Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Wuzu Ke Ahkam (270 Questions)


Showing 0- 50 questions from 270 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
185
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: kia gas kharij hone se wazoo toot jata hai aur agar gusl-e-janabat ke doran gas kharij ho to kia hukum hai.

Answer: Salam un Alaikum,

Gas kharij hone sey wuzoo toot jata hay. Gusl-e-janabat key doran agar gas kharij hojye to gusl ko tark kar key naye siray sey gusl karna zaroori nahi hay balkeh gusl mukammal karney key baad aihtiyat-e-wajib kee bina par wuzoo karna zaroor hay.
Ref: Tawzeeh ul Mazail Aqai Seestani Probe No. 329 & 392

Khuda Hafiz

Print

Id:
305
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: Agar ek aurat ne chemical wali mehendi ya nail-polish lagayi hui hai toh is soorat mein iske liye wuzu ka kya hukam hai? kya uske liye mehendi ya nail-polish ki maujudgi mein wuzu aur us per tayammum karna kaafi hoga ?

Answer: Salam un alaikum,
Agar yeh mehendi paani key pohonchney mein rukawat banti ho to wuzu sahi nahi hoga. Agar shak hai keh paani pohnchay ga ya nahi tab bhi zaroori hai keh mehendi ko hata liya jaaye.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 289

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
685
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salams..main ne suna tha ki jo chemical wali mehendi hoti hai vo wazu k pani main rukawat nahi banti hai.. kia aap muejh bata saktye hain ki aaj kal jo mehendi aati hai bazaron main vo lagane se kia wazu k paani ka masla hota hai ya nahi..Thanks..

Answer: Mehendi kay rukawat bannay ya na bannay kay baray main ham kuch nahi keh saktay.agar ye mehendi wuzu kay pani kay pohunchnay main rukawat banti hay to wuzu sahih nahi hoga agar shak ho kay rukawat banay gee tab bhi zaroori hay kay hata liya jaey.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.289.

Print

Id:
686
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: When we read Quaran in arabic on-line do we have to do wuzu?

Answer: Baaz fuqaha nay Quran Majeed kay parhnay kay liye wuzu ko mustahab qarar diya hay.laikin is ka mustahab hona sabit nahi hay albatta agar koi shakhs mustahab honay kay aihtimaal kay saath wuzu karay to is ka wuzu sahih hay aur is wuzu kay saath har wo kaam kar sakta hay jo ba-wuzu ho kar karna zaroori hay.masalan is wuzu kay saath namaz parh sakta hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.321.

Print

Id:
715
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Using Alcoholic Perfumes when praying namaz! if there is no problem with it... is there any requirement that we shouldnt use alcoholic perfume BEFORE WUZOO??

Answer: A.Sistani kay nazdeek Sanati aur Tabeei Alcohol ki tamam aqsaam paak hain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.109.

Print

Id:
1047
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asslamoalekum ab tak jawab sa qasir hoon sawal dosraya ha kah wuzoo karne ka darmiyan bat karne sa wuzoo sahi rehta ha

Answer: Salam un Alaikum
Agar Baat karney ki waja se wuzu kay Afaal k darmian itna Fasla (waqfa)hojay k usay Urf e Aam mai Pe Dar Pe (Aik k baad Aik)dhona na kehlay to Wuzu BATIL hai.
Ref:Tauzeeh Ayatullah Sistani Prob No.282

Print

Id:
1188
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a if any one washed left hand in wazau then off the tap(nul) there is water on the tap & that water mixed with water (tari) which is remain in the right hand & then i do masa of head .......... ques, is wadhau become right.

Answer: Agar ye kaam baain haath ko mukammal tor par dhoonay say pehlay kiya ho to koi ishkaal nahi hay

aur agar baain haath kay dhonay kay baad kiya ho laikin nalkay say haath par muntaqil honay wali

taree nihayat hi kam ho yani aik ya do qatray ho jo haath ki taree kay saath mil kar khatam ho

jati ho to bhi koi haraj nahi hay.Ref:Book-2 Pg.26 Q.No.19.

