Quran-o-Itrat Academy Question Answer

Ladies Sunday Madrsa


Online Hawza Papers

  Topic:  Ahkam-e-Nikah

  Ques. ID 40998

Print   

  Question may joint family may 17 years rahe sass bahat he gandee zaban kee thee summer holidays mat 2 weeks kay leay apnay ghar gaee tu husband or sass nay mil ker chat per aik ladkee ko morocco say bula ker nukha ker lea apnay ap ko ghair shadi shuda show ker kay may nay uss say kha bahat ho gaee tumharee marzee hia ya tum uss kay sath rahoo ya maray sath kia ya sahe hiaitna haq hia na mujhay Allah naraz tu nahe ho ga na  
  Country  florida - america
  Answer Mard par 4 shadi kerna jaiz hai,chahay uski biwi ijazat nah bhi day. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #202). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 47108

Print   

  Question A.a maine pochna tha k main aik mazoor admi hun aur mjhse aik ladki bht Pyar krti ha aur phr humne court marriage krlia ha ladki k ghar wale Mjhe accept nh kr rahe ladki ko bht mara hai unhn ne aur ladki kehti ha K main talaq nh lun ge ab kya kren main bht pareshan hn aj 15 din hogae Hm shadi k bad 3 din sath rahe uske ghar walo ne kaha k hm ladki ki rukhsati Krdain g leikin ab ladki ko keh rahe ha k talaq lo mjhse mera sirf itna kasoor Ha k main mazoor hn bs  
  Country  Fsd - Pk
  Answer Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 47081

Print   

  Question A/s kya islam me mama apni bhanji se shadi kar sakta h ? Our islsm me kin risto me sadi nahi kar sakta baraye kram bataye  
  Country  gurgaon - india
  Answer Bhanji mehram hai aur os sai nikah karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid hanfi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 47072

Print   

  Question kya naabalig larki n larke ka nikkah hosakhta hai?? kuch log apne bachon ka nikkah karwadete hein jab wo chotte hote hein kia wo nikkah jaiz hota hai ??Quran Pak mein ese nikkah k lye kaha hai??  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Baap aur dada apni na balig larkay aur larki ka nikah kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2340, 2374)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid n  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 34612

Print   

  Question asak,mai 19 saal ki hun,aur mai ek 23 yrs kai ladkai se bht piyaar karti hun n wo bhi merese bht piyar karta hai ,humdono shadi karna charey per humdono kai parents bhi iss nikah se inkar karey,,kiya hum bagair parents ki ijasat shadi kar sakhtey hai,,parentss kehtay hai ki shadi karna hai to karlo magar shadi kai bath apna muu math dikhana aur hum us din se tumhare liye maagaye samjooo........too is surat mai mai kiya karun.plz mashewra dijiye koi.jazakallah  
  Country  hyderabad - india
  Answer 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kar sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-2) 2)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid about nikah  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 47156

Print   

  Question SALAM! ME EK LRKI SE SHADI KRNA CHAHATA HO NIKAH KRNA CHAHATA HO LEKIN USKI MAMA MAN NI RAHI HAI ME BHAG K NIKAH KR SAKTA HO  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Aurat os waqt tak shadi nahi kar sakti hai jab tak k os ka wali shadi ki ijazat na dai dai aur os k wali os ka baap aur dada hain. Bag kar shadi karna jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341-42)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid S  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 47188

Print   

  Question kia sotaly mummany k sath nikah ho sakta hai.  
  Country  peshawar - pakistan
  Answer Mumani aur sotali mumani q k na mehram hai is lie os k sath nikah ho sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46784

Print   

  Question i am widow ihave 3 kids 13 11 10 years now involve in one person he like me but not talk about marry iwant keep him jayez relation but he dont how i agree him for marriege he has family should i marry him  
  Country  hyderabad - pakistan
  Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Aap os sai doosri shadi kar sakti hain magar iddat mukammal honay k baad. Aur aap ko kisi sai ijazat lenay ki bhi zaroorat nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46804

Print   

  Question shadi se pahle kisi ladki ko shadi ke liye ladka uske ghar ja kar usko dekhna islam jayaz hai ?  
  Country  delhi - india
  Answer Mard shadi se pehlay is aurat k maqamaat e husn ko dekh sakhta hai ya is sai hum kalam ho sakhta hai jis ka rishta lena chahta hai. Is bina per isi khatoon ka chehra, is k baal, gardan, haatheliyaan, pindliyaan, kalaiyaan aur is qism k maqamaat e husn ko dekhna haiz he magar shart ye he k is nazar ka maqsad jinsi lazzat hasil karna na ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 390 pg # 233) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid no  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46861

Print   

  Question My question is: If parents of a girl is getting their daughter married against the wishes of the girl, the girl is saying that she does not want to get married to the boy with whom her parents have decided and then to her parents get her married to that boy will this marrieage be justified. The girl will not say no in nikah so that her parents should not get insulted. Please reply fast its a major decision which has to be made on your reply. Shukriya, Khuda Hafiz  
  Country  Lucknow - India
  Answer If the woman and the man, or any one of them, is coerced into matrimony, and they give consent after the Nikah has been pronounced, the marriage is in order, although it is better that the Nikah be repeated. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2339)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Alama Sistani Sahab  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46936

Print   

  Question Asalam_o-alekum.kia nikkah phone pr kisi gawah or nikah namy k bagir ho skta ha agar ho skta ha to kia esi surt-e- hal ma esa nikkah jaiz ha? plzzzzzzz jawab dain.  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Phone par nikah ho sakta hai q k nikah mai sigah parhna zaroori hai chahae phone par parhain ya samnay parhain laikin likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2335)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid nissa  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45851

Print   

  Question a.s me ye jaan,na chahta hoon ki kya phone par nikah ho sakta he,,kya wo jaiz he??? Maslan ladka ya ladki dono me se koi abroad ya kahin or ho or faamne saamne nahi aa sakte ho lambe waqt k liye to kya fone par nikah ho sakta he??? Baraye maharbani hume batayen,, allah hafiz  
  Country  mumbai - india
  Answer Phone par nikah ho sakta hai q k nikah mai sigah parhna zaroori hai chahae phone par parhain ya samnay parhain laikin likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2335)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45777

Print   

  Question ISlam k hisab se insaniyat badi ha hai ya mazhab agar hindu musalman ho jaya aur biki har amal se vo nek ho aur ussey syyed larki se shadi ki ijazazat sirf issliye na di jae ki vo hindu hai to kya ye sahi hai sirf mashrey ke samne sharmindigi k dar se kise ko aisey karne ki ijazat hai aur ye sahi hoga kyunki nasal to kayamat k roz ma se jani jayege bap se nahi  
  Country  kanpur - india
  Answer Agar hindu shia ho chukka hai to syeda shia larki sai os ka nikah ho sakta hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid al-sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5841

Print   

  Question Asslamualekum, I am A syed Shia Married to sunni girl my Nikkah was been done by the Moulana Of Sunni sect, My question is my Nikah with this is girl is okay in islam Plz advise. Regards,  
  Country  Kuala Lumpur - Malaysia
  Answer Sunni nikah to parha ja sakta hai magar shia tareeqay sai parha gya nikah hi sahi ho ga. yani sunni nikah krnay k baad larki halal nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-44)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Ayatulaha Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5852

Print   

  Question YA ALI MADAD,MULANA SISTANI SAHIB is it permited in islam that a sayad shia girl marry with a non syad shia boy give me reply with any example is there any immam who marry their daughter with non syed kindly reply me i will wait for your humble reply God bless u  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sayd mulana sistani sahib  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 5829

Print   

  Question aslam o alikom,mara sawaal hai k sunni tariqa ka nikkah or shia tariqa nikkah mai kya farq hai  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Sunni nikah to parha ja sakta hai magar shia tareeqay sai parha gya nikah hi sahi ho ga. yani sunni nikah krnay k baad larki halal nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-44)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45688

Print   

  Question Main Awan family se belong kerta hoon, aur asna ashri hoon. Kia main aik Kazmi larki se nikah ker sakta hoon?  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid AYATULLAH SISTANI  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46213

Print   

  Question is it permissible for a shia girl to desire to marry a shia boy out of love and affection where both the boy and the girl are intetested in each other. in such case what should be the duty of their parents?  
  Country  bengaluru - india
  Answer If a girl has reached the age of bulugh and is virgin and mature (i.e. she can decide what is in her own interest) wishes to marry, she should, obtain permission from her father or paternal grandfather, although she may be looking after her own affairs. It is not, however, necessary for her to obtain permission from her mother or brother. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid ayatollah sistanii  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46169

Print   

  Question salam...mera ek cousin hai wo mujhe pasand karta hai wo mujey is liye pasand nahi tha q k wo nimaz nahi parta tha lekin ab wo nimaz parta hai n he is getting religious day by day mai ne usy ma aksar use khwab ma dekti hun or jab bhi dekti hu sufed kapro ma dekti hu ek bar deka ta k meri ami mujh se kehti hai k mujh se abi ALLAH ne rabita kia or kaha k tum apni beti k liye us larky ka entikhab karo jo us ka sub se zyada khyal rakay tab hi mere cousin ka khayal mere mind ma aya....is ka kia matlab hai kia ma use accept kar lu?  
  Country  peshawar - pakistan
  Answer Aurat aur os k wali(baap/dada) k lie behtar hai k apni larki k rishtay k lie larkay mai un sifaat ko ehmiyat dain jin ka sohor main hona zarori hay. aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendar, pak daman,or baa-akhlaq ho. sharabi na ho or burai or gunaho ka irtekab na karta ho (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid kk  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 40913

Print   

  Question agar lrka or lrki court marg kr ln or phr lrki k ghar walaay zabardasti lrkay ko maar k talak k kagzat py sign ly ln tou kya talaaq ho jati h?  
  Country  lhr - pakistan
  Answer Nikah ki sharait: 1)Larka apnay wali ki ijazat k bagair shadi kar sakta hai laikin kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). Talaq ki sharait: 2) Is terah talaq nahi hoti hai talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid talaaq  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 41103

Print   

  Question ASSALAM O ALLEHKUM , EM FROM PAKISTAN , LIVING IN SAUDIA MEIN AIK LARKI KO PASAND KARTA THA OR US KO ABI BI BEHAD PYAR KARTA HOON JANAB US KI SHADI HOGAYEE HAY ALMOST ONE MONTH HUA HAY US K HUSBAND US SE BAAT NAE KARTE OR US KI IZZAT BI NAE KARTE OR KOI RELATION BI NAE HAY MIYA BIWI KA , MEIN NE US LARKI SE REKUEST KI HAY AAP UNE DIVORCE LE LO OR MEIN AAP KO KABOOL KARLOONGA , KIYA MEIN YE DUA KARSAKTA HOON K ALLAH PAK UNHEIN MERE NIKAH MEIN BHEJ DEIN OR SARE MAMHLAT SAE KARDEIN Q K MEIN UN K BEGHAIR BUHT BECHAN REHTA HOON DUAO MEIN YAAD RAKHYE GAH TALIB E DUA FAHD  
  Country  DAMMAM - SAUDI ARABIA
  Answer Kisi shohardaar aurat (married woman) ko shadi ki paishkash (propose) kerna chahay wazeh alfaaz k sath ho ya isharatan, jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani (d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #199). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 41092

Print   

  Question agar koi admi apani biwi ke alawa kisi du sari aurat ke sath bina nikah ke zismani sambandh banata ha to kya ous ka nikah tut jata ha  
  Country  varanasi - india
  Answer 1)Zina karna gunah e azeem hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part# maslah #29). 2)Is haram kaam ki wajah bivi apnay shohar per haram nahi hoti. (Ref: Email rcvd from ayatollah sistani d.b). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 41090

Print   

  Question agar koi admi dusare admi ke sath zismani sambandh banata he to kya uska nikah tut jata ha  
  Country  varanasi - india
  Answer 1-Lawaat / Ighlaam gunah azeem hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #30) 2-Agar koe shaks kisi aurat se shadi karay or shadi k baad os aurat (yani wife) k baap, bhai ya baitay se Ighlaam/ Lawaat (anal sex) karay tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo aurat(yani wife) os merd (yani husband) per (hamesha k liay) haram ho jati hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2370). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Oper biyaan ki gae sorat k alawa ighlaam/ lawaat kerne se shohar ka apni bivi se nikah nahi toot ta.  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46432

Print   

  Question Agar aurat shadi is shart k sath karay k shohar doosri shadi nahi karay ga, to is baray mai kia hokum hai?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Agar nikah mai ye shart ki gae thi to shohar k lie wajib hai k is shart par amal karay aur doosri shadi na karay. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Sistani d.b.  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46429

Print   

  Question kia aisay shakhs k sath shadi karna jaiz hai jo musalman to hai magar namaz nahi parhta hai. to is baray mai kia hokum hai?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Agar gumrahi aur munharif honay ka dar ho to jaiz nahi hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Sistani d.b.  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45973

Print   

  Question assalamualaikum.hazrat shadi kitne sal ki ladki se kar sakte he islam ke tarike par  
  Country  jabalpur .mp - india
  Answer Baap aur dada apni na balig larki ka nikah kar saktay hain laikin agar koi shakhs na-balig larki sai nikah karay to is larki ki umar 9 saal honay sai pehlay is k sath jima krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2340, 2374)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45974

Print   

  Question Aoa Mera sawal hai k kiya shadi suda larki sy shadi ki ja skti hai , larki or larka dono razi ho is bt py  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Larki aik waqt mai 2 nikah mai nahi reh sakti hai albetta talaq ya shohar ki wafat k baad iddat mukammal karnay k baad doosri shadi kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2366) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45989

Print   

  Question Kya noman ashiq sy meri shadi ho gi.hmari bat pki ho chuki ha.plz btaye ga  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Aurat aur os k wali(baap/dada) k lie behtar hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka sohor main hona zarori hay. aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo dendar,pak daman,or baa akhlaq ho. sharabi na ho or burai or muhliq gunaho ka irtekab na karta ho (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid By quran  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46123

Print   

  Question Assalamoalykum :_agr masla waqye ma hal hotha hy yaha tho plz meri bhi sun lo kuch....meri mangni hu v hy pr wata sata hu v hy mere bahi kishadi hu v hy pr meri tho mangni mere babi k bro se hu v hy pr wo para lika nhi hy ma istikhra krna chahti hu k agy wale zindagi k se ho ge or agy achy halalt ho gy ya nhi pr muje nhi lagtha k achy ho  
  Country  quetta - pakistan
  Answer Aurat aur os k wali(baap/dada) k lie behtar hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka sohor main hona zarori hay. aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo dendar,pak daman,or baa akhlaq ho. sharabi na ho or burai or muhliq gunaho ka irtekab na karta ho (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 46107

Print   

  Question gozaresh hai ka mairi aak larki k sat resta ho 8 sal pehly.or ham aak he faimly sa taluk hai an 8 salo mai hamri kabi bat nahi howe apas mai.aaj mairy or os k gar walo k darmyan halat kuch kharab ho gayai ta.or onhu nai resty sa ankar kar deya ta.mai nai larki say os say pocha tu wo razi ti.ham aak dosara ko bohat pasand karty tay.par os k baab na os ka rishta zabardasti kahi or kar deya hai.kya islam is ki ijazat daita hai ki larki ka zabardasti rishta kar day.mai or wo bohat prasham hai koyi tareek bata dai ka ham kya kary.shukariya  
  Country  peshawar - pakistan
  Answer Nikah ki shariat mai sai hai k sohar aur biwi donoo nikah k lie razi ho. Is k alawa jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai hubtilla honay ka khof moujood hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335) (Ref : Nigah aur libas sawal # 106, pg # 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid larki ka zabardasti nikah  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45309

Print   

  Question kia talaq wale lady ko shadi krni chiay  
  Country  brashia - italy
  Answer Talaq wali larki shadi kar sakti hai magar iddat puri honay k bad aur phir os larki ko doosri shadi k lie wali ki ijazat ki zaroorat bhi nahi aray gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2382-2480)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid muslim  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 41259

Print   

  Question mra swal ye h k mri ummar 16 h or jb mra nika howa tha to mre walid sahb is rishte se ka khush the jb k mra nikah mra bhay0n 0r mre shohr ki raza se howa h jb k me bhe is reshte se dil se raze nai thi mne majbori me nika ki h kia ye nika jayez h ya nai  
  Country  hyd - pak
  Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Agar kisi aurat ka nikah kisi merd se is ki ijazat k baghair ker diya jay or baad main aurat or merd is nikah ki ijzat day dain tu nikah sahi hay. Ijazat k liay koe aisi baat kahain ya koe kaam aisa anjaam dain jo rizamandi per dalat karay tu kafi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2338) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid muslim  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45604

Print   

  Question Aoa , Main aik married admi hon aor Main aik talaq yafta aurat say nikkah karna chahta hon uss kay do bachay bhi hain par apni begum ko batana nahi chahta na hi kissi aor ko meray do maqsad hain dosray nikkah ke us aurat ki kifalat aor main ussay pasand bhi karta hon .Apni biwi aor dunya ko iss liay nahi batana chahta keh sub naraz hongay aor woh aurat iss chup ke nikkah pay razi hai . Us aurat kay baap aor dada hayat nahi to kia hum chup ke nikkah kar saktay hain .  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer 1)Aik sai ziada shadi krna riwiyat ki roshni mai mustahabb hai aur pehli biwi sai ijazat lena zaroori nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 105,pg # 53) 2)Aurat q k talaq yafta hai is lie os k wali sai ijazat ka masla bhi nahi hai magar is baat ka khayl rakhain k wo aurat talaq ya shohar k wafat ki iddat mai na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Agha Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45659

Print   

  Question Asalam alikum-mera sawal ye hai ki kya koi sayed ldki lower (obc)caste ke ladke s shadi krskti hai .2no muslim ho to .  
  Country  Kolkata - India
  Answer Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Nikah  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45156

