Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Sadqa (59 Questions)


Showing 0- 50 questions from 59 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
82
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: gyar syed insan jo kay shia hai hum us kay illaj kay liay haq-e-sadat ki raqam say madad kar saktay hain?

Answer: ye JAIZ NAHI hay,is say zimmedaari poori nahi hogee. (Ref.Istiftaa)

Print

Id:
3278
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam Dear Sir, i need to know how to whom i can handover the sadaka -e imam - e-0 zamana? psl advs proces and advs any specail requirements. thanks & ragds Mehdi

Answer: It should be given to the poor people. (Ref: Mafhoom e Email recv from ayatullaha sistani d.b. dated : July 27, 2011) . Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
14095
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Sahab Date:

Question: Assalam u Alaikum. Mera sawal sadqe k bare me hai.. Kia hum sadqa nikal kr jama kr sakte hain and phir us ko kisi ko de sakte hain? dosra sawal hai k kia hum jama kerda sadqe se kisi ko roz mara ka saman leker de sakte hain jis se kisi gareeb ki imdad hojae? kia sadqe k koi ehkam hai? Meherbani ker k tafseelan byan fermae.. Muhtaje dua..

Answer: 1)Jee haan sadqa jama kar sakhtay hain lakin aap ko chahiey k kisi faqeer ka vakil ban kar os ki janib say apnay paas rakhaen, albatta phir wo sadqa osi faqeer ki milkiat ho ga jis k liay jama kia tha. (Ref : Mujtahid se pochay gaay sawalaat, Ayat Ullah Seestani(d.b), part # 1 , Mafhoom e sawal # 185).
2) Agar faqeer se ijazat le ker sadqa jama kia ho tu aisa kerna faqeer ki ijazat k baghiar jaiz nahi or agar baghiar ijazat k khud se sadqa jama ker rahe hoon tu aisa kerna jaiz hay or phir sadqa wohi cheez shumaar hogi.
3)Mustahabb sadqay may afzal hay k chupa k dia jaey magar ye k jab touhmat ko door karnay k liay, ya doosro ko targheeb dilanay k liay dia jaey to sadqa dikha kar k dia jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1608 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16153
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Agar ghar mai sadaqat ko jama kia jae aur phir aik hi martaba mai faqeer ko day dia jae to kia osay sadqa kaha jae ga?

Answer: 1)Jee haan sadqa jama kar sakhtay hain lakin aap ko chahiey k kisi khaas faqeer ka vakil ban kar os ki janib say apnay paas rakhaen, albatta phir wo sadqa osi faqeer ki milkiat ho ga jis k liay jama kia tha. (Ref : Mujtahid se pochay gaay sawalaat, Ayat Ullah Seestani(d.b), part # 1 , Mafhoom e sawal # 185). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16233
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia gair syed k lie jaiz hai k wo apna mustahabb sadqa, kaffara, fidia ya rad e mazalim ki raqm kisi faqeer syed ko dai. Ya is ka hokum fitray wala hokum hai. Aur is mai qanoon kia hai?

Answer: Ghair syed k liay syed ko mustahab sadqa daina jaiz hay laikin ehtiyat e wajib ki bina par ye jaiz nahi hai k bala o musibat door kerne k liay nikaali janay wali choti miqdaar ka sadqa bhi kisi syed ko dia jaey.Haan, wajib zakat maslan fitra dena jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat, Ayat Ullah Seestani(d.b), part # 3, Mafhoom e ques # 104, pg # 52). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16809
Mujtahid:
Ali sistani Date:

Question: Salam Kya Hum Imam e Zamana a.s. ka sadka nikal sakte hai? aaya AHlulbayt a.s. ke sadke me to eis Duniya ko khalk kiya gaya hai aur hum unke sadke me to jii rahe hai to kya hum unka sadka nikale jinka Muhafiz ALLAH swta hai? aur kya hum unki salamati ke liye Namaz pad sakte hai ya Durood Bhej sakte hai?

Answer: Jee haan bilkul Imam e zamana ka sadqa dia ja sakta he, is tarah to shukur kerne per bhi eyteraaz aa sakta hai k kese shukar karen jis zaban se karen ge wo bhi to ALLAH ki hi di hoe hai to phir shukur kerna to hamare liay mumkin hi nahi hai, lekin aisa nahi hai khuda ka hukum hai k shukur karen to apki nematoon men izafa ho jaey ga, isi tarah sadqe ka hukum bhi Allah deta hai or riwayaat men bhi hai Aimma Masoomeen a.s ne taqeed ki hay k sadqa dene ki. Or isi tarah IMAM E ZAMANA a.s k liay dua_e_salaamati or drood waghera ka hukm hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1606 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
23597
Mujtahid:
shishtani saheb Date:

Question: sawaal ya hey key non shia koo sadqaa o kharaat dey saqtaa hu iss lia key woo syster in low hey our talaaq yaftaa hey

Answer: Mustahab sadqa non shia ko diya jasakta hai. Laikin jis ko sadqa diya jaay wo dushmane ehle bait aur dushmane deen nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1607 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
40762
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Salam agar mai 1 box mai daily sadaqa ke paise nikal kar box mai dalta jao & month end per ya jab rakam bhut ziada hu jae tab kese foundation / organisation / family ko de do. to esa karna jaiz hai??? aur ye daily ka sadqa count huga ya jis din sadqa foundation / organisation / family ke hath mai jae ga only us din ka????

Answer: Agar aap nay us family ya mustahiq ya idare say pehlay baat ker k ijazat lay li thi k aap rooz k rooz sadqa jama karain gay aur phir aik sath dain gay (chahe month k end par ya chahay barhi raqam ho jane par) tu wo rooz ka rooz saqa shumaar hoga aur phir wo usi faqeer ki milkiyat shumaar hoga aur agr aap nay pehle baat nahi ki thi tu phir wo puri raqam osi din sadqa shumar hogi jis din aap usay mustahiq ko dain ge.(Ref:Book mujtahid say poochay gaey sawalat, ayatollah sistani(d.b) Mafhoom e maslah#185, pg#90). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
41215
Mujtahid:
Alama sistani Date:

Question: Allama Sahib mra swal hy sadka kis waqt dna chahey or oske neyat kiasy krne chahia or mra dosra swal hy k jhot ka kfara kia hy or kiasy kfara ada krna chahey

Answer: 1-Sadqa kisi bhi waqt nikala jasakta hay, mustahab hay k din k aghaz per nikala jaey Q k ye is din shar ko door kerta hay or Raat k aghaaz main diya jay Q k ye raat k shar ko door kerta hay. Sadqa dainay main qasd e qurbat zarori hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1601, 1603 , Eidition 1417 hij).
2- Jhoot bolna gunah e azeem hay or is ka koe kaffara nahi hay lainkin Allah se schay dil se tauba kerna zarori hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
41339
Mujtahid:
Alama sistani Date:

Question: Sadka kis wakat dena chahiy or is ke km sy kam or zeada sy zeada mekdar kia hay or sadka dety wakat kn baton ka kheal rakhna chahiy or is ke neat kiasy ke jati hy

Answer: Insaan ko bala o mushkiloo ke waqt apni hesiyat ke mutabiq sadqe se ilaaj karna chahiay, or zarori hai k mustahab sadqa Allah Taala ki kushnudi ki khatir de, chupa kar de, ager qaribi rishtedaro main koi is ka mustahaq ho to us ko de. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1601 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46413
Mujtahid:
Sistani d.b. Date:

Question: Kia kisi gareeb kitabi kafir jaisay Christian aur kafir e zimmi ko sadqa dia ja sakta hai? Kia aisa karnay ka sawab milay ga?

Answer: Mustahab sadqa aisay kafir ko daina jaiz hay jo musalmano k sath halat e jang main nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1607 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46415
Mujtahid:
Sistani d.b. Date:

Question: Kia syed mustahab sadqa lai sakta hai?

Answer: Syed ka mustahab sadqa lena jaiz hai magar ehtiyat e wajib ye hai k syed ko musibat o bala door kerne k liay kam raqam wale sadqay nah diay jain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1604 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52544
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Kya sadka e imam e zaman (a.s) poor hashimi / saadat ko dya ja sakta hai?

Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1606 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52795
Mujtahid:
ahlesuntwljmat Date:

Question: Kya Sadqa Behen Bhayon Ko Dya Jasakta Hai?

Answer: Ager bhai o behen ayse kafir nah hoon jo musalmano se jang kar rahe hon or nah hi Islaam o Ehl e Bait (a.s) se dushmani karne wale hoon to phir mustahab sadqa de sakte hain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1607 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
56564
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: syed ka sadqa gharib syed ko s day aqtay hay

Answer: Syed ka sadqa syed aur ghair syed dono ko diya jasakta saktay hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1604 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71033
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam hm rad e mazalem k pasey kaya suni patients ko dae saktae hn?

Answer: zarori hay k radd e mazalim aise 12 imami shia,gareeb ko diya jaey jo deendaar ho or ehtiyaat e lazim ki bina per haakim e shara ki ijazat se diya jaey. (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0481/ ). Update on dated 28-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71820
Mujtahid:
Date:

Question: kya kisi ko bina bataye sadqa ya fitra de sakte hain

Answer: Mustahiq ko ye batana zarori nahi hai k jo raqam use di jaa rahi hai wo sadqa ya fitra hai.(Ref: ahkaam khums o fitra,pg:180) . Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93507
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-11

Question: KIYA IMAM ZAMANA KI TARAF SAY SADAQA DENA CHAHEYEY? KIYA YE QURAN, HADEES RASUL ALLAH, IMAM KA FARMAN HAI YA MARJA KA FATWA HAI? AGAR NAHI TO KIYA SIRF LOGON KI MOHABBAT KA AMAL HAI. TAFSEEL SAY FARMAEN.

Answer: Riwayaat main umoomi tour par riwayaat mai moujood hai k sadqay k fazail hai or ye kisi k liay bhi diya jaa sakta hay.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/15/855/ )
[Updated on 11-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
98829
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-25

Question: agar aik banda sahbe hasiyat hai to kia wo sadqa ki cheez kha sakta ha

Answer: Mustahab sadqa gani(rich) ko b diya jaa sakta hay. (Ref: Minhajus saliheen, part# 2, masla#1607).
[Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
100985
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia syed ka sadka syed ko day saktay hain

Answer: jaiz hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#2, maslah#1604). Update on dated 11-10-2019. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102282
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Sadka ka asal hakdar kaun hai,, aur apne behen ya bhai ko de sakte

Answer: Sadqa ghani, mukhalif or kafir e zimmi ko daina bhi jaiz hay. Sadqa qareebi muhtaj rizshedaar ko daina zaida afzal hay. (Ref: Ayatullah Khoe r.a, almobeen fi tauzihul Minhajus saliheen, part#4, maslah#1226-27). Update on dated 02-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102464
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Me Sadqa k bary Mein Masla phochna chahta Hn wo yeh k kia Syed ko Syed Sadqa dy Sakta h

Answer: Syed kisi doosre syed ko mustahab sadqa de sakta hay, balkeh ghair syed bhi kisi syed ko mustahab sadqa de saktay, laikin agar rad e bala k liay diya jane wala sadqa bohot qaleel miqdaar main ho jo k tauheen or zillat ka sabab ho tu ehtiyaat e wajib ye hay k ghair syed, syed ko is tarah ka sadqa nah day. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#2, maslah#1604)

Print

Id:
103579
Mujtahid:
sunni Date: 2020-02-13

Question: kiya kisi zaroratmand dost ko bina batay sadqa diya ja sakta hai k os ki izzat e nafas majroh Naa ho or os ki madad bhi ho jayn?

Answer: Aap apne dost ko sadqa baghair bataey de sakte hain. (Ref: Mujtahid se poche gaey sawalaat, part#2, pg#56).
[Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104045
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-17

Question: As Salam o Alaikum, mera question yeh hai k mai karbala se 2 kafan apnay aur apni mrs k liye laya houn please yeh batadain k kia kafan ka sadqa dain joga agar daina hoga to kitna joga 2 kafan k. Regards Haider

Answer: Jee nahin sadqa nahin hota, han agar us ko istimal na kiya jai khums ajae ga. Insan k lie apni zandigi mai kafan ka tayar rakhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 573)
[Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104053
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-02-25

Question: Assalam o alaikum, Mjhy yeh pochna tha k jiske naam pe sadqa de rae use batana kia zarori hota hai k use bta dia jae k tmry naam pe sadqa de raha hun? please mjhy non shia se related btaega. Shukria

