Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Wuzu (116 Questions)


Showing 0- 50 questions from 116 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
181
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: SALAAM, AGAR WAZOO KE DORAN YA BAD MAI GAS KHARIJ HOTI HAI TO IS SE WAZOO TUT JATA HAI YA NAHI AUR AGAR GUSL-E-JANABAT KE DORAN GAS KHARIJ HO TO KYA GUSL WAPAS KARNA PARTA HAI.

Answer: Salam un Alaikum,

Gas kharij hone sey wuzoo toot jata hay. Gusl-e-janabat key doran agar gas kharij hojye to gusl ko tark kar key naye siray sey gusl karna zaroori nahi hay balkeh gusl mukammal karney key baad aihtiyat-e-wajib kee bina par wuzoo karna zaroor hay.
Ref: Tawzeeh ul Mazail Aqai Seestani Probe No. 329 & 392

Khuda Hafiz

Print

Id:
185
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: kia gas kharij hone se wazoo toot jata hai aur agar gusl-e-janabat ke doran gas kharij ho to kia hukum hai.

Answer: Salam un Alaikum,

Gas kharij hone sey wuzoo toot jata hay. Gusl-e-janabat key doran agar gas kharij hojye to gusl ko tark kar key naye siray sey gusl karna zaroori nahi hay balkeh gusl mukammal karney key baad aihtiyat-e-wajib kee bina par wuzoo karna zaroor hay.
Ref: Tawzeeh ul Mazail Aqai Seestani Probe No. 329 & 392

Khuda Hafiz

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1024
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-09-04

Question: SALAAM. 1. MUJHE GASTRIC ULCER HAI JIS KI WAJAH SE KABHI BHI GAS KHARIG HONE LAGTI HAI AB IS SURAT MAI WAZOO AUR NAMAZ KA KIYA HUKUM HAI. 2. BIWI KE SATH MAZAK KARNE SE YA KOI TASVEER YA FILM DEKHNE SE MAKAM-E-PESHAB SE CHIKNI CHEEZ KHARIJ HOTI HAI YEH NAJIS HAI YA PAK?

Answer: *1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Riyah roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day..2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba REEH kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay REEH kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chan namazoon kay liye bhi kafi siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi..*2jo rutubat cher chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt apni sharamgaah main mehsoos karta hay wo paak hay,Is say ghusl bhi wajib nahi hota aur na hi ye wuzu ko baatil karti hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308-Masala No.345,Pg.No.62.

Print

Id:
4060
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalamu alaikmum mera question hai k wazu kin cheezaun se toot ta hai

Answer: 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koe bhi cheez ho jaay wazu batil ho jata ha.
1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istahaza 7)janabat balkeh ethiat e mustahab ki bina per har wo kam jis se ghusl karna wajib ho jay (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4074
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kya Cigarate pine se hasne se wadoo makru ho jata hai??

Answer: In kamo say wuzu per koe asar nahi perhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 235 - 343). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4847
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: agar kisi zakhm waghaira say khoon kharij hona shuroo ho jai to wuzu batil ho jata hai?

Answer: wuzu k baad khoon nikalnay say wozo baatil nahi hota albattah namaz k liay khoon ko pak karna ho ga. (ref : Tauzee hul masayl ayat ullaha khoe (d.b.) masla # 329).

Print

Id:
5753
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam u elykam. Kya namaz k dooran reekh/hawa ko rokne se wuzu aur namaz tuut jati hai?

Answer: Agar riyaah(gas) kharij ho to wazu batil ho ga aur agar kharij na ho to wazu batil nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322).

Print

Id:
5860
Mujtahid:
Date:

Question: AOA kiya smoking karney say wazoo batil ho jata hay?

Answer: Smoking karnay se wazu batil nahi hota. Balke 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koi bhi cheez ho jay wazu batil ho jata ha.1)peshab 2) pakhana 3)reah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zail ho jay 6)aurat ka istahaza 7)janabat bulke ethiat e mustahib ki bina per har wok am jis se ghusl karna wajib ho jay (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 322)

Print

Id:
5967
Mujtahid:
systani Date:

Question: salam mera sawal ye he k jab bhi me wazoo karta hoo namaz parhne k lye woh zyada dair qaim nhi rehta wazoo toot jata he khaas kar jab me namaz me hota hoo me dubara wazoo karta hoo or woh phir toot jata he mere lye kya hukum he?