Print   

  Question main aik larkay ko bht pasand krti hon aisa lgta hy us k bghair nhi reh paon ge. wo larka disable hy us ki chaal gher matwazan hy. meray parents us k lye nhi maan rhay . jb k wo kafi achay khandaan sy hy acha kamata hy. us ki shadi kahin or honay wali hy.. plz koi wazifa btaen k meray parents us k maan jaen or khud kahain mujh sy.. plz meray maslay ka hal jaldi bataeye m nhi chahti k us k parents uski kahin or shadi kr dain..  
  Country  lahore - pakistan
  Answer 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341 , 2342) 2)Aurat aur os k wali(baap/dada) k lie behtar hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka sohor main hona zarori hay. aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo dendar,pak daman,or baa akhlaq ho. sharabi na ho or burai or muhliq gunaho ka irtekab na karta ho (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) 3)Masla bayan karnay k sath aap ko aik wazifay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k: Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid pasand ki shadi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45083

Print   

  Question Kya Chota Bhai Apne Bade Bhai Ki Bewa Se Shadi Kar Sakta Hai?  
  Country  Riyadh - Saudi Arabia
  Answer Jee han shadi kar sakta hai magar pehlay os aurat ko wafat ki iddat karni paray gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 44869

Print   

  Question Aslam o alikum agar ak larka or ak larki akyly Allah ko gawan man k hajab o kaboul kar lain aps ma to kya nikah ho jata hy, koi or insan pass majoud na ho? agar ak larka or ak larki phone call pa Allah ko gawah man k hijab kaboul kar lain to kya nikah ho jata hy?  
  Country  Lahore - PAkistan
  Answer Nikah ki shrait mai sai hai k kawari larki os waqt tak shadi nahi kar sakti hai jab tak k os k wali yani bap ya dada ki ijazat na ho. Is k alawa nikah parhnay k hawalay sai bhi ye hai nikah ka sigah Arabic zaban mai parhna chaheay aur qasad e inshah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335-44)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Islam  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 45038

Print   

  Question Can a non-sayyid Male marry a sayyida Female? Please provide any reference of the book of Seyyid Ali al-Sistani R.A.  
  Country  Rawalpindi - Pakistan
  Answer Yes non shia syed male marry with a syedah shia female.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Seyyid Ali al-Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 41415

Print   

  Question Mera sawal apse ye ha k mery dost ka nikkah ha wo ye janna chahta ha k nikah k liye nikkah khuwan larki waly bulaty hain ya larky waly ?  
  Country  lahore - Pakistan
  Answer Apki marzi hay ya tu lerkhi or lerkay walay mil ker aik nikah khan se nikah perhwa lain, ya lerhki or lerhkay walay dono alag alag apnay nikah khan ka badubast karain. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2332,2335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 44424

Print   

  Question Assalam o Alaikum. Please tell me that is it allowed for a Non-Syed Shia Male to marry a Syeda Female? Please tell if there is any condition or requirement to get married with a Syeda Female. Please explain with reference of books. JazakAllah  
  Country  Rawalpindi - Pakistan
  Answer Muslman, muslman ka kafo(barabar,manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai isi lie Syeda shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k sath jaiz hai. aur isi terah gair syeda shia aurat ka nikah syed shia mard sai ho sakta hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Seyyid Ali al-Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 44346

Print   

  Question If some one had done sex with a woman two three times while using congdom (for saftey) . BUT now they decided that they will not do that again, and that person want to marry the doughter of that woman and so the doughter of the woman. So is it allowed in Islam or not to marry that girl.  
  Country  peshawar - pakistan
  Answer If a person commits fornication(zina) with a woman other than his paternal or maternal aunt, the recommended precaution is that he should not marry her daughter. Translation: Agar koi shakhs kisi aurat (phopi ya khala k alawa) say zina karay to ehtiyat e mustahabb ye hai k is ki beti k sath shadi na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2361 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43982

Print   

  Question kia ek jorey ka nikha shia aur sunni dono tarekho se parhaya jaa skta hai ya nahe...?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Nikah to parha ja sakta hai magar shia tareeqay sai parha gya nikah hi sahi ho ga. yani sunni nikah krnay k baad larki halal nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-44)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sistani d.b.  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43922

Print   

  Question KYA SALI KE SAAT SEX KARNE SE BIWI KE SAAT NIKAH NAHI RAHTA .  
  Country  ROORKEE - INDIA
  Answer Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta. Laikin is sai nikah nahi toot’ta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355). Note: Quran main sorah nisaa ki ayat #23 main bhi is hokum ka zikr aya hay k “tum per haram kia gaya hay k …………. do behno ko (nikah main) jama karo…” (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43934

Print   

  Question Assalim-o-alikum mera Masla ye hai k me ek ladki se mohabbat krta hu or wo mujh se krti hai.hmare drmian is mohabbat ka talluq5 saal se hai.mere ghar me sb ko pata hai ldki k ghar me kisi ko nhi pata.islam shadi se pehle kisi mohabbat ki ijazat ni deta.isi liye me or ldki nikah krne k liye raazi hain hume ye bhi pata hai k hmari shadi bad me hogi.lkn darte hain k Gunah na hojaey hum ubhi walden ki raza mandi se nikah ni kr skte lkn Chup kr krna chahte hain,or kbhi bataenge nhi walden ko ta k i un ka dil na dukhe .or jb shadi hogi to jb bhi un ki khushi k liye nikah krnge or pehle wale nikah ka ni btaeng.to ap bataen k kia hum apna nikha khud padh skte hain?or kese? ya Qazi se pdhawaen to call pe hojaega nikah? zarur Answr dijyega hum nikah k lye razi hain me or wo 19 sal ki umar me hain or lazmi nikha krna chahte hain lazmi.Gunah ni krna chahte  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer 1)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai hubtilla honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) 2)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid koi bhi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43931

Print   

  Question salam:mera sawal ye hai ke jis larki se zinnah kia jae kia us se nikah ho skta hai?  
  Country  muzzaffer garh - pakistan
  Answer Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid aqa ali hussain sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43368

Print   

  Question salam. mra sawal ye hai ke mra rishta ho rakha hai. aur hm 2no kafi bar sex kr chuke hai. aur krna chate hai. lakin ye haram kam hai shadi se phle. aap hme kch aise dua btai jis se shadi jaldi ho gai aur hm haram sex se dur ho. aur shadi ke bad kre aur shadi ke bad ek acchi life guzar ske. maine aur maire mangetar ne ye sawal kafi bar pucha hai aap se to plz iss bar jawab zarur de. salam  
  Country  delhi - india
  Answer 1)Zina kerna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) 2)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayatullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) 3)Sab se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sistani sahab  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43505

Print   

  Question Assalamu Alaikum Sir, meri problem ye hai ke mere abbu ka kareeb 2 mahino kisi dusri lady se affair chal raha hai, abbu uske ghar bhi jate hain aur kayi baar vo lady abbu k sath bahar ghoomne bhi ja chuki hai. is baat ko lekar meri ammi bht pareshan hain..... Plz koi dua ya wazifa bataiye jisse abbu ka dil phir jaye uss lady se, abbu us se khud door ho jayen.. aur sab thik ho jaye.. plzz plzz. Allah Hafiz.  
  Country  Delhi - India
  Answer 1)Mard k lie doosri shadi krna jaiz hai bal k mustahab hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 105,pg # 53) 2)Sohar aur biwi ki mohabbat k lie wazifa : Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Na-Ittefaqi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 42544

Print   

  Question jis larki kay sath zina kia ho us say shadi kerna jaiz hai ??  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hai k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sistani d.b  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 42582

Print   

  Question May ek ladki say shadi karna chahata hu.aur manay uskay saat sohabat ki hay. Ab kay shakl hay .hamay abhi shadi nahi ki hay.par ye hamsy huwa hay.kay Kare batwo.  
  Country  mumbai - india
  Answer 1)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid jawb  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 42399

Print   

  Question Can a shia syed girl marry to sunni shaikh boy who is not dushmane ahlabait but love and believe in ahlebait too.But by aqaid namaz etc he is sunni ? please make it clear according to islam  
  Country  aligarh - india
  Answer Shia larki ki sunni larkay sai shadi mai agar is baat ka khof aur dar ho k kal ko aap gumrah bhi ho sakti hain, jis ka ehtimal moujood hai to phir aap k lie is sai shadi krna jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 136,pg # 62)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid aqai sheestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43609

Print   

  Question kia wife k bhai ki beti (biwi ki bhateeji) se nikah jaiz hei?  
  Country  wazirabad - pakistan
  Answer Insan apni biwi ki ijazat k bagair us ki bhateeji sai shadi nhi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2357)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Allama Tahir ul Qadri  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43502

Print   

  Question sir me married hu ek hindu ladke se pyar karti hu kya use muslman bana kar me dusri shadi kar sakti hu plz reply must  
  Country  jaipur - india
  Answer Agar aik aurat sohardar ho yani os ka sohar moujood ho to wo doosri shadi nahi kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2366)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid jmt  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 43543

Print   

  Question plzzzzz mola k sadky mery masky ka hal btya jye mera shohar mujy khula nhi deta jb k nikah sirf seeghy par k hum ny kia ghr walun ko b nhi pta ab mera shohar mujhy bht tang krta hy bad zubani or pta nhi kya kya plzzzz mujhy koi aisa way btyen k myjtahid sabine he mujhy khula dilated sakain us shaks sy Aj tak mera koi haq b nhi pora nhi kia us ny  
  Country  lhr - pk
  Answer Nikah ki shrait mai sai hai k aurat ka wali nikah sai razi ho agar wali ki ijazat k bagair shadi ki hai to nikah hi sahi nahi ho ga to talaq ka sawal hi nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341-42)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 40082

Print   

  Question is this possibel?a ahl e sunat girl marriagr with ahl e tashee boy  
  Country  gujranwala - pakistan
  Answer Note : Is website par fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Momin(12 Imami shia) merd ka naasbiya aurat k alawa doori musalman(maslan sunni) aurton se nikah kerna jaiz hay, isi terah momina(12 Imami shia) aurat ka naasbi merd k alawa dooray musalman(maslan sunni) merdo se karahiyat k saath nikah jaiz hay. Laikin agar momin merd ya aurat ko gumrahi ka khoof ho tu haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #215). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid quran and ahadess  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 40084

Print   

  Question kya sunni aur shiya ke darmyan nikah jaiez hai nikah ho skta hai tafseel se bayan ki jye  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Momin(12 Imami shia) merd ka naasbiya aurat k alawa doori musalman(maslan sunni) aurton se nikah kerna jaiz hay, isi terah momina(12 Imami shia) aurat ka naasbi merd k alawa dooray musalman(maslan sunni) merdo se karahiyat k saath nikah jaiz hay. Laikin agar momin merd ya aurat ko gumrahi ka khoof ho tu haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #215). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid yes  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 40108

Print   

  Question aslam o alikum, kia sayed larki ka nkiah non sayed larkey se jaiz he .agr sayed zadi non sayed se nikah krna chahey to kia wo jaiz ho ga?  
  Country  multan - pakistan
  Answer Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. Magar kunwari larki apnay wali ki ijazat k bagair nahi kr sakti hai aur wali sai murad father aur grand father hain.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 42924

Print   

  Question as salaamuwalaikum Q;...ager biwi apne saat ho to biwi se kab tak hambistari nahi karne se nikah toot jata hai ya baat nahi karne se nikah toot jata hai muje ye wajuhat batayen jis se nikah toot jata hai meharbani hogi mere aur meri biwi ke bich bohat din se baat nahi huwi ek jhagde ki waja se me us se is liye baat nahi kar raha ke us ko nasiyat mile aur wo sudar jaye  
  Country  goa - india
  Answer 1)Sohar aur biwi ka apas mai baat na krnay sai ya aik doosray sai naraz ho janay sai nikah nahi toot ta hai. nikah talaq denay sai toot jata hai. albetta aurat k hoqooq mai sai aik ye hai k mard osay azeyat(ﺍﺬﻴﺖ) na pouchae aur kisi sharie wajah k bagair is k sath sakhti aur narazgi sai pesh na aye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2376) 2)Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 42932

Print   

  Question Kya mai apne mamu ki sali se shaadi kar sakta hu  
  Country  katni - india
  Answer Jee han Mamu ki Sali sai shadi ki ja sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid muslim  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 42799

Print   

  Question I want to ask a question it is allow to marriage with daughter of cousin who is son of my father elder brother. so please immediately reply we both like each other and want to marriage we are same age and same job please tell me quran allow us to marriage same this condition please reply me  
  Country  Fsd - Pakistan
  Answer Matrimonial relation with women who are one’s Cousin is Halal. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid ali  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 40677

Print   

  Question assalamoalaykoum.... main ek hindu larke se bahut pyar karti hu 6sal se hum ek dusre se pyar kar rahe h humare bich phisical realation ban gaye h or hum shadi karna chahate h,par wo muslim nhi ban na chahata but uska kehna h ki tum hamesha muslim reh sakti ho.. to kya main us se nikah kar sakti hu? plz help me  
  Country  kolkata - india
  Answer Musalman aurat kafir mard sai shadi nahi kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2362)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 41466

Print   

  Question assalamu alaikum .mera name mohsin shaikh he or me jis ladki ko pyar karta hu vo bhi mujhe pyar karti hai os ka name farheen shaik he or ham sadi karna chate he par hamare ghar vale mana kar rhe he phle ha kha diya tha par aab mana kar rhe he plz hame btai ye ki ham kiya kare ..............................  
  Country  dewas - india
  Answer Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) Fiqhi maslay bayan karnay k sath aap ko wazifa bhi btaya jata hay k : Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid me  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 40161

Print   

  Question syedzadi ka nikah gher sayed se mumkin hey .agr syedzadi kisi gher syed ko pasand krti ho or shadi krna chahey to nikah ho skta hey?  
  Country  multan - pakistan
  Answer Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. Magar kunwari larki apnay wali ki ijazat k bagair nahi kr sakti hai aur wali sai murad father aur grand father hain.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid shia  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 39809

Print   

  Question i want to marry a girl she also want to marry me. our parents are not agreeing what to do?  
  Country  mumbai - india
  Answer If a girl has reached the age of bulugh(balig) and is virgin and mature (i.e. she can decide what is in her own interest) wishes to marry, she should, obtain permission from her father or paternal grandfather, although she may be looking after her own affairs. It is not, however, necessary for her to obtain permission from her mother or brother. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15408

Print   

  Question actually main aik larki say zina kar chuka hun mager jab us ki divorce hui to main edatt main b zina kar chuka hun mager muje maloom nahi tha mager main ab us larki say shadi karna chahta hun pls meri mada farma dain . koi aisa rasta jis say main us say nikah kar sakoon our gunahoo say bach sakoon , replay me pls main buhat pareshan hun .dont mention my email on the site but you can send me email pls  
  Country  london - uk
  Answer 1-Agar koe shaks aisi aurat se zina karay jo raj,e talq ki iddat ghuzar rahi ho tu - etiyaat e wajib ki bina par - wo aurat os merd per haram ho jati hay .( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2363 ) 2-Agar shohar daar aurat se zina karay tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo aurat zaani per hamesha k liay haram ho jati hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2367) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15448

Print   

  Question Agha Sahab Nikkah k bad aur rusksati se pehle biwi se sex karna ghalat hai?  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer 1)Sigha nikah k zaria mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani shohar biwi wale taluqat qaim ker sakte hain or nikah k baad rukhsati hona zaroori nahi hai). ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, before Masla # 2328) 2)Agar Riwaj yahi ho k jab tak rukhsati nahe hoti is waqt tak larki apnay aap ko apnay sohar k lie paish nahi karti, is tarah sai k ise aik zimne shart samja jata ho to phir aurat k lie nikah k bad rukhsati se phelay sohar k lie apne aap ko paish karna wajib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Agha Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 20090

Print   

  Question Ek larki hai jo mujhe bhai kheti hai chahe dil se ya maa baap ke dar se lekin mujhe us larki se pyar hai tu meri us se shahdi jaz hai egr hai tu mein us ke sath jismani taluqat qaim kar sakta ho keya?  
  Country  Chiniot - Pakistan
  Answer Ye aurat aap k lie na mehram hai is lie aap is aurat sai nikah kar saktay hain. Albetta jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Bhai  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 38364

Print   

  Question meray maa bap meri shadi aasi jga krwana chaty hn jhan ladky ka chacter bht bura ha but me us se chutkara pana chti hun mjhy aiisa vird btayey jis k krny se me is musibt se nijat pa skoo . mery maa bap mery smjhany k bavjud b ni sjhty .agr ap mjy koi khas vird bta dy to apki ain nvazish ho gi .thank.  
  Country  multan - pakistan
  Answer 1)Aurat or os k wali(baap/dada)ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) 2)Nikah k sahi honay ki shrait mai sai hai k mard aur aurat shadi par razi hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335) 3)Hazrat Imam jafar e Sadiq a.s. farmatay hain k surah e taha ko likh kar sabz rashmi libas may lepat kar apnay pas rakhay aur shadi k qasad say kisi k pass jay to osay na kaam nahi lotna paray ga aur wo shadi ho kar rahay gi. inshAllah (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18) (Kuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid pakistan  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 38361

Print   

  Question mein ek larki se mohabbat krta hun woh meri door ki rishtedaar hai wo umar mein mujh se shayad 2 ya 3 saal bari hai kya meri uss se shaadi jayaz hai?  
  Country  shorkot city - pakistan
  Answer 1)Apnay sai bari umer ki larki sai shadi karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335) 2)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref : kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid adi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 37331