Print

Id:
1189
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a if any one washed left hand in wazau then off the tap(nul) there is water on the tap & that water mixed with water (tari) which is remain in the right hand & then with the help of hand water ko spelt kya then i do massa of head ques, is wadhau become right.(this ques is diff from first 1)

Answer: Agar ye kaam baain haath ko mukammal taur par dhonay say pehlay kiya to koi ishkaal nahi aur agar

baain haath kay dhonay kay baad kiya ho laikin nalkay say haath par muntaqil honay wali taree

nihaayat hi kam ho yani aik ya do qatray hon jo haath ki taree kay saath mil kar khatam ho jati

ho to bhi koi haraj nahi hay.Ref: Book-2 Q.No.19.

Print

Id:
1230
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamo likom. agar main ney aser ke namez key leya wazo keya our namaz pari.abb magriban ka waket aa geya, mojey yad nahen key iss doran merh wazou tota ha ya nahin. yani main shak mey hon. to asi sorat mein keya main osi wazo sey namaz e magrib ada kar sak tah hon ya nahenn. waslikom salam.. hamid , madina from gujrat

Answer: Agar kisi shakhs ko shak ho kay us ka wuzu batil hoa hay ya nahi to usay ye samajhna chahiye kay

us ka wuzu baqi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.299 Pg.No.56.

Print

Id:
1300
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamolikom .gusel ya wazo key bad keya pani ko towl ya kesi kabrey key sath saf keya jaa sak ta ha?waliom salm. hamid shah

Answer: Aisa karnay main koi haraj nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani.

Print

Id:
1404
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya Mehendi waghaira jo kay aaj kal raaij hay aur Cone ki shakal main aati hay .. usay istemaal kar saktay hain?

Answer: Agar aazaey wuzu tak pani pohunchnay main koi rukawat na banay to istemaal kar saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.54.

Print

Id:
1492
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kiya wudhu karney k baad agar towel sey chera ya haath etc saaf kiye jaein tu kiya wuzu "batil" ho jata hai?

Answer: ji nahi. yeh mubtilaat-e-wudhu mein se nahi hai.
REF: Tauzeeh-ul-masail, masla no. 322.

Print

Id:
1646
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: aik aadmi ki daari itni bari hai k uski jild nazar nahi aarahi hai ab wo wuzzu main apney chehrey ki jild tak pani kasey phonchaye ga

Answer: bismehi taala,
agar chahere ki jild balo ke niche se nazar aati ho to pani jild tak pahonchana zaroori he or agar nazar na aati ho to balo ka dhona kafi he or un ke niche tak pani pahonchana zaroori nahi. (ref. tawzihul masail, urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masaala no. 239 page no. 47)

Print

Id:
1828
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: cigrete peena wuzu ko batil kar deta hai

Answer: bismehi taala, jee nahia (ref: istiftaat k jawabat part 1 page 44 Aytullah Khamenaie (d.b.))

Print

Id:
1886
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya sar(Head) mai pani(water) dalne se Wazu toot jata hai?

Answer: bismehi taala. ji nahi. yeh mubtilaat-e-wudhu mein se nahi hai. REF: Tauzeeh-ul-masail, masla no. 322

Print

Id:
1922
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asalam-0-alikum, yeh sawal meray shohar ka hai main unhy har bar taqeed karti hun ke namaz se pehlay wuzu karain must hai per woh kehtay hain ke quran main is ka zikar nahi. plz kuch aisa bataye ke main unka sawalun ka jawab de ker unhay sahi taleem de saku ..mery email per jawab zaroor de . shukria

Answer: w.s. quran me wuzu ke hukam ki ayyat muwjood he : ÓæÑÉ ÇáãÇÆÏÉ , Al-Maeda, Chapter #5, Verse #6)

Print

Id:
1939
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam-u-alikum, mera sawal ye he ke agar wazoo karne ke bad ya namaz ke doran agar shuck ho ke peshab ka qatra nikal gaya he to is surat me namaz ho gi ya nahi

Answer: shak ki surat mai namaz sahi hai.
Ref: tozihul masail-urdu,Agha sistani,edition no.24,masla no.299

Print

Id:
1941
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: ASALAMOALIKUM,MERA SAWAL HE KE AGAR WUZU KARNE KE BAD YA NAMAZ KE DORAN KOI RATUBAT KHARIJ HOTE HO TO USME NAMAZ SAHI HE YA BATIL ISKA JAWAB MUJHEE E MAIL KAREN IS SE PEHLE BHI ME YE SAWAL KAR CHUCKA HON MAGAR JAWAB NAHI MELA SHUKARIA

Answer: w.s. shak ki surat mai namaz sahi hai. Ref: tozihul masail-urdu,Agha sistani,edition no.24,masla no.299

Print

Id:
1985
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: can i apply chemical mehndi (arqwali mehndi)on my hands; please reply soon its urgent iltemas e dua.

Answer: Agar aazaey wuzu tak pani pohunchnay main koi rukawat na banay to istemaal kar saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.54.

Print

Id:
2087
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: peshaab k katray aanay ki bemari walay log kaisay taharat hasil karain?katray peshaab kernay k baad aatay hain kuch dair tek k liay?

Answer: bismehi taala, agar koi shakhs ayse marz me mubtela ho k use peshab k qatre girte rahete ho ya pakhana rokne par qadir n ho to agar use yaqeen ho k namaz k awal waqt se le kar akhere waqat tak use itna waqfa mil jayega k wuzu kar k namaz padh sake to zaroori he k us waqfe k dowran namaz padh le aur agar use sirf itni mohalat mile jo namaz k wajibat ada karne k liye kafi ho to us dawran sirf namaz k wajibat baja lana aur musthab afaal masalan azan, eqamat aur qunut ko tark kar dena zaroori he. (tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no.313)

Print

Id:
2092
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: i need to know that is it allowed in shia relegion tahat some one can have permanent tattoo on the body or we can say parmanent picture on the body like iraqi kurd do on their body. please answer my question as soon as posible. assalam

Answer: bismehi taala, agar aysi teh ka ehtemal ho jo (wuzu aur ghusal me) pani phochne me rukawat ho to use hatana zaroori he. (ref: mujthid se puchhe gaye sawala part 2 page no 27 Aytullah Seestani (d.b.)

Print

Id:
2320
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam Allaikum, Wazu karne ke baad aksar hota hai ke hawa kharij hone wali hoti hai to jab hum rokne ki koshish karte hain to shak rehta hai ke hawa kharij hue ya nahin to kya huqum hai wazu ke bare main?

Answer: w.s. agai kisi shakhs ko shak ho k us ka wuzu batil huwa he ya nahin to use yeh samajna chahiye k us ka wuzu baqi he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.306)

Print

Id:
2324
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Aslamoalikom, Mera masla ye hai ke mujhay paishaab ke qatray aatay hain jiss waja se namaz main shak para rehta hai... please mujhay iss ka koi solution batayin koi medicine bhi batayin.

Answer: w.s., agar bimari ki wajeh se namaz me kaee dafaa peshab kharij hota ho to ek namaz k liye ek wuzoo kafi he (ref: tawzihul masail Aytullah Khoie (r.a.) masaala no.314)

Print

Id:
2374
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: wuzu kerne ke bad agar reh kharij ho jai too dobara wuzu kara lazimi hei ?

Answer: bismehi taala, jee rih k kharij hone se wuzu batil ho jata he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.329)

Print

Id:
2512
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.hamare do ulama me ye discuss horaha he k sistani sahab ne chemical wali mehndi lagane ki ijazat di he is shart par k wazo k bad tayammum karen?kia ye sahi he,wazahat kar deje

Answer: Agar wuzu kernay walay ko skak ho k wuzu ki jagah per jo cheez
lagi hoe hay wo rukawat hay ya nahi tu os ko hata ker paani khaal tak pohan chaana wajib hay.or agar yaqeen ho k ye rukawat nahi hay tu is ko hatana wajib nahi.or agar rukawat aysi ho k jis ko hatana munkin nahi ho tu, agar ye rukawat wuzu k hisso per hay tu wo tayyammum karay,or agar ye rukawat tayammum k hisso per hay(yani hathayli or maatha) tu wuzu or tayyammum dono karay.(ref:Ayat ullah Seestani(d.b) Tazeehul masail,Maslah #289,337).