Answer: Is website per fiqh e jafferiya(shia mazhab) k mutabiq jawabaat diay jaatay hain:
[Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104425
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-02

Question: Jo ghar mn nokar kam krty hain unko sadqa dy sakhty hain

Answer: Jo shaks haqq or ahle haqq se dushmani na rakhta ho use mustahab sadaqa Diya ja sakta hai or saqda dene wale ko ajaru sawaab bhe nulega . (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1607 ,jadeed fiqhe masail , aqa sistani ,pg.no.207,masla no : 327)
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104487
Mujtahid:
Agah e Rehber Date: 2020-04-27

Question: Slm. I'm syeda zainab mra swal ye hai k mri umar 25 saal ho gai h or mri mngni ko saal hony wala h jb b shadi ki date fix hony ki bat hoti h koi na koi prblm aa jati h mry ghr waly bht preshan hai es sb sy tou plz koi hal bta dain

Answer: Sadqa day kar kaam ko shuroo kia jaey, sadqa balao ko taal daita hay.(Ref: (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#2, pg#514,eidition 1439 ).
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108481
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-26

Question: Salam..mera sawal hai ki kya imam e zamana a.s ka jo sadqa hm log nikalte hain ya or bhi sadqa jo nikalte hain usme note tabdeel kr skte hain? Shukriya

Answer: wsalam. Jee note tabdeel kiye jaa sakte hai, laikin gar aap ne pehle ksis adare ya shaks se ijazat lay kar sadqa jama kar rahe thay tu aap note os sorat main tabdeel kar sakte hain jab aap ne on se tabdili ki ijazat li hoe ho.
ye shart zakat e fitra mai hai k aap ne rqam jo alag ki hai ab usay badal nahi saktay lekin sadqa khums wagaira mai koi harj nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1990).
[Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111933
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-11

Question: Salam,Kya ek bakry pe do insaano k naam liye jasakty hain sadqy k liye??

Answer: 1: Agar aap ki is se murad Aqiqa hai, to Aqiqay ke janwar ka qurbani ke jaanwer ki terah hissay nahi hote aur nah hi wo qurbani k usool k mutabiq taqseem hota hay, Aqiqay k liay aik jaanwer(maslan bakra) kafi hai aur uska sara gosht ghar walay kha saktay magar Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay. khaas taur per maan k liay makhroh hay. Magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal hai 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #3, Edition 1417 hij, Mafhoom e Maslah #394-395).
2: Aur Agar aap ki is se murad wo sadqa jo kisi museebat ke tal jane ke liye kiya jata hai, to Is men jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay. (Ref : https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ )
[Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112361
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-03

Question: Kia humy apny marhoom walidain ka sadqa nikalna chahye?

Answer: Aap khuda se 14 masomeen(a.s) k wasile se on k liay dua ker sakte hain or un ki liye bakhshish ki dua ker sakte hain or on k naam per sadqa day sakte hain doosre naik kaam ker sakte. Yaqeenan Allah Ghafoor o Raheem hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #1, Mafhoom e Jawab #199 Page #94)
[Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112384
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-06

Question: Salam! I want to know k aik hi sadqay ki raqam pe do niyaatain ki ja sakti hain? Maslan Imam e Zamana (as)ka sadqa or radde bala k liye ghar walon ka sadqa kia aik hi raqam se dia ja sakta hai ya alag alag raqam ka sadqa dena hoga?

Answer: Jee han, dono ki niyat kar ke aik hi sadqa diya ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, part #2, Mafhoom e maslah #1603)
[Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113567
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-03-15

Question: کیا سید بہیت ضرورت میں کسی سید انسان کا صدقہ استعمال کرسکتا ہے

Answer: Syed ka sadqa syed aur ghair syed dono ko diya jasakta hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen, Part #2, Edition #1417 hij, Maslah #1604).
[Updated on 15-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113735
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: kia musafir sadqa kar sakta hai

Answer: Jee han, de sakta hai. Aur Riwayaat main umoomi tour par moujood hai k sadqay k fazail hai or ye koi bhi de sakta hai aur kisi k liay bhi diya jaa sakta hay.
(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/15/4779/ ).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113758
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-25