Answer: agar kise shaks ko ye aarza lahaq ho kay riha(gas) roknay per qadir na ho to zarore hai k un logo kay mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhnay per qadir na ho. agar kisi ko peshab ya phakhana bar bar you ata ho kay isay wazo karkay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhall na ho to us ka 1 wazo chand namazo ke liye bhi kafi hai albatta behar ye hai ke har namaz ke liye 1 baar wazo karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308-314 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6001
Mujtahid:
Date:

Question: aoa..... ager peshab k qatray mehsos hon,peshab karnay k bad,or app hallat-e-namaz mn hon,to namaz tot gai???or istibra ka tareeka in detail plz????

Answer: Ager us shaks ko pata nahi ke wo qatre pishab ke hen to Jis shakhs ne peshab k baad istibra kiya ho or is k bad koi ratoobat kharij ho jis k bare men wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kiya ho or peshab krne k bad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi or is se wazu bhi batil na ho ga.Or agr mashkuk ratubat pishaab ke baad or itibraa se pehle kharij ho to wo pishab ka hokum rakti hai or pishaab mubtilaat e wazoo main se hai.
(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70, 322)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Agr us shakhs ko pata ho ke pishaab ke qatre hen to ager ye un logon men se hai jo is marz men mubtala hain to zaruri hai ke in logon ke ahkaam per amal kare,or agr is ko ye marz nahi hai or pata ho ke pishaab ke qatre hen to us ke namaaz batil hai
(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 306 to 314, 1113) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Istebra ek mustahab amal hai jo mard hazrat peshab k bad is wajah se anjam dete hen take ye itminan ho jaye k pishab ki nali men peshab baki nahi raha, Is ka tareeqa ye hai k peshab se farigh hone k bad baaen haath(left hand) ki darmiyani ungli(middle finger)ha usko pakhane k maqam se peshab ki nali ki jarh tak sonten(wipe) kren or is k bad angothe ko peshab ki nali k uper or or anguthe k sath wali ungli ko peshab ki nali k neche rakhen or daba kar khatna k maqam tak le aen phir 3 dafa jatkein.
Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
6196
Mujtahid:
Ayatuallah Sistani` Date:

Question: Mera sawal najasat se related hai.. aqa mera masla yeh hai meri aksar okat uthtay bhethay pishab ki jaga se pishab ke katray girtay hai..jab ma wazoo kerta ho aur juk ker masa kerta ho tau nikal jatay hai jis ki waja se meray libas aur body dono phir se na pak ho jati hai aur meray liye yeh mumkin nahi ke un ko sahi ker sako..aisi soorat ma kiya hokum hai...agar ma us halat ma namaz perhta ho..tau meri namaz ke baray ma kiya kabool hai aur isi tarah imam barghar wagaira ma is halat ma gunah ka dar laga rehta ho .. meri madad kijyai.shukriya

Answer: Agar kisi ko peshab ya phakhana bar bar you ata ho k isay wuzo kar k namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na ho to us ka 1 wuzo chand namazo ke liye bhi kafi hai albatta behtar ye hai ke har namaz ke liye 1 baar wazo karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah # 308) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6290
Mujtahid:
Date:

Question: janab plz mujay guide kary k, kia wadu ki haalat may BIVI ko touch kia ja sakta hai, kia us say wadu to nai tootay ga.

Answer: 1) Biwi ko choonay se wuzu batil nahi hota magar ye k mani kharij ho jaay.
2) 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koe bhi cheez ho jaay wazu batil ho jata ha.
1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istahaza 7)janabat balkeh ethiat e mustahab ki bina per har wo kam jis se ghusl karna wajib ho jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6727
Mujtahid:
Ahl-e-Sunnat Date:

Question: Kia wazoo ki halat mai wife k jism ko choona or boosa karna jaiz he?

Answer: Jee haan jaiz he or is se wuzu nahi tot ta . 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koi bhi cheez ho jay wazu batil ho jata ha.1)peshab 2) pakhana 3)reah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zail ho jay 6)aurat ka istahaza 7)janabat bulke ethiat e mustahib ki bina per har wok am jis se ghusl karna wajib ho jay (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 322) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6799
Mujtahid:
Date:

Question: aslamualikum mera swal yh hai k kia qahqha lga k hnsnay say wazuu pay koi farq prta hai mtlb toot jata hi ya nhi

Answer: Is se wuzu batil nahi hota he. Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha.
1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istahaza 7)janabat balkeh ethiat e mustahab ki bina per har wo kam jis se ghusl karna wajib ho jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7425
Mujtahid:
Date:

Question: agar koi shohar apni biwi ko wuzu ke bad barhana dekh lay ya kisi bachay ko to kia uska wuzu toot jaiga.

Answer: Jee nahi is se wuzu batil nahi hota. saath chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koe bhi cheez ho jaay wazu batil ho jata ha.
1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istahaza 7)janabat balkeh ethiat e mustahab ki bina per har wo kam jis se ghusl karna wajib ho jay.In 7 cheezoon k alawa wazu batil nahi hota he (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8016
Mujtahid:
Date:

Question: kia kahkaha laga k hasnay say wazu tot ta hay??

Answer: 1) Is se wazoo batil nahi hota he.
2) 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koe bhi cheez ho jaay wazu batil ho jata ha.
1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas) 4)neend 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istahaza 7)janabat balkeh ethiat e mustahab ki bina per har wo kam jis se ghusl karna wajib ho jay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9018
Mujtahid:
Date:

Question: kya bacche ko doodh pilane se wazuu toothta hai...

Answer: Gee nahi doodh pilane se wazu nahi toot`ta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)

Print

Id:
13348
Mujtahid:
Date:

Question: muje ye pochna hea,ke agar hawa kharig ho gheay ye awaz wali hawa nikil jahey to kia wazzo toth jata hea .plz tafseel mea jawab anayat farmahey

Answer: Jee haan, 7 cheezain wuzu ko batil ker daiti hain jin main se aik ye bhi k: meday{Stomach} or aanto{Intestines} ki hawa jo maq,ad{Anus} se kharij hoti hay, os se wuzu batil hojata hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13479
Mujtahid:
Date:

Question: Maira qustn ye hai keh gas khaarij karnay k baad jb namaz parhne hai to uskay liye wuzu sy pehlay taharat karna lazmi hai??

Answer: Riyah ya gas(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay or namaz or is jaisi doosri ibdaat ki Adaigi k liay wuzu kerna zarori hojata hay. Laikin wuzu se pehlay ya baad main maq,ad(anus) k maqaam ko dhona zarori nahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 315,322) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13595
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAM O ALYKUM janab mera sawal ya ha k kiya hum esha ki namaz k wazu sa fajar ki namaz par sakty ha jasy hum eash ki namaz parkar sojae aur fajar ma uthy

Answer: 1- Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakaintu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah#322 ).
2- Mustahab hay k agar insane bawuzu ho tab bhi har namaz k liay dobara wuzu kia jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 321).

Note: agar aap isha ki namaz perh ker jaagtay rahain yaanh tak k fajr ki namaz ka waqt ajaay or koe aisi cheez bhi ap se nah hoe ho jis se wuzu batil {toota} hota ho, tu aap osi wuzu se namaz perh saktay hain laikin agar aap sojain tu aap ko fajr k liay wuzu kerna hoga.

Print

Id:
14337
Mujtahid:
Date:

Question: kya pessab ke baad mani ke katre aane se wazoo tootta ha ya nahi

Answer: Note : Is website per fiqh e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
1)Wo ratubat jo baaz awqat peshab k baad nikalti he usi wadi kaha jata hay(wo mani nahi hoti hay) aur agar peshab os se mila hua na ho to wo pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k baad istebra kia ho aur os k baad koi ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koi aur ratooobat to wo pak he. Aur wazoo bhi batil nahi hota. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 70
2)Agar Peshan k baad mani kharij ho to wazoo batil ho jata hay. Aur Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 322 , 356

Note : Is website per fiqh e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
1)Wo ratubat jo baaz awqat peshab k baad nikalti he usi wadi kaha jata hay(wo mani nahi hoti hay) aur agar peshab os se mila hua na ho to wo pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k baad istebra kia ho aur os k baad koi ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koi aur ratooobat to wo pak he. Aur wazoo bhi batil nahi hota. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 70
2)Agar Peshan k baad mani kharij ho to wazoo batil ho jata hay. Aur Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 322 , 356
3)Mani niklnay k baad Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Print

Id:
14710
Mujtahid:
sistani sahab Date:

Question: pehle ek baar sawal kia tha wazu ka reply nahi aya k dil o dimag main koi galat baat ajaye to kia waju tut jata hai email hi kar dien

Answer: Is se wuzu batil nahi hota he. Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab aur jo mashkooq ratubat peshab k baad aur istibra se phele nikalti he wo pheshab ka hakum rakte hai 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakaintu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15066
Mujtahid:
Date:

Question: Asa mard ki satar doosray mard k samnay Khul janay ki soorat main wadu toot jata hay ??

Answer: 1) Is se wuzu batil nahi hota he. Sirif 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq’ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat.
2)Balig musalman ki sharamgah dekhna haram hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322, 2400) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15265
Mujtahid:
Date:

Question: assalam o alaikum,agar child ka pamper change karna ho aur toilet karana ho toe kia wazoo toot gata hein

Answer: Wazoo k mubtilaat mai sai hai k khud peshab ya pakhana karna na k doosro ko karana is lie agar aap nai bachay ko toilet karanay sai pehlay wazoo kia hua ho to aap ka wazoo batil nhi ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15362
Mujtahid:
Date:

Question: Agher gas again and again kharij horahi ho tu banda kitni martaba wazu keray ga aur kitni martaba namaz ko tark ker kay wapsi perhay. kyon kay mujay again and again gas kharij hoti hai. ab mien kya kerun?

Answer: Agar kisi shaks ko paishab ya pakhana ya riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu oska aik wuzu chand namazo k liay bhi kaafi hay.siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabi,ee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308,314) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Note:
1-Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se apna ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karain.
2-Aap namaz perhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karain, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rookne se bhi gas ki beemari hojati hay.
3- Aap khana khoob chaba ker khaya karain. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or aap ko gas ka maslah nah ho.

Print

Id:
15574
Mujtahid:
deoband maslak Date:

Question: mera q yeh ha k wuzu ka bad agr koi shaks ksi ko gali data ha to us ka wuzu toot jata ha ya nae

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.

Gali deny se wazu nahi toot jata. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #322 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16403
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam-o-alaykum!! Sir, kiya jhoot bolnay se wazu toot jata hai???

Answer: Jhoot bolna kabeera gunahoo mai sai hai laikin is sai wazoo batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32247
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-u-alaikum.. plz tell me ke wazu kin kin tariko se toot-ta.. Plz give me all the detail thank you..

Answer: saat chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq’ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa’il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322, 2400) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32250
Mujtahid:
Date:

Question: According to some reference , i got the information that if we touch our satar then our wazu breaks.. Plz forward me the details of the reference where it is mentioned about it

Answer: Wazoo only becomes void on account of the following seven things:
1. Passing of urine.
2. Excretion.
3. Passing wind from the rear.
4. A sleep, deep enough to restrict sight and hearing. However, if the eyes do not see anything, but the ears can hear, Wudhu does not become void.
5. Things on account of which a person loses his sensibility, like insanity, intoxication or unconsciousness.
6. Istihaza – which will be dealt with later.
7. Janabat, and, as a recommended precaution, every state which requires Ghusl.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32684
Mujtahid:
Date:

Question: Kia istanja k bagair wuzu ho jata hai? Aur shaadi ki pehli raat ko tareeka

Answer: 1)Jee han agar aza e wazoo pak hon to wazoo ho sahi ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 275-278)
2)Biwi k sath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )
3)Hambistari ki dua: Mustahab hay k hambistari say pehlay apna haath bivi ki paishani k baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay: (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay tairi kitaab k mutabiq is say nikah kia or tairi amanat mian is ko liya hay or tairay kalimaat k zariye say is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nay is k rehem me mairay liay koe cheez ka faisla kiya hay tu is ko muslam or kaamil qarar de or is main shaitaanki ki sharkat na qarar de.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, maslah # 4) Note : Hambistri knay ka tareeqa maloom krnay k lie aap kitab islam aur jinsiaat mai sai parh saktay hain.

Print

Id:
32773
Mujtahid:
sawal ka jawab lazmi dain urgent Date:

Question: aslam o alikum mera sawal yeh hai k mein jab b namaz pahrta hun vozu kar k namaz k leyeh khara ho jata hun or 1 ya 2 rukat pahrnay k baad gandi huwa nikal jati hai kia namaz toot jati hai yani k vozu b namaz pori nai hot es se mein boht tenshsan me hun plz sir es ka aghr elaj b ho tu bata dain ap ki meherbani ho gi jaldi

Answer: Agar kisi shaks ko paishab ya pakhana ya riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu oska aik wuzu chand namazo k liay bhi kaafi hay.siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabi,ee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308,314) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note: 1-Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se apna ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karain. 2-Aap namaz perhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karain, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rookne se bhi gas ki beemari hojati hay. 3- Aap khana khoob chaba ker khaya karain. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or aap ko gas ka maslah nah ho.

