharamgah sa pani nikalta hain toda bohat jo ka mani nahi hain to kiya is halat main ghusal-e-janabat muj pain wajib ho jata hain plz answer with details thnxx  
  Country  frankfurt - germany
  Answer Salam un Alaikum Ji nahi aap par Ghusl wajib nahi hai(Jo ratoobat Cher Char k waqt insan apni sharamgah mai mehsoos karta hai wo PAAK hai aur GHUSL bhi wajib nahi hai). Ref:Tauzeeh Ayatullah Sistani Prob No 345  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 153

Print   

  Question MY MUJTAHID IS AAYAT-UL-ALLAH SEESTANI. I WANT TO ASK QUESTION ABOUT JANABAT. JANABAT SABIT HONE KA TARIQA TO YEH HAI NA KE MANI UCHAL KAR NIKLE AUR SHEWAT KE SATH NIKLE. AGAR MANI AISE HI NIKLE KE NA TO UCHAL KAR NIKLE AUR NA HI SHEWAT KE SATH NIKLE KHALI DROP NIKLE TO IS SURAT MAI GUSL-E-JANABAT WAJIB HO JATA HAI YA NAHI. AGAR NAHI HOTA TO YEH NAJIS HAI YA PAK.  
  Country  KARACHI - PAKISTAN
  Answer Assalam-o-alaikum Agar aap ko yaqeen hia key yeh ratoobat mani hia to chahe wo uchal kar na bhi nikle ya shehwat key sath na bhi nikle wo mani hi kehlaigi aur najis hogi aur us per gusl wajib hoga. Agar aap key badan se koi ratoobat kharij ho aur aap yeh na jante ho key yeh mani hia ya peshaab ya koi aur cheez to phir in alamaton ko madde nazar rakha jaiga Ref : Tauzeeh-ul-Masail Agha sistani Prob no 351 and 352  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 219

Print   

  Question Salaam alaykum, Ghusl janabat ya koi aur wajib ghusl ke baad wazu karna jaeyz hai? khuda haifiz  
  Country   -
  Answer Salam un alaikum, Siwaaye Gusl-e-Istehaza-e-Mutawassita key baqi tamam wajib guslon key baad wuzoo kee zaroorat nahi hay, aur wuzu kiye bagair hee namaz ko anjaam dey saktay hein. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe. No. 397  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 154

Print   

  Question HUM KO YEH KAISE PATA CHALEY KE JO RATOOBAT HUMARE BADAN SE KHARIJ HOI YEH KE AYA YEH MANI HAI YA KOI AUR RATOOBAT.  
  Country  KARACHI - PAKISTAN
  Answer Salam un Alaikum, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein pehlee aur dosri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352  
  Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy