Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: General (495 Questions)


Showing 50- 100 questions from 495 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
911
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Is this site provide answers by the team from the mujtahid fatwa or any mujtahid answer by himself?

Answer: Answers are given by the Team from the Books of Masail related to the concerned Mujtahid and Incase of not availability of Masala we send that questions by e-mail to the concerned Mujtahid s Official Website.

Print

Id:
931
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaam, I had asked two wueswtions about two months bak but still no reply.

Answer: Salam un alaikum
Due to some problems our site was not working properly two months ago now our site is working properly so plz send your questions again.Iltemas-e-Dua

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
953
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Degree of a person includes a certain (high or small) percentage of marks obtained by cheating. Doing job on basis of that degree is permissible or not ? Secondly what about the salary from such a job? Kindly also explain about someone involved in the said act but didnt knew that cheating is haram and now doing a job based on such a degree? It would be your very kindness if you send a reply to this question on my personal email address

Answer: Aisi Degree say faida haasil karnay main koi ishkaal nahi hay agarchay is ka ye amal(naqal/cheating) NA-JAIZ hay.Ref:Jadeed Masail A.Sistani Part-3 Pg.No.200.

Print

Id:
954
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaamun Alaykum. Can I sell the pirate copeis of computor CD? The original are very costly.

Answer: Agar ye cheezain wahan kay Qawaneen kay Khilaaf na ho to phir aisa karnay main koi haraj nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani S-33...(If the said acts are not against the Laws and Regulations,there is no objection to it)

Print

Id:
962
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: aslamualaykum wa rahmatullahe wa barakatu.is dancing in a wedding party haram .

Answer: Aihtiyat-e-Wajib ki bina par na kiya jaey (parhez kiya jaey).Ref:Istiftaat A.Sistani (I-10)

Print

Id:
979
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-07

Question: money pashab kja makam sa karaj hoti ha ya pakahana ka aur kasay sabat ho sakta ha ka ya money ha

Answer: Salam un alaikum
Mani peshab k maqam se kharij hoti hai aur is ki 3 alamat hain
1)Uchal kar nikle 2)Shehwat k sath nikle 3)is k nikalne k baad badan sust parjay
Ref :Prob no 345 Tauzeeh Ayatullah Sistani

Print

Id:
1001
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: SALAM. Is it right to say "YA ALI(A.S.)MADAD" instead of "SALAM"? KHUDA HAFIZ

Answer: Isay Salam nahi mana jaeyga.Ref:Istiftaat A.Sistani.No.S-19

Print

Id:
1011
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: what were the three shrayet of imam hussain(as) plz but not related to fiqh

Answer: Aap apna Sawal Waazeh karain.

Print

Id:
1044
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Agar yeh yaqeen ho ki kisi ho kisi borayee say mana karnay ka koi khatir khuwah faida nahi ho ga. To kia is soorat may NAHI ANIL MUNKAR WAJIB HAY? Ahl e sunnat imam ki imamat may nimaz e jumma ada karnay kay baad kia nimaz e zohor ada karna wajib hay ya is ka wahi hokam hay jo aik shia kay peechay nimaz pernay ki soorat may hay

Answer: Aisi soorat main Amr-Bilmaroof o Nahi-Anilmunkar wajib nahi hay faqat apnay aap ko gunah say bachana zaroori hay...Musalmaanoo kay darmiyan Wehdat-o-Ittehaad ki khatir is main shirkat karnay main koi haraj nahi hay,laikin zohar ki namaz parhni hoge.Ref:Istiftaat Pg.No.285,209-Q.No.1091,632.

Print

Id:
1064
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: what is the name of hazrat Ali (a.s)grand mother(Dadi)?

Answer: Hazrat Fatima binte Amr ibne Abd ibne Imran ibne Makhzoom Ref: Aihsanul Maqaal (Muntahal Amaal Sheikh Abbas Qummi) Pg.18 Trans.Allama S.Safdar Hussain Najafi.