Print

Id:
32836
Mujtahid:
pata nai Date:

Question: aslam o aalikum sir me pehlay b 2 baar sms kar chuka hun ap nay meray sawal ka jawab nai deya mera sawal yeh hai k main vezo kar k nimaz k leyeh jata hun tu nimaz jamat k sath pahr raha hota hun tu peshay se howa nikal jati hai kia nimaz toot jati hai or aghr toot jati hai tu mujay bataio k main kia karon koi duwai hai tu bata do jo k khanay se thik ho jay main boht tenshan me hun plz send me male mein ap k jawab ka intizar kar raha hun thanks

Answer: Agar kisi shaks ko paishab ya pakhana ya riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu oska aik wuzu chand namazo k liay bhi kaafi hay.siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabi,ee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308,314) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Note: 1-Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se apna ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karain. 2-Aap namaz perhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karain, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rookne se bhi gas ki beemari hojati hay. 3- Aap khana khoob chaba ker khaya karain. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or aap ko gas ka maslah nah ho.

Print

Id:
32859
Mujtahid:
male Date:

Question: mera sawal hai ke mere penis se rozz ek drop white chez nikalte hai kya iss se wazzu toth jata hai....plzz reply

Answer: Agr ksi shaks k maqam-e-peshab sy koe liquid niklay aur wo ye na janta ho k wo mani hai,peshab hai ya koi aur cheez tu agar wo liquid sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust hogaya ho tou wo mani hai lihaza wuzu toot jaega aur gusal-e-janabat bhi krna hoga,lakin agar ye alamaat na hoon tou wo mani nahi hai,lihaza agar wo peshab hai tou wuzu toot jaega magar gusal nahi krna parega.is k ilawa agr wo liquid jo kbhi kbhi sehwat ubharnay par merd k penis sy nikalta,nikla hai tou usay mazee kehtay hain aur wo paak hoti hai aur us sy wuzu bhi nahi tootta aur gusal bhi nahi krna hota. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
34912
Mujtahid:
Hazrat ayatullah khomnai Date:

Question: Asalam u alikum mara sawal hain ki mery sar kay baal choti umar main hi gir gya jis ki waja say mujay nadamat ka samna karna padta ab main chata hoon ki may wig pehno kya wig kay oper mussa karsakta hoon pls jwab jaldi dana

Answer: Wig pehanna to jaiz hai magar os par masa nahi ho ga aur masah karnay lie wig ko utarna paray ga. (Ref : Tehreerul Wasila pg # 37-39)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
42388
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamoalikum hafiz Sahab Kia gas agar agay ke taraf say kharg ho to wazu tot jata hay kio k ya masla to Bari umar may Hota hy kuch kahty han wazu karna lazim hy plz rehnumai farmain

Answer: Wazoo ﺮﻴﺎﺡ yani maiday aur antoo ki hawa jo pakhana k maqam sai kharij ho os sai wazoo batil hota hai. Note : hawa ka pakhana k maqam sai kharij hona zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43553
Mujtahid:
wazu ka tutna Date:

Question: kiya wazu ki halat me zer e naaf haat lagane se wazu tut jaata hai?

Answer: Jee nahi zair e naaf hath laganay sai wazoo batil nahi hota hai, q k mubtilaat e wazoo 7 hain jin mai sai zair e naaf hath lagana nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43610
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: slam.mera sawal yeh hy kay aksar hamary pait men awaz peda hoti hy kia is sy wazu tot jata hy? ya nimaz ky doran pait mein awaz ay tu nimaz toot jati hy?

Answer: Ji nahi pait k ander awaz aanay sai wazoo ya namaz batil nahi hoti hai bal k ﺮﻴﺎﺡ yani maiday aur antoo ki hawa jo pakhana k maqam sai kharij ho os sai wazoo batil hota hai. Note : hawa ka pakhana k maqam sai kharij hona zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46297
Mujtahid:
Date:

Question: kia tv dekhnay ya song sunnay say wazu tooth jata hai???

Answer: Gee nahi is trha wuzu nahi tootta. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
47511
Mujtahid:
Date:

Question: kya wazu without clothes me bhi kar sakte hai? aur kya nage ho jane par wazu tute jata he?

