Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Wuzu Ke Ahkam (271 Questions)


Showing 100- 150 questions from 271 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
61497
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia samandar k pani se wazoo ho sakta hy??

Answer: Samander ka pani mutlaq hota hay is liay is se wuzu kerna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #415 se pehle ki ibarat ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
62418
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam bismillhahir rahman ar rahim............is it neccessory to perform masah after woozu at the same momemt or at the same palace..or can be perform after2-5 foot step

Answer: wuzu k dourain chalna phirna jaiz hai maslan agar koi chera aur haath dhone k baad chand qadam chale aur phir sar aur pair ka masah kare to us ka wuzu sahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 284,282) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
62943
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya mehandi lgane se wazu hojati hai

Answer: Agar mehandi se wuzu k aaza tak paani pouchne me koe rukawat na ho to wuzu sahi hai aur namaaz perh sakte hain laikin agar rukaawat ho to wuzu k lie rukawat ko door karna zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, before maslah # 289) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
63758
Mujtahid:
Date:

Question: Mere zkr sy qatry nikLTy rehte hen kbi garhy kbi hlky kia in halat m mri namaz hogi,gusal wajib h ya nhe'aur in sy kese chutkara paya jaskta hai plz detail sy btaen apki mehrbani hogi

Answer: 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.
3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #306-311). Update on dated 27-04-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Wazifa : Surah e zumar surah #39 ki ayat 67 likh kr apni qamar par bandh lain aur zafraan sy likh kr pi lain tou qatra qatra pishaab ki bemari khtam hojaegi.(ref:book nawaey saleheen, Mafhoom e pg#329). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: peshaab se farigh ho jane ke ... ke bad bhi mujhe peshab ke khatre ate hi hai kya mai namaaz padh sakte hai ya nahi jamaton ke sath?

Answer: Ager imam e jamat ke dair tak namaz pharane ki waja se, ap paak halat main namaz nahi phar sakte to jamat ke sath namaz nahi pharain, balke ese waqt main namaz pharain jis main ap paak halat main namaz phar sakte hon, or ager ap namaz ke mustahabbat (azan o aqamat o takber ul ehraam ke ilawa takberain ect) ki waja se pori namaz paak halat main nahi phar sakte to namaz ke mustahabbat ko chorh dain or sirf wajibaat ko parhain, or ager namaz k faqat wajibaat pharne ki sorat main bhi namaz k doran 1 ya chand baar peshab k qatre nikal jate hoon to ager namaz k doran wuzo karna asaan ho to aik bartan main pani rakh kar wuzo karain, or ager her baar wuzo karna mumkin na ho to phir pishab k qatro ki parwa na karain or namaz ko pora karain. (Ref : Ayat ul Allah Koei(r.a),Tauzeehul masail , Mafhoom e maslah # 313 to 316). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65672
Mujtahid:
Date:

Question: A. O. A mera Masla yh his k me jb b wazu kro toot jata ha Reh ki waja sy bar bar me Kya kro plzz

Answer: 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #306-311). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65714
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: aoa.sir mujy kabi kabi namaz men bar bar hawa harij hoti mehsoos hoti hy to mai dubara wazu kar k jab namaz parhta hon to namaz phir mukamal ni ho pati mai kitni baar wazu karon agr aesa ho to...

Answer: Agar kisi shaks ko riyah(gas) baar baar youn aati ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu agar har dafa wuzu kerna os k liay dushwaar nah ho tu ehtiyaat is main hay k pani ka bartan apne qareeb rakhe or jab bhi riyaah kharij ho fauran wuzu kare or baqi maanda namaz perhe agarcheh azhar ye hay(yani fatwa ye hay) k agar wo aik namaz aik wuzu se perh le tu bhi kafi hay. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #314). Update on dated 22-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65782
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam-u-alikum Mera sawal yeh hy ky jb mein peshab krky bhr aa kar betha hu tu mera peshab ky katry nikal atay hy iska agar elaj (cure) hy tu please bta dain aur kya mein apni pant jis my peshab k ktray lg jata hy usko badal du ya us jaga ko pani sy dho loo aur jb mein kisi lrki sath bat krta hu tu mera penis ek liquid sy gila huta hy wo kya huta hy? Please is sab ka zror jwb dain