Print

Id:
1065
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: SALLAM,WE HAVE PRINTING PRESS, CAN WE PRINT THE BIBLE?WHICH IS CAN NOT BE READABLE(IN SMALL SIZE 1.5-2.00 INCHES)

Answer: Gumraah kun Kitaaboon ki Isha-at JAIZ NAHI hay.Ref:Istiftaat A.Khaminae 26127E

Print

Id:
1092
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: as sallam : many allim &zakir demanded money for reciting majlis is it jiaz(if their is a limit of demand so plz describe) hope u will give me answer fastly.

Answer: Jaiz hay.agarchay logoon kay BAD ZAN honay ki soorat main munasib nahi hay. Ref: Mujtahid say poochay gaey sawalaat Part-2 Ques.224

Print

Id:
1100
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Assalam-o-Alaikum, kya chaalis dinon tak gosht na khaaney sey insaan daira-e-islam sey khaarij ho jata hey?

Answer: Mazkoora sawal ki roshni main aisa shakhs daira-e-Islam say kharij nahi hota hay.Ref:Istiftaat

A.Khaminae K-32.

Print

Id:
1114
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam o Alaikum, Kia jis ghar main kisi ka dam nikla ho kia us ghar ki tamam khane ya peenay ki cheezen talf kardeni chahien?

Answer: Ji nahi ye sahih nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani S-20.

Print

Id:
1133
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam,1.kia masjidon main ya ali madad kehna jaiz hay.2.kia ladies ka jalooson main jana jaiz hay.

Answer: 1:Jaiz hay.Ref:Istiftaat S-19...2:Agar ye shehwat ubharnay ka sabab ho ya is say Haram main

parnay ka Khouf ho to Jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani Book-5 (I-6).

Print

Id:
1150
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mera question yeh keh agar main ALLAH or Masomeen ka naam darya main thunda kernay keh bagair us ke jaga peices kardoon keh naam wazeh na rahay yeh uss naam ko rung say dark ker doon ta keh woh nazar na aye kia yeh sahee hai yah uss naam ko jala dia jaye.

Answer: In ko jalana JAIZ NAHI hay balkay in ko dafn kar dena ya chotay tukroo main taqseem kar dena ya

nehar main thanda kar dena sahih hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-12.

Print

Id:
1157
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kiya israeil aur ameica ka koi prduct buy kar sakte hian

Answer: Jin Companies kay Profit main say aik hissa Israel ki madad karnay kay liye Mukhsoos hay un Companies ki cheezain (Products) Khareedna Jaiz Nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani (I-11).

Print

Id:
1179
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: it is right to hold some people on the job of(mukhbari)i mean that said all the activities which is done in institute to administrstion

Answer: Is main koi Ishkaal nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani S-34

Print

Id:
1180
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: it is right to hold some people on the job of(mukhbari)i mean that said all the activities which is done in institute to administrstion

Answer: Is main koi Ishkaal nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani S-34

Print

Id:
1258
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia may motorcycle ya car drive kar sakta hoo ? jab k may baligh hoon aur aaqil hoon.

Answer: Kisi bhi aisay qanoon ki mukhalifat jaiz nahi hay jo nizam ki hifazat kay liye banaya gaya ho.(lihaza agar aap qanoon kay mutabiq is kaam kay ahel hain masalan aap kay paas driving license hay to aap motorcycle chala saktay hain warna nahi)Ref:Book-3 Q.No.165

Print

Id:
1282
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamolikom.app ki tarf sey masol honey waley jawabat ko dekhney ka keya sahee tareka ha, keyoun key baz jawabat to mail key zareya sey aatey han, our baz ko hod jowabat mey serch karna partah ha.

Answer: Aap kay sawal ka jawab hamari website par upload kar diya jata hay aur aap ko e-mail bhi kar dee jati hay jis main aap kay jawab ka link maujood hota hay.aap us link kay zariye ya apnay sawal kay No. kay zariye kisi bhi waqt apnay sawal ka jawab hamari website par mulahiza kar saktay hain.