Print   

  Question Aoa! me Alhamdulilah ek muslim larki hon .lekin ek hindu larke se mohabat karti hon woh bhi mujh se mohabat karta hai .aur hum shadi karna chahate hain .woh kehta hai k hum nikah bhi kar lete hain ,hinduism k mutabiq shadi bhi karlete hain .lekin me nay us se kaha hai k muslim larki ki shadi hindu larke se nahin ho sakti .jis p woh kehta hai k ok me tumhare liye convert ho jata hon .kalma par longa ,lekin khatna nahin karwaon ga .phir me nay us se poocha k logon ko kiya batao ge k tum hindu ho ya muslim to us nay kaha k jo hindu hoga us ko hindu bataonga jo muslim ho ga us ko muslim .phir me nay poocha k dil me khud ko kiya samjho ge to us nay kaha k hindu .muslim srf tumhari khatir ban raha hon .aur plz mujh p yeh pabandi na lagana k muslim bane k baad mandir na ja sakon .keon k me abhi hindu hon lekin masjid gaya tha aur bahot acha laga tha mujhe wahan ja k .to plz batain k kiya us ka nikah k liye kalma parh lena kafi hai ? me use khona nahin chahati .woh bahot hi acha aur saaf kirdaar wala larka hai .aur shayed me shadi k baad use ek haqeeqi muslim banane me kamyaab ho jaon .plz koi hal batain me us se bahot pyaar karti hon . woh mujhe misalin deta hai un logon ki jo ek hindu aur ek muslim hone k bawajod court marriage karlete hain . koi gunjaish nikalen. thnx  
  Country  karachi - pakistan
  Answer 1-Agar kafir shahatain perh lay or ye maloom nah ho k wo dil se musalmaan hoa hay ya nahi tu wo paak hay or agar ye ilm ho k dil se musalman nahi hoa laikin aisi koe baat is se zahir nahi hoe ho jo tauheed or risalat ki shahadat k manadi ho tu sorat wohi hay(yani wo paak hay). ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 207). 2- Agar kisi shaks k mutal,liq ye ilm(yaqeen) nah ho k musalman hay ya nhi or koe alamat is k musalman honay ki nah ho tu wo paak samjha jay ga laikin os per Islam k doosray ehkamaat ka itlaq nahi hoga, maslan na hi wo musalman aurat se shadi kersakta hay or na hi osay musalmano k qabarustan main dafan kia jasakta hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 106) 3-Agar koe merd shadi k baad murtad e milli ho jay ( yani wo shaks jis ki paidaish k waqt maan baap dono ya on main se aik muslaman nah ho or wo khud achay buray ko pehchaan,nay k baad musalman hoa ho laikin baad main kafir ho jaay) tu oska nikah toot jata hay. Layhaza agar os ne apni bivi k sath jima(intercourse) nah kia ho ya wo aurat yaesa( yani wo aurat jis ko umar rasida honay ki wajah se haiz nah aata ho) ya 9 saal qamri se kam umar ki ho tu os k liay iddat nahi hay.or agar wo merd jima k baad murtad ho jay or oski bivi on aurtoon ki hum umar ho jinhain haiz aata hay tu zarori hay k wo aurat talaq ki iddat k braber jis ka zikr talaq k ehkaam main hay, iddat rakhay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2413). Note: Oper biyaan kiay gay fatwo se ye baat wazeh ho jati hay k kalmia e shahadat k iqraar se kafir musalman ban jata. Laikin agar ilm(yaqeen) nah ho k ye musalman hoa ya nahi ya yaqeen ho k dil se musalman nahi hoa faqat zahiri musalman hoa hay tu os se shadi nahi ki jaskti. Aurat jis shaks se shadi karay os k liay is baat ka yaqeen o itminaan hasil kerna zarori hay k wo shaks musalman hay.or ye baat bhi wazeh rahay k kafir ka musalman hona achay buray ko pehchaan,nay ki wajah se ho nah k faqat kisi zahiri faiday k hosool k qasd se musalman ho jaisa k aap k sawaal se bhi zahir ho raha hay k wo faqat sahdi ki musalman hona chah raha hay or shadi k baad bhi mandir janay ka irada rakhta hay or katna ka bhi inkaar ker raha hay oska ye amal hi os k musalman nah honay ka wazeeh ishra day raha hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Hzrat Syed Ali Hussaini Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 37981

Print   

  Question kia islam main khala aur bhanji ko aik time nikah main rakh saktay hay  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer Khala aur bhanji donoo mehram hain aur in sai nikah karna haram hai, chahay aik time mai shadi karain ya alag alag time mai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 38102

Print   

  Question kya main apne chacha ki beti se shaadi kar sakta hoon..  
  Country  warngal - india
  Answer Jee han chacha ki beti sai shadi krna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 38245

Print   

  Question Assalamo alaikum, janab. Darasal main ek kafir ladki ko chahta hu. Aur wo bhi muze bahot chahti hai,hum dino nikah karna chahte hai. Main apni chaht ke sath sath use iman wali banana chahta hu, plz muze bataiye kya ye sahi hai ya galat. Main apke janam ka injar kar raha hu "ndmkhan13@gmail.com"  
  Country  Gadchiroli - India
  Answer 1)Musalman mard kafir aurat sai shadi nahi kar sakta hai magar ye k pehlay oasy musalman karay phir shadi karay to sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2362) 2)jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref : kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Shukriya  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 37214

Print   

  Question kya mai apni maa ki khala ki larki se shadi kr skta hu kya yeh islam m jayej h  
  Country  new delhi - india
  Answer Maa ki khala ki larki aap k lie na mehram hai aur aap is sai nikah kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15358

Print   

  Question asalam-o-alaikum mera sawal ye hai ke kia 12 sal ki larki shadi ke laiq hai ya ni  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Nikah main umar ki koe shart nahi hay,yani lerki or lerkay ki umar kitni ki kam Q nah ho or umar kitni hi ziyada hi Q nah ho. Haan faraq ye hay k agar lerki 9 saal se kam ki ho tu nikah lerki k wali(baap ya dada ) se nikah ki rizamandi li jay gi nah k lerki se ijazat li jay gi, isi terah agar lerka nabaligh ho tub hi nikah main o ski ijazat k bajaay os k wali ki ijazat li jay gi. Or doosra faraq ye hay k nabaligh lerki ka nikah kerna tu jaiz hay laikin os se oska shohar os k baligh(yani chand k lihaaz se 9 saal) honay se pehlay os se hambistari nahi ker sakta.laikin doosri lazzaat maslan boosa laina, chumtana waghaira hasil kerna jaiz hay. Or jaisa k aap ka sawaal hay k lerki 12 saal ki hay tu phir tu kisi bhi qisim ka koe haraj nahi. Nah nikah main or na hi rukhsati or jima main. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335,2340+ ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #8) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid nikah  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15416

Print   

  Question Meray jananey wale sunni lakrkey ki shadi aik shia larki say ho rahi hay aur is mouqa per do nikkah ho rahey hain pehley shia nikkah aur phir sunni nikkah. yeh sub aik hi waqat per hojay gah kia yeh nikkah durust hoga  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Jee haan ye sahi hoga. Q k jab pehli baar shia mazhab k mutabiq nikah k seeghay ada hojain gay tu ye nikah durust ho jay ga or ab is k baad sunni tariqay k mutabiq jo nikah perha jay ga wo fozool or baykaar shumaar hoga. or is doosray sunni batil nikah ka pehlay walay shia nikah per koe asar anhi perhay ga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2335+ E-maul rcvd from A.Sistani d.b) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Mufti Sesstani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 33013

Print   

  Question mera husband 2sri aurat me intersted hai aor wo aorat shadi shuda hai..pehly b ak aorat me intrsted tha us pe bohot pesa zaya kiya .mery sath thek hai lekin jb me us aorat se rokoon to larta hai . aap bataye me kiya karoon  
  Country  attock - pakistan
  Answer Aap un ko samjhae k aik mard 4 shadi to kar sakta hai magar kisi sohardar aurat sai nikah nahi ho sakta hai jab tk k wo kisi doosray k nikah mai hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2366-67)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 36791

Print   

  Question agha shab hum ap ki har bat manty hain alla ap ko lambi umer dy humain bata dain kia phone pe nikah ho sakta ha agar ho sakta ha to kaisy ap ke jawab ka intizar rahy ga e mail pe jawab dain ap ko dua dain gyyyyyyyyyyyyy  
  Country  sargodha - pakistan
  Answer Phone par nikah ho sakta hai q k nikah mai sigah parhna zaroori hai chahae phone par parhain ya samnay parhain laikin likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahi hai. is k alawa nikah parhnay k lie kisi ko vakil bhi bna saktay hain. Aur nikah ki chand shrait bhi hain jin ka nikah parhtay waqt khayl rakhna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2335)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Agha sastani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 36388

Print   

  Question kiya bhabi k sath nikha jaiz hai  
  Country  nizamabad - india
  Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jab tak bhabi bhai k nikah mai hai os waqt tk bhabi sai nikah nahi kar saktay hai. han bhai ki wafat k bad ya talaq k bad bhabi sai nikah ho sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349-2375)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 25171

Print   

  Question A.A SIR mera masla yeh ha k main apni khala ki beti ko pasand kar ta hoon aur us say shadi karna chata hoon mere family aur us ki family walay kehtay hain ke meri cousin nay childhood main meri maa ka doodh(MILK) piya howa ha mera us say rishta nahi ho gaa.meri cousin nay yeh doodh meri sister k sath childhood main piya tha jo k mujh say 5years chooti ha.kuch k thought ha k mera meri cousin k saath rishta ho sakta ha kyon k us nay meri sister k saath dooth piya ha lekin mere saath nahi .ek do molvi say bhi meri baat howi jo kehtay haain k shadi kar sakta hoo .aap ka kya khayal ha tell me now koi quran ki surat ke hawalay bhi es problem k baray main batain.  
  Country  toba tek singh - pakistan
  Answer Agr doodh tamam shara-it k sath pilaya gaya hai tou Shadi nahi ho sakti aur wo apki behn hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 2434)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid shadi problem  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 26541

Print   

  Question Aoa: Sir mera question ye ha mere ek czn h wo mjhse buht pyar krti the r hum ne romance kya mera dil nae krta tha lekn phr us sy bos o kinar ki r uske ilawa fingering ki aur usne mere peni ko suck kya me pochna chahta ho kya ye zinah ha plz iska kufara kya hoga mjhe bata dy meherbani hogi from syed atif  
  Country  Sheilhupura - Pakistan
  Answer Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70) or eska kaffara nahi hota aap sachey dil se toba kar lijye. (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3 , masla # 16) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15502

Print   

  Question kya hum khud s nikah kr skte h bina imam ka?  
  Country  Ranchi - India
  Answer Nikah ka seegha ya tu aurat or merd khud parhty hain ya kisi ko wakeel moqarar kar lety hain takeh wo onki tarf se parh dey . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid nikah  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 36162

Print   

  Question agar larka or larki dono ek dosraya ko pasand kartay hon or wo bagair shadi k ek apas mai zina karay or wo shadi bhe karna chatay hon to us ke kia mafi hai or kia wo dono shadi kar saktay hai apas mai  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 25474

Print   

  Question sir plz mjhy mery qestion ka ans den kia quran pak r ALLAh ko hazir nazir jan k nikah ho skta h agr koi b or gawah mojod na ho?????  
  Country  lahore - pakistan
  Answer 1)Nikah main gawaho ka hona or nikah ka ailan kerna wajib nahi hay balkeh mustahab hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#3 ) Is k alawa nikah ki chand shrtain hain. 1.Ehtiyaat e wajib he ke segah sahi arabi me parha jae. 2.ye k mard aur orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala zarori hai k aaqil ho aur agr apnay lie parhay tou balig bhi ho. 4)wakeel k lie mard aurat muaiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 2335) 2)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi). isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabar(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zaroori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah # 2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15497

Print   

  Question Hm ek ladka ko pasand karte h 5 sal se aur us se nikah krna chahte h par parents ijajat nhe d rhe to kya hm bina imam ka nikah kr skte h..plz help me..  
  Country  Ranchi - India
  Answer kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yaha kawari nah honay say murad sirf ye hay k aisi lerki jo talaq yafta ho ya baywah ho or oskay sohar nay oskay sath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zaroorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zaroori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna lazmi nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid nikah  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15477

Print   

  Question kia ahelay kitab se quran o sunnit ki roshni main Islam shadi ki ijazat deta hai  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Mosalman aurat kafir mard se nikah nahi karsakti chahay da,imi(permanent marriage) ho ya ghair da,imi(Temporary marriage) ,kafir ehl e kitab ho ya na ho. Musalman merd bi kafir aurton se nikah nahi karsakta lekin yahodi or esae aurton se muta karny main koe haraj nahi or ehtiyaat e lazim ki bina par un se da,imi nikah na kia jay ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2362 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid muslim  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32231

Print   

  Question mere nana ne do shadia ki thi tou main apni soteli khala se shadi karna chahta ho tou mjhe es ka jawab dain kia ho sakta hai kay main shadi kar lo apni soteli khala se  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Aap apni sotaili khala se shadi ker saktay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah #90) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15484

Print   

  Question ma ek larki se pyar karta hn wo b mje se buhat karti hai hum online chand logo k samne ek dusre ko qabool kia hai kia hamara nikah ho gaya k nah  
  Country  lahore - pak
  Answer Nikah ka seega parna zarori hai jo k ehtiyaat e wajib ki bina per arbi main perha jaay, seegha e nikah aap khud bhi par sakty hain . ek dosry ko qabool karny se shadi nahi hoti . (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #2328 )  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15467

Print   

  Question assalamunalaikum, mai 1 ladke se pyaar karti hu jo ki dubai me rehta hai, humari dosti facebook pe hui thi aur phon pe baat karte karte pyaar hogaya, hum 2no abhi tak ek dusre se mile nahi hai, mere ghr me ye baaat malum hai aur meri ammi shadi k liye raazi hai,, dad abhi tak to nahi maane par maanjaayene, unke ghrwalo ko b ye baat pata hai par unke gharwale nahi maan rahe humari shadi k liye, to kya agar mere dad maan jaaye aur unke waledain na maane to humara nikah ho sakta hai??? koi wazifa ya dua bataiye jisse mere dad raazi ho jaaye,, plz reply  
  Country  mumbai - india
  Answer Kanwari lerki apnay baap ya dada ki ijazat k baghair nikah nahi ker sakti. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #2341 ). Note: lerkay k nikah k liay aisi koe shart nahi hay k os k baap ya dada bhi razi hoon. Wazifa: hazrat mosa a.s ne apni shadi k liay sorah e qasas ki ayat#24 ki tilawat kit hi on ki shadi ho gae layhaza merd or aurat apnay liay is ayat ko perh saktay hain.(Ref: Nawaay saliheen, pg#352). Note: Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref : kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15491

Print   

  Question kya hm bina imam k nikah kar sakte hai?  
  Country  Rachi - India
  Answer Nikah ka seegha ya tu aurat or merd khud parhty hain ya kisi ko wakeel moqarar kar lety hain takeh wo onki tarf se parh dey . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328 )  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid as salam a lekum..  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15488

Print   

  Question main apny mamo ki bety sy mohabat karta hn or wo bhi muj sy mohabat karti hi masla yeh hi hamari mangni hoi hi or main abroad ja raha hn kia main us k sath janay sy pehly hambistri kar sakta hn?  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Jee nahi, nikah se pehlay hambistari jaiz nahi hay. Or ye zina kehlata hay jo k gunahe azeem hay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus Saliheen,part#1, maslah #30)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32235

Print   

  Question Kaya iehsai larki sy nikha jize hai k nhi larka muslim hai or ager kabhi baat ho tu kehta hai hum kuhd tu muslim ho jaein  
  Country  manchester - uk
  Answer Musalman yahodi or esae aurtoon se muta(temporary marriage) ker sakta hay laikin ehtiyaat lazim ki bina per on se daimi aqd(permanent marriage) nah kia jay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2362)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32226

Print   

  Question AOA>.. mera sawal ye hy k ma ak ldky ko chahti the..lekin mry ghar walay nahin mantay thay..ham ne nikah kr lia lrkay k ghar waly sabhi razi thy or wo shamil b thy.. and now we have sexual relation as well. ab jab k ma ne apni mama ko btaya hy to wo man gae hn or hmari baqaida shadi kr ri hn mry step father ko hmary nikah ka nahin pta or na hi meri mama uny bta skti hn qk un k liye masla khda o jy ga to wo ab hmara sb ki mojudgi ma 2bara nikah krwana chahti hn kya y jaiz hy???? may father ki death o chuki hy or ma apny step father k sath rehti hun jinho ne kbi koi haqooq puray nahin kiye.. plz help me..  
  Country  fsd - pakistan
  Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Agar lerki kanwari ho tu nikah k liay baap ya dada ki ijazat lazmi hay or jis lerki k baap ya dada nah hoon tu phir os ko maan ya bhai se ijazat laina lazmi nahi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2341) Note: Jaisa k aap ne biyaan kia k aap k sagay walid ka inteqaal hogaya hay , agar aap k dada zinda hoon tu nikah k liay on ki ijazat lazmi hogi, or agar wo bhi zinda nahi tu aap ka pehla nikah ki sahi hay or dosray ki zarorat nahi or agar sab k saamnay dikhnay k liay jhota nikah perhna ho tu is main bhi koe haraj nahi.  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid ahl e sunnat  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32266

Print   

  Question Assalaamwalaqum, Mera nikhah hua hai eak mard se. Usne apna naam aur abba ka naam aur jagah ka naam nikhah nama me galat likhaya. aur nikhah ke baad mere saath hum bistar hua 2 raat ke liye. uske baad na to eak call kiya aur eakdhum lapata ho gaya. mein ne usko zuban di uski halat ko mad-e-naraz rakhte hue ki mein aap ka mehar maaf karti huin. usne mere kafi rakam(rupiya) liye aur sona(gold) liya. aur meri halat jaane ke baad bhi usne mujhe payse nahi bheje aur dhoka diya. Uska already eak nikhah aur 2 bacche hai. aur uski biwi ko bataye bigar aur mujhe jhoot bhol kar ki uska nikhah nahi hai aur wo kawara hai, ussne nikhah kiya. Jab mein ne usse email ke zarye pucha ki mein aap ko chor ke jana chati huin usne email ke zarye jawab diya ki, aap ko lagta hai ki aap ko mujhe chod kar jana hai to aap ja sakti ho. usne mujhe kisi bhi tarah ka sukoon nahi diya.... samaji, jaheeni, aur jismani tor per usne mujhe mahfooz rakha. mera sawal ye hai ki mera nikhah usse jayaz hua? agar jayaz hua to kya humaha khula hua? Aur agar mera khula nahi hua to mein kis zariye se usse khula luin? jab ki pata hai ki wo mera phone jaanbooj kar nahi uthata hai, aur mera email nahi reply karta hai? Allah Hafiz  
  Country  Bangalore - India
  Answer 1-Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) 2-kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2333) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid nikhah ka jayaz hona,aur khula ka jayaz hona  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 33309

Print   

  Question merey parents shadi k lye ni manaty plz hal btaem  
  Country  lhr - pakistan
  Answer kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zaroori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna lazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17492

Print   

  Question Assallam allekum Me ek ladki se pyaar krta hu aur ladki bhi – ham dono ek dusre se shadi krna chahte hai magar mere father shadi k liye razi nhi ho rhe hai kya me us ladki se nikah kar skta hu apne father ki ijjazat ke bina plz bataye  
  Country  delhi - india
  Answer 1)Larka apnay wali ki ijazat k bagair shadi kar sakta hai laikin kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). 2) Jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya roktok mohabbat ki wajah sai hop aur is ki mukhalifat sai unhain takleef hoti ho to aulad ko in k hokum ki mukhalifat krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1387) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid shadi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17946

Print   

  Question mera ques. ha ke koi larki ap c age m 10 sal barae ho.us k aik jaga nikah hoa ho bt ruqsati se phle e tot jae.kia me us se nikah kar sakta hn  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer Agar sahi tareeqay sai talaq di gae ho aur aurat ki iddat bhi khatam ho gae ho to os aurat sai nikah ho sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2338-2508)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 18227

Print   

  Question ABOUT NIKAH  
  Country  PAKISTAN - KARACHI
  Answer Nikah k zarie aurat, mard par aur mard aura tar halal ho jatay hain aur Nikah ki 2 qismain hain 1. daimi(permanent marriage), 2. gair daimi (temporary marriage). Nikah e daimi osay kehtay hain jis mai izdiwaj ki muddat tay na ho aur wo hamisha k lie ho, aur gair daimi wo nikah hai jis mai izdiwaj ki muddat moiien (decide) ho maslan aurat k sath aik ghantay ya ya din ya aik mahinay ya aik sal ya is sai ziada muddat k lie aqad kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, nikah k ahkam) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid ANY  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 18393

Print   

  Question bapp ka ajazat bagair ladki shadi kar sakta hai ki nahi  
  Country  kargil - india
  Answer kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yaha kawari nah honay say murad sirf ye hay k aisi lerki jo talaq yafta ho ya baywah ho or oskay sohar nay oskay sath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zaroorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zaroori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna lazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid ayatullah makarim sherazi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17879

Print   

  Question assalamu alekum mera sawal he kya apni sagi bhatiji se nikah hosakta he  
  Country  delhi - india
  Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Apni sagi bhateji sai nikah karna haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2349). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 18594

Print   

  Question aoa...mere qstn ye hy k meri age 18yrs hy, mere father meri shadi krna chahte apne nephew se jo mujh se 12 saal bare hen me is rishte se khush ni or kafi had tak meri mother b, or sb se bari bat ye hy k papa jn se meri shadi krna chahte hen wo b mujh se shadi krna ni chahte..mene papa ki khushi k liye han to kr di pr ye rshta mere liye cmpromiz k elawa kch ni ab mujhe smjh ni araha mene sahi kia ya ni? Agr me is rshte se inkar krti hun to hmari familz me bht se ikhtalafat paida ho jaen ge?  
  Country  nawabshah - pakistan
  Answer 1)Maa ya baab , apnay betay ya beti ko shadi per majboor nahi kar sakte.(ref.jadeed masail, aqa sistani, pg no: 57)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2)Nikah k sahi hone ki sharait me aik ya hai k aurat aur mard nikah per razi hon. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid aqae sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32769

Print   

  Question salam..........jab bh meri beti ka rishta ata hai dil me ek ajeeb sa khoof ata hai koi bh jawabnh dy pate is silsile me kia karna chahaye??????  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Aurat aur os k wali(baap/dada) k lie behtar hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka sohor main hona zarori hay. aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo dendar,pak daman,or baa akhlaq ho. sharabi na ho or burai or muhliq gunaho ka irtekab na karta ho (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid ayatulah sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17187

Print   

  Question kia larky ka nikkah us k abu ki chacha zaad se ho skta hay.  
  Country  lahore - pak
  Answer Chacha zaad ya khala zaad (cousin ) se nikah jaiz hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah # 90-93 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 31939

Print   

  Question sir ye pochna hai ke shiya lrke muta kare or na wo apne baap se ijazat ley or na kisi ko0 btae bina muta kr skti hai ? or agr mutta se bacha ho jae tu us bache ka kiya krte han yani us bache ke liye ki shart hai or mutta kiya bacha paeda krne ke liye nhe hota kiya or agr mutta ke bad us lrki ko na apne sat rakho or na na use koi taluq rakho tu ye sahe hai  
  Country  karachi - pakistan
  Answer 1)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341,2342) 2) Muta se paida honay wala bacha halal zada hay or ye lerhka or lerhki paida hone walay k bachay k maan or baap hain.(( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #367) 3) Muta lazzat uthnay k qasd se ho ya nah ho, dono soorto main jaiz hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2385) 4) Ehtiyaat e wajib ye hay k jis aurat k sath muta kia jaay agar wo jawan ho tu os k sath 4 mahinay se ziyada jima ko terk nah kia jay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2386) (Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3 , masla #365 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid required  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32607

Print   

  Question Dear Sir, Mera Masla ye hai k meri mangni mere cousin se hui thi aur mein us se bohot pyar karta tha aur ab bi karta hoon, magar jab mein ne apni cousin se nekah karna chaha to us ne inkaar kar diya, aur mere bade bhai k kehne per mein ne kisi aur se shadi kar li, shadi k baad b mein apne cousin ko bula na paya, aur phir mere cousin se meri mulaqaat hui, mein ne unse poocha tum ne mere sath aisa kyu kiya to wo rone lagi, aur uski walidah ne muje bataya usko seher kya hua tha k tum se shadi na kare, aur meri cousin kehti hai wo mujse pyar karti hai aur shadi karna chahti hai, mein b us se bohoot pyar karta hoon, mein us se dosari shadi karna chahta hoon, meri biwi raazi nahe hoti wo kehti hai k muje talaq de do phir un se shadi kar lo, aur meri walidah aur bada bhai b razi nahe hain, to kiya mein dosari shadi kar k gunahgar hosakta hoon, aur kiya aisa karna meri biwi k huqooq k sath najayez hai, aur kiya mein Allah ka mujrim hosakta hoon agar dosari shadi kar loon? please koi acha sa mashoora dein, thanks.  
  Country  Seeb - Oman
  Answer Aik sai ziada shadi krna riwiyat ki roshni mai mustahab hai aur pehli biwi sai ijazat lena zaroori nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 105,pg # 53)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Second Marriage  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32608

Print   

  Question aslamalekum. molana sahb maine suna hai k agar khala ya anti k sath zina karnay ka soch bhi lain laikan agar na karai to un ki bation sa nikkah haram ho ga.kia yeh drust hai?  
  Country  faisalabad - pakistan
  Answer 1)Agar Khala ya phophi ki larki sai nikah karnay pehlay agar apni khala ya phophi sai zina karay to un ki larkion sai ehtiyat e wajib ki bina par nikah nahi kar sakta hai, faqat sochnay sai nahi hota hai. 2)Haram k baray mai sochna agar inzal(yani mani ka niklna) ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sunni.  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17197

Print   

  Question a.o.a mera sawal ye hy k mera nikah just nikah namy py sign kr k hua koi seeghy nae pary na mery pas molvi aya or mn apny shohar sy khula mangi or us ny fone py mujgy 3 bar bold dia wakfy wakfy sy to kya meri talaq ho gae  
  Country  lahore - pakistan
  Answer Nikah ki chand shara,it hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke segha sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379). Note: zikr shuda fatway se ye baat sabit hoti hay k aap ka nikah hi durust nahi. Laihaza aap ko khula ki zarorat hi nahi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Imam sastani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32550

Print   

  Question mujy samj nain aata app loog aik taraf too Ahl-e-Bait a.s k mohib kahlatay hain oor dosri taraf Syeda ka Ghair Syed sy nikah jaiz kerar dy rahy hain, ya kysi muhabat hy??, dosri tarah Ahl-e-Sunat ka Ulma isy najaiz qarar dy rahay hain, 4 books k reference dy raha hon jo Ahl-e-Sunat ke hain, Rooz e Qiyamat Muhammad s.a.w.w o Aale-e-Muhammad s.a.w.w ko kiya moon dikhain gy. 1- Ref: Boolk "Fiqa Islami ka ajmai Fatwa" Syeda ka Ghair Syed sy nikah Qatan Haram hy oor ya Rasool s.a.w.w oor Ahl-e-bait a.s ki shadid gali hy, by Pir Syed Mehmood Shah Kazmi 2- Ref: Book "Syeda (Fatima) ka ghair syed sy nilah nain ho sakta"Alama Muhammad Hanif Quershi 3- Ref: Book : "Nikah Syeda kee tehqeeq" By Pir Mehir Ali Shah Sb. 4-Ref: Book "Rasala Mohib ul Nabi- Syeda ka nikah ghair syed sy nain hota" by Molana Mohib ul Nabi  
  Country  Abbottabad - Pakistan
  Answer Muslman, muslman ka kafo(barabar,manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai isi lie Syeda shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k sath jaiz hai. aur isi terah gair syeda shia aurat ka nikah syed shia mard sai ho sakta hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32551

Print   

  Question Asslaamu Aalikum...meri umer 18 saal hai, mera sawl yeh hai k agar m shadi se pehle kisi ladki se zinha nahi karunga ton kya meri jisse shadi hogi wo bhi kisi ladke k sath nhi leti hogi..mera matlab usne kisi ladke sath zinha nhi kiya hoga.....  
  Country  deoband - india
  Answer Mard ko chahae k jis aurat se shadi karna chahta he os me on sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32481

Print   

  Question can a sunni girl marry a non sunni boy?  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 30582

Print   

  Question as salam alikum.mera sawal hai k kaya ek larka apni sali se shadi kar sakta hai jab k us ki biwi b mojod ho  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355). Note: Quran main sorah nisaa ki ayat #23 main bhi is hokum ka zikr aya hay k “tum per haram kia gaya hay k …………. do behno ko (nikah main) jama karo…” (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17213

Print   

  Question Kia bukhari syed khandan ki larki ka qureshi khandan k larke se shadi karna jaiz hai ya na jaiz plz forgive me answer  
  Country  multan - pakistan
  Answer Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 24529

Print   

  Question nikah say pehly agar hamal thar jay tu kya us halat ma nikah ho sakta ha?  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hai k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid yes  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 24193

Print   

  Question Islam mai behan k rishtay k lie kia hokum hai?  
  Country  Srinagar kashmir - India
  Answer Aurat or os k wali(baap/dada) k lie behtar hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka sohor main hona zarori hay. aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo dendar,pak daman,or baa akhlaq ho. sharabi na ho or burai or muhliq gunaho ka irtekab na karta ho (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Sawaal  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 31960

Print   

  Question AsSALAM AlaiKum Hazrat? ek larka ek larki nikha karna chahaty hen ghar walo sy chup ky, phir kuch waqt ky bad ghar walo ko bata dygy, in ka nikha karna sahi hy ya nahi? Agar in ka nikha sahi hay to in ko kis tariky sy nikha karna chahiye tarika bata dy, or nikha ky bad ye log jismani tariky sy mil sakty hen ya nahi,  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid DEEN e ISLAM  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 32269

Print   

  Question Aslam o alaikum. Kya maa(mother) ke khala zad (cousin) sy shadee krna jaiz hy jo umar main brabar (age fellow) ho  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Maa ki khala sai shadi karna haram hai laikin maa ki khala ki beti sai shadi karna sahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid ?  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 23598

Print   

  Question Kia 2 balig log apna nikha khud apni zubani kr skty hn? Or Allah k Bgair kis or gwah k?  
  Country  Gujar khan - Pakistan
  Answer 1)Nikha ka sigah aurat aur mard khud parh saktay hain ya kisi ko vakil bhi bna saktay hain ta k wo in ki taraf sai nikah parh dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328) 2)Nikah k lie gawah karna mustahabb hai aur zaroori nahi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 4455

Print   

  Question husband wife didnt intercourse sexually for the last 15 years,is nikah still valid  
  Country  rawalpindi - pakistan
  Answer It is not permissible for the husband to abandon sexual intercourse with his youthful, permanent wife for more than 4 months, except when sexual intercourse is harmful to him, or involves unusually more effort, or when the wife herself agrees to avoid it, or if a prior stipulation to that effect was made at the time of Nikah by the husband. And in this rule, there is no difference between the situations when the husband is present, or on a journey, or whether she is a wife by permanent or temporary marriage. But nikah is valid. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2382) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15570

Print   

  Question I M HINDU AND WANT TO MARRY A SHIA GIRL. WE BOTH ARE IN LOVE WITH EACH OTHER. HOW CAN I MARRY HER?  
  Country  DELHI - INDIA
  Answer Musalmaan aurat kisi kafir merd(maslan hindu) se shadi nahi ker sakti.haan agar wo lerka musalman hojaay tu os se shadi kerna jaiz hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masaˇil, Maslah#2362 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid HINDU  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15583

Print   

  Question Kiya koi ladka kisi isahi(christian) ladki se shaadi kar sakadta h? or ye islaam me jaez h?  
  Country  Aurangabad - India
  Answer Ehtiyaat e wajib ki bina par ehlay kitaab(yahoodi/ Isae) se nikah e dahimi nah kia jay laikin ghair daimi nikah( muta) karny main koe haraj nahi hay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #2362 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15302

Print   

  Question Kia main apni b.v. ke sagi khala say shadi kr skta hoon  
  Country  HARIPUR - PAKISTAN
  Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Ji han karsakty hain (Ref : Minhaajus Saliheen part#3, Ayatullah Sistani d.b. masla #90). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid SUNNI  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15316

Print   

  Question sir maine ek hindu larki ko kalma padha kar aur khuda ho hazir nazir maan kar yeh alfaaz mai nikha kara k kya tumhein mere saath nikah kabool hai usne haa mai jawab diya maine 3 baar poucha usne haan mai jawab diya aur humne meher bhi tai kara tha to kya hamara nikah ho gaya kya plz ans digiye hum dono balig hai  
  Country  delhi - india
  Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. 1)Nikah main sigah (nikah k bool) perhna zarori hai (chahay phone par ho ya samnay beth kar)aurat aur mard ka faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nhi hai. Aqd e nikah ki kuch shrait hain jin mai sai kuch ye hain k:- 1). Ehtiyaat e wajib he nikah ka sigah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazmi nahi hay. 2. sigha parhne wala aqal mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye k merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada) rakhte hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328+2335) 2)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14144

Print   

  Question dadi ki bahen ki beti se nikah ho sakta hai ya nehi  
  Country  hyderabad - india
  Answer Jee haan, dadi ki behan ki beti say nikah ho sakhta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus Saliheen, maslah # 90). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 24828

Print   

  Question Mera question yeh hai ki mera ek dost ek ladki se pyaar karta hai. Lekin woh ladki hindu hai . To kya yeh pyar jayez hai?  
  Country  Nagaon - India
  Answer 1)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi koun k gunah mai mubtilla hone ka khof majood hai. ( Ref : Kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2)Musalman mard kisi kafir aurat sai nikah nahi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2362)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid I love rosul  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14165

Print   

  Question Asalam-O-Alikum Janab....Mai eik larki ko bht chata hun. hum dono ki rasm bhi ho chuki hai..or ap larki k waleed ne rishta khtam kar rahe hain us larki ki umer 16 saal hai..kia mai us larki se nika kar sakta hun...is mai pakistani govt...nd Hamara Islam kia khata hai....Hmm dono eik dusray ko bht chate hain  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer 16 saal ki larki ka nikah sahi hay magar kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2341-42).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid 16 saal ki larki se nika kar jaiz hai  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14172

Print   

  Question ek aurat shaadi hone k baad dhosri shaadi kar sakti kya  
  Country  hyderabad - india
  Answer Shohar daar aurat say doosri shadi nahi kar sakhtay hain albatta aurat talaq ya shohar ki wafaat k baad iddat mukammal honay k baad doosri shadi kar sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2366) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid talaq  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 22411

Print   

  Question assalam-aley kum kya agar koi hindu apna mazhab change kar dey to vo ek syed ladki se shadi kar sakta ladki k liye kya sharah hogi aise condition mai agar ladki bhi usse pasand karti ho par ma bap na raazi ho.  
  Country  agra - india
  Answer Hindu jab muslman ho jae to os k sath shadi jaiz ho gi albetta Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-42)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Al-sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 19486

Print   

  Question mera ap sy swal ye hy k main syed hu lakin ghair syed larky sy shadi krna chahti hu lakin ghr waly nae man rhy ap btaen mjy kya krna chahye please zaroor btaeye ga or sath koi aesa wazifa b btaen jis sy mery ghr waly maan jaen.plz mjy zaroor jawab dijeay ga.  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer 1)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) 2)wazifa : Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid shia  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17878

Print   

  Question assalamu alekum mera sawal he kya apni sagi bhatiji se nikah hosakta he  
  Country  delhi - india
  Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Agar sagi bhetaji sai aap ki murad aap k bhai ki bahan hai to q k wo aap ki mehram hai is lie nikah haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17266

Print   

  Question aslam o alaikum.mara sawal yah ha k kia ALLAH OR US K RASOOL(un per darood).ko gawa bna kr nikah kr sakty han phne per.mara matlb ha agr me mulk sy bahr hun or larki apny ger ho.agr ham dono razi hun to kia wo nikah jaisa mahda ho jaye ga?Baqi rasmi nikah ham real me milny sy pahly zrur kran gay.plz mri tensin dor kr dain.  
  Country  lahore - pakistan
  Answer 1)Nikah main sigah (nikah k bool) perhna zarori hai (chahay phone par ho ya samnay beth kar)aurat aur mard ka faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nhi hai. Aqd e nikah ki kuch shrait hain jin mai sai kuch ye hain k:- 1). Ehtiyaat e wajib he nikah ka sigah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazmi nahi hay. 2. sigha parhne wala aqal mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye k merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada) rakhte hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328+2335) 2)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14232

Print   

  Question Kya hindu larki se love kar na galat hai?  
  Country  Lalbagh - India
  Answer 1-Gair akhtiri amr par hokum nahi lagta agarcha is k muqadmaat akhtiari hotay hain aar wo haram hoon to in ka irtekab nahi karna chahaea. (Ref: Website ayatollah sistanid.b. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1845). 2- Hindu say nikah jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2362). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14197

Print   

  Question salam.i am 23 yrs old girl.meri 3 saal pehle apne khala k bete k sath mangani hui th.wo mjhe pasand krte the or men bh unko pasand krne lg gai.hamari apas men kafi understanding ho gai he 3 saalon men..or ab agle sal hmari shadi bh he.kia mangetaron ka apis men relationship islam men jaiz he,is niyat se k un ki apas men shadi honi he?plz is ka reply zarur krye ga mere email adress pe.or aik or masla bh he wo ye he k ham aik dusre k bager nai reh skte the,bht zarurat mehsus hoti th aik dusre ki jese miyan biwi ko aik dusre ki zarurat hoti he wese.. ham ne pichle saal shadi krne ka decide kiya ham ne apne parents ko bh ye bat btai k ham nikah krna chahte hen ap hmara nikah kr den bt wo nai mane,unhon ne kaha k pehle apni parhai mukamal kro phir kren ge shadi..to ese men gunah kis pe he?hamen ajeb ajeb jinsi khyalat ate hen or sexual desire buht ziada hoti he.plz ese men hamen guide bh kijye ga k hamen kia krna chahye..hamare parents to kehte the k apis men contact na rakho bt ham se aik dusre k bager bilkul nai raha jata hamare lie bilkul na mumkin he esa krna..plz mere sare questions ka detail men answer dijye ga ...i m waiting...  
  Country  multan - pakistan
  Answer 1) Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342). Note: Aap say ghuzarish hay k wali (walid) ki izajat say muta(temporary marriage) kar lain jab tak k daimi nikah nah ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13857

Print   

  Question Mayray 1 simple sawal hay. Larki ka Nikkah howa wa hay or Rukhsati nahee hoyee. Usay mujh say or mujhay us say pyar hogaya hay k hum dono 1 dosray k bagair nahee reh saktay. Kia Larki apnay husband say Khula lay k mujh say shahdi kar sakti hay or kia Eddat ki zaroorat hay. Agar larki a sa karay to kia hum larki ko or mujhay Gunna to nahee hoga. Islam kia kheta hay.  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer 1-Agar koe aadmi kisi aurat ko warghalaay k wo apne shohor se muta,alliq azdawazi zimmedariyaan pori nah karay takeh is terah shohor ose talaq daine per majbor hojaay or wo khud os aurat k saath shadi ker sakay tu talqa or nikah sahi hay.Laikin dono ne bohot berha gunah kia.(yani aurat or os ko behkane walay ne).(Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2502). 2-Talaq khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2492). 3-Jis aurat k sath os k shohar ne humbistri nah ki ho to is sorat main aurat k lie koe iddat nahi yani wo talaq k fauran baad doosra nikah ker sakti hay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #2462,2475 ) Note: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17145

Print   

  Question if husband didnt meet wife for long time till four motnhs without any contact and nan nafqah.than nikah will be valid or ont?  
  Country  rawaplindi - pakistan
  Answer 1)It is not permissible for the husband to abandon sexual intercourse with his youthful, permanent wife for more than 4 months, except when sexual intercourse is harmful to him, or involves unusually more effort, or when the wife herself agrees to avoid it, or if a prior stipulation to that effect was made at the time of Nikah by the husband. And in this rule, there is no difference between the situations when the husband is present, or on a journey, or whether she is a wife by permanent or temporary marriage. 2)If the husband who is responsible for the wifes maintenance, does not provide her the same, she can draw her expenses from his property without his permission. And if this is not possible, and she is obliged to earn her livelihood, and she cannot take her case to the Mujtahid, who would compel him (even by threatening him with imprisonment) to pay the maintenance, it will not be obligatory upon her to obey her husband while she is engaged in earning her livelihood. In above two problems in a permanent marriage, the marriage is in order(valid). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2380-82) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17130

Print   

  Question mari baat cheet aik larki se pakki ho chuki he mare rishtedaar he,sb bazurgoon me baat pakki he aur hum se bhi pocha gaya aur humain bhi kabool he aur kuch months me shadi bhi ho jaye gi mgr kia is trha nakah ho jata he mean sb me aur hum dono me baat cheez pakki he aur kia hum aik dosre se sex kr sakte hain tafseel se batana  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Baat pakki hona nikah nahi hota hai aur aap aik doosray k lie na mehram hi hain jab tk k nikah k sighay na parhay jain. Q k shadi k lie nikah k bool (sigay) parhna zaroori hai. aurat aur mard k faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 17121

Print   

  Question salam ,sawal yeah hai key meray bhai ki ek jaga baat pakki howi hai. us ka or larki ka naam kafi similar hai.bhai ko jub naam bataya tu us key dimag main yeah khayl aya key yeah nam kesa hi same same lagta hai aisa hia key jesey key bhai bhan hai.but in ka istekhara MASALLAH kafi acha aya hai ub bhai phochna cha raha hai key aya main is sey nikah ker sakta hoo.  
  Country  uk - uk
  Answer Mard ko chahae k jis aurat sai shadi karna chahta hai os me un sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahae jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukravi muamilaat me sohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 pg # 232). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Ayatullah Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16976

Print   

  Question mera sawal ye he k kia 15 sal ki larki k sath nikah jaiz he ??? larka 19 sal ka he or larki 15 sal ki & larka larki dono rai he to kia wo nikah kr sakte hen plz give me ansr Thanks.  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Jee han nikah ho jae ga magar nikah mai shrt ye hai k kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16953

Print   

  Question nikah k liy aceptance and propsal ka huna lazmi hy gwah bhi hun to kia nikah phu gia hy cell py? jst larka and larki ki razamandi aur 2 gwah bhi hun ......answer plzzzzzzzzzzzzz  
  Country  multan - pakistan
  Answer 1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(yani muta) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335) Agar merd or aurat khud ghair daimi nikah(muta) ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat aur meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2334). 2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16277

Print   

  Question YA ALI MADAD. mera sawal yeah ha k maine ghar waloon say chup k nikkah kia hai aur meri shareek.e.hayyat ny bhee q k dono ki families main ana (EGGO) ka masla ha woh kehtain hain mardo apny ap ko lakin hum gair (out of relatives) main rishta nahee dain gain chahyee woh ayash hoo sharabi hoo yan zinnah khor hoo agar hum apnoo main dain gain to humari ankhoon k agy hogi humari beti ab sawal dusra yeah hai k kia main us ko woh ghar chorny k liyee kahoon k nahee q k woh kehti hai k mery liyee mery waladin k bari izat hai jb k main kehta hoon woh sab theek lakin jab woh tumhary liyee yeah sochty hain k 45 saal k admi say rishta kerna pasand karain gain sharabi,ayash,zinnah khor, chor ko dain gain lakin kisi or jaga (out of relatives) nahee dain gain plz reply detail main dain is baat ka k main mera Nikkah zahir karoon k nahee kia main apni family ko bata dooon yaan kisi moky ka wait karoon ??  
  Country  hyderabad - pakistan
  Answer kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16842

Print   

  Question kya aik syed zadi ki shadi aik ghair syed sy ho skti hai jo shia b ho? or bht namazi parhez gaar b ?  
  Country  faisalabad - pakistan
  Answer Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid ayat ullah ali sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15492

Print   

  Question hm ek ladka ko 5 sal s pasand karte h aur ab mere parents nikah k lia raji nhe h to kya hm bina imam k nikah kar sakte hai?  
  Country  Rachi - India
  Answer kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid as salam a lekum..  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16803

Print   

  Question Agar koi larki apne nikah ke bad kisi na mehrum se jama karti hai tou kya nikah toot jata hai, aur wo apne shohar se khula kis tarah le sakti hai?  
  Country  multan - pakistan
  Answer 1)Agar sohar dar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai laikin sohar par haram nhi hoti hai aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina kari trk na karay) to behtr ye hai is ka sohar isay talaq day dai. 2)Talaq khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2367, 2492). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16315

Print   

  Question Salaam main ek shia larki hoon . or ek sunni arbi aadmi se shadi karna chahti hoon . kia ye jayiz hai ya nahi .. .?  
  Country  Dubai - UAE
  Answer Agar gumrahi ka khoof na ho to shadi shi hai , albatta ye tabei tor par unhien logon main hosakta hai Jo ahelbait a.s. sai dushmani rakhney welay nah hon. (Ref : Mujathid se pochey gay sawalat masla No#134) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13806

Print   

  Question Kya me mere bade abba ki ladki ke saat shadi kar sakta hu Pura gar raji ho to  
  Country  Nallasopara - India
  Answer Wo auratain jin se shadi karna haram hai us main se bade abba(taya zaad) ki larki shomar nahi hoti . yani tayazaad behen se shadi kerna jaiz hay.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #2349,2353 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Shadi ki  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16811

Print   

  Question Salam, Molana Sahib sab sy pehly meri tarf sy app ko aur app ki pori team ko iss azeem kam par mubarik baad pesh karta hoon aur khuda pak app ki iss kawish ko apni bargaa mein qabool karry. sir, mery 2 question hy plz reply meri email id py zaroor kejje gga mein wait karoo gaa inshallah. Q.NO.1 Agha sb mera swal ye hy k app ny farmaya tha k agar ak shakhs kisi female sy zina karry to jab tak woo dono suchi tobba na karry woo ak dosrey sy shaddi nai kar sakty agha sb mera sawal ye hy k kia agar ak male kisi female ko sirf 2 baar kiss kr chukaa hoo to kia wo shaddi kar sakty hy ? aur kia tobba k lye ye kaffi hy k woo dobarra ye kam na karry ? Q.NO.2 Agha sb mera dosra sawal ye hy k app ny farmaya tha k ak husband apni wife ko suck kar sakta hy agar iss dorran milk mein challa jaay to aeteate e wajib hy k woo dhood na piyye. Molana sb mera sawal ye hy k kia ye kaffi hy k agar during sucking dhood (milk) ya koi aur rotobbat uss k mouh (mouth) mein aa jaay to woo sirf uss ki kulli (thook) kr dy yehi uss koo mouh sy bahir undaill dy to kia ye kaffi hy ? aur dosraa ye k woo kitni barr ak dinn mein asses kar sakta hy ? thanks jawab zaroor dena app ki mehrbanni hoo gii.  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer 1)Na mehram k sath jinsi lams (begair intercourse k) zina nhi samjha jata hai laikin haram hai. Aur toba karain parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888) 2) Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar sohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay(yaani halaq say neechay nah utara jaay. Aur kulli kar li jae).(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). 3) Biwi ki sohar sai nafrat paida honay ka aik mouqa is waqt hota hai jab mard jima k fan ko fan e phalweni sai tabeer krta hai aur apni aurat par puray zor o shor sai toot kar Pay dar pai mubashrat k zarie aurat par apni mardangi ka roeb jamanay ki koshish krta hai jab k ye bulkul galat hai is sai is ki mardangi khatam ho jati hai. is lie aik jima k baad kuch dinoo ka waqfa zaroori hai. (Ref: Islam aur jinsiaat pg # 157)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Grand Ayatollah Sistani Sb.  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 4785

Print   

  Question kya syed larki nan syed se shadi kar sakti hai plz jaldi jawab do sukria  
  Country  stockholm - sweden
  Answer Shia Syed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16764

Print   

  Question Kia 2 gawahon ki mojudgi me larka larki ek dusre ko qubul karlen aur meher pe bat nahin hui ho to kia nikah hojata hai? Kia wo larka larki ham bistari karsakte hain  
  Country  karachi - pakistan
  Answer 1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(mutah) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay. Aurat aur mard ka faqat razi hona kafi nhi hai. Aur gawahoo ka hona zaroori nhi hai is k alawa mehar ko tay krna zaroori hai. 2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). Shi nikah k bagair hambistri krna haram hai. q k wo zina ho jae ga aur zina gunah e kabeera mai shumar hota hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16766

Print   

  Question kia mey apneee wife kee banjee say nikah kar saqtaa hun  
  Country  jeddah - saudi arabia
  Answer Insan apni biwi ki ijazat k bagair us ki bhanji sai shadi nhi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2357)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid shishtani saheb  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14227

Print   

  Question mera dost jis ke umar 45 sal hay apni mojodah zindah biwi ki khala jo key takreen 48 years ke he abhi tak us ny shadi nahi ke us say shadi karna chahta hay sharaeen bataen kia yeh nikah jaiz hoga  
  Country  karachi - pakistan
  Answer 1)Apni biwi ki khala say shadi karna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2349-75) 2)Aik sai ziada shadi karna riwayat ki roshni mai mustahab hay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 105). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14982

Print   

  Question mere pass qafi log hain muttha mei jo interested hain aur qafi uraat bi hain jo muttha majboori mei karna chati hain (widow and divorced) agar mei in do no logo ko mila ne ka kaam karun tu sahi hai ? aur aus ki ujraat mard hazraat say talab karun tu sahi hai aus paisy say mei divorced and widow lady ki madaad karun tu kya sahi hai ?  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Nikah k lie khawish mand logo k lie koshish karna, in k lie wasila banna aur dono ko rishtay par aamada karna mustahab hai. Q k ye aik mustahab amal hay or mustahab amal k paisay laina bhi jaiz hay.or in paiso se madad kerna bhi jaiz hay.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 389 pg # 233,986). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Sistani Sahab  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 7565

Print   

  Question Salam: My Marriage has passed eight months but i am not able perform intercourse to date as my wife has almost no sex drive. Initially she reacted whenever i tried to do and some times even she yelled on me. But whenever i talk on this subject she never stops me but she says that she can not do this. Currently the situation is like that when ever i come close to her or simply kiss her , she behaves like a "dead body" although her reactions are controlled . Please advice that should i perform without caring her feeling and problems or leave her. according to her she do not like sex as to her its a dirty process. please advice . I am follower of Ayoutallah sistani. Syed Abid Hasan  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer 1)For a woman with whom permanent marriage is contracted, she should submit herself to his sexual desires, and should not prevent him from having sexual intercourse with her, without justifiable excuse. 2)If the wife does not fulfil her matrimonial duties towards her husband, she will not be entitled for the food, clothes or housing, even if she continues to live with him. But if she refuses to obey occasionally, the common verdict is that even then she cannot claim any entitlement from her husband. But this verdict is a matter of Ishkal. In any case, there is no doubt that she does not forfeit her Mahr. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376,77)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Ayoutallah Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16552

Print   

  Question salam agha mujhe ye puchna hai k shadi ki date nahas e akber ka din agaya hai to plz bataye k kia karain shadi hosakti hai ya nahin ya koie sadqa dena pare ga plz reply karain or meri problum solve kardain plz agha  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Nikah k sighay perhna qamar dar aqrab ya jab chand mehaaq (chand ki akhri teen takeekhain jin main chand chup jata hay 27, 28, 29) me ho tu nikah karna makrooh he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Agha Sistani Sahab  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16537

Print   

  Question kya souteli khala se nikah ho sakti hai  
  Country  new delhi - india
  Answer Agar souteli khala se muraad wo auraat hai jo aap ki maah ki bahn ho aur donoo k baap aur maa(waldain) same hon , ya baap same aur maa alag ho, ya maa same aur baap alag ho to in teenoo suratoo mai wo aap ki khala hai aur in se shadi karna haraam hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16226

Print   

  Question Asakum..mera sawal ye hai k mai ek ladki ko chahta hun r usse nikah b krne wala hun .lekin kuch majburi ki waja se nikah ek saal k bad krna hai ghar wale sub razi hai..lekin mai abhi us ladki se nikah krna chahta hun bina ghar walon ku bataye...phr ek saal bad ghar walon k samne dobara se nikah hosakta hai..r nikah k kya sharayat hai.kya kisi ko btaye bgair nikah padha liya jaye to nikah hojay ga ...? Plz pura jawab den ..shukriya.  
  Country   -
  Answer kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16248

Print   

  Question Asalam Alikum... Mufti sahib ye bataiye ga keh Razai Behan sy Shadi ka kya hukam hy kya os sy larky sy os ki shadi jaiz hy jis larky ki maan ka dodh os ny piya ho????  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Koe shaks os lerhki se nikah nahi kersakta jisay os shaks ki maan ya dadi nay pora dhoodh(yani 8 shara,it k saath) pilaya ho. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Touzi hul masa,il, maslah #2434, 2438).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15276

Print   

  Question Aselamu Alaikum:mera ye quetion hai k me ne nabaligh lerki se nika ki hai un ki amee uor abo ne mujai qasam di hai k jeb theg ye baligh na hoga hai isai hath ney lega na.lekin thum is ke sath waise so sekthai ho kia mera un ke sath sona jahiz hai ya ney please answer:  
  Country  Quetta - Pakistan
  Answer Agar koi shakhs na-balig larki sai nikah karay to is larki ki umar 9 saal honay sai pehlay is k sath jima krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2374)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16408

Print   

  Question salam alikum mera savaal yeh ke mai aik shai hoon or or mai aik sunni ladke sa shade karan chahta hoon magar us ka ghar vala ejazat nahe data hai kya main os ka gharvaloon ka bagar nikha kar sakhta hoon  
  Country  srinagar - india
  Answer 1)Kisi gair shia sai shadi krna agar gumrahi ka khof na ho to sahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 134,pg # 70) 2)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14668

Print   

  Question I am a shia syed girl. Can i marry with sunni syed boy His name is Nadir Hasan Rizvi  
  Country  Delhi - India
  Answer If you fear that you will go astray, and this is a possibility, then wedding is Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Allowed. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 136,pg # 62) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Marriage  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16407