Question: Assalamualaikum, mera sawal ye h ki kya marhoom k nam ka sadka ya fitra nikala ja sakta h??? Agar nikalana ja sakta h to kaha kharch Karna wajib h

Answer: Marhoom ke naam ka sadqa diya ja sakta hai aur mustahab sadqa ghani(rich), mukhalif or kafir e zimmi ko daina bhi jaiz hay. Sadqa qareebi muhtaj rishtedaar ko daina zaida afzal hay.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, part #2 masla #1607,1609).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114549
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-23

Question: Yeh Btyn k sadqa Roz Jama Karen or phr jab b koi zarorat mand laggy jaisy daily koi magnay wala aye to usay da skty hain Yani koi niyat nae jama ki hui Raqam say kisi ki b madad kar skty hein to roz sada nikalna shumar hoga or disease yeh k Aksar sadqa nikalny k bad b Chota mota nuqsan hojata hai q? Kia sadqa qubool nae haha?

Answer: Sadqa os waqt shumaar hoga jab ya tu mustahaq ko sadqa day dia jaey ya phir ksi mustahaq ya mujtahid k waakeel se ijazat laay kar ghar main sadqa jama kia jaey or baad main mustahaq ya mujtahid k waeek ko dia jaey. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01836/)
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114835
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-06

Question: Sadqa kis bande ko dena chahiye?

Answer: Sadqa gani(rich), mukhalif(sunni), or kafir e zimmi ko bhi diya jaa sakta hay. Lekin Sadqa qareebi muhtaj rizshedaar ko daina zaida afzal hay.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1607).
[Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114964
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-26

Question: Asalamoalikum, Mujhe sadqe ke hawale se ek sawal puchna hai. Meri ammi ka inteqaal hua hai, main unka roz sadqa nikalti hu. Mere ghar roz ek jamadaar khana lene aata hai jab khana nahi hota to main us sadqe ke paise isse de deti hu. Ye Jayaz hai ke main sadqe ke paise isse de du? Mujhe uska deen nahi pata ke wo muslim hai ya nahi. Main zaruratmand samaj kar isse paise de deti hu ke wo ek waqt ka khana kha paiga to uska sawab meri ammi ko ho.

Answer:


Mustahab sadaqa ( yani wo sadaqa jo kise per wajib na ho ) non shia ko diya jasakta hai.or aisay kafir ko daina jaiz hay jo musalmano k sath halat e jang main nah ho Laikin jis ko sadqa diya jaay wo dushmane ehle bait aur dushmane deen nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Maslah #1607 , Eidition 1417 hij)

[Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115323
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-09

Question: Asalam o alikum Hum imam e zamana k Nam say sadqa kis ko day saktay Hai Aqae sistani k mutabiq btaiye ga

Answer: mustahab Sadqa jo Imam e zamana (a.s) ke lie nikala jata hai wo tamam logon ko diya jaa sakta hay chahe ameer ho, gareeb ho, shia ho, sunni ho ya chahe kafir ho laikin kafir e harabi ( jo musalmaano se halate jang me ho) or jo shaks ahle haqq ( masalan muhammad o aale muhammad ) se dhushmani rakhte hai un ko na dia jaae . (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1607, jadeed fiqhe masail ,bamutabiq fatwa aqa sistani,,pg# 320)
[Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115684
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-26

Question: Kya sadqa bta ke dena zaroori hain or family ko de sakte ky sadqa

Answer: 1: Mustahiq ko ye batana zarori nahi hai k jo raqam use di jaa rahi hai wo sadqa ya koi raqam hai
2: Jee( mustahab sadaqa or wajib sadaqa agar rishtedaaro me sharaait moujood ho tu) de sakte hain balke afzal ye hai ke qareebi gareeb rishdaron ko diya jaye or is se bhi afzal ye hai ke rehmi rishtedaron ko diya jaye.
(Ref: Ahkaam e khums o fitra, sawal #14, pg #180, Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1607,1609).
[Updated on 26-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115787
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-13

Question: Salam..mei nay apna karobar start kia hai or niyat ki hai imam e zamana ko partner banaya hai sale ka 5% nikalo ga .. sawal yeh hai k wo paisay kis ko don kisi momin mustahiq ko day sakta ho ya syed ko dene hon gay ?

Answer: Aap har os kam main kharch kar sakte hain jis main imam e zamana a.s ki riza shamil hone ka itminan ho.
[Updated on 13-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116593
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-26

Question: Kya aik Bhai apni behn ko sadqa de Sakta hay jub keh uska sarparast uska bhai he ho or Acha kamata b ho, waldain wafat pa chukay Hain.

Answer: Agar bhai or behen ayse kafir nah hon jo musalmano se jang kar rahe hon or nah hi Islaam or Ehl e Bait (a.s) se dushmani karne wale hon to phir mustahab (jo wajib na ho) sadqa de sakte hain. or agar jis ko sadaqa dia jaraha hai syed ho tu ehtiyaate wajib ki bina per wo mamoli raqam (maslan five rupees waghaira ) jo haqeer samje jate hai wo na de (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Mafhoom e Maslah #1607).
[Updated on 26-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116647
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-10-21

Question: Salam Mera sawal ye h k agr koi ghair e shia hmse sawal kre k ap Imam e Zamana as k nam ka sadqa q dty hein wo Masoom hein r ALLAH talla k pas hein unhy kia koi preshani yaa tklf asakti h q k sadqa balaon ko door krta h Kindly iska answer krdein

Answer: Jee haan bilkul Imam e zamana ka sadqa dia ja sakta he, is tarah to shukur kerne per bhi aitraaz aa sakta hai k kese shukar karen jis zaban se karen ge wo bhi to ALLAH ki hi di hoe hai to phir shukur kerna to hamare liay mumkin hi nahi hai, lekin aisa nahi hai khuda ka hukum hai k shukur karen to apki nematoon men izafa ho jaey ga, isi tarah sadqe ka hukum bhi Allah deta hai or riwayaat men bhi hai Aimma Masoomeen a.s ne taqeed ki hay k sadqa dene ki. Or isi tarah IMAM E ZAMANA a.s k liay dua_e_salaamati or drood waghera ka hukm hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1606 , Eidition 1417 hij).
[Updated on 22-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120653
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-11

Question: Assalamualaikum khairiyat? Mera ye sawal hai ke mere doston ke naam par sadkha Nikal saktey?

Answer: Jee han, nikal sakte hain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, pg #279).
[Updated on 11-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120702
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-15

Question: السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ آپ لوگ کیسے ھیں امید کرتا ھوں آپ ٹھیک ھونگے میرا یہ سوال ھے کہ میں امام زمانہ کی صحت و سلامتی کے لیے صدقہ دینا چاھتا ھوں تو وہ کیسے دوں اور کس کو وہ صدقہ دینا چاھیے اور وہ صدقہِ کس چیز کا نکالنا چاھیے ؟ والسلام

Answer: 1: Jin pasandidah faraiz ki takeed humare paishwaon ne farmayei hai un me aik fareeza Imam (a.s) ki salamati ki niyat se sadqa dena hai.
Sadqa bazat e khud aik pasandidah amal hai aur salamati e Imam (a.s) ki niyat se us ki ehmiyat aur ziyada barh jati hai.
Imam Jaffar Sadiq (a.s) se riwayat hai ke Allah ke nazdeek Imam (a.s) ke liye maal kharch karne se ziyada pasandidah cheez aur koi nahin hai, ba-tahqeeq jo momin apne maal se aik dirham Imam (a.s) ki khatir kharch kare, khudwand behisht me Uhd ke paharh ke barabar use us ka badla de ga.
2: Imam e zamana (as) ki sehat o salamati ke liye bhi usi tarah se sadqa nikalna hai jis tarah hum apne or apne ahl o ayaal ke liye nikalte hain. jese ke sadqe ke taur par paise, libas ya koi cheez dena. isi tarah sadqa nikalne ke baad unhi ghareebon, faqeeron or muhtajon ko dena hai jin ko hum apna or apne ahl o ayaal ka sadqa dete hain.
(Ref: Usool e Kaafi, jild #1, pg #735. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Seestani(d.b), Part #2, Mafhoom e page #514,515).
[Updated on 16-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121416
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-23

Question: Mjhy ye puchna tha k kya aqeqe ka ghost hum hinduon m bant sakte hen?

Answer: Aqeeqay ka ghost hinduon ko diya jaa sakta sakta hai magar mustahab ye hai ke momineen ki jamaat ko dawat di jaye aur afzal ye hai 10 ya is se ziyada afraad ko dawat di jaye.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Mafhoom e Maslah #394,395, Edition 1417 hij).
Mustahab sadqa ( yani wo sadaqa jo kise per wajib na ho ) non shia ko diya jasakta hai.or aisay kafir ko daina jaiz hay jo musalmano k sath halat e jang main nah ho Laikin jis ko sadqa diya jaay wo dushmane ehle bait aur dushmane deen nah ho. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Maslah #1607 , Eidition 1417 hij)
[Updated on 23-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121716
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-23

Question: Salam Bacche ke aqiqe me jo hairs cut kiye jate hai jinhe tol kr uski barabar raqm ada krna hota hai. Kya wo raqm ya chandi dene me Syed ya gaire Syed ka koi masala hota hai... Ya kisi ko bhi wo diya ja sakta hai. Or agar baccha khud gaire Syed ho to kya uski nikali hui raqm kisi Syed ko di ja sakti hai?

Answer: 1: No maulood ke sar ko us ki wiladat ke saatwen roz moondna, zarar se mahfooz hone ki surat me aur is ke munde hue baalon ke wazan ke barabar sone ya chandi (is ki raqam nahin blake khud sone ya chandi) ka sadqa dena mustahab hai.
2: Ghair e syed ke liye syed ko mustahab sadqa daina jaiz hay laikin ehtiyat e wajib ki bina par bala o musibat door karne ke liye nikaali janay wali chauti miqdaar ka sadqa kisi syed ko dena jaiz nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #4, Edition #1443, Maslah #368. + Minhaj ul Saleheen, part #2, maslah #1604).
[Updated on 24-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121785
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-04

Question: Kya sadqa ya kherat ki raqam kisi ko ojrat k tor pe de ja sakti hy?

Answer: Sadqa us waqt shumaar hoga jab ya to mustahaq ko sadqa day diya jaye ya phir kisi mustahaq ya mujtahid ke waakeel se ijazat laay kar ghar main sadqa jama kiya jaye aur baad main mustahaq ya mujtahid ke waeek ko day diya jaye. lekin agar wo raqam mustahaq ko na di jaye balke kisi ko ujrat ke taur par di jaye to wo ujrat ke taur par di to jaa sakti hai lekin phir wo raqam sadqa shumar nahin hogi.or sadaqa us waqt Tak sadaqa banta nahe hay jab tab qurbatan illah ya faqat allah ki lie dia hay ,us me ko or cheez na ho
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01836/,minhajussuleheen jild :2, topic :sadaqa ).
[Updated on 05-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121960
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-04-04

Question: Assalam o Alaikum. Meray 3 sawal hain. 1: jab b hum sadka dete hai, to kia sadka k paise ya ghost ya koi b cheez sadka lene vala ko bta k dene chahia ya nhi. Means agr paise sadka k lia hain to lana vala ko btana chahia k ye sadka k hain. Ya usse pochna chahia k vo sadka k paise leta hai k ni. 2: sadka sirf ALLAH ki raza k lia hota hai. Lakin hm jab sadka krte hai ya sadka utarte hai to hmara zahn me or hmari niyat sadke k kam ki e hoti hai. Maslan, agr bache ki tbiyat khrab hai to uski tbiyat thik hone ki niyat se sadka dena. Kia ye thik hai or is terha sadka kabool hota hai? Or aik or sawal koa sadke ka ghost kavoo (crows) ko dalna jaiz hai? Waiting for answers in islamic point of view. JazakALLAH