Print

Id:
1302
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: SALAM kia hindu ko salam kar sactay hain

Answer: Is main koi haraj nahi hay kay aap kaafir ko salam karain laikin ye amal makrooh hay magar ye kay koi majboori ho agarchay majboori ye hi kion na ho kay urfan in jaisoon ko salam kiya jata hay to phir ye amal makrooh nahi rahay ga.Ref:Istiftaat A.Sistani I-50

Print

Id:
1310
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaam Alaikum Is it allowed to buy products of companies that have their origin in America, Israel or any such. Please reply with a bit detail so that it may be practicable to follow.

Answer: Jin Companies kay profit main say aik makhsoos hissa Israel ki madad kay liye makhsoos hay un companies ki products khareedna jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-11

Print

Id:
1332
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: 1. Kiya Awaam un naas haqaiq e toheed say waqif hai? Kiya woh Ehmiyat e Adaal ko jantay hain.Aur kiya unko maloom hai k Tooheed say Agar Adaal Ko Juda kerdiya jaye to kiya kiya mofasid paida ho saktay hain? Kiya woh Raamoz e nabuwat pehchantay hain? Kiya woh israr e wilayat o imamat ka idraak rakhtay hain? kiya woh Qayamat ki kaifiyat o jaaiyat ka ILM rakhtay hain jin k liye unhay tayari kerni hai? aur kiya kisi say sawal kiye bagair in uloom o moarif ka hasil kernay mumkin hai?

Answer: Is silsilay main mustanad Ulema ki kitaaboo ki taraf rujoo kiya ja sakta hay.

Print

Id:
1356
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Ali Raza Mehdvi Aayat-ul-Allah Seestani ke wakil hain plz give me immediately answer

Answer: Yes he is the Vakil of A.Sistani.

Print

Id:
1476
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: DEAR SIR, AAP KI WEBSITE PER EK HADIS MAULA ALI A.S KI TARAF SE MANSOOB KI GAYE HAIN KE AACHYON MAIN TUMHARA KISI KI PERVI KERNA IS SE BEHTAR HAIN KE BURAYON MAIN KOI TUMHARI PERWI KARE IS KA MATLAB NEGATIVE NIKAL RAHA HAIN AGAR AAP KE LIKHNE MAIN MISTAKE HAIN TO ISE SAHI KARE AUR AGAR MERE SAMJHNE MAIN MISTAKE HAIN TO PLEASE MUJHE SAMJHA DEJIYE REGARDS ALI AKBAR

Answer: is hadees ki wazahat yeh hai ke buraiyoo mein agar koi hamari pairawi kar raha hai to is mein hamari kaamyabi nahi hai. balkay is se behtar hai ke achaiyoo mein hum kisi ki pairawi karain. yanay yeh behtar us cheez kay muqabilay mein hai ke loog hamari galat batoon mein hamaray peechay chalain.
doosray alfaaz mein yeh hai ke achaiyoo mein tumhara kisi ki pairawi karna is se behtar hai. yeh kis se behtar hai? yeh is cheez se behtar hai ke buraiyoo mein koi tumhari pairawi karay. (shayad punctuation na honay ki waja se samajhnay mein problem hogai).

Print

Id:
1501
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Salam! Agar kisi educational institution mein ya hostel mein agar koi non muslim saath study karta ho ya rehta ho to kia us ko salam kar saktay hain aur kia us kay sath 1 hi bartan mein khana pena jaiz hay? aur kia us ki roz marah ki cheezain istamal kar saktay hain ya nahin?

Answer: agar yeh non-muslim ahl-e-kitaab hai. for eg. iisai (christian), yahoodi (jews), to yeh paak hai. aur agar ahl-e-kitaab na ho to yeh najis hai. lehaaza kafir-e-kitabi kay saat khana pina jaiz hai. aur gair-kitabi-kafir kay saat bhi khana pina us waqt jaiz hoga jabtak us kay badan ki saraiyat karnay wali rutubat kay mas (touch) honay ka yaqeen na ho, agar najasat ka yaqeen ho jai to khanay pinay aur namaz mein istimaal ki janay wali cheezain jo najis ho gai hain un ka paak karna wajib hai. REF: A.Khamnaei, Tauzeeh-ul-masail, hisa 1 (ebadaat), Q 334+346.