Print   

  Question mera maslak shia hai aur ma syed family sa hoon namaz sunny tarz per perta hoon maray 3 bachay hain aur mery wife meray tamam haqooq pooray kerti hai mujay is k bawjood irani syed girl say shaadi ki khaish hai jab k meri wife is baat ki sakht khilaf hai mujay jawab zaroo dain ap ki boht mehrabani hogi.  
  Country  attock - pakistan
  Answer 1)Aik sai ziada shadi krna riwiyat ki roshni mai mustahabb hai aur pehli biwi sai ijazat lena zaroori nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 105,pg # 53) 2)Sunni tareeqay sai namaz parhna sahi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1113)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid seestani sab  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16368

Print   

  Question kia sms py nikah pssible hy gwah mauqy py tu ni thy bt muqy py unhain msg dikhaya gya plzzzz gve answer  
  Country  multan - multan
  Answer SMS par nikah sahi nahi hai q k nikah mai nikah k sighay k bool parhna zaroori hai. aur nikah likhna ehtiyat e wajib ki bina kafi nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13703

Print   

  Question asslamualekum mera sawal ye h ki me ek ladki se shadi karna chaa hu me 25 ka hu wo 21 saal ki h. uske maa baap ki ijajat k bina me usse phone par nikah kar skta hu.  
  Country  delhi - india
  Answer Jee nhi kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#,2341,2342)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid nikah  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14671

Print   

  Question SIR,MERA QUESTION HY KY MAIN NY PEHLAY EK LARKI SY BURA KAM ZINHA KEA HY PHR US SY SHADI KR RHA HN TO KEA MERI SHADI HO SKTI HY KEA.US KA KEA KAFARA DENA PARY GA  
  Country  MAHMOOD KOT - PAKISTAN
  Answer 1)Zina krna gunah e kabira hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29) 2)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid AYYAT ULLAH SISTANI  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16316

Print   

  Question islam mein ek larki kitne mardo k sath shadi kar sakti hai  
  Country  peshawar - pakistan
  Answer Jab aurat sohar dar ho yani kisi ki biwi ho to os k lie sohar k hotay huay doosri shadi krna haram hai leikin job sohar talaq day day ya sohar ki wafat ho jae to iddat k baad doosri shadi kr sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2366) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13760

Print   

  Question kya aik syed larki ki shadi ghair syed larky sy jaiz hy? agar nae to kyu plz meri help krain is masly main  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer Shia Sayed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13858

Print   

  Question kya internet pay nikah ho sakta ha  
  Country  sssssss - ssssssss
  Answer Internet mai likh kar nikah kia jae to wo sahi nahe hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 108 ,pg # 53-54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sssss  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13762

Print   

  Question Me ek larki se bht piar krta hon aur usy milta bhi hon, us k sath intercourse bhi kia hai mgr ab apny kiey hue gunah pr bht shrminda hon aur us se nikah kr k uski zndgi ko mehfuz bnana chahta hon because woh mere ilava ksi aur se shadi kbhi nahi krna chahti, me kuch majboriun ki wja se sb k samny nikah nahi krna chahta khufia nikah krna chahta hon jis pr larki ki ami ko koi aitraz nahi mgr usky abu ijazat nahi dete, kia me us k sath uski ami ki ijazat se khud he bghair gawah k seeghay parh skta hon? Yahan par yeh batana zruri smjhta hon k woh muasharti lihaz se mere barabar ki larki hai to kia us sorat me bhi us k abu ki ijazat lazmi hai? please jawab zarur den me bahur pareshan hon.  
  Country  Layyah - Pakistan
  Answer 1)Zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) 2)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hai k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) 3)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Aqa Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16275

Print   

  Question shohar ka haqoq kia han?  
  Country  sargodha - pakistan
  Answer jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram he k sohar ki ijazat k begair ghar se pahle bahir nikle chahae is ka nikalna sohar k haq k manafi nab hi ho. Magar ye k koi aham zurarat pesh aye.Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. Biwi ki giza, libas, rehaish aur zandigi ki baqi zarooriat ka intezam sohar par wajib hai. lekin mard ko ye haq nhi k biwi ko gharelo khidmat par majboor kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376-78)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16139

Print   

  Question "CAN A MUSLIM BOY CAN MARRY WITH CHRISTIAN GIRL",TELL ME AHDES AND QURAN VERSIS,,FOR INFO..  
  Country  khanewal - pakistan
  Answer A male Muslim also cannot marry a non-Muslim woman who are not Ahlul Kitab. However, there is no harm in contracting temporary marriage with Jewish and Christians women, but the recommended precaution (ehtiyat e Mustahabb) is that a Muslim should not take them in permanent marriage. (Ref: Ayatullah Khoei(r.h),Tauzee hul masail, maslah # 2406)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Allama khoi shb  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16263

Print   

  Question kia aik beti jo maa se to sagi hai lakin baap se soteli to wo baap k lie haram hai ya halal  
  Country  sialkot - pakistan
  Answer 1)Agar koi shakhs kisi aurat sai nikah karay aur is k sath hambistri kray to is aurat ki larki is mard ki mehram ho jati hai chahae wo shadi k waqt moujood ho ya baad mai paida ho. 2) Agar koi shakhs kisi aurat sai nikah karay aur is k sath hambistri na ki ho to jab tk wo aurat k nikah mai hai ehtiyat e wajib ki bina par is waqt tk is ki larki sai shadi na kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2351-52)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16210

Print   

  Question KYA SMS PE NIKKAH HO SKTA HAI ? LARKI LARKA DONO BALIGH HAI OR PYAR BI BHT KRTY HAI EK DOSRY SY NIKKAH SMS PE KR CUKY HAI MGR YE JANNA ZARORI HAI K KYA SMS PE NIKAH HO SKTA HAI ?  
  Country  KARACHI - PAKISTAN
  Answer SMS k zarye nikah nahi hota. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 30) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16234

Print   

  Question Kia aisi larki sai shadi krna jaiz hai jo akhlaq ki pabindi na krti ho?  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Jaiz hai aur wajib hai k osay is gunah sai roka jae. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 106, pg # 53)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Ayatullah Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16053

Print   

  Question kia sunni larki ka ehl e shia Mard se nikah ho sakta hy  
  Country  hyderabad - pakistan
  Answer Note : Is website par fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Gair shia sai shadi krnay mai agar gumrahi ka khof na ho to shi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 134, pg # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15271

Print   

  Question kia non syed larka syed larki se shadi kar sakta hai detail main btaie ga muje  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer Muslman, muslman ka kafo(barabar,manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai isi lie Syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k saath jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15949

Print   

  Question meri beti ne mery bary bai k bety k sath doodh peeya hai un ab ap mujy ya batain k kia meri beti k bad ka beta hai aur mery bai k bety k bad ki beti paida hui hai kia kia in dono ki shadi ho sakti hai jo razai behan aur bai k bad paida hue hain k ne is mamly main meri thori c rehanamai kijiye please  
  Country  Muzaffarabad Azad Kashmir - Pakistan
  Answer In donoo ki shadi ho sakti hai q k agar koi aik aurat aik sohar ka pura doodh aik larkay aur aik larki ko pilay to is larki k behan bhai is larkay k behan bhaioo k mehram nhi ban jatay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2444) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15926

Print   

  Question kia syed zaadi ka nikah ghair syed (shia)sy ho sakta hy?  
  Country  Sargodha - Pakistan
  Answer Syedani ka ghair syed shia mard sai nikah bila ishkal jaiz hai is lye k muslman, muslman ka kafo(barabar,manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai aur momineen aik doosray k kafo hain. (Ref : Ayat Ullah Imam Khomeni(r.h), Tehreer ul Waseela Part # 3, Maslah # 11 Chapter : Ahkam e kufr). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid aaqa khumeni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15921

Print   

  Question kia ak syed larki ak non-syed larky sy shadi kr skti ha?  
  Country  faisalabad - pakistan
  Answer Muslman, muslman ka kafo(barabar,manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai isi lie Syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k saath jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 16001

Print   

  Question Kia AIDS k mareez k lie jaiz hai k wo is beemari sai mehfooz insan sai shadi karay?  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Jee han jaiz hai. Albetta AIDS sai mehfooz shakhs ko dhoka dena jaiz nhi hai yani ye jantay huay k mai AIDS ka mareez hon , shadi k waqt apnay aap ko AIDS sai mehfoos zahir karay. Is lie AIDS k mareez k lie hambistri bhi jaiz nhi jo beemari k muntaqil honay ka bais bnay. Lekin agar beemari k muntaqil honay ka srf ehtimal ho aur yaqeen na ho to hambistri sai ijtinab krna wajib hai. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 375, pg # 225) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Ayatullah Sistani d.b.  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13814

Print   

  Question assalamalaikum mera sawal ye hai ki mere ammi ke 8 chachajan hai unme 8 ve chacha ki choti beti jo mere se 9 saal umar me choti hai meri umar 25 hai aur ladki ki 16 sal hai kya usse mera nikah jaiz hai  
  Country  karnataka hubli - india
  Answer Ammi k chacha ki beti sai nikah sahi hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15036

Print   

  Question agr koi lrka ur lrki apas main zina kr lyte hain sirf apas main zina us k alawa wo zina k adi ni ur ab wo shadi kann chahate Hain tu kya krain koi kafara wegera ya koi b tereqa ho ya simple ase he nekah kr lain  
  Country  gujranwala - pakistan
  Answer 1)Zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30), 2)Agar koi shaks kisi aise aurat se zina kare jo be-sohar ho mugar iddat me na ho to ehtiyate wajib ki bina per toba karne se phele is se shadi nahi kar sakta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid shadi  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14072

Print   

  Question salam Main ek lerke se pyar karti hoon us se shadi karna chati hoon kyun k us k or mere bich kuch relation reh chuke hain hum ne Sex kar lia hai us k lyei main bohot sharminda hoon main namaz pahrti hoon ALLAH se mafi bhi mangti hoon lekin muje 2 month ho gue hain k maine us se cut kar di hai main us k sath shadi karna chati hoon pehle muje itni islamic talim nehi thi lekin abb samaj a guei hai lekin muje kya pahrna chaie ya kay karna chahie take us larke k ghar wale man jaen or who bhi kyun k islam main hai k Halala sirf shadi k baad hi hota hai lekin main tho spain main hi rehi hoon tho muje itni samaj nehi thi lekin jab se muje yeh pata chala hai tho main bohot pashtarehi hoon KHUDA meri galati maf fare lekin muje abb usi larke se shadi akrni hai kyun k main kisi or ki zindagui nehi kharab kar sakti or na hi apni Pleas ho sake tho jaldy mera msg reply karden App ki bohot shukar guzar hoon gui. Pleas meri help karo mere ghar wale man gue hain lekin larke k ghar wale nehi mante who chahte hain k us ki sahadi kisi famly member se hoo or usi cast main. Pleas meri madad karenn.... Thnkyu...  
  Country  barcelona - spain
  Answer Ehtiyaat e wajib ye he k aap os shakhs say toba karnay say pehlay shadi na karain jis nay aap say zina kia ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14637

Print   

  Question maray dost nai apni bivi ko talak diye bina dusri shadi karli kya ye jayaz hy?  
  Country  tirupathi - india
  Answer Mard ka aik say ziada shadi karna riwayat ki roshni may mustahabb hay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 105 pg # 53).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14087

Print   

  Question Ref Q: 14012. Q: Muta with shemale (3rd gender) for pleasure is allowed ?  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer 1)Aqad e izdiwaaj k zarie aurat mard par aur mard aurat par halal ho jatay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, nikah k ahkam pg # 357 ) 2)Ab ye dekhna paray ga k khunsa -yani wo k jis k pas mard aur aurat donoo ki sharam gah(peshab ka makhraj) hon- mard hay ya aurat. Agar kisi terha say pta chal jay to osi k ahkam jari hoon gay aur agar pta na chal sakay to os ko pechannay ka ye tareeqqa hay: Dekhain gay k wo peshab kaha say karta hay agar mard ki sharamgah say kartay hay to mard ho ga aur agar aurat ki sharam gah say karta hay to aurat ho ga. Agar wo donoo sharamgahoo say peshab karta ho to ye dekhain gay k sab say pehlay kis say peshab karta hay agar mard k aalay(sharamgah) say niklti hay to mard aur agar pehlay aurat k aalay say niklti hay to aurat samjhain gain. Aur agar donoo say sath peshab karta ho to kaha gya hay k ye dekha jay k aakhir may kis makhraj say khatam karta hay agar mard say to mard aur agar aurat say to aurat samjhain gain. (Ref : Minhaj-us-Salaheen part # 3, Masla # 1094) Note : Jab sabit ho jay k mard ya ya aurat to pir shadi ho sakhti(mutah) hay. )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Aqa-e-Shistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14880

Print   

  Question ager kisi ladki say payer ho aur uskay 7 phone per phone sex kiya ho phir uskay 7 shadi kary to kay wo theek hay ...  
  Country   - india
  Answer Jee haan shadi kar saktay hain Magar Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai hubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2349-75 and kitab Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14059

Print   

  Question ma ak orat k sath sex kerta raha phr ma ne toba kr li kia ma uski beti se shadi kr skta hu agr ma inkar kru to khandan tot jae ga or kisi ki death b ho skti ha ma sirf ise khalisatan nek neyati ki bina pr uski beti se shadi kr skta hu ya ni  
  Country  london - england
  Answer Agar koi shakhs kisi aurat (phopi ya khala k alawa) say zina karay to ehtiyat e mustahabb ye hai k is ki beti k sath shadi na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2361 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13978

Print   

  Question kitney arsey azdawaji talluqat na honey per nikkah khatam hojata hai?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13980

Print   

  Question assalamo alaikum,maine apne uncle ki ladki se zina kiya jo mujhse 6 saal umer main badi hai.pehle to mera irada nikah ka nahi tha par ab hai kya krun aur ladki bhi kisi aur se nikah nahi krna chahti.kya allah ne zina ki jo saza qayamat ke din aur jahannam main batayi hai.main uska mustahik hun.main ne hi behla phusla kr usse zina kiya tha ab is gunah se kaise maafi mangu,ladki k abba mere mamujan hai.maine unse kaise nikah ki baat krun aur kya mere nikah krnese ALLAH mujhe maaf krdenge?aur yeh gunah ka kaffara ho jayega?  
  Country  mumbai - india
  Answer Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 15051

Print   

  Question kin kin halat main insan ko nikkah kr lyna cahye......???????  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer 1)Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) 2)shadi un mustahabbaat mai sai hai jin ki islam mai bohat ziada taqeed ki gae hai. Razool e akram ka irshad hai k jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385 pg # 231 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13984

Print   

  Question sir mera question hai keh kia jis laki ky sath zinah kia ho larky ny ur woh laka bad me kia us sy shadi kar sakta hai  
  Country  multan - pakistan
  Answer Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13876

Print   

  Question main ye pchna chahta hon kae har aurat jab pehli dafa sex kati ha us ko blood ana lazmi ha kae nahi  
  Country  gujranwala - pakistan
  Answer She may have lost her virginity due to an accident or she may not have had the membrane from the beginning. In case, you stipulated in the marriage contract that should be virgin, you have the right to cancel the marriage. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : April 21, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13796

Print   

  Question nikah main larkay or larki k kitnay wakeel hony chaheyain,or agar wakeel pooray na hoon to kya nikah ho sakta hai?  
  Country  london - u.k
  Answer Nikah k waqt ghawaoo ka mujood hona wajib nahe hai balke mustahab hai.(ref. minhajus salaheen #3 aqa sistani masla#3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid aayat ul allah sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14961

Print   

  Question ek khatoon ne 2 shadian ki,pahle ek admi se or phir unki death k bad us admi k bhai se phr 2nd shohar ki b death hugai.dono shohron se ek ek larki hy.kya in dono larkio ki shadi ek he larkay se ho sakti hy?ya phr soteli behno ka b ek admi k nikah me jama hona jaiz nahi hy?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Q k wo donoo behn ban chuki hain is lie aik shakhs aik waqt mai in donoo sai shadi nahi kar sakta hai chahae daimi nikah karay ya gair daimi(mutaa). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2355 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid ayatullah sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14735

Print   

  Question My age is 24 years..Meri aik larki se mangni hoi ...aaj muj se galti ho gai ha... Ma uske ghar gaya aur wo ghar me akeli thi ma ne usko kiss ki,,,shirt uttari aur uske kapray uttar kar uske sath sex kiya aur apni sharamgah us ke peeche dali ,,,,,,,ab muje kiya karna chahiye? Please batain ...ma apne aap par control na kar saka tha  
  Country  New york - London
  Answer Q k aap nai apni mangeter say zina kia hay is lie ehtiyat e wajib ye hay k aap apni mangeter say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14828

Print   

  Question AOA. mere ghar walay shadi k liye nahin maan rahay kiun k unko wo lerka nahi pasand kia mai us k sath bhaag ker shadi ker lu gunah to nahi hota... ku k mai kisi or say shadi ker k khush nahi reh sku gi. plz give me solution?  
  Country  rahim yar khan - pakistan
  Answer kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13784

Print   

  Question kia 3 baar larka or larki apus m pyar or mzaq m "kabool hai" dil se bol dain to nikah ho jata hai jb k ghr waale na jaante ho k dono aik dusre ko bht chahte hain.???  
  Country  lahore - Pakistan
  Answer 1)Nikah me shart ha k (maqsoos) alfaaz k zaria eijaab aur qabool kiya jaay .aur kohe bhi amal eijaab k qaim maqaam nahe ban sakta .(lehaza alfaaaz ada karna zaroori hai) ..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 245 masla #439) 2) Ehtiyat e wajib ki bina per nikah(nikah k alfaaz) arabi me perhai jaay agar khud mard aur aurat arabi me na persakte ho to arabi k ilawa kisi aur zabaan me nikah per sakte hai. Masln phele mahar moiiyan karne k baad aurat kahay me ne is mahar per jo moiiyan ho chuka hai apne app ko tumhari biwi banaya is k lmhe bher baad mard kehe me ne is shadi ko qabool kiya to nikah sahe hai.aurat agar pele se shadi shuda na ho (yani pele shohar se is k intercourse na hoa ho ) to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2335,2333,2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14796

Print   

  Question agar aek ladki kisi ko pasand karti ho aur us se shadi karna chahati ho likin aghar walon mai tanazah ho toh kya kiya jiye ,,,,  
  Country  srinagar - india
  Answer 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342) 2) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13734