Answer: "Sadqa" un cheezon mein se ke jis ke baray mein buhut si ayaat aur mutawatar riwayaat mein tashweeq aur targheeb warid hui hai.
Riwayat hai ke sadqa beemari ke liye dawa hai; is ki wajah se, aafat dafaa ho jati hai; rizq nazil hota hai; sadqa nematon ko lata hai; is ki wajah se, karz ada hota hai; sadqa karne se rizq mein izafah hota hai.
Isi tarah Riwayaat mein hai ke sadqa sattar (70) qisim ki buraiyon ko door karta hai jin mein buri maut, beemari, jalna, doob jana, korh aur junoon shaamil hain.
1: Mustahiq ko ye batana zaroori nahin hai ke jo raqam ya jo bhi cheez use di jaa rahi hai wo sadqa ya koi aur raqam, cheez hai.
2: Jee han ye sahi hai aur sadqa shumar hoga, Q ke insaan jo kuch bhi Allah taala ka qurb haasil karne ki niyat se kharch karta hai woh sadqa hai.
Jaisay woh raqam jo woh kisi dosray ko qurbat ki niyat se deta hai, ya woh raqam jo woh kisi masjid, imam bargah, khairati idaron, me qurb ellahi ki niyat se deta hai, ya woh raqam jo ghareebon aur yateemon ki khane ke liye, beemaron ka ilaaj mualja karne par qurbat ki niyat se kharch karta hai ya qurb ellahi ke liye maal waqf karta hai ya qurbat ki niyat se maqrooz se us ka mutalba maaf kar ke usay karz se bari kar deta ho.
3: Jee nahin parindon ko saqday ka gosht nahin de sakte Q ke sadqa insaanon ka haq hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #1320, pg #601,602. + Ahkaam e khums o fitra, sawal #14, pg #180).
[Updated on 05-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122236
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-01

Question: Aoa.mere husband k bhai bemar hain.aur mai ne buri khawb dekhi hai.wo canada me hain.kya mai unke naam ka sadqa de skti hu.ya unko hud apna sadqa nikalna hoga

Answer: Jee han, aap khud de sakti hai Q ke kisi ka sadqa dene ke liye mehram hona shart nahin hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443 hij, Mafhoom e Maslah #1602,1606).
[Updated on 01-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122493
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-04

Question: Sameer Shaikh: mai 4 saal se kaam nahi milra bahut pareshan hu mera pahle company me lebar contryaktar tha accha chalta tha lekin achanak company se nikal diye jab se koi job nahi hai koi acha wazifa batao please mera liye dua

Answer: 1: Job milnay ke liye sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata hai.
2: Husool e rizq or taraqqi e rizq ke liay 141 martaba ye zikr yaa razzaaqo urzuqnee (یَا رَزَّاقُ اُرْزُقْنی) parha jaaye.
3: Riwayat main hai ke jo shakhs subah ke waqt kisi se baat karnay se pehlay 3 baar surah e maidah ki ayat #114 ki tilawat karay use wahan se rozi milay gi jahan se use wahm o ghuman bhi na ho ga. ayat (rabbana anzil alaina . . . . . . khairur razaqeen, رَبَّنَاۤ اَنۡزِلۡ عَلَیۡنَا مَآئِدَۃً مِّنَ السَّمَآءِ تَکُوۡنُ لَنَا عِیۡدًا لِّاَوَّلِنَا وَ اٰخِرِنَا وَ اٰیَۃً مِّنۡکَ ۚ وَ ارۡزُقۡنَا وَ اَنۡتَ خَیۡرُ الرّٰزِقِیۡنَ).
4: Museebat se nijaat k liye wazifa: Surah e Ahqaaf 3 bar parhein, museebat tal jaaye gi.
5: Har qism ki perashani k liya surah e Mubarak e Anaam ki ayat #17,18 (in yamsaskallaho . . . . . . .al khabir, وَ اِنۡ یَّمۡسَسۡکَ اللّٰہُ بِضُرٍّ فَلَا کَاشِفَ لَہٗۤ اِلَّا ہُوَ ؕ وَ اِنۡ یَّمۡسَسۡکَ بِخَیۡرٍ فَہُوَ عَلٰی کُلِّ شَیۡءٍ قَدِیۡرٌ. وَ ہُوَ الۡقَاہِرُ فَوۡقَ عِبَادِہٖ ؕ وَ ہُوَ الۡحَکِیۡمُ الۡخَبِیۡرُ) ko fajr se pehlay likh kar apnay paas rakhain. Inshallah faaida ho ga.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus saliheen Part #2, al-baabus saani-fis sadqa, page #425. + Naeemul amaal, pg #312. + Kitab payam e shifa, page #217,221,232).
[Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print