Print

Id:
1572
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalam o alikum , maine ye puchna tha k agar koi khwab mein black shoes pehne huwe dekhe tu iska kia matlab ho ga?

Answer: khwab dekhne wale ko chahiye ke gunaho ki siyahi se apane aap ko mahefuz rakhe kunke gunaho ki siyahi me mubatela ho gaya to bahot bade nuqsan ka andesha he.

Print

Id:
1672
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: quran-o-itrat academy me is waqt kin kitobo tak ke durus chal rahe hain?

Answer: quran-o-itrat academy me is waqt rasail part 3 & makasib part 3 tak ke durus chal rahe hain.

Print

Id:
1678
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Quran o Itrat Academy mey kia Hoza-e-Ilmiya bhi hai, mere age 28 hai aur mey Deene/Fiqh Uloom seekhna chahta hoon, kia mere age group ke liye app courses kerwate hain?

Answer: quran-o-itrat academy me dakhle ke liye age ki koi qaid nahi hain, matric kiya huva ko bhi shia isna ashery shakhs dakhla le skata hain

Print

Id:
1743
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: farz namaaz aur sunnat namaaz mein kya fark hai?

Answer: bismehi taala, farz ko wajib bhi kahtete hain aur is ka matalab he ki is ko har hal me baja lana zaroori he jab k sunnat k jis ko musthab bhi khete hain is ko baja lane me sawab hain magar n baja laya jaye to koi gunah nahin hain.

Print

Id:
1745
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Normally in Pakistan prons are eaten, I want to ask either we can eat prons or not it is commonly served and eaton in Shia peoples in Pakistan

Answer: bismehi taala, aap k sawal k jawab k liye Aytullah Khamenei ka refrence availabe nahi he, aap apne sawal k liye www.wilayah.org ya www.khamenei.de par ruju karain.

Print

Id:
1746
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: is it possible in shia law a women after gettng divorced if the both party wants to marriage again,what is the procedure in shia law

Answer: bismehi taala, aap k sawal k jawab k liye Aytullah Khamenei ka refrence availabe nahi he, aap apne sawal k liye www.wilayah.org ya www.khamenei.de par ruju karain.

Print

Id:
1748
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: aach maine sabne may deka ki ma babul hawahij(abulfazal abbass)(a.s)ka alam pakad raha ho alam bahud bada ta. magar maine badi asani say pakda howa ta.pata nahi ke kis ne muje wo alam dediya.jis ka rang red ta.abi as ka kia matlab hosakta hai. plz iska jawab muje jaldi bajde

Answer: bismehi taala, is site par fiqhi sawalat k jawabat diye jate hain

Print

Id:
1749
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: khuwb salam aliakum.sab say behlay main app sab ka bahut shukar guzar ho allah app sab kho jannat nasib karay hor panjtan pak ke sadqa ma hor panjtan pak ke sahe main hamesha rakey.mera sawal hai ke may bahot guna ka ho aaj maine ek sabna deka ke asman pair allah ka naam lika howa bahot ziyada uske bad main ne dika ki asman ke ek taraf sirf mohammad ka name like howa hai or dusri taraf main ne dika ke bibi fatima(a.s) ka hor hussain(a.s) lihaza sab ka name may ne dika panjtan pak ka naame mubarak.pir khab ke dosray hisay main main ne dika ke asman par qurhan pak ka koi lafz lika howa hai. wor us ke picha itna noor ta.yani ke itna rushini ta maine hesi rushini pehle nahi deki.plz app muje batasakta hai ke iska kiya matlab hosakta hai

Answer: bismehi taala, is site par fiqhi sawalo k jawabat diye jate hain

Print

Id:
1755
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: the always seatet with non muslim is allowed in islam

Answer: bismehi taala, agar is qism ki mulaqat se non-muslim ke islam se qareeb aane ka chance ho to yeh ek mufeed cheez he. Rasulullah (s.a.w.w.) ne Ali (a.s.) se farmaya: agar Allah tumhare zariye se apne bando me se kisi ek bande ko hidayat de to yeh tumhare liye un tamam cheezo se behtar he jin par suraj mashriq se maghrib tak tulua karta he. (ref: Al-fiqho lil mughtrebin Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.308)

Print

Id:
1776
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Assalam-o-Alaikum !! Kindly clarify my confusion that whether vomiting of an infant baby (female gender)is "NAJIS" against the vomitting of an infant(male gender)??? Pls do comments on it and oblige. Awaiting yr prompt reply on the above. NASEEM HAIDER

Answer: w.s. agar koi aur najasat mili huee nahi he to vomiting pak he (ref: tawzihul masail Aytullah Khumeni (r.a.) masaala no.83)

Print

Id:
1777
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Assalam o alaikum, mera sawal ye hay k majalis parhnay k lye jo mimber istemal hota hay jo Rasul(saww) n aimma masumin (as) se related hay is pe khawatin ka beth kr majlis parhna najaiz hay? Q k amuman ye kaha jata hay k janab e Syeda (sa) n janab e Zainab(sa) jb kbhi mimber pe nhn bethin to phr khawateen ko is per nhn bethna chahiye.

Answer: w.s. aap is ke liye www.wilayah.org ya www.khamenei.de par ruju karain.

Print

Id:
1785
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Can u confirm whether coke and rubicon are harm please and why

Answer: bismehi taala, pls aap apne sawal ko wazeh karain.

Print

Id:
1808
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: To support the muslim brothers of Palestine (Gaza) , should we attend the rallies and seminars held in our city also is there any hukum from current mujtehdein regaridng these rallies.

Answer: bismehi taala, shirkat karna jaiz he.

Print

Id:
1823
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: koi Acchi Baat

Answer: bismehi taala, tarbiyate nafas k liye behtreen tariqa aur behtreen amal ahkame shareeyat ki pervi karna he (aur) saheeh akhalaqi taleemat wahi he jo aemma-e-ahle bayt alyhemus salam se naqal shuda riwayat me mawjood hain. (ref: mujtheed se puchhe gaye sawalat part 4 page 98 Aytullah Seestani (d.b.))