Print   

  Question kya souteli khala se shadi ho sakti hai  
  Country  new delhi - india
  Answer Agar souteli khala se muraad wo auraat hai jo aap ki maah ki bahn ho aur donoo k baap aur maa(waldain) same hon , ya baap same aur maa alag ho, ya maa same aur baap alag ho to in teenoo suratoo mai wo aap ki khala hai aur in se shadi karna haraam hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid muslim  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13748

Print   

  Question 1)Mere real Chacha ki nawasi jo ek rishte se meri "bhaji" hoti hai kya us se nikah jayez hai? 2)Aur Kis Kis se nikah nahi kiya ja sakta detail mein .? please reply fast mere rishte ki baat ho rahi hai ...  
  Country  Maharastra - India
  Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Chacha ki nawasi sai aap ka nikah jaiz hai. 2)On aurtoon k saath jo insan ki mehram hoon nikah haram hay. maslan maan, behen, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji, saas. etc (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14565

Print   

  Question There is a group who buys girls and rents them for sex or mutah or nikah for a period. Girls are sold by their parents, and the groups become the guardian of the girl. Will renting a girl allowed, for mutah? Also, what if I buy virgin ones, So they will not be called a prostitutes?  
  Country  UK - london
  Answer That is act is not permissible.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: July 04, 2010). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid A. Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14308

Print   

  Question marriage with a sunni boy... is it possible or not????  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) Translation in English A shia girl is permitted to marry a sunny boy if he has not enmity towards 14 Masoomeen a.s, but this is makrooh. On the other hand, if the sunni boy is enmity towards 14 Masoomeen a.s, the nikah is haram. And if the girl feels going astray after marriage with that sunni boy, in this case it is also haram. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14328

Print   

  Question kiya aik zani aurat kisi ase mard se saza liye beghair shadi kar sakti hay jis ne aj tak zana na kiya hu  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Ji Haan shadi kar sakhti hay magar ehtiyaat e wajib ye hay k jo aurat zina may mashoor ho jab tak wo toba na karay is say nikah nahi kia jay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, pg # 235 maslah # 403). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14304

Print   

  Question salam.mene 6 sal pehle apni marzi se ek larke se nikah kia meri umer us wakat 20 saal thy.nikah karni ki wajah ye thy ke mere ghar wale meri shadi zabardasti kisi badkirdar bande se kara rahe the.hamri shadi 5 saal thak thy hamare physical relations bhi the.is ka ilam ham logo ki families ko ni tha.nikah me uske 3 dost or ek molana sahab the.5 saal ke baad mere ghar walo ne apni marzi se nikah ke uper nikah karwadia.me dar ki waja se bata ni saki.shadi ke bad mene us larke ko bata dia ke me pehle se shadi shuda hu.usne mujse kate taluk kardia per kisi ko bataya ni.theak ek saal bad mene apne shoher se talak leli jis se mene khud shadi ki thy.or mere gharwal ab bhi us larke ko mera shoher samjhte hen.muje ap ye bataen kia dusre larke se mera nikah hogya?ager me use chorna chahoon to talak leni paregy ya ni?  
  Country  lahore - pakistan
  Answer kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2341-42). Note: Agar oper biyaan ki gae shara’it k mutabiq aap ne apna nikah kisi k saath kia tha tu aap k liay dosray kisi shaks se nikah kerna jaiz hi nahi tha, or isi terah agar pehlay wala nikah oper ki biyaan gae shara’it k mutabiq batil that u aap k liay dosray sahks se nikah kerna jaiz tha. (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14356

Print   

  Question Asalam O Aleikum, mein ek larki say mohabbath karta hoon or woh larki bhi mjhsay mohabbath kartii hai hum dono nay ghar walon ko batayeh bina nikah kar liya or uskay baad woh apnay ghar or mein apnay ghar rehnay lagay jaisay khuch hua hi nhn hai meinay apni bivi say nikah 19 october 2011 ko kiya tha aj meri bivi k ghar walon ko yeh pata chal gaya hai k hum dono k beach mein khuch hai or unhonay mana kar diya hai k mjhay qabool nhn karaingay or yehi situation meray ghar ki bhi hai mein bhauth pareshan hoon plz app koi hal batayein k hum dono husband wife k ghar walay kisi bhi tarha say hum dono ko accept karlain q k hum dono nay ek faisla kiya tha k kabhi alag nhn hoongay par ab batayein k kiya karain meri family ka problem yeh hai k woh hamaray sath baithnay k qabil nhn hain q k meri bivi gareeb hai yeh to meray khiyaal say koi waja nhn huee likin meri family agree nhn horahii hai talaaq mein nhn daina chahata or Inshalaha doonga bhi nhn batayein k mein kiya karoon please help me and pray 4 me & my wife plzz . mein Electrical Engineer hoon . mjhay meray sawaal ka jawaab app plz meray e mail peh send kardain daniyalkhan85@hotmail.com Alahafiz.  
  Country  Hyderabad - Pakistan
  Answer Aqd e nikah ki sharayit me se khuch ye haain k:- 1. ahteyat wajib he ke sahih arabi me padha jae. 2. ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3. sigha parhne wala ehtiyaat ki bina per baligh aur aaqil ho . 4. mard aurat mu’aiyan hoon 5. mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2341-42). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Wazifa: 1. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 2. Ghar walo ko nikah per razi kerne k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafaat or pareshani ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14321

Print   

  Question kisi aurat k sath hambister hone k bad uss se shadi ki ja sakti he  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer Agar koe shakhs kisi aisi aurat se zina karay jo be sohar ho magar iddat me na ho to ehtiyaat e wajib ki bina per toba karnay se pehlay os se shadi nahi kar sakhta. Laikin agar zani k alawa koe doosra shaks(is aurat k) tauba kerne se pehlay os k saath shadi kerna chahay tu koe ishkaal nahi hay.magar is sorat main keh wo aurat zina kaar mash,hoor hu tu ehtiyaat e wajib ki bina per is (aurat) k tauba kerne se pehlay os k saath shadi kerna jaiz nahi hay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2364). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14320

Print   

  Question kya jis aurat k sath zina kia jae uske sath shadi jaiz he  
  Country  rawalpindi - pakistan
  Answer Agar koe shakhs kisi aisi aurat se zina karay jo be sohar ho magar iddat me na ho to ehtiyaat e wajib ki bina per toba karnay se pehlay os se shadi nahi kar sakhta. Laikin agar zani k alawa koe doosra shaks(is aurat k) tauba kerne se pehlay os k saath shadi kerna chahay tu koe ishkaal nahi hay.magar is sorat main keh wo aurat zina kaar mash,hoor hu tu ehtiyaat e wajib ki bina per is (aurat) k tauba kerne se pehlay os k saath shadi kerna jaiz nahi hay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2364). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14517

Print   

  Question Salam.. Yahan bohat se sawalo ke jawab ka pata chala... meri story pichle 8 salo ki hai tab mai 19y or meri gf 15y ki hogi.. mehram na mehram ka pata nahi tha.. humari dosti 2004 mai shuro hui, or 2006 mai pyar mai badal gai.. nadani mai dosti ki or pyar ho gya.. 2011 mai humko pata chala hum gunaho mai hai mere ghar walo ko or meri gf k ghar walo ko sab pata b hai hum pasand karte hai ek duje ko.. Hum mante hai humse galti ho gai nadani mai ab hum chahte hai humara nikah karden.. mere ghar wale meri khushi mai khush hai or us ke ghar wale b kehte hai wo humara karenge... Mera sawal ye hai, hum shadi karna chahte hai or bare humara nahi kar rahe to kya maabap gunaho mai nahi? Unka kya farz nahi apni olad ko gunaho se nikale? Hum toba b karte hai per ek duje k bina nahi raha jata jab k sab pata hai sab haram hai na mehram hai.. Hum gunaho se nikalna chahte hai or humare bhare kuch nahi kar rahe aisi halat mai kya hum hi guna gar hai kya maabap nahi? Plz mere sawal ka jawab b muje e mail ki jay thanks Allah pak sab k gunah maf farmay Ameen...  
  Country  jhb - south Afeica
  Answer kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid mufti  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14515

Print   

  Question pasand ki sadi hoi ho or larhky k mah baap keh den k biwi ko talaq do ya hamy chor do to kia krna ho ga?  
  Country  Rawalpindi - Pakistan
  Answer 1)Nikah ki khuch sharait hain jin ka khiyaal rakna wajib hay warna nikah hi nahi hoga.jin main say khuch ye hain k i)nikah ka seegha arabi zaban main ho agar sahi arbi main perhna mumkin hi nah ho tu kisi or zaban main perhsaktay hain, 2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ayat ullah Seestani(D.B),Tauzee hul masail,maslah # 2335-2342). 3) Agar maan (ya baab) bete se ye kahain k apni biwi ko talaq de do tu is baat me yani talaq dene k maamlay main maan(ya baab) ki baat maanna waajib nahi hay. Albatta baite k liay zarori hay k wo apne kaul aur fail k zariay maan (ya baab ) se bay adabi se ijtenaab karain .(ref. .(Jadeed fiqhi masail,Maslah#348,Ayatullah Seestani(d.b)). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Talaaq  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14480

Print   

  Question salam mera sawal ya hy ky mutha kiya cheez hy aur kesy parha ja tha hy agr mai apni girl frnd ky sath mutta kar lo pir mai us ko sex kar sak tha ho aur mutta khatm kesy ho tha hy?jaldi rep dy na  
  Country  AL AIN - U.A.E
  Answer 1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(yani muta) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1). Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335) Agar merd or aurat khud ghair daimi nikah(muta) ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat aur meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2334). 2-Nikah main gawaho ka hona or nikah ka aylaan kerna wajib nahi hay balkeh mustahab hay.or nikah.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#3 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 3) Nikah e Muta k baad sex kerna jaiz hay q k wo aap ki bivi hay .Nikah ki 2 aqsaam hain 1. daimi(permanent marriage), 2. ghair daimi (temporary marriage).or agar kisi aurat k saath mutaa karna agarchah lazzat haasil karnay k lie na ho tab bhi sahi he.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # before 2328,2385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid NONE  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14511

Print   

  Question Kya maa baap ki marzi k bagair nikah jaiz hai aur agar unhe puchhe bina koi nikah kare tow uske liye kya hukam hai aur agar baad mein maa baap ko raazi kar liya jaye tow kya dobara unki mojudgi mein nikah padh sakte hain?  
  Country  Jammu - India
  Answer (1) Aurat k liay shadi karne me apni maa ya bhai se ijazat lena laazim nahi hai.(Ref. Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2341) (2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2341-42).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14483

Print   

  Question mai apni girl frnd ky sath sex kar na cha tha ho koi asa tari ka bthaye jis s sex b ho jaye aur gunnha b na ho kiya mutta kar ny sy asa ho sak tha hy jaldi jawab dy ?ap jawb kith ny time mai dy thy hy  
  Country  AL AIN - U.A.E
  Answer Nikah e Muta k baad sex kerna jaiz hay q k wo aap ki bivi hay or aap os k husband.Nikah ki 2 aqsaam hain 1. daimi(permanent marriage), 2. ghair daimi (temporary marriage).or agar kisi aurat k saath mutaa karna agarchah lazzat haasil karnay k lie na ho tab bhi sahi he.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # before 2328,2385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid NONE  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14471

Print   

  Question Sir would like to know about concept of Kaneez in Islam and also advise the relation b/w the men and his kaneez. Further is that necessary to make nikah with kaneez or mutha ... Appreciate your earliest response.  
  Country  Pakistan - Pakistan
  Answer Jee haan. Laudi(kaneez) baghair nikah k halal hay or is say tamaam lazzaat hasil ker saktay hain jis terah bivi say hasil ker saktay hain. (Ref : A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#2, 5 mujtahid k mutabiq, maslah#1320, pg # 430). Note: ye baat wazeeh rahay k aaj k zamanay main ghulaam or laundi(kaneez) nahi hotay.is liay in masa’il per amal kerna mumkin nahi hay.( Ref : A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#10 ka hashiya, pg # 11). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14327

Print   

  Question Mohtram, mere Walid sahib nay 2 shadian ki hain, mai apnay walid ki 2nd wife me say hoon, pehli wife ko kaafi saal pehle ka talaq day chuke hain, Uss wife me say 2 bete hain, jo k mere sotele bhai hain, un me jo bara bhai hai uski aik beti hai, Kia mera nikah uss lerki say jaiz hai? kiun k shariyat k lehaz say hum dono apas me chacha bhatiji hain.  
  Country  Dubai - U.A.E
  Answer Jee nahi, aap ka os lerhki se nikah nahi ho sakta Q k shariyat ki nazar main wo aap ki bhatiji hay or bhatiji mehram hoti hay.shariyat ki nazar agar kisi lerhko k baap aik hoon, ya maa aik hoon ya maan or baap aik hoon tu wo lerhkay apas main bhai shumaar hotay hain,or isi terah lerhkiyaan bhi apas main behnay shumaar hoti hain.or asiay behen bhai apas main mehram hotay hain{yani in ka apas main nikah nahi ho sakta or perda ker bhi zarori nahi hay}.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#90+13 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14472

Print   

  Question Sir would like to know that 1 Christine girl make relation with me can I ? or how mush I can ?  
  Country  pakistan - pakistan
  Answer Marriage is required (Ref. E mail recived from Imam Ali Foundation eanswers@najaf.org 16 april 2012 ) (1)Shar,e nikah k baghiar yahodi aur nasrani jaise ehle kitaab se jinse amal anjaam daina jaiz nahe hai agarche is mulk ki hokoomat mosalmano k saath halat jang me ho.( Ref. Ayatullah sistani(d.b), Jadeed fiqi masail masla#402) (2)Esa,e ( christine) Mosalman mad isaahe ( christine) aurat se muta karsakta hai aur ehtiyat wajib ya hai ke non muslim (isaahe ( christine), yahoodi) se daame (perminant) nikah na kare. (ref. Aqa sistani Jadeed fiqi masail masla no. 402) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14418

Print   

  Question Mera Nikkah 2009 main hova tha aur rukhsati nahi hovi thi.3 years ho gai hain aur meri rukhsati nahi hovi hai.Kiya itna arsa guzarnay kai baad mera NIKKAH abhi taak qaim hai ya nahi.aur kiya meri waife abhi bhi meray liyai halaal hai ya mera nikkah khatam hogiya hai...please do answer me.  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Is se nikah batil nahi hota he. (tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah # 2335 , 2382). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14431

Print   

  Question Assalaam O Alaikum Sir Main Nay Ap Say Sawal Kia Tha K Main Nay Aik Shohardaar Aurat Say zina Kia Hai Aur Us K Khawand Nay Usay Tallaq B Day Di Hai Kiun K Hum Shadi Karnay K Liay Ghar Say Bhaag Gaey Hain Per Woh Aik Alaihda Hostel Main Hai Aur Main Aik Alaihda Madrisay Main Taleem Hasil Kar Raha Hon Humaray Ghar Walay Hamari Jan K Dushman Huay Vay Hain Hamaray Pas Shadi K Ilawa Dusra Raasta Sirf Mout Hai Hamain Zina Kartay Huay Nai Pata Tha K Iss Say Woh Mujh Par Haram Ho Jaey Gi Pls Sistani Sahb Hamain Shadi Ki Ijazat Dain Nai To Hamaray Pas Mout K Ilawa Koi Chara Nai Pls Humari Rehnumai Farmaein Aur Humain Shadi Ki Ijazat Dain Hum Nay Sachay Dill Say Toba B Ki Hai Aur Dubara Yeh Gunah Na Karnay Ki Qasam Bhi Khai Hai Pls Hamain Ijazat Dain. Shukria Ap K Jawab Ka Talabgaar.  
  Country  Sargodha - Pakistan
  Answer 1-Agar shohordaar aurat zina karay tu ehtiyaat e wajib ki bina par wo zaani par hamesha k liay haram ho jati hay, laikin ye aurat apne shohar par haram nahi hoti (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#2367 ). 2-Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Ref: Naeem ul aamaal pg# 316) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Sistani Sahb  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14282

Print   

  Question Mera Question yeh ha k nikkah k liay kya zarori ha hum kaise nikah kar sktey hain  
  Country  Lahore - Pakistan
  Answer Aqd e nikah ki sharayit me se khuch ye haain k:- 1. ahteyat wajib he ke sahih arabi me padha jae. 2. ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3. sigha parhne wala ehtiyaat ki bina per baligh aur aaqil ho . 4. mard aurat mu’aiyan hoon 5. mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2341-42). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14047

Print   

  Question salam...mera sawal yeh he k men ek larke se piyar karti hun jo pehle hindu mazhab se taluq rakhta tha jo ab wo shiya muslman ho gaya he kia mera us se nikkaah ho sakta he koi masla to nahe?  
  Country  hyderabad - pakistan
  Answer Jee haan aap shia merd se nikah ker sakti hain Q k “shariyat k laihaaz se aik muslim merd musalman aurat ka kufu(equivalent) hay or aik momin merd momina aurat ka kufu(equivalent) hay{yani in ki apas main shadi ho sakti hay}.Shia Sayed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid aaga sestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14046

Print   

  Question salaam.mera sawal yeh k men naya muslim hua hun aur ehl e tashi firqa qabul kia he. kia mera ek sayda se nikkah ho sakta he..? plzzzzzzzz meri rehnumai karen.  
  Country  badin - pakistan
  Answer Jee haan aap syeda aurat se nikah ker saktay hain Q k “Shia Sayed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.” (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid aaga sestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14061

Print   

  Question Mohtram.mere shadi jis insan se hwe thi istkhatra krny k bawjud hmen pta ni chl ska k wo banda sharabi or zaani hy kia esy insan se shadi jaiez or halal hy?  
  Country  Islamabad - Pakistan
  Answer 1. Sharabi se nikah jaiz tu hay laikin aurat or os k wali(baap/dada)ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho.( Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 387) 2. Jo merd zina karne me mashoor ho to tuba karne se phle is mard ke shath shadi karna jaaiz nahi hai.(ref. tuziul masail aga sistani masala no. 2364)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 14116