Answer: 1-Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen,Mafhoom e pg#329).
2-Is ratobat ko mazi kehte hain or ye paak hay or is se wuzu bhi nahi tut,ta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,71). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65815
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alaikum mera sawal ye hai k mujhe reh(hawa) kharij hoti hai her 2 aur 3 minute me kiya main reh hawa ko rok ker namaaz ada karsakta ho q k main jab bhi wazu banata ho tab thodi hi der me reh hawa Nikalne wali hoti hai kiya main reh (hawa)ko rok kar namaaz padh sakta ho kiya mera wazoo barqarar rahega

Answer: Agar riyaah ko rook ker pori namaz perhli jaey tu namaz durust hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #312-314). Update on dated 23-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65898
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: mi jahan kaam karta hu waha wajhu ki sahulat nhi hai to mi wash room mi wajhu karta hu to sab thik par aakhir mi pau dhone k liye pareshani hoti hai kaha aur kaise dhoye samaj nhi ata to yeh mumkin hai kya agar mi wajhu k sab faraz wash room mi karu aur bottle mi pani bharke niche jaake pau dhoke namaz padu kya mera wajhu sahi hoga, kya namaaz kabull hogi

Answer: Wuzu main pau per masah kerna wajib hay pau ko dhona wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #252). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66053
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamualeikum mera wazu har rakat mai tut zata hai to mujhe baar baar wazu karna chaiye ke nahi? tarabhi mai baar baar aur her namaz mai baar baar wazu tut jata hai to mai kya karu?

Answer: Agar kise shaks ko ye aarza lahaq ho kay riha(gas) roknay per qadir na ho to zarore hai k un logo kay mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhnay per qadir na ho. agar kisi ko peshab ya phakhana bar bar you ata ho kay isay wazo karkay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhall na ho to us ka 1 wazo chand namazo ke liye bhi kafi hai albatta behar ye hai ke har namaz ke liye 1 baar wazo karay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #308-314). Update on dated 30-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66124
Mujtahid:
Date:

Question: bar bar vazu tute or namaz mukammal na ho pae to kya karen

Answer: Agar kise shaks ko ye aarza lahaq ho kay riha(gas) roknay per qadir na ho to zarore hai k un logo kay mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhnay per qadir na ho. agar kisi ko peshab ya phakhana bar bar you ata ho kay isay wazo karkay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhall na ho to us ka 1 wazo chand namazo ke liye bhi kafi hai albatta behar ye hai ke har namaz ke liye 1 baar wazo karay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #308-314). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66139
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam-o-aleykum. Mera sawal ye hey k kya bathroom mein wazo karna jaiz hey. yani Baitul Khala or Nahaney ki jagah 1 ho wahan wazo karna jaiz hey.?

Answer: Jiaz hay. (Ref: Mafhoom e Email rcvd from Ayatullah Sistani d.b). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66651
Mujtahid:
Date:

Question: Mujy ye pata karna hai ki wazu may moo aur bazo'on may pani dhalnay ky baad kitni baar haat pherna lazmi hai?

Answer: Wuzu main hath phairna wajib nahi hay , wajib faqat ye hay k chehra or dodno hath mukammal dhul jain or koe wajib miqdaar khusk nah reh jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #236,245). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
67384
Mujtahid:
Date:

Question: Q about name tattoo? is that allowed in islam?

Answer: It is permissible to have a tattoo if: a. The tattoo allows the water of wudhu and ghusl to reach the skin while performing wudhu or ghusl. b. Having a tattoo does not involve forbidden touch or look. c. The tattoo does not encourage corruption or corrupted ideas or beliefs. d. The tattoo does not have the names of Allah his almighty or Quran script. e. for woman, if that is considered as a beauty item then it must be concealed from non-mehram man (Ref: E-mail rec from ayatollah sistani d.b. dated July 9, 2012). Update on dated 11-09-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69301
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mujhay qatro ka masla hay... Bar bar atay aur kapray ganday ho jaty hay bar bar kapron ko paak krna bohat mushkil hay q kay zida tar mein office may hota hu aur namaz reh jati hay may kiya karon?