Print

Id:
1837
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam-u-Alaikum, Sir main yahaan apna aik masla likh rahi hoon jis ke liye aap ka mashwara chahti hoon Quran aur Ahadees ki roshni main. meri bari behan ki shadi 21 June/2008 ko hoi thi, hum ne shadi jahan ki wo log kafi mazhabi the un ke gher main tv bhi nahi dekha jata tha, sub log bajamt nazaz ada karte the aur gher ki khawateen bhi baparda thin, meri behan ki shadi ke ley hum log bohat preshan rehe the un ka rishta lgta tha aur phir khatum ho jata tha, in logon ko meri behan bohat pasand aai aur un logo ne rishta dal dia hum un logon se bohat impress the ka kafi mazhabi log hain hamari behan ko bohat kush rakkhain ge is liye apni behan ki marzi jan kar hum ne shadi ke liye haan kardi, meri behan parda nahi karti thi aur tv bohat shoq se dekhti thi, magar shadi se pehle hi us ne parda karna shoroo kar dia aur shadi ke bad tv dekhna bhi chor dia. masla ye he ke hum ne jin logon ko bohat mazhabi samajh kar shadi ki thi un logon ne meri ehan ke saath bohat ziyatti ki, hamain bataya gaya tha ke zubuari bhai (mere behnoi) ki mahana aamdani 15000 hain, lekin shadi ke bad meri behan ko sift Rs.500 diye jate the mahine ke, is ke bad agar meri behen ki koi aur zaroorat he to unhain us se koi garaz nahi hota, gher ke kam ki bari lagai gai (meri behen ki do nandain gher shadi shuda hain) gher ke kamoon ko thinoo main bant dia gaya, is doran agar meri behan ko meke aana he ya us ki tabyat kharab he to bhi us ko apni bari ka kam karna parta tha, nanadian choti hone ke bawajood her bat per tokti thin, meri behan ko agar kuch chahiye ya agar kahin jana he to zubair bhai pehle apni ammi se pochte hain aur agar wo ijazat de dain to theek wara meri behan ko mana kar dete hain, gher ke sub hi log inteha se zada jooh bolte hain, pehle jab meri behan ne bataya to hum ne her bat per yaqeen nahi kia tha magar bad main hum ko pata chala ge wo sub log sirf aik doosre ko favor karte hain, bete ammi ko bohat bat mante hain aur isi bat ke wo faida uthati hain, aap ko meri bat per gussa aa raha ho ga ke main aik bari umer ki aurat jo ke meri maa ke baraber hain un ke liye aisi bat kar rahi hoon, magar yaqeen janiye main yahan sirf sachaai bayan kar rahi hoon. shadi ke 2 mahine tak jab meri behan ko aulad ki koi kushkhabri nahi mili to us ne doctor se rojoo karna chaha, us ne apni saas se kaha, saas pehle to talti rahin phir aik doctor ke paas le gain, us doctor ne ultrasound bataya magar un ki saas ne ultrasound nahi karwaya jab kafi din ho gai to meri ammi ne un ki saas se kaha to kehne lagin ke haan ab karwaoon gi magar phir kafi din nikal gae, main ne apni ammi se kaha ke ammi jab behan hamare gher aay gi to hum ultrasound kar wa lain ge aur un ke susral waloon ko nahi batain ge, jab behen gher aai to hum ne aik doctor ko dikhaya aur ultrasound karwalia jis main pata chala ke mei behen ke rasoli he, doctor ne kaha ke rasoli bohat choti he aur dawai se khatum ho jae gi, to hum ne zubair bahi ko bata dia ke hum ne doctor ko dikha kar ultrasound karwalia he magar rasoli wali bat nahi batai zubair bhai ne kaha ke ammi ko bhi bata dain ke aap ne ultrasound karwa lia he aur hamri ammi ne aanti ko bata dia, dawai pori hone par bhi koi faida nahi hoa aur doctor ne dawai badal di hum ne behen ke susral waloon se kaha tha ke sojan he aur us ka ilaj ho raha he, behen ki aik nand islamabad main rehti he, behen ko jab doctor ko dikhana hota tha to wo hamre gher aajati thi, us dafa us ne doctor ko dikhana tha to us ki nand islamabad se aa gai us ki DMC hoi thi, behen nand ke aane se pehle hi aagai take doctor ko dikha kar jaldi gher wapas ja seke aur nand se bhi mil le, jab behen hamare gher aai hoi thi to zubair bhai ka phone aaya (meri behen zubai bhai aur apni saas se ijazat le kar aai thi) ke hum ne ijazat de di thi magar tum ko nahi jana chahiye tha meri behn islamabad se aai he, meri behan ne kaha ke main bata kar aai hoon agar koi mujh se kehta ke wo mujhe doctor ke haan le jae ga to main nahi aati, to zubai bhai ne kha ke ab koi gher main