Print

Id:
2536
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Wuzu me Mashah Kya pair(legs)ke wuzu shocks ya shoes pr jaez hai? Kya wuzu me hath ko dhone se pahle watertap bandh kre aur fir mashah kre to jaze hai? kyoki us water mixing ka doubt rahta hai

Answer: Socks or shoes per masah kerna batil hay,Haan agar sakht sardi ki wajah say ya chor ya janwar waghaira k khof say Socks or shoes utaaray nah jasakain tu ehtiyaat e wajib hay k Socks or shoes per masah kerain.(Ref Ayat ullah Seestani(D.B)tauzee hul maasail,Maslah # 258).agar ye kaam ultay haath ko mukammal dhonay say pehlay kia jaay tu koe baat nahi or ager ultay haath ko dhonay k baad ye kaam kia ho laikin watertap say haath per lagnay wali tari(water) bohat hi kam ho yani 1 ya 2 qatray jo haath k water say mil ker khatam hojatay hain tu bhi koe maslah nahi. .(Ref Ayat ullah Seestani(D.B) Mujtahid say pochay gay sawalat part#2 ,Maslah # 19).

Print

Id:
2587
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalmun allehkum janab mera sawal ye hai k kya NAIL POLISH lagane ke baad WAZOO kae sakte hai KUCH LOGO KA KAHNA HAI KE NAKOON KO THODA SA KHALI CHOR DIYA JAI TO WAZOO HO JATA HAI WAZAHAT KRDE

Answer: Agar nail polish haath ki ungliyoon per lagi ho tu wuzu nahi ho sakta,kun k nailpolish rukawat hay.or wuzu ki shraa’it main say aik ye hay k wuzu k aa’zaa(parts) per koe aisi rukawat nah ho jo pani jo jism tak pohanchnay nah day.laikin agar nail polish pair(foot) ki ungliyoon per lagi ho or dono pairon ki aik aik ungli per nah lagi ho,tu pairon ka masah os aik ungli say(jis per nail polish nahi hay) lay ker pair k jorh(joint) tak masah kiya jasakta hay.Kun k pair k masah main pair ki aik ungli say lay ker jorh tak masah kerna wajib hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#251,289 to 297).

Print

Id:
2964
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam i wanna ask that wazoo is neccessary after a gusal or not ok khuda hafiz

Answer: Tamaam wajib or mutahab ghusl k kernay k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori nahi hay albatta mustahab hay k wuzu karain. Laikin ghusl e janabat k baad tu zarori hay k wuzu nah karain.or ghusl e istihaza e mutawassitah (aurato ka aik ghusl) k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna hoga. (ref”Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#389) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3642
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalamoalikum...sir ... usually jo ladies mehndi kushi k moqay par hands pe lagati hain tu us k laganay k badd aksar uss k color dark atta hai ...tu kya uss sai wazu ...or gusal mai koi khalal tu nahi parta....tahnks ..regards

Answer: Agar aazaey wuzu tak pani pohunchnay main koi rukawat na banay to wuzu sahi mana jay ga.jaisa k baghair chemical wali mehdi hoti hay jo faqat haath per apna asar chorh jati hay. .Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.54.

Print

Id:
4618
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya insan ki sharm gah us k jism ka napak hisa hai wazoo farz hai ya ahtraman kiya jata hai?

Answer: 1) 10 cheezain najis hein. 1:peshab 2:pakhana 3:mani 4:murder 5:khoon(blood) 6:kutta (dog) 7:suwar(pig) 8:kafir 9:sharab 10:najasat khor hevaan ka pasenna. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 80). 2) 6 cheezoo ke lie wazoo karma wajib he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 315).

Print

Id:
4623
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: wuzu k baad agar bacchay ki poti wash karain to kia wuzu batil ho jata hai?

Answer: Jee nahi.is kaam say wuzu batil nahi hota.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#322)

Print

Id:
4885
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera sawal ye hai k wazu ker lainay k baad kitni dair tak qaim rehta hai...agr insaan k sath ksi b kism ka masla na ho tu kab tk wazu rehta hai..

Answer: Ans : 7 chezain wazu ko batil karti hain. agar in 7 ma sa koi bhi cheez ho jay wazu batil ho jata ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 322)
(Is ma mumkin ha k ya 7 chezain aik din tak na ho to wazu baki reha ga . or ya bhi mumkin ha k wazu karnay ka aik minute bad in 7 chezain me se koi sadir ho jay to wazu batil ha jay ga)

Print

Id:
4906
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ghusl e janabat k baad namaz k liay wuzu kerna haram hay. PLEASE CLARIFY

Answer: Jis shakhs ne gusl e jannabat kia ho zurari he ke namaz ke lia gusl na karey. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 389 )

Print

Id:
5058
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Q : Wudhu baja laty wakt chahra (face) ya hathon (hands) dothy waqt ayah ki telawat karna zarori hai k nahai?

Answer: Jo shakhs wuzu karney lagay us k lie mustahab he k duaein parhay.aur dua perhna wajib nahi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 263)

Print

Id:
5892
Mujtahid:
Date:

Question: iger gas nicalanay say wazoo tote jay to kia phlay istanja kirna ho ga

Answer: jee nahi gas kharij honay k baad istinja kerna zarori nahi hay.istinja faqat peshab aur pakhana k baad kia jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 62 , 63).

Print

Id:
5998
Mujtahid:
Date:

Question: sex kay bad wazoo ka tareka.

Answer: Wazoo ka aik hi tareeqa hai chahe sex ke baad ho ya sex se pehle. Albatta 2 chizon se insan mujnib ho jata hai ek jimma krne se or dusra mani k kharij hone se, chahe wo mani neend ki halat men nikle ya jagte men , kam ho ya ziyada, shehwat k sath nikle ya bgher , or us mani ka niklna ikhtiyar men ho ya na ho, jinabat ki hlat men har wo ibadat k jis k liye wazu krna wajib hota hai, us ibadat k liye ghusl krna wajib hota hao, or wazu ki trh ghusl ka bhi ek hi tareeka hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 324,356)
(ALLAH ap ki toofeeq main izafa farmaae).

Print

Id:
6111
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hay kay kia wazoo chapal wagara pehnay ho jata hay jaisa kay ghar wagera may hota hay wash bassen may wazoo kharay ho kar kartay to us doran chapal pehan kar wazoo kartay hay to kia wazoo ho jata hay. Q#2: kia namaz parhtay waqat jeeb may pan ya tabbaco wagera ho to kia namaz hojati hay . plz answer mujay mail kar dy

Answer: 1)wuzu ho jata hay magar ye k chappal per koe nijasat lagi hi ho aur wo aaza’ay wuzu tak pounch jaay .
2)Namaz ho jaay gi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 235-322 , 1113-1143) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6590
Mujtahid:
Uloolil Amre Date:

Question: wazu ke liye kitney baar pani ka istemal kiya janta chahiye? aik baar ya do baar ya teen baar?

Answer: Wuzu mein chehray aur haathoon ka aik baar dhona wajib, doosri dafa dhona mustahab aur teesri dafa ya is se ziada martaba dhona haram he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 247) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6672
Mujtahid:
ayat ullah sistani Date:

Question: Aslamualykum, i hope i will get good guidance from here as im in search of. my question is : wazoo ka jo tarika bayan kia gaya hay aus ka reference chayeh k kaha say wo tarika lia gaya hai. koi hadees or any references ??

Answer: Wozo ka tareeqa tauzeehul masail main darj hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 235-322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7415
Mujtahid:
Ayat Ullah Seestani Date:

Question: Jab hum majlis ya milad mai jatey hai, to tab niyaz dene se pehlay wazu krna zaroori hota hai?

Answer: Jee nahi wazu karna is surat me zaroori nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 235-322). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8983
Mujtahid:
ayatollah sistani Date:

Question: Ajkal aik naqsh bht mashoor hai jis main PANJTAN PAK k namo ko mila kr ALLAH likha jata hai (urdu main) kia ye sahi hai? kia ye naqsh istimal kia ja skta hai?

Answer: Agr us naqsh se ALLAH j.j ka naam ban raha hai or aysa lagta hai k ALLAH j.j ka naam hai to is hawale se sharee`at to hmen ye kehti hai k jo shakhs ba_wazu na ho us k liye Allah Tala k namon or un sifaton ko mass(chhona) krna jo sirf usi k liye khas hen chahe wo kisi bhi zaban men hon Ehtiyat-e-wajib ki bina pr haram hai, or behtr ye hai k Rasool Akram (s.a.w.w) or Aima tahireen a.s k asmaye mubaraka ko bhi na choye.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #318)

Print

Id:
9177
Mujtahid:
Date:

Question: Bar Bar Hawa khariz hoti hai is vazahse namaz quran aur zikr karne me rukawat aati hai aisi surat me namaz kaise ada ki jaye

Answer: agar kise shaks ko ye aarza lahaq ho kay riha(gas) roknay per qadir na ho to zarore hai k un logo kay mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhnay per qadir na ho. agar kisi ko peshab ya phakhana bar bar you ata ho kay isay wazo karkay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhall na ho to us ka 1 wazo chand namazo ke liye bhi kafi hai albatta behar ye hai ke har namaz ke liye 1 baar wazo karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308-314 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9198
Mujtahid:
Date:

Question: Wazo main kia krna farz hai?

Answer: Wuzu mai 5 cheezain wajib hain. 1) Niyat 2) chehray ka dhona 3) Dono hatho ka dhona 4) Sar ka masah 5) Dono pair k samnay walay hissay ka masa karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-259)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11302
Mujtahid:
Date:

Question: kya quran pak bagher wazu k parh skty hain??

Answer: 1)Jee haan quran paak baghair wuzu k quran paak perh saktay hain.Baz faqha kahtay hein k quran parhnay k lie wuzu karna mustahab he. Lakin ye wuzu mustahab hona sabit nahi he. Albetta agar koi shakhs mustahib honay k ethimal honay k sath wazu karay to os ka wazu sahi he. Aur is wazu k sath har wok am kar sakhta he job a wazu ho kar karna zurari he maslan is wazu k sath namaz parh sakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 321)
2)Jo shaks ba-wuzu na ho os k liay quran majeed k alfaaz ko chona haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 316). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11941
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hai k meray shohar ko peeshab k qatre ka masla hai wo namaz parhne k lye istanja kerain or wazu kerne lagte hain tu qatre nikal jatay hain kia bgair nahae(bath) sirf kapre badal k wo namaz park sakte hain k ni?

Answer: 1.Agar kisi shakhs ko ye merz ho k paishab k qatray girtay rehtay hoon, agar osay Yaqeen ho k Namaz k Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak itna waqfa mil jaey ga k wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay k waqfay k doraan namaz parh lain aur agar osay sirf itni muhlat milay jo namaz k wajibaat ada karnay k liay kaafi ho to is doraan sirf namaz k wajibaat anjaam day aur zaroori hay k Mustahab Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2.Agar os ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz k dooran aik martaba ya chand martaba paishab k qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat k dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz k doraan Lazim nahi hay k paishab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.
3.Agar os ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aik wuzu chand namazoon k liay bhi kafi hay siwaey ye k koe doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay k har Namaz k liay aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat k liay doosra wuzu zaroori nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#306-308 ).
Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen, pg#329). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12129
Mujtahid:
wazu ka pani Date:

Question: namaz k lie wazu krny k baad us ka pani kisi cheez se ya hawa se khushk krna keisa he, kya mein pani khushk kr sakty he, or is k lie koi SUNNAT-RASOOL (SAW) b batainy, shukira

Answer: Wuzu k baad Kaprhay(cloth) waghaira se wuzu ka paani khusk kerna makhrooh hay.(Ref:A.Sistani(d.b),urwatul wusqa part#, Before maslah# 491).

Print

Id:
12130
Mujtahid:
Date:

Question: wo kon sa pak pani hai jis say wazoo jaiz nahin

Answer: 1-Muzaaf pani kisi najis cheez ko paak nahi kerta.or aisay paani se wuzu or ghusl kerna bhi batil hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 44).
2-Ehtiyaat e wajib ki bina par aisay paani se wuzu nah kia jaay jo aisi cheezo maslan halaal gosht haywaan k paishab, paak murdaar or zakham ki reem se aloodah ho jin se insaan ko ghin aati ho, agarchah sher,e layhaaz se aisa paani paak hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# before 264).
3-Ghasabi paani se wuzu kerna haram hay or wuzu batil hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 266)

Note:
1-Muzaaf wo paani hay jo kisi cheez se hasil kia jaay, maslan terbooz ka paani, nariyal ka paani, gulaab ka paani waghaira. Os paani ko bhi muzaaf kehtay hain jo kisi dosri cheez say aaloda ho maslan gadla paani(Muddy water) jo is had tak matyala ho k osay paani na kaha jasakay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 13)
2-Ghasab k matlab ye hay k koe shaks kisi k maal par ya huq par zulm (or dhoons ya dhaandli) k zerye qaabiz ho jaay or ye aisa kaam hay jo aqal, Quran or riwayaat k mutabiq haram hay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# before 2509). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12372
Mujtahid:
Aasalam o alaikum Date:

Question: main mazor hun chalpir nhi skta,hathon ma b takat nhi,sirf unglian hila leta hun,plz muje wazu ka tarika bta den,shukria

Answer: Jo shaks khud wuzu nah ker sakta ho, zarori hay k kisi doosray shaks se madad lay, agarchah dhona or masah kerna dono ki musharikat(ya shirkat/participate) se ho or agar wo shaks ujrat maangay tu agar os ki ada,igi kersakta or aisa kerna os k liay maali taur par nuqsaandah nah ho tu ujrat ada kerna zarori hay.Albattah ye zarori hay k wuzu ki niyat khud karay or masah bhi apne haath se karay or agar khud dosray k saath shirkat nah ker sakta ho tu zarori hay k kisi dosray shaks se madad lay jo osay wuzu kerwaay or is sorat main ehtiyaat e wajib ye hay k dono wuzu ki niyat karain or agar ye mumkin nah ho tu zarori hay k oska naa,ib(jo osko wuzu kerwa raha ho) oska haath perkarh ker oski masah ki jagahoon per phairay or agar ye bhi mumkin nah ho tu zarori hay k naa,ib os k haath se tari hasil karay or os tari se os k sar or paon(feet) par masah karay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 285).
Wuzu k jo af,aal(kaam) bhi insan khud anjaam day sakta ho zarori hay k onhain anjaam daine k liay dosro ki madad nah lay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 256). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12638
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawaal yeh hai k Hm (males) ghusal (nahhatey) waqt wazu kaise kr skte hain or us ka tariqa kia hoga, please mujhe zara detailed me is ka answer dijiye. Thanx.

Answer: 1- Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zaroori he k namaz k lie wazoo na karay. Balkeh ghusl istehaza e mutawasitah k siwa tamaam wajib ghuslo or maslah 634 main biyaan karda tamaam mustahab ghuslo k baad bhi namaz perh sakta hay.
2- Agar aap koe aisa ghusl kerna chatay hoon jo na tu wajib ho or na hi mustahab, tu aisay ghusl se wuzu nahi hojaay ga balkeh agar aap bawuzu hona chahtay hoon tu aap ko chahiaay ya tu aap ghusl se pehlay ya ghusl k baad wuzu karain. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12953
Mujtahid:
sistani Date:

Question: gab aurat ghusal la haiz ka ya ganabat ka to wazo karna lazmi ha?or agar lazmi ha to pak hona ka bad wazo kiya jay ya pak hona sa pahla?

Answer: 1-Aurat k haiz se paak ho jaanay k baad os par wajib hay k namaz or doosri ibadaat k liay (jo wuzu, ghusl ya tayammum ker k baja laana chahiay) ghusl karay,or oska tariqa ghusl e janabat ki terah hay. Ye ghusl wuzu ki jagah kaafi hay.Albatta begter ye hay k ghusl se pehlay wuzu karay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 456)
2-jis shaks ne ghusl e janabat kia ho zarori hay k namaz k liay wuzu nah karay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print