Print   

  Question Agr kisi orat ka pehle se nikkah ho to is doran uska doosra nikah hojaye or pehle ne talaq na di ho to is ka hal kia ha  
  Country  bahawalpur - pakistan
  Answer Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. Os aurat ka dosra nikah batil shumaar ho ga.Q k shohardaar aurat se nikah kerna haram hay or agar os shaks ko ye maloom tha k ye aurat shadi shuda hay phir bhi os aurat ne nikah kia tu os merd k liay zarori hay k wo is aurat se juda ho jay or baad main bhi kabhi os se nikah nah karay.or agar os shaks ko ye ilm nah ho k aurat shohar daar hay laikin shadi k baa dos se hambistari ki ho tab bhi ehtiyaat e wajib ki bina per yehi hukum hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2366). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sunny  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13902

Print   

  Question kya syed larki ghair syed sy shadi kr skti hy plzzzzzzzzz mjy btaen agar wo larka shia ho  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer Syed merd ka nikah ghair syedah aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed merd k saath ho sakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part # 1, maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid shia  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13920

Print   

  Question mera sawal ye ha k mere aik khala zad cousan ha unki aik larki ha mujhay woh bahut pasnd ha me use shadi karna chaht ho woh larki bhi razi ha kya islam me cousan ki beti se shadi jaaez ha plz help me..  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer Jee haan cousin ki baiti se shadi kerna jaiz hay.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), Dted: Dec 21, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13636

Print   

  Question Hazrat maine pehle b aik swal pocha tha mujy jawab ni mila, mere ik lrki sy begam shohar waly reletions hain aur wo Quran pak pe hath rakh k kehti hai k ye kitab gawah hai k tm he mere shohar ho jis sy meri shadi hui thi usko main kbi qareeb mi aane don gi na ab wo mera kuch lagta hai, to Quran pak ki roh sy hamara rishta kea kehlay ga? Plz jawab daina  
  Country  Toba tek singh. Punjab - Pakistan
  Answer 1- Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) 3- kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2333) 2- Shohar wali aurat k saath nikah nahi ho sakta jab tak oska shohar os ko talaq nah day day or wo is talaq ki iddat pori nah ker lay {agar wo lerki 9 saal se kam ki nah ho or yaesa bhi nah or os k shohar ne nikah k baa dos se jima kia ho}. ya shohar wafaat nah paa jaay or aurat iddat e wafaat 4 mahinay 10 din poray nah ker lay.( Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2365,2481)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: in sharait ki roshni main wo aurat nah aap ki bivi hay or nah aap os k shohar or aap k os se ta,aluqaat haram hain.quran paak per haath rakh ker nikah nahi hota balkeh oper biyaan ki gae sharait k mutabiq hota hay. shohar wali aurat k saath nikah nahi ho sakta jab tak oska shohar os ko talaq nah day day or wo is talaq ki iddat pori nah ker lay ya shohar wafaat nah paa jaay or aurat iddat e wafaat 4 mahinay 10 din poray nah ker lay.  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Zina  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13160

Print   

  Question Dulhan k wakeel larki ka nikha ky bad nikha namy per signe ker sekta ha uger larki ny sign ker dy hon to bughair poochy larki sy  
  Country  Islamabad - Pakistan
  Answer Jee haan. Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(muta) is main seeghah(nikah k bool) perhna perhna zarori hay.aurat or merd ka sirif razi hona{or seeghay nah perhna} or isi terah(nikah nama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kafi nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2328) . Note: Islam main asal ehmiyat zaban se nikah k seeghay ada kerne ki hay,nikah naama k honae ya nah hone se nikah per koe faraq nahi perhta. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13072

Print   

  Question KIA PHONE PAY NIKKAH HO SAKTA HY ?YA PARENTS KO PTA HI NA HO AUR CHUP KAY NIKAHH HO SKTA HY/  
  Country  FAISALABD - pakistan
  Answer 1-Telephone k zerye agar baaqi tamaam shara,it maujood hoon tu nikah kerna sahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),mujtahid se pochay gay sawalaat ,part#3, sawaal#108 ). 2- Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) 3- kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2333) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 13094

Print   

  Question kia cristen se shadi kerna jaez hai?  
  Country  Lahore - pakistan
  Answer Yahodi or esae(christen) autoon se muta kerne main koe haraj nahi hay or ehtiyaat e lazim ki bina par on se daimi nikah nah kia jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12646

Print   

  Question shadi main mjy ak larky ny daikha or usy mjh se pyar ho gia. baad main main ny job k liey apply kia or jis school main manin ny as teacher teaching start ki wo mera student ban gia. means wo mjh se chota ha main 4 saal bari hun us se. kia hamara rishta jaiz ha? agr hum kisi bi trah parents ko mana len to kia hum shadi kr skty hain?  
  Country   - pakistan
  Answer 1- kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2341,2342). 2- Shadi main lerkay or lerki ki umar main kami or zayadati ki koe shart nahi, yani ye nikah ki shart main shamil nahi he k lerki lerkay se umar main chooti ho.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2343). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12365

Print   

  Question janab ma aik larke sa piyr krti hn wo b mujhsa piyr krta ha hum dono nikha krna chate ha ghar walon sa chup kr kia kr skte ha nika?  
  Country  lhr - pakistan
  Answer 1- jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2- Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2333) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid mujtahid-e-taqleed  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12305

Print   

  Question mera swal hai kia nikha nama ke begr agr nikha prhya jaya or 2 gawah b mojood ho to wo nikha jaiz ho ga??  
  Country  Rawalpindi - Pakistan
  Answer Jee haan nikah namay k baghair bhi nikah sahi hay.Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(muta) is main seeghah(nikah k bool) perhna perhna zarori hay.aurat or merd ka sirif razi hona{or seeghay nah perhna} or isi terah(nikah nama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kafi nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2328) .  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12280

Print   

  Question slamunt alaikum janab mera sawal hai ki ager haiz me aurat se nikah ho jaye aur bad me pata chale ki bhivi hai se thi to kya nikah sahi hai  
  Country  nasik - india
  Answer Nikah k waqt aurat ka haiz se paak hona wajib nahi hay or na hi ye nikha ki shara,it main se hay k nikah k seeghay(bool) k waqt aurat haiz se paak ho.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#2335 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid aagha sistani sahab  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12286

Print   

  Question muttah ke date agr fix ke ho 15 rabulawal thn 16 rabulawal ko nikkah parhna ho tou muttah automatically expire ho jata hai ya koey ayat parhni hoti hai...waiting for ur rply??  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Nikah e muta main talaq nahi hoti,balkeh muddat k khatam hotay hi ya merd ka aurat ko muddat baksh daine se muta khatam hojata(expire) hay.(Ref:A.Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah#252). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sistani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12289

Print   

  Question Assalam Walikum, Janab maine ek talak shuda ladki se khuda ko hazir nazir manker nikah kiya usne bhi kabool kiya aur humne humbistri bhi ki. To kya hmara nikah ho gya? lekin uski maa ne uski shadi kahi aur ker di hum use talak nahi de paye to uska wo rishta jayej hoga ya kis trah jayej ho sakta hai? please hme sahi raasta dikhaye ye uski aur hmari do no ki zindagiyo ka sawal hai. maine kai baar poocha lekin koi jawab nahi mil rha please hme raata btaye.  
  Country  Kanpur - India
  Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) 2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2333) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12116

Print   

  Question mera swaal hai k kiqa aagha khani muslim hote hain? kia aik sunni aur muslamman larki ki shadi kisi aagha khani yani ismaili larke se ho sakti hai?plz plz jaldi jwab dijye main buhat pareshaan hoon...  
  Country  karachi - pakisatn
  Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1-Agar koe shaks shahadatain kehay or on un usool per aqidah rakhta ho jo musalmano k nazdeek saabit hoon agarcha imamat k maslah main 12 imami shia say ikhtaylaaf rakhta ho wo musalman hay.(E-mail rcvd from A.Sistani Dated:15-11-10). 2-Jee haan aik sunni lerki ki shadi ismaili lerhkay se hosakti hay.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#215).  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid sunni  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 12134

Print   

  Question ASSALAMUALAIKUM MERA RESHTA TAYE HOGAYA HAI KHALA KI LADKI SAY OUR SUB KHANDAN WALLY KHUSH BHI HAI BATH YAE HAI KEY MARI OMER EK YA DO MEHNON KI THAI HOGI OUR NANI NAY MUJHAY DOODH PILAYA HAI AISA KHALA OUR NANI KEHTY THAY,MERY SE BADY EK KHALA HAI JO UNKI OMER MARY SE PUNEY TEEN SAAL KEY BADE HAIN OUR AB KHALA (LADKI KI MAA), MERY AMI JAAN KHTAY HAIN KEY NANI KEY PASS DOODH NAHI THA HONGAY OUR RESHTA HONY KEY BAAD MAE NANI SE PUCHHA KEY MAE DOODH PEEYA HOON TU HAAN KAHA THA, OUR BAD MAE KOI UNSE KHAKEY JO DOODH KA MASLA HAI SACH KAHO NIKHA KA MASLA HAI TO UNHONAY (NANI JAAN)NEY KAHA KEY BATA MUJHAYE KUTCH BHAI YAAD NAHI HAI MUJHAYE YAQEEN NAHI HORAHA HAI KEY MAE KEY KERO APP SE ADBAN GUZARISH HAI KEY IS MASLAY KA HAL BATYAE MAE MUNTAZAR RAHOGAY.  
  Country  HYDERABAD - INDIA
  Answer 1-Agar koe aurat {nani} apni lerhki(daughter) k bachay ko (nawasay ya nawasi ko) pora dhodh pilaay tu wo lerhki apne shohor par hameshah k liay haram hojaay gi. 2-Agar koe aurat aik bachay ko on sharait k saath dhoodh pilay jo maslah#2438 main zikr hoe hain tu wo bacha agar lerhka hay tu khuch autoon ka mehram ban jaay ga.jis main se aik ye bhi hay k os aurat ki aulaad chahay ye silsila jis qadar bhi neechay chala jaay or aulaad ki aulaad chahay haqiqi ho ya chahay dhoodh shakreek aulaad. 3-Dhoodh pilana jo mehram bannay ka sabab hay 2 cheezaio se sabit hota hay: i)-Aik shaks ya aik aisi jama,at ka khaber dainan jis ki baat per yaqeen ya itmenaan hojaay. ii)-2 adil merd oski gawaahi dain laikin zarori hay k wo dhoodh pilane ki shara,it k baray main bhi batain, maslan kahain k hum ne falaan bachay ko 24 ghantay falaan aurat k postan(breast) se dhoodh petay daikha hay or os ne is doran koe cheez bhi nahi kha,e. or isi terah on baqi shara,it ko bhi waashgaaf alfaz main biyaan karain, jin ka zikr maslah 2438 main kia gaya hay.Albatta aik merd or 2 ya 4 aurtoon ki gawahi se jo sub k sub adil hoon riza,at(dhoodh pila,e) ka sabit honay main ishkaal hay is liay ehtiyaat par amal kia jay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2428,2436). Note: 1-dhoodh pila ker mehram bannay ki shara,it or mehram bannay k 3 miyaraat ki tafseel jaanay k liay is link par click karain.{ http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/37.htm } 2-Agar aap ne apni nani ka dhood tamaam shara,it k saath piya tha tu aap k maan or baap hamesha k liay aik dosray par haram hain or aap ka nikah bhi apni khala ki baiti se nahi hosakta. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid NIKHA  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3309

Print   

  Question Aghar kisi ka bacha goud leya jata haa or jaab os ka nikkah hota haa to nikkah mian ki baap ka naam hoga jis ne pieda keya haa os ka jis ne pala haa os ka. jaab keh dono zinda hain?  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer 1-Nikah karnay me baap ka naam lena zarori nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2333). 2- Jab bhi bacha kisi ko gowd(adopt) diya jaay tu zarori hay k bachay ka os k sagay waaldain se rishta mehfoooz rahay.(Ref: A.Sistani(d.b), dated: Jul 5, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3274

Print   

  Question mein ek ladki ko pasand jo other cast ki (hindu) woh mujhe achhi lagti hai. mein usse shadi karna chahta hu kya ker sakta hu.. shadi..... ....  
  Country  raipur c.g. - india
  Answer Musalman mard ehl e kitab(yahodi ya esae) k alawa kafir auratoon se shadi nahi kar sakhta.Laikin yahodi or esae autoon se muta kerne main koe haraj nahi hay or ehtiyaat e lazim ki bina par on se daimi nikah nah kia jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2362). Note: Aap hindu aurat se nikah nahi ker saktay jab tak k wo musalmaan nah hojaay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Ayatullah Behjat  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3181

Print   

  Question muttah ki dua kahan milay ge kiss book main.  
  Country  gujrat - pakistan
  Answer Muta main dua nahi nikah k seeghay perhay jatay hain jis se nikah e muta hota hay. or ye seghay mukhtalif Fiqhi kitabo main maujood hain or aap Ayatullah Sistani(d.b) ki tauzee main is daikh saktay hain.((Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah# ) 2334). Note:Hum aap ki asaani k liay Ayatollah sistani(d.b) ki website ka link day rahay hain jahan urdu tauzee maujood hay or muta k seeghay likhay hoay hain: (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/28.htm)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3233

Print   

  Question Adab! mira sawal ye hay k may nay ek larki say ZINA kia os ky bad pashimani to boht hoi toba b kia avr ab os larki say may shadi ki awar baqaida apnni riwayat ka motabiq ham donon ki shadi hoi nikah fiqa awr gawahon awr rishta daron ka samny hoi.Kia zina k bad hamara NIKAH jaiz ha???Plz mujy mujtahid ka fatwa k sat sat Quranni ayat awr Hadith say b agah kijey.ta k ham dono apni shadi shuda zindgi tasali sy gozarin. agar mujy sawal ka jawab miry email par bijden to shukar gozar rahonga. Fee Aman-e-Allah.  
  Country  Abudhabi - U.A.E
  Answer Ehtiyaat e wajib ye he k insan os aurat se jis se khud zina kia ho toba karnay se pahle nikah nah karay. Or tauba k baad osi aurat se nikah kerna jaiz hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 403 pg # 235) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3242

Print   

  Question mere dada ki do bibiya thai, pahli bivi ke ladke ke ladke ki ladki se dusri bivi ke ladke ke ladke se shadi ho sakti hai kya? (ladka ladki aapas me chacha bhatiji lagenge) lajdi lawab denge to badi meharbani hgo.  
  Country  Nagpur - India
  Answer Jee haan shadi ho sakhte he. Faqat 7 qiam ki auratoon se shadi karna haram he. 1)Maa 2) beti 3)behn 4)bhai ki beti 5)bahn ki beti 6)bap ki bahn 7) khala. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) In dono lerhke or lerhki ka apas main nikah kerna jaiz he Q k ye lerhki is lerhke k sagay bhai ki baiti nahi hay balkeh chacha zaad bhai ki baiti hay.or ye apas main na-mehram hain.(Ref: Email rcvd from A.sistani, dated:21-12-11). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 3128

Print   

  Question mera sawal yeh hai kay,nikah kay bad if my husband only touch me or kiss me only not more then this,so it is halal or haram in islam??plzz give me answer in a clear way. thank you  
  Country  karachi - pakistan
  Answer 1)Agar riwaaj yehi ho k jab tak rukhsati nahi hoti larki apnay aap ko shohar kay liye pesh nahi karti to aisi soorat main aap ka aap k shohar ko mana karna jaiz hay aur is main gunah bhi nahi hay.(Ref:Book-4 Q.No.149. ) 2) Nikah k baad sohar aur biwi danoo aik dosray k liay halaal hain or aik dosray say tamaam lazzaat hasil kersaktay hain or dono aik dosray k badan k kisi bhi hissay ko badan k kisi bhi hissa se mas kar sakhte hain chahae lazat se ho ya baghair lazzat k. laikin agar shohar rukhsati say pehlay jima kerna chahay tu biwi par wajib nahi hay k wo khud ko jima k liay shoror k saamne paish karay. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236 & Email Rcvd from sistani(d.b),dated:30-09-10).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 11582

Print   

  Question Nikkah kitni orton k 7 Jaiz ni?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Jis shaks k nikah e daimi main 4 biwiyaan hoon os k liay paanchwi biwi nikah main lana jaiz nahi hay jab tak k 4 biwiyaan os shaks k nikah main hoon. Layhaza jab in 4 biwiyo main se aik biwi wafaat pa jay ya wo shaks in biwiyo main se kisi ko talaq day day or wo bivi os shaks ki iddat pori ker lay tu os shaks ko ijazat he k wo aik aurat ko nikah main la sakta he.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#200). Quran main sorah nisa ki ayat# 3 main irshad he k […..jo aurtain tumhain pasand hain 2, 3, 4 on se nikah ker lo or agar on main bhi insaaf nah ker sakne ka khatra hay tu sirif 1 ya jo kaneezain tumharay haath ki malkiyat hain, ye baat insaaf se tajawuz nah kerne se qareeb ter hay] (Ref: zeshan haider jawwadi ka tarjuma e quran, pg3187). Agar kisi shaks ki 4 daimi biwiyaan nikah main hoon tab bhi os shaks k liay jaiz he k wo jitna chahay ghair daimi(muta) nikah karay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#202 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 11600

Print   

  Question kya aik sunni mard aik shia aurat se shaadi kar sakta hai?  
  Country  napoli - italy
  Answer Shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 11276

Print   

  Question 1 ladki s mohabbat krta hu.. wo married h or uski 1 ldki b h . me unmarried hu.. wo mjse shadi krna chati h.. pr apne shohar or gharwalo ko nh bta skti..plz suggest me what should i do  
  Country  delhi - india
  Answer Agar koe aadmi kisi aurat ko warghalaay k wo apne shohor se muta,alliq azdawazi zimmedariyaan pori nah karay takeh is terah shohor ose talaq daine per majbor hojaay or wo khud os aurat k saath shadi ker sakay tu talqa or nikah sahi hay.Laikin dono ne bohot berha gunah kia.(yani aurat or os ko behkane walay ne).(Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2502). Note: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
  Topic Muamilaat >> Nikah >> Ahkam-e-Nikah
  Mujtahid  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy