Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Wuzu Ke Ahkam (270 Questions)


Showing 50- 100 questions from 270 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
13076
Mujtahid:
Date:

Question: salam sir ma namaz pardhane k lye bar bar wazu kart hu lekin aksar meri gas bar bar wazu karne k bawjaod b gas gharji hoti ha .kia meri namaz qabol ho jati ha

Answer: 1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Riyah roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba REEH kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay REEH kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chan namazoon kay liye bhi kafi siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi..*2jo rutubat cher chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt apni sharamgaah main mehsoos karta hay wo paak hay,Is say ghusl bhi wajib nahi hota aur na hi ye wuzu ko baatil karti hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308-Masala No.345,Pg.No.62. ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13472
Mujtahid:
Date:

Question: wozu ky farz aur ghusal ky farz bta dian pls

Answer: Wuzu main wajib{farz} hay k chehra or dono haath dhoay jain or sar k aglay hissay or dono paon k saamne walay hissay ka masah kia jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 235).
Terteebi ghusl main ehtiyaat e lazim ki bina per ghusl ki niyat k saath pehlay pora sar o garden or baad main pora badan dhona zarori{farz} hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 360). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
14560
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam-u-alikum! Please recheck question # 6590 topic wazu, is main theen (3) times dhone ko haram kaha gaya hai. Please check kar ke is ko darost farma dain. Jazak Allah

Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein.
Wuzu mein chehray aur haathoon ka aik baar dhona wajib, doosri dafa dhona mustahab aur teesri dafa ya is se ziada martaba dhona haram he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 247)
Note: oper biyaan kia gaya maslah bilkul durust hay or is ka hawala bhi bilkul durust hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14641
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salam. I have heard from an aalim that Ayatullah Sistani has given fatwa that permanent tattoo is jaiz because the ink becomes part of your body. Is it true? WHat is the correct full fatwa of Ayatullah Sistani regarding permanent tattoos?? Iltemaase Dua.

Answer: It is permissible to have a tattoo if:
a. The tattoo allows the water of wudhu and ghusl to reach the skin while performing wudhu or ghusl.
b. Having a tattoo does not involve forbidden touch or look.
c. The tattoo does not encourage corruption or corrupted ideas or beliefs.
d. The tattoo does not have the names of Allah his almighty or Quran script.
e. for woman, if that is considered as a beauty item then it must be concealed from non-mehram man
ref : email rec from ayatollah sistani d.b. dated July 9, 2012) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14978
Mujtahid:
ssstani saheb Date:

Question: Asalamwalequm janab mai ye janna chahta hu ki mai saudi arab me job kar raha hu waha sab sunni h isliye mai masjid ko nhi jata aur mai office me namaz padhta hu kya wazu shoes pahen kar kiya ja sakta

Answer: Taqiyae ki surat mai joutay aur mozay par masah karna kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 258) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16228
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Hath par ink lagi honay ki surat mai wazoo k baray mai kia hokum hai?

Answer: Agar wo ink pani k khal tk pohnchnay mai rokawat na ho to wazoo shi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 6, pg # 23)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16229
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Wazoo k waqt eye lens k istemal ka kia hokum hai? Kia wazoo shi krnay k lie inhain niklna zaroori ho ga?

Answer: Jee nhi, is aetibar sai k wazoo mai aankh k androhni hissoo ko dhona zaroori nhi. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 7, pg # 23)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16246
Mujtahid:
Date:

Question: wazu men masah kis tarah kiya jay.

Answer: 1)Donoo hath dhonay k baad sar k aglay hissay ka masah wazoo k pani ki os tari sai krna chahea jo hathoo ko lagi reh gae ho aur ehtiyat e mustahabb ye hai k masah dain(right) hathili sai kia jae aur upper sai nichay ki taraf ho.
2)Sar k 4 hisso mai sai peshani sai mila hua aik hissa wo maqam hai jahan masah krna chahea is hissay mai jahan bhi aur jis andazay sai bhi masah karain kafi hai. agar cheh ehtiyat e mustahabb ye hai k lambai mai aik ungli k lag bhag aur chorai mai 3 milli hui unglioon k lag bhag jigha par masah kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 248-249)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16418
Mujtahid:
Date:

Question: does we need to do wadoo for hearing the quran majeed from media or on mobile phone from Youtube do I have to be in Wadoo or without wadoo I an hear the tilawat and translation

Answer: Wazoo is Mustahabb for For reading, writing, or touching the margin or border of the holy Quran, or for keeping it with oneself and for haering it is Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Mustahabb to do wazoo. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 321) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16468
Mujtahid:
pata nahi Date:

Question: aslam o alikum sir main bohat tenshzn main ap koi hellp kar saktay hain main jab b wozu karta hun namaz k leyeh tu thori dair baad huwa nikal jati hai wuzo tot jata hai main kia karo es ka koi masla hal kar dain main jawab ka intazar karon ga plz plz plz

Answer: 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba huwa kharij hoti ho to ehtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay huwa kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.
. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307-314) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
17263
Mujtahid:
Date:

Question: Sir, Vazu kaa paani, izajat key bagair vazu karey toh. woh namaz qabul hoti..hy.plz is maslye ko clear karey...

Answer: Aisay pani sai wazoo krna jo gasab kia gya ho ya jis k baray mai ye ilm na ho k is ka malik is k istemal par razi hai ya nhi haram aur batil hai. aur namaz bhi batil ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 266) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
18566
Mujtahid:
aqa e sastani Date:

Question: aoa..plz mujhe ye bata den k wazu karte waqt agar side me mang nikli ho to sir ka massah ho jata hy??

Answer: 1)Sar k 4 hisso mai sai peshani sai mila hua aik hissa wo maqam hai jahan masah karna chahea.
2)Ye zaroori nahi hai k sar ka masa jild par kiya jaay balke sar k agle hisso k baalo per karna bhi sahi hai laikin agar kise k sar k baal itne lambay hon k maslan agar kangha kare to baal chehray par aa jain, ya dosere hissay tak ja pouche to zaroore hai k wo balo ki jaro par masah kare. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 250 ) Note : Side ki mang par masah nahi ho ga.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
30622
Mujtahid:
Date:

Question: wuzu me kitne wajib hain

Answer: Wazoo mai 5 sheezain wajib hain. 1)Niyat 2)chehray ka dhona 3)Donoo hathoo ka dhona 4)Sar ka masah 5)Donoo pair k samnay walay hissay ka masa karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-259)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32693
Mujtahid:
Date:

Question: kia sardioon main bagar paoon dooee wasoo ho jata ha

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Wazu me paoon nahi dhoae jate bal k in per masah karna zaroore hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 251) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32745
Mujtahid:
deoband maslak Date:

Question: Aslam-0-Alikum Mera question hai k socks(jurabain) pehan kar foot(paon) k uper se masa kar lain to wazoo ho jata hai kya ? ager ho jata hai to maza karny ka kya tareeqa hona chahiye ?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Mozay aur joutay per masa karna batil hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32858
Mujtahid:
Date:

Question: Kya socks pehn k or bazo sy sweatr oper na ki jaye to wazoo ho jata hai?

Answer: Socks par masah kerna batil hai haan agar sakht sardi ho ya chaur ya darinday waghera kay khoof say jootay ya mozay na utaray jasakain tau ehtiyaat-e-wajib ye hay k mozay par masah karay aur tayyam,mum bhi karay.laikin taqayye ki surat mai mozay par masah kerna kafi hai,aur tayyamum ki zarorat nahi hai.
Agar bazo(kohni say le ker unglion k siray tak) par sweater k oper say is terha pani dala jaey k koe hissa bhi dhulnay say baqi na rehta ho tau phir sweater oper kernay ki zarort nahi hai. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #235,258). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32873
Mujtahid:
Date:

Question: Wazou be wazou kia parainh . Kia ham bager wazou ke drood Sharif par sakte hain?

Answer: Baghair wuzu durood parha ja sakta hay.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #315). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32908
Mujtahid:
Mutjahid Date:

Question: Assalamoalaikom.. mera sawal ye he k ghusal k doran agar hum ne ghusal ka kuch hisa mukamal ker liya ho .. jese k sar or gardan dho li ho or jisam dhotay wakat hawa kharij ho jaye to kya dobara se pura ghusal kerna pary ga? or nimaz k doran baaz okaat insaan ko mehsoos hota he k hawa kharij honay wali he to os se wazo tot jata hai?

Answer: 1)Is surat mai k ghusl k doran hawa kharij ho jae to is ghusl ko chor kar k new ghusl karna zaroori nahi hai bal k apne is ghusl ko mukammal kar sakte hai. laikin phir ehtiyat e lazim ki bina par wazu karna bhi zaroori hai.
2)Agar koi shaks shak kare k us ka wazu batil hua hai ya nahi to ose ye samajna chehay k os ka wazu baqi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 384, 299 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32947
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Asslam o ALikum Muffti sahab meri umer taqreban 19 sal hai mera masla ye hai k meri peshab ki nali se pishab k qatry niklty hain kabi k bar lais dar b nikalty hain pishab k qatry khasosan ek us waqt jab nahaty waqt jhukta hun ya bethta hun or jab wuzo k doran paon dhony k liye apny pao WASH BASIN tak uthata hun tab pishab k qatry bahar a jaty hain jis se wuzo mukamal nahi ho pata sawal ye hai k nahany k doran jab me jhukta hun to qatra bahar a jatta hai jab jab thorra sa b jhukun ya uthon bethon qatra bahr nikal ata hai ager esy me me ghusal pora kar k wahSroom se bahar a jaun to kia mera ka ghusal mukammal ho jay ga? 2-> ise traha mera wuzo mukamal nahi ho pata lekin me ek bar pora wuzo kar lun to kia mera ka wuzo ho giya? or mufti sahab jesa k mera wuzo mukammal nahi ho pata jab tak mera ka maslah theek nahi ho jata... kia me ise tarha incomplete wuzo se namaz qaim kar sakta hun? mujhy is traha incomplete wuzo se namaz parrhny par ghunah to nahi ho raha?? mera doctor se ilaj b chal raha hai jab tak masla theek nahi ho jata kia me namaz parrh he nahi sakta?? kun k qatry nikalny par mera underwear ganda ho jata hai to kia aesy me me pak reh raha hun?? PLEASE IS MASLY K BARY ME SHARIYAT KIA HUKAM DETI HAI MAIL K ZARIYE YA ISE MESSAGE K REPELY ME HE BATA DIJIYE TV PAR NA BATAIYE GA ME KAFI PARESHAN HUN MUJHY KIA KARNA CHAIYE..?

Answer: 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.
3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311)
Wazifa :


Surah e zumar surah #39 ki ayat 67 likh kr apni qamar par bandh lain aur zafraan sy likh kr pi lain tou qatra qatra pishaab ki bemari khtam hojaegi.(ref:book nawaey saleheen pg#329)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
36348
Mujtahid:
Date:

Question: Bawzu quran padh skte hain ki nhi

Answer: Jee haan, bu-wuzu ho kar quran perh sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #321) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
36376
Mujtahid:
AGHA SISTANI Date:

Question: SALAM MAIRY OFFICE MAI ATTACHED BATH NAI HAI OR FUZU K JAGA B MANSIB NAI BEPARDGI KA IMKAN REHTA HAI AKSR SLEEVES B UPPER NAI HOTIN KYA MAI FUZO TOILAT MAI KRSKTI HOON YA AGR SLEEVES K UPER C BAZOO P PANI POHCHANA MUMKIN HO TU ISTRH FUZU KYA JASKTA HAI?

Answer: Bathroom mai wazoo kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-343)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
38106
Mujtahid:
sistani Date:

Question: SLAM. mera quetion yeh ky kia asay locket wagra jin pe PANTAN PAAK ya PANJA wagra bana hua ho aur jin pe QURAN pak ki ayat wagra likhi ho wo banda penh kar toilet men ja skta hy ?

Answer: Agar locket par Allah ka nam likha hua ho to ba-wazoo ho kar hi pehna ja sakta hai. aur behtr ye hai k Rasool e Akram s.a.w.w. aur aima a.s. aur hazrat Fatima s.a. k asma e Mubarak walay locket ko bhi bagair wazoo na pehnain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 315-321)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41766
Mujtahid:
Qibla Shistani Sahib Date:

Question: AOA, kia wazoo k doran yani dono hath kohni tak dhoney k bad masa se pehley ser k balon ki masa ki neeat se taqseem kerna ya peron k ooper k hissey k pani ko sukhaney ki gharaz se apni pant ya shalwar se pochna masa sahi hone ki gharz se ghalat hai /haram hai ya nahi?

Answer: Wssalam o alykum, dono hath dhone ke baad sar o peroon ka masah hath main mojoda tari se karna zarori hai, pas ager maang nikaal ne ke liye ap dono hath dhone ke baad baaloo ko idher udher karain or baloo per mojoda tari hathoo ki tari per galib aajaae to phir is tari se sar o pero ka masa sahi nahi hoga. Or peron ke masah se pehle gile peroon ko ponchne ke liye shalwaar ya pant se ponchne main koi harj nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 248 , 255, 322 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
42363
Mujtahid:
Date:

Question: kia bal katnee ke bad wazo karan chaiee

Answer: Jee nahi baal katnay k baad koi khas wazoo wajib ya mustahab nahi hai albetta namaz aur is jaisi doosri ibadaat k lie wazoo krna paray ga agar pehlay sai wazoo na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 315-322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45229
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: salm mairi ammi k pairo mai zakahm hain jin k vja c musa krty wqt unk pairo mai harkat hojati h tu is situation mai unhy kya krna chy/ regards s.sadafkazmi

Answer: Agar masah kertay waqt pair mamoli harkat karta ho tu masah theek hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah#254). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45553
Mujtahid:
None Date:

Question: AOA. Aksar aisa hot hai kay rah main chaltay huye koi mil jaye or pta chalay koi marr gya to uskay liye fate-ha prhen ya majlis main kaha jaye k kisi kay liye fate-ha prhen or us time wazzu na ho to kaya QURAAN ki soorten prhna jaez hai? Another situation is before sleeping recite everything you have in your mind but if you are not in wadu then can i recite? Please explain

Answer: Quran Majeed ko parhnay k lie wazoo karna zaroori nahi hai bal k quran majeed parhnay k lie wazoo karnay ka mustahab hona bhi sabit nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 321)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46146
Mujtahid:
Date:

Question: Wazu mein hath aik dafa dho saktey hy kya...

Answer: Wazoo mai chehray aur hathoo ka aik dafa dhona wajib, doosri dafa dhona mustahab aur teesri dafa ya is sai ziada bar dhona haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 247)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46157
Mujtahid:
hanafi Date:

Question: KIYA WUZU K DORAN BAT KARNA MANA HAI? AGAR MANA HAI TO KISI HADEES YA QOOL KA REFERENCE DE DEN.JAZAK AALAH

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Wazoo k doran batain karnay mai koi haraj nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 264-297)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46255
Mujtahid:
plz asnwer Date:

Question: Theek wazu na aata hoo aur baad mein insaan seekh le tu kya pichali namaze ho jaye gee

Answer: 1)Agar namaz guzar jahil e qasir ho or doraan e wuzu aisa khalal perh jay jis jahil e qasir ka wuzu batil nahi hota . misaal k taur per wuzu main (wuzu k paani k alawa) nay paani se masah ker lay tu aisay namaz guzaar ka wuzu durust samjha jay ga or os ki namaz sahi qaraar paae gi.
2) or agar wo shaks ehkaam ko seekhnay main jahil e muqassir raha ho
3)ya os k wuzu or main aisa khalal perh jaay jis se har halat main (chahay jahil e qasir ho ya muqassir)wuzu mutaassir ho sakta hay. misaal k taur per wuzu k doran jin aaza ko dhona wajib tha, onhain nah dhoay tu aisay shaks namaz guzaar ka wuzu durust nahi samjha jay ga or os ki namaz bhi batil qaraar paae gi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 74) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
46867
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: Salam, Jo ink vote cast karne per hath key anghotay per lagai jati hay and jis ink se thumb impression lagaya jata hai, kya us per wuzuu hojata hai ya tayammum bhi karay.

Answer: Agar wo ink pani k khal tak pouchnay mai rukawat na ho to wazoo sahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 6,pg # 23)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47688
Mujtahid:
Agah Sistani Date:

Question: Asallam O Alikum!Janab Mene pehle bhi msg kia ab Dosri bar msg karraha hn,plz Gusal ka Pora tarika yani ke hat3bar aur bazu3bar koli nak m pani pher sar pe pani dalna niat kar ke,kia ye tarika thek hy,pher right n life sade pani se dholein,aur janab m jahan hn wahan sunnion ki masjed hy m Aakela hon sajde gah ke bager Namaz hogi,please m Ap ke javab ka muntazer hn.

Answer: Wazoo ka tareeqa ye hai: wazoo mai wajib hai kniyat k baad chehra aur donoo hath dhoain jae aur sar k aglay hissay aur donoo poun k samnay walay hissay ka masah kia jae. Chehray ko lambai mai peshani k upper is jigah sai lai kar jahan sar k baal ugtay hain thori k aakhri kinaray tak dhona zaroori hai aur chorai mai bech ki ungli aur anghutay k phelao mai jitni jigah aa jae osay dhona zaroori hai. chehra dhonay k baad pehlay right hath aur phir left hath ko kohni sai lai kar ungli k siroo tak dhona zaroori hai. Donoo hath dhonay k baad sar k aglay hissay ka masah wazoo k pani ki os tari sai krna chahea jo hathoo ko lagi reh gae ho aur ehtiyat e mustahabb ye hai k masah dain(right) hathili sai kia jae aur upper sai nichay ki taraf ho.Sar k 4 hisso mai sai peshani sai mila hua aik hissa wo maqam hai jahan masah karna chahea. Ye zaroori nahi hai k sar ka masa jild par kiya jaay balke sar k agle hisso k baalo per karna bhi sahi hai laikin agar kise k sar k baal itne lambay hon k maslan agar kangha kare to baal chehray par aa jain, ya dosere hissay tak ja pouche to zaroore hai k wo balo ki jaro par masah kare. Sar ka masah karnay k baad Donoo pair k samnay walay hissay ka masa karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-259)Note : Mazeed tafseelat k lie doosray sawaloo ko bhi parhain is k alawa mujtahid ki kitab tauzeehul masail ka bhi mutalla karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48630
Mujtahid:
gdshgsyewy Date:

Question: jnab agr kisi bandy ka masana kamzoor ho yani usay uthty baithtay pisab/urine/ karaj hota aur jab namaz parhay tab b sajday jaty huway koi aik do qatra gair jaye to kya wo naha k dobara kapray pahn k aur wazu kr k namaz parhay ya us k liye koi aur hukam hai......baray mahrbani is ka jwab jaldi aur tafseel say dijiye ga.JazakAllah

Answer: 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) Wazifa : Surah e zumar surah #39 ki ayat 67 likh kr apni qamar par bandh lain aur zafraan sy likh kr pi lain tou qatra qatra pishaab ki bemari khtam hojaegi.(ref:book nawaey saleheen pg#329)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
48639
Mujtahid:
yes Date:

Question: asalaamualikum: arz ye hai k main wuzu k doraan apne paaon k uper waaly hisy ko dhotaa hoon neechy se nai.. aaj eak dost ne bari sakhti se kahaa k paaon k neeche se naa dhone and paaon ki ungliyon k dermayan se naa dhone se wuzu hotaa hi nai hai... or is per ulmaa mutafiq nai hain k uper se hi dhonaaa theek hai ya neechy se bhi dhonaa chahiye.. Allah ne kaya rastaa bataayaa hai...??