Answer: 1-Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen,Mafhoom e pg#329). 2-Is ratobat ko mazi kehte hain or ye paak hay or is se wuzu bhi nahi tut,ta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,71). 3-Bock Pharma #69 paishab k qatro ki wajah se kaprhay napaak hona or qatre qatre paishab aana. (Address: ST-I, v,c, Shop#11 Jinah Post Graduate Collage, Opp. Board Of Secondary Education, Nazimabad#5, Karachi. Phone: 021-36617486.).Update on dated 18-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69313
Mujtahid:
Date:

Question: DOING WAZU IN SOCKS IS APPLICABLE OR NOT?

Answer: Wiping(masah) on socks is invalid. So wuzu is not applicable. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #258). Update on dated 02-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69571
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: sir jab bhi mai istanja karta hoon to istanja karne ke baad penis ko jatka dene par peshab ki boond nikal jati hai.peshab na nikal ne ka koi upay .ischeej ki waje se muje lagta hai ki me napak hoon aur me namaz jod deta hoon.

Answer: Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen,Mafhoom e pg#329).Update on dated 22-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70313
Mujtahid:
Date:

Question: Agar naak zukam ki waja c band h to naak m pani kaha tak my jaya jjy...

Answer: Wuzu aur ghusal me naak k ander pani daalna zarori nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235,373) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72282
Mujtahid:
Date:

Question: sir mara sawal jab bi peshab krta hon to jise hi ma bathroom sa bhr ata hon to thori dar bad peshab ka katra ajate hian is waja sa namaz pharna ma mushkil hoti ha ise waja sa ma zida peshab ni krta jab be peshab krta hon istraha hota qatra peshab ka hi hota hian or kisi kisam ka ni ya sirf peshab ka waqat hi hota wesa ni ho am

Answer: Agar koi aise marz me mubtela ho k ise peshaab k qatre ghairte rehte ho to Agar use ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
Agar us ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.
jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311). Update on dated 22-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72742
Mujtahid:
Date:

Question: May jb peshab krny k bad istabra kr leta hu phr b mjhy mehsus hta hai k nali may kch qatry hay jo ni nikly or phr jb mera zor lgta hai ya pait dabta hai to qatry nikl jaty hay aisi halat may mery kapry napak ho jay gay?? Kia may namaz parh skta hu?

Answer: Agar peshaab kapro per lag jaay to kapre najis ho jaay ghe aur namaaz k lie us ko paak karna zarori hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 37th edition, maslah #119,786 ). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72746
Mujtahid:
Date:

Question: Mjhy peshab k qatro ka masla hai jb peshab kr k uthta hu to mehsus hta hai k abhi kch qatry baki hay phr jb zor lgta hai ya chlta hu to wo qatry niklty hay kia may aisi halat may majalis atend kr skta hu bcz ab din may bar bar kapry to chnge ni kr skta maymay or mjhy ye problem maximum 3 ya 4 saal sy hai may ny bhht ilaj krwaya hai meri hr report clear ati hai lkn problem whi ki whi hai kia ap iska koi ilaj ya Qurani Wazifa bta skty hay jis sy may thek ho jau? 1 bat or hai jo may ap sy diacus krna chahta hu may apny ghr ki chat py sota hu jb may bilkul thek tha 4 years phly to rat ko jb peshab ata tha to may chat py e khi side py kr leta tha to kia iski wja sy mjh py koi Aasaib ya jinaat to ni hay bcz may bhht ilaj krwa chuka hu lkn kch frk ni prta ab ap btay may ksy check kru k koi jinaat ya aasaib to ni hai mjh py kindly tell me??

Answer: jis ko peshab katre katre ate ho wo thora kala dana le kar 6 martaba thunder pani se aur aik martaba garam pani se dho le phir saye me sukha kar rowgan kanjad se jarb kar lo.aur soufe bana kar phank le. ( tib masomeen ,pg:53)
Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72752
Mujtahid:
Date:

Question: Mjhy peshab k qatro ka masla hai jb peshab kr k uthta hu to aisa lgta hai abhi kch qatry baki hay phr jb mera zor lgta hai ya pait dabta hai to wo qatry nikl jatay hay ab btay kia aisi halat may namaz parh skta hu may or Majalis atend kr skta hu ya ni kindly jldi jawab dy dy may ny phly b kch sawal puchy thy lekn abhi tk unka jawab ni mila mjhy

Answer: Agar koi aise marz me mubtela ho k ise peshaab k qatre ghairte rehte ho to Agar use ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
Agar us ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay.
jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) . Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73058
Mujtahid:
Date:

Question: Salaam agha sb Wajibat wazoo kitny hen?

Answer: Wuzu main wajib hay k chehra or dono hath dhoey jaen or sar k aglay hissay or dono paon k saamne wale hisse ka masah kia jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #235). Update on dated 24-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74454
Mujtahid:
Date:

Question: Ham Wuzu kar k namaaz kyun parhtay hain

Answer: Ye hukm e khuda hay,is silsilay main hamari zimadaari hukm e khuda ki baja aawari hay. (Ref: sorah e maida, ayat#6). Update on dated 09-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74465
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar aese kapre pehne hue hun jin ki sleeves charhana mushkil ho wazu k waqt or namaz ka waqt hogaya ho to kia bagher wuzu k namaz parhi ja sakti hai?

Answer: Baghair wuzu k namaz nahi perhi jaa sakti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #315). Update on dated 10-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76601
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: wazu ka akham quran me kis surah me batayagaya hai

Answer: Wuzu ka hokum sorah e maedah(sorah#5) ki ayat#6 main bayaan hoa hay. Update on dated 15-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76976
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Boring ka pani bohat khara hai kia usse wozu karnay main koi eihteyat karni paray gi.

Answer: is terah k paani se wuzu kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #264-297). Update on dated 10-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77368
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o Alaikum Mera ek sawal hai k ager badan per kameez na ho to kia wazu kar sakty hai aur ager kar b lia hai to wazu toot jaye ga ya wazu hi nahi ho ga????

Answer: Wuzu ho jaey ga, wuzu k liay aisi koe shart nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #264-297,322). Update on dated 21-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
79058
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia aiyne(mirror) me dekhte huye wuzu kiye toh wuzu hojate hae....???

Answer: Wuzu durust hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #264-297) Update on dated 15-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81292
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya bina wuzu k tasbhi hoti hai????matlab parhi jasakti hai bina wuzu k???

Answer: Wajib nahi hay laikin wuzu k sath anjam diya jaey tu sawaab ziyada milay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Mafhoom e Maslah #342). Update on dated 18-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81798
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum mera sawal ye hai ki maine ek wig pahna hai jo ki monthly ek bar nikal kar pahanty hai kya hum isme ghusul le sakty hai kyun ki isme beech me paani jaata hai side o me paani nahi pahunch tha iske baare me plzzz mujhe batayi ye

Answer: Agar pani khaal tak puhanch jay to wig ko hatana zarori nahi warna usay hatana parhay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #376). Update on dated 04-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81810
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kiya ager chehre or hathon per cream lagi to wuzu ker sukte hein, ya soap se dhona zaroori he.

Answer: Agar wo pani kay puhachy men ruqawt nahi hay to wuzu sahi hay.(Ref: Urwat ul wusqa,Part#1,pg#170). Update on dated 20-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82306
Mujtahid:
Date:

Question: Kya khula badan wazu bana skte h

Answer: Jaiz hay or is tarah wuzu kerna durust hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #264-297). Update on dated 14-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84618
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Me path wig pehent hunyani 50% pr wig hai masa kaise kroun.. K wazu hojye

Answer: Agar aap k sar k saamne wale hissey mai wig nahi hai tou zaroori hai k sir k saamne waley hisse mai masah kia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #248-49 ). Update on dated 11-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). or agar saamne wale hisse mai wig lagi hai or us wig ko hataya ja sakta hai tou zaroori hai k usey hata dia jaey.(Ref:Jadeed fiqhi masail fuqaha wa mujtahideen ki nazar mai,jild 2, baqoul ayatollah seestani,pg no 95)or agar wig aisi hai jisey utara nahi ja sakta ya us ka utarna shadeed takleef ka sabab hoga tou us shaks ka fareeza tayamum hai, lekin agar wo wig tayamum ki jagah par ho yane (peshani k kuch hissey par bhi ho)tou zaroori hai k wuzu or tayammum dono karey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #337). Update on dated 09-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84682
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mera sawal hai "SIR MEIN TEIL (OIL) LAGA KR NAMAZ HOJATI HAI?

Answer: Tail laga ker namaz tu perh sakte hain laikin wuzu k waqt sar main tail laga ho tu agar tail is miqdar main ho k masah k liay rukawat ho tu phir tail ko hatana zarori hoga.(Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat, part#4, pg#26) Update on dated 12-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85108
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Voting ka nisan ungil par ho to namaz ka kya hukam he ?

Answer: Agar yeh nishan paani key pohonchney mein rukawat banta ho to wuzu sahi nahi hoga. Agar shak hai keh paani pohnchay ga ya nahi tu zaroori hai keh is ko ko hata liya jaey, or agar hata mumkin nah ho tu wuzu or tayammum kia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #337). Update on dated 31-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w).

Print

Id:
86173
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: wuzu mey massa karney ki koi shart ha kiya ?eg paon utha kar massa kia ja sakta ha...massa kitni unglio sey kiya jae ...???

Answer: Wuzu mai sar (head) ka or paon (foot) ka massa karna wajib hai,sar or paon ka massa kartey waqt sar or paon ka saakin hona zarori hai, or zarori hai k sar ka massa sar k saamney waaley hissay par kia jaey is hissay mai jahan bhi or jis andaz sai massa karey kaafi hai albatta ehtiyaat e mustahab hai k lambae mai aik ungli ki lambae or chaurhae mai teen(3) mili hoe ungliyo k lag bhag massa kia jaey.or paon ka massa paon ki kisi aik ungli sai le kar paon k jorh tak massa karna zarori hai or ehtiyaat e wajib ki bina par paon k ubhaar tak massa karna kaafi nahi hai or ehtiyaat e mustahab hai k seedhe haath sai seedhe pair ka massa or ultey haath sai ulte pair ka massa kia jaey or paon par massa chaurhae main jitna bhi ho kaafi hai lekin behtar hai k teen mili hoi ungliyon sai massa kia jaye or behtar hai k poori hatheli sai massa kia jaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 248,249,251,252). Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86345
Mujtahid:
Date:

Question: sallam sir my question is kya sar pe surgery kar ke baal ugana haram ha ??

Answer: Jee baal ugana jaiz hai lekin wo baal natural hoon yaani surgery k baad qudrati tor par baal aana shuru hojain tu koi maslah nahi hai lekin agar is tarah k baal hoon k un ki size aik hi rehti hai,wo barhte nahi hoon yani wo masnooi baal hoon to aise baal bhi lagana jaiz hain lekin wuzu k doraan jo masa kia jaye ga wo khaal(jild,skin)par masa karna zaroori hoga. (Ref:Jadeed fiqhi masail fuqaha wa mujtahideen ki nazar mai,jild 2, baqoul ayatollah seestani,pg no 95). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88426
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: SW ghusl e haiz k dauran aank me kajal laga ho aur ghusl ho jane k baad namaz parh le aur baad me pata chale k aankh me kajal nahi chuta hai.To kya ghusl sahi hua?Agar nahi to kya kare?

Answer: Agar kajal us jagah lagaya gaya hai jo badan ka baatin shumaar hota hai tu ghusl sahi hoga dobara karnay ki zarorat nahi hai lekin agar kajal ankh k bahar lagaya hoa tha or wo hissa dhulne sai reh gaya hai tu ahtiyaat e waajib ki bina par utni miqdaar dhone k baad poorey badan ko dobaara dhoey.agar rukawat badan k zahir per lagi thi tu phir namaz ko dodbara perhna zarori hoga.(Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 364). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
90159
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ریاح کے مسائل

Answer: Agar kisi shaks ko paishab ya pakhana ya riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu oska aik wuzu chand namazo k liay bhi kaafi hay.siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabi,ee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 308,314) Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Note:
1-Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se apna ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karain.
2-Aap namaz perhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karain, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rookne se bhi gas ki beemari hojati hay.
3- Aap khana khoob chaba ker khaya karain. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or aap ko gas ka maslah nah ho.

Print

Id:
90522
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam Ya Ali Madad , Wazu karne ke lye niyat kab karni chahye or kis tarha karni chahye

Answer: Wuzu ki Niyat zaban se kerna ya dil main kerna zarori nahi hay, balkeh agar wuzu k tamaam afaal Allah k hukum per amal kerne k liay baja laey tu kaafi hay. Wuzu ki niyat wuzu kerne se fauran pehlay kerni chahiay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #280). Update on dated 29-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92927
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-05

Question: Aoa mn chahti hn k hr waqat wazo mn rahon magar bar bar wazo tot jata he aj kal sardian hn kea mn jorabon p masah kr sakti hn

Answer: Mozay or jootay par masah karna sahi nahi hai, haan aisi sardi ho k mozay utarna mumkin nah ho to phir ehtiyaat e wajib hai k mozay par masah karay or saath main tayammum bhi karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 258).
[Updated on 05-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93323
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-27

Question: salam agar nahany ky bad wuzoo kren or phir kapry pehny tw wuzu qaim rahta hai?

Answer: Ji han wuzu to qaim rahy ga lekin wuzu men sar or paoun ka masah kartay waqt sar or paoun khushk hon, lekin agar us par nami ho ya tari itni kam ho kay wo hatheli ki tari say khatam hojay to phir koi haraj nahi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 255 )
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93335
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-27

Question: Imam Zamin ya Angoothi Haqeeq pehne k liye Wazu mai hona lazmi hai ya nahi?

Answer: Nahi wuzu men hona zarori nahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 315)
[Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93393
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-07

Question: Assalam o Alikum- Mery do sawalat hain Q1- Wuzu kernay ka sahi tariqa bayan karadin, Khas tor per kitni dafa Hath, Mu, Naak or deegar body parts main pani dalna chaiye ya or kab kia kia perhna chaye or wuzu ki niyat kab or kis tarha kerni chaye. please tafseel say batain . JAZAKALLAH Q2- Rizq main kahir o Barkat or Izafay k lia koi wazifa bata dijia.

Answer: 1) Wuzu mein wajib hai keh chehrah aur dono haath dhoya jaey aur sar k agle hisse aur dono paaon k saamne waale hisse ka masah kiya jaey.Chehre ko lambaaee mein peshaanee ke opar os jagah se le kar jahaan sar ke baal oogte hain thodhee ke aakharee kanahre tak dhona zaruri hai aur chauraaee mein beech ki onglee aur angoothe ke phailaao mein jitnee jagah aa jaay ise dhona zaruri hai. Agar is miqdaar ka zaraa saa hissah bhi chhoot jaay to wuzu baatil hai aur agar insaan ko yeh yaqeen nah ho keh zaruri hissah pooraa dhul gaya hai to yaqeen karne ke liay thoraa idhar udhar dhona bhi zaruri hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 235/236) 2)1. Har shab e jumma 100 bar ism e Mubarak (az zaarro) ki tilawat karna doulat wa mansab k hasool k lie nihayat mujjarab he. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 63) 2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankhoo ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) 3. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. yaa razzaaqo urzuqnee.(Ref: naaemul aamaal,pg#315).
[Updated on 07-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93430
Mujtahid:
Date: 2018-12-15

Question: Asalam-o-alikum. Mera sawal hai k kya sirf hwa kharij honay pr istanja dubara krna prta hai ya nhi?

Answer: Istinja dubara nahi karna balkay wuzu karna hoga. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #61/322 )
[Updated on 15-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93537
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-12-07

Question: Asslam o alaikum sir... sir Mara swal ye h k ager hawa sir jay mtlb paad ajy tu astanja krna lazmi h ya nhi plz reply fast sir.

Answer: Was Salam. Jee nahi reeh k khaarij honey par istintijaa zaroori nahi albatta is say wuzu baatil ho jata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 322)

[Updated on 07-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93801
Mujtahid:
Date: 2019-02-04

Question: Assalamwalikum mere sawal hai ki Allah ka zikr Kar ne ke liye Wazu kar na zaruri hai??

Answer: wsalam. Namaz k liay wuzu shart hai isi tarah quran k alfaaz ko mas karne k liay wuzu laazmi hai lekin is k alawa faqat quran parhne ya zikr e khuda k liay wuzu shart nahi hai.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315,316).
[Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93906
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-02-05

Question: agar serf ges haraj ho jaye to serf wazo karne chaheya ya sharam gah be done chaheya

Answer: sharamgaah dhone ki zaroorat nahi q k reeh k kharij hone sai insaan najis nahi hota or reeh bazat e khud reeh nijaasat mai sai nahi hai lehaaza ye kisi ko najis bhi nahi karay gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 80,322).
[Updated on 05-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print