tumhare mamle main nahi bole ga us per meri behan rone lagi (yaahan aur bhi bohat sari batain hain jo main nahi likh saki) doosre din zubair bahi ne meri behen ko phone kar ke sorry bola to bat khatam ho gai. doosri bar jab doctor ke haan jana tha to behen ki saas ne kaha ke mere saath chalna, jab behen saas ke saath gai to us din doctor ne kaha ke tum ko dmc karwani pare gi, meri behan dmc karwane ke liye razi thi magar us ki saas ne mana kar dia ke main pehle apni doctor ko dikhaoon gi, gher main sub log chupke cupke batin karne lage jaise meri behen ne koi gunha kar dia ho, khair 15 days ke bad un ki saas doctor ke paas le kar gai, to us doctor ne kaha ke DMC main risk he is liye tum 1 - 2 mahine dekh lo ye khud khatam ho jae gi, (rasoli kabhi bhi kud khatam nahi hoti balke us ka size bar hota jata he aur jar pakar lete he) pata nahi doctor ne aisi bat kun ki, lekin saas ne to us se bhi zada galat bat ki unhone ne ammi se kaha ke doctor ne bola he ke aik saal tak intaizar karo ye kud khatam ho jai gi, aur un ka ravia meri behen se bohat kharab ho gaya, meri ammi ne behan ki saas se kaha ke aap kisi aur doctor se mashwara kar lain main bhi kar loon gi to wo aik dam bharak gain aur bolin ke aap kahain nahi dikhao ki saas nandoon ki bhi koi aihmiat hoti he aur ab main kud dikhaoon gi, meri behan ab wahan rehne ko tayyar nahi thi, meri ammi ne zubair bhai ko phone kia aur ye sari bath un ko batai aur kha ke meri beti ap wahan rehna nahi chahti main us ko lene aa rahi hoon, to zubai bhai ne kaha ke main bat karta hoon to ammi ne kaha ke tum bat kar lo agar tum dono miyan bivi ka masla aapas main hal ho jata he to mujhe koi aitraz nahi, magar zubai bhai ne meri behen ko phone karne ke bajae apni behen ko phone kia aur phir meri ammi ko phone kar ke bole ke ammi main try kia tha magar number laga nahi meri ammi se bat hoi he aur meri behen ki boraiyan ginwane lage, meri ammi ne kaha ke theek he main beti ko lene aa rahi hoon, itni der main mera bhai kam se wapas aa gaya aur us ne jab ye sab suna to gusse main behen ko lene pohanch gaya aur apne saath le aaya, piche se meri behen ki saas se meri ammi ko phone kar ke kaha ke tumhari beti apni merzi gai he magar ab meri merzi se aay gi aur ye keh kar phone band kar dia, ab meri behen 2 mahine se maike main he, meri behen jab maike aai to doosre hi din us se apne mamoon susar ko phone kar ke sari bat batadi aur kaha ke ab main sab ke samne bat karoon gi aur Quran Shareef per haat rakh kar bataoon gi, magar unhoon ne bhi koi action nahi lia, 1 mahine tak jab wahan se koi phone nahi aaya to hum ne bahane se phone kia ke hum ko hamari behen ka kuch saman chahiya, tab wo log bat karne ki bath karne lage, hum to chah rahe the ke bat ho jae hum razi ho gai, magar jab un ko pata chala ke hum ko bus behen ke kuch kapre wagaira lene hain to un loogon ne behen ki mami saas se phone karwaya behen ki mami saas ne phone per meri behen ko bohat bhala bura kaha aur boli ke tum faisla le lo, aur yahan saman lene mat aana warna hum darwaza nahi kholain ge, mere bhai ne behen ke maoon susar ko phone kar ke kaha ke hum saman lene aa rahe hain aap ko jo karna he kar lo, khair bohat lamba ho gaya he inshort ye ke tub se ab tak bus ye hi ho raha he ke wo log phone kar ke meri behen ko dhamkiyan dete hain ke zubair rehna nahi chahta agar wapas aana he to zubair ko phone kar ke keh do ke main aap ke saath rehna chahti hoon au koi bat mat karna aur sub kuch waise hi rahe ga jaise he hum log nahi badlain ge. aur wo log sub ke samne bat karne aur Quran shareef per haat rakhne se mana kar rahe hain, zubair bhai kehte hain ke phone per bath karloon ga sub ke samne bat nahi karoon ga. ab meri behen ke saath aik to rasoli ka masla he jis ko hum zubair bhai ki ijazat ke bagair opereate nahi karwa sakte aur agar khamoosh ho kar bethte hain to meri behen ki zindagi ka sawal he agar rasoli bari ho gai aur us ne jar pakar li to kya ho ga hamari kuch samajh nahi aa rah ke kya karin, barahe meherbani hamain koi mashwara dain aur apna koi contact no. bhi bata dain. Allah Hafiz

Answer: bismehi taala, aap apne masale ka hal sure nisa ki ayat 35 k mutabiq talash kar sakte he k jis me parvardigar aalam ne tariqa bayan kiya he k dono families me se ek-ek (samajdar mard) fard ko moyyan kiya jae jo is masalle ka hal nikale, agar dono ka irada islah ka hoga to yaqeenan paravardigar dono me muwafeqat payda kar dega chunke Allah Aleem bhi he aur Khabir bhi.

Print

Id:
1840
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Salam Mera Saval ye hy k ham bank mein paisy jama karvatay hain to bank valay hamein un ka munafa detay hain, to vo munafa haram hy ya halal. aur agr jab ham paisy nikalvany chahein to vo pori rakam vapis detay hain. Thanks for quickly replay

Answer: w.s. aap www.wilayah.org ya www.khamenei.de par ruju karain.

Print

Id:
1844
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Salamunalaikum, When Aayt ul Allah Rooh Allah Khumeni is not present in this world then how it is possible to ask question from him??? my mind is not accepting this thing so please clear it???

Answer: Ayatulla Khumeni (r.h.) ki kitabain to mawojood he, jawabat un me se diye jate hain, mawjooda marajea me se baaz ka fatwa yeh he k agar koi shakhs pahele kisi marhum maujthid ki taqlee kar chuka he aur us marhoom mujthid ka elam is waqt k mujtahid k jis ki insan taqleed karta he ziyada tha to marhoom k masail par amal karna zaroori he.

Print

Id:
1845
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Can a syed boy or a girl marry a non-syed?

Answer: bismehi taala, aap apne sawal k liye www.wilayah.org ya www.khamenei.de pr ruju kare

Print

Id:
1848
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Which 3 Soraahs cannot be read in Namaz after Sorah-e-Hamd/Sorah-e-Fatiha?

Answer: bismehi taala, char surtain (1) qurane majeed ki 32nd sura "alif-lam tanzil (2) 41st sura "ham-mim sajda" (3) 53th sura "wan-najam" (4) 96th sura "alaq" (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.992 & 361)

Print

Id:
1850
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: now a days many boys and girls that marry, keep the sexual contacts to one another in a way that, i think is not according to islam preachings, actually this is the results of indian and english culture on our society, please guide us and other many muslims in appropriate manner,as i have not used the suitable words, please i m sorry as i used harsh words that r not desireable? reply me to my e mail address please?

Answer: bismehi taala, tarbiyate nafas k liye behtreen tariqa ye he k ahkame shareeat ki pervi ki jaye. (mujthid se puchhchhe gaye sawala part 4 page 98)

Print

Id:
1851
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: un tafaseer k naam bataein jo likhi hi urdu mai gaein ho yaani kisi or zubaan se tarjumma na ki gaein ho ???

Answer: bismehi taala, 1) anwarul quran : Moulana Zeeshan Haider Jawadi
Saheb 2) tafsire quran : Moulana Farman Ali Saheb 3) tafsire quran : Molvi Maqbool Ali Saheb

Print

Id:
1870
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: agar larki kisi larke ko apna kuf samjhti hay to kea larki? 1) waldain ki ijazat ke begair us se nikah kar sakti hay? 2) larki larke se batain kar sakti hay? duaon ka talbgar Musavir Mahdi

Answer: bismehi taala, aap apne sawal k liye www.wilayah.org ya www.kahamenei.de par ruju karain

Print

Id:
1871
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: meri anti k 2 ladki hai 17 or 11 sal ki 2 saal pehle mujhse bahut bada gunah ho gaya rat k andhere mai galti se main unke pas let gaya or wo sub ho gaya jo nahi hona chahiye tha us k 7 mahine bad mere anqal ne apni badi beti ki shadi mujh se kar di mai or aanti kisi se kuch nahi keh sake hun dono ne namaj padh kar ro ro kar parwar digar se mafi mangi hai or kasam khai k hum ma bete ki tarha tarha rahenge mein unko ammi hi bolta houn mene ab net par kuch fatwe padhe to mujhe bahut dukh huwa mujhe koi rasta batao mai kiya karun koi kuffara jawab mail k jariye dena aap ka ahsan hoga .khuda hafiz

Answer: bismehi taala, anti se kya murad he ? khala, phuphy, chchi ya mumani ? pls yeh wazeh karain

Print