Answer: Wazu me pahoon dhoye nahi jate balke un per masa karna zaroori hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #251 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49635
Mujtahid:
Aurat ka wodhu Date:

Question: Kya aurat nangay sar wodhu kr skti hai?

Answer: Agar koe na-mehram nahi dehkh raha hai to aurat nangay sar wuzu kar sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 264-289) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50562
Mujtahid:
Date:

Question: a a wazoo kay farz aur mujtahid kitnay hjain

Answer: Wuzo main 5 cheezain wajib hain. 1)Niyat 2)chehray ka dhona 3)Dono hathoo ka dhona 4)Sar ka masah 5)Dono pair k samnay walay hissay ka masah karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-259)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50795
Mujtahid:
sistani Date:

Question: salam.. kya nakun k andar ko mail h wo mail jo nails k andar h jo umoman leg k thumb k side p hota jise saf kar mushkil h to wajib gusal kaise kare

Answer: wssalam o alykum, ager mail ki jaga jism ka androni hissa shumar ho to gusal ke sahi hone ke liye mail ka hatana zarori nahi hai, or agr jism ka zahiri hissa shumaar ho or pani ponhanchne main rukawat ho to is ka hatana zarori hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 373 , 374 , 375 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
52423
Mujtahid:
wehem aur takleef Date:

Question: assalamalaikum.... mera sawal ye h k mujhe baar baar nmaaz parhne k doraan wazoo toothne ka wehm sa hota h k mera wazoo tooth ghya h..baar baar essa mehsoos hota h aur me har nmaaz k doraan 4,5 baar wazoo krti hu....beech beech me nmaaz chour k wazoo krti hu....yaha tak k akser mujh se inhi wjha se nmaaz ka tyme b nikhal jata h aur qaza ho jati h... to me kya essi hi haal me apni nmaaz puri parh sakti hi? agar koi essa mehsoos ho ya webmasters sa ya phir ye koi kissi trha ki takleef ho to kya me issi situation me baar baar bina wazoo kiye nmaaz parh sakti hu?......... pplzzzz Mujhe mere sawal ka jwab jldi dijiye plzzz me bht pareshaan hu.......

Answer: Wssalam o alykum, zarori hai ke namaaz se pehle kiye howe wazoo se puri namaaz pharye or shak ki perwa na kijye. Jab tk k yaqeen na ho k wazu batil hogaya hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 378 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53264
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: Salam,kia baitul khala main wazzu karma haraam hai?makroo or haraam main kia farq hai? Kiya dono aik hai?

Answer: Bait ul khala main wuzu karna jaiz hai haan agar wuzu ka pani barah e raast flesh main giray tu makhrooh hay. (Ref :Email rcvd, Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul) (ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Haraam her us amal ko kehte hain jis ka tark karna shariat ki nigaah main zarori ho, jab ke makrooh her wo amal hai jis ka anjaam dena haraam na ho mager is ka tark karna behter hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # fiqha istilahaat , pg # 475 , 479 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53497
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam mara saval ye hai k kya hum wozoo kernay k bad agar socks pahenlay or phir hum washroom jaye per hum na socks nhi Uttara to Kay hum wapas wozoo kerta waqt socks per se massa ker sakte hai??? Plz answer

Answer: Moze or jutay per masah karna batil (Ghalat) hai.(wazu nahi hosakta).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 258) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53948
Mujtahid:
Date:

Question: asalam o alaikum mera sawal hai kia jild per likne se namaz ho sakta hai ?

Answer: Agr kisi shakhs ki maloom ho k us k wazu k uzwon pr koi chiz lagi hui hai lekin is bare men use shak ho k aya wo chiz pani k un uzwon tk pohnchhne men rukawat hai ya nahi to zaruri hai k ya to us chiz ko hatade ya pani us chiz k neche tak pohnchaye.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah #289).Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye

Print

Id:
54078
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam alekum mera sawal h agr peshab krne k bad uth te beth te peshab ka qtra niklta h to kya gusal wajib ho jata h agr nhi to kya ham nmaz parh skte h Plz jwab jldi dena ?

Answer: Wssalam o alykum, do chezain insan per ghusl ko wajib kar deti hain, 1

Print

Id:
54157
Mujtahid:
Date:

Question: Kya hair ko colour karne se namaz hoti hai jo aaj kal women apne balon par apply karti hai jaise garneir.loreal etc

Answer: Ager colour masah k sahi hone main rokawat bane(yani masah ki tari baloo ki jarh tak na pochne de) to namaz sahi nahi ho gi, or ager rukawat na bane or namaaz k sahi hone ki baqi tamaam sharaait hon to namaz sahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 298 , 250 , after 928 , 1113 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54160
Mujtahid:
Date:

Question: Kya aurat balon mwin color lagane se namaz ho jaengi

Answer: Ager color masah k sahi hone main rukawat bane(yani masah ki tari baloo ki jarh tak na pochne de) to namaaz sahi nahi ho gi, or ager rukawat na bane or namaaz k sahi hone ki baqi tamaam sharaait hon to namaaz sahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 298 , 250 , after 928 , 1113 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54219
Mujtahid:
Date:

Question: aslam alikum mera sawal ye hai sar mere sar ke bal nai to mie kuch time se wig use kar raha hon sar ke midel front par us ko bar bar utarna bhi easy nai kia us mie wazoo ho jata hai 5 time utar kar lagana bhi mushkil ha fix hoti hai sar ke center aur front par hai bus baki apne bal hain kia us ke lage howe wazoo ho sakta hai mie 5 time ki nimaz start karna chahta hon pls answer kia aisey wazoo ho sakta hai aur nimaz ho sakti hai ya nai thanks

Answer: Ager is wig ke hote howe haath ki tari sar ke agle hisse ki jild tak nahi ponhach sakti to is wig ko utaarna zarori hai sar k masah k liye. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 250 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54551
Mujtahid:
Date:

Question: namaz to naapaki me padh nahi sakte .kya rat me dua padh skte hai,,,,,,,,,,,,

Answer: Gee han bilkul parh sakte hen faqt un ammal ko anjam dena mana hai jin k liye wazu ya ghusl krna parta hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah #448 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
56212
Mujtahid:
Date:

Question: kya aiytalkursi ba wazu padna zaroori hai

Answer: Ager is ke alfaaz ko haath na laagaain to bger wazu k parh sakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 315 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Print

Id:
57804
Mujtahid:
Date:

Question: kya hum wuzoo k begair ya napaki ki halt ma tsbi pr kalma sharif ya kch b prh skty han?

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #315) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
59420
Mujtahid:
Date:

Question: Sir i have A Question that kya hum wazu k bina Quran pak jo k hamen yad ho hum parh skte hen ya nhn,,,

Answer: G Han parh sakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 315 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60450
Mujtahid:
Date:

Question: 1) Mera sawal ha k kiya MURD or AORAt key wazu karny ka tariqa ek hai?? matlab kiya aurat Massah usi tareeky se karti h jistrha mard karta hai? 2) kiya bina duppaty k aurat ka wazu hojata h??matlab ager duppata sar per ya galey mein naa ho...

Answer: Aorat aur mard ka wuzu same hai , Wazoo mai 5 cheezain wajib hain. 1)Niyat 2)chehray ka dhona 3)Donoo hathoo ka dhona 4)Sar ka masah 5)Donoo pair k samnay walay hissay ka masa karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-259) Agar aurat ko koe na-mehram mard na dhakh raha ho to aurat beghair duppate k wuu kar sakte hai, albatta agr wazu krte wqt koi na-mehram mojud ho to sharaee parde ka khyal rakhna hoga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #264-288, 2399 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60570
Mujtahid:
Date:

Question: me jab jumme ki namaz parhta hn to wazoo krte waqt aisa waswasa ata hai k wazoo tut gaya hai phr dubara wazoo krta hn plz is ka hal batain

Answer: Jab tak wazo ke tootne ka yaqeen na ho tab tak ap halat wazo main hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 299 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print