Answer: Kapray utar kar wazu karnay sai koi faraq nahi parta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49319
Mujtahid:
Date:

Question: molana sahib kea ount ka goshat khanay say wazoo toot gata hay

Answer: Jje nahi is se wuzu nahi toota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #322 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49396
Mujtahid:
Date:

Question: during nawaz agr wazu toot jai too kya krna chaiye

Answer: Dobara wuzu kar k namaz perhna ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1113 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50918
Mujtahid:
Date:

Question: doping in namaz r asking prayersks by weees ablution bre. \[kya dua mangtay huee rone se wuzu toot jata ha]

Answer: Ge nahi wuzu nahi tot

Print

Id:
50976
Mujtahid:
wazo or nimaz Date:

Question: asalam..mara ek masla ha jab ma fresh wazo kar lon to ma jab nimaz ada krta hn to pait sa hlqise hawa nikal jati ha ...baz oqat wazo k bd ma jab jamat k 7 nimaz parhon to phr b asa hota ha mery 7...or nimaz ma kahen bar ho jata ha...kya is waja sa nimaz maqroh ha????

Answer: Agar kisi shaks ko paishab ya pakhana ya riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu oska aik wuzu chand namazo k liay bhi kaafi hay.siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabi,ee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308,314) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: 1-Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se apna ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karain. 2-Aap namaz perhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karain, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rookne se bhi gas ki beemari hojati hay. 3- Aap khana khoob chaba ker khaya karain. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or aap ko gas ka maslah nah ho.

Print

Id:
51651
Mujtahid:
Date:

Question: A.o.a mere yeah sawal ke agar insaan waze kare aur uske baad usko shak ha ke mera wazoo toot gaya kya wazu nhe banana ha

Answer: Agar koe shakhs shak kare k us ka wazu batil hoa hai ya nahe to ise ye samajna chai k os ka wazu baqi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #299 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
52599
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: Mohattram Agha Sahab Yeh Bataiye Ke Charas/Garda Jo Ke Cigrette main Bher Ker Piya Jata Hai Aur Us Se Insan Apnay Hosh Nahi Khota Kya Woh Haram Hai ??Aur Kya Is Ko Peenay Ke Baad Namaz Ke Liye Ghusal Karna Parta Hai?? Please Jalsi Answer Dijiye Ga Pehle Bhi Sawal Poocha Tha Jawab Nahi Mila

Answer: in ka pina jaiz nahi hai.(Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , hissa # 1 , masala # 178).
Haan in k pine se ghusl wajib nahi hota . Nashay wali cheezain peene se wuzu toot jata hay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 344 , 322 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52627
Mujtahid:
Date:

Question: gair mehram ko daikhny se wazo toot jata hay k nahi?

Answer: Nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 322 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52634
Mujtahid:
Agha Sistani Date:

Question: Asalamualikum, 1:agar koe na mehram ap k balon ko dekh laita hai to wozu totta hai? 2:agar namehram ap se haath milata hai to wozu totta hai? Thanks.

Answer: ye kaam haram hain laikin is kaam se wuzu nahi toota. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 322 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52647
Mujtahid:
sarfaraz Date:

Question: Kya bina wazu kiye kuraan shareef ko mobile par pad sakte hain

Answer: Gee haan, Baghair wuzu k Quran perh saktay hain.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 2014 , maslah # 321 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52685
Mujtahid:
Muhammad kamran khan Date:

Question: Sir mara masla yea ha k muja chota pashab ka katra ata ha.jes ke waja se main napak ho jata ho.waso karna ke bawajod yea sub kuch hota ha.mari umar 24 sal ha.main aksar bamar b rata ho.ore main student ho.lakan laka koshah ke bawajod fail ho jata ho.Plz sir muja in sub masla ka koe hal bata dain.

Answer: Ager aap ne pishaab karne ke baad istibraah kyaa ho or phir ap ko qatre mehsoos ho jin ke bare main na jaante ho ke ye pishaab ke qatre hain ya nahi to is sorat main ye qatre paak hai or in qatroo se ap ka wuzu bhi batil nahi hota or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 70 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52701
Mujtahid:
Date:

Question: agar wazo karne k bad peshab ke katra a je to wazo toot gta ha ya nahi

Answer: Ager pishaab k baad istibra kiya ho or phir esa qatra aay jis k bare main shak ho k ye pishaab hai ke nahi to is se wuzo nahi toota, han ager yaqeen ho k pishaab ka qatra hai to wuzo toot jata hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 70 , 322 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print