Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Qirat k ehkaam (43 Questions)


Showing 0- 43 questions from 43 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
9150
Mujtahid:
i dont understand it. Date:

Question: AOA.kya syrah ikhlas doosri aur choothi rakat ma parhni jaiz ha?

Answer: Zarori hai kay insaan rozana ki wajib namazo ki pehli aur dusri rakaat me pehlay alhamd aur phir kisi 1 surah ki tilawat karay aur ehtiat-e-wajib ye hai ke 1 mukammal surah ki tilawat karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah#965) Namaz ki tesri aur chute rakat me faqad aik dafa alhamd ya aik dafa tasbiaat-e-arba perhi jasakte hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah#992 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12288
Mujtahid:
Date: 2018-09-08

Question: asalam o alaikum sir mjuey ye pata hey kis tarha namaz parhi jati hey aur kitni suuat hein aur kitney farz lekin merey ko yeh nhi pata k kon si surat parhni hey aur mujey surtey bhi nhi ati meri madat karein

Answer: 1- Zarori hay k insaan rozana ki wajib namazo ki pehli or dosri rakat main pehlay sorah al-hamd or phir kisi aik sorah ki tilawat karay or ehtiyaat ye hay k aik mukammal sorah ki tilawat karay.sorah e zuha(sorah#93) or sorah e alam nashrah(sorah#94) ki sortain or isi terah sorah e feel(sorah#105) or sorah e quraish(sorah#106) ehtiyaat ki bina par namaz main aik sorat shumaar hoti hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# ).
2- Namaz main quran majeed se sorah daikh ker perhna makhrooh hay .or agar aap ko sorah yaad nahi hay tu on ko daikh ker perh lain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1144)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
13574
Mujtahid:
AYATULLAH SISTANI Date:

Question: 1. Agha Sb mujhay zara ye bataye kay Fajar, Magrib and Aisha ki 1 & 2nd rakat tez awaz may perni chahy and baqi slow awaz may. Kaha per is ka zikar hay and ku is tarah perni chahye.

Answer: 1) Mard aur aurat par ehtiyaat ki bina par wajib hay k namaz e zohar aur asr may al-hamd aur surah aahista awaaz se parhay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 979)
2) Mard aur aurat par ehtiyaat ki bina par wajib hay k namaz ki teesri or chothi rakat main Al-hamd ya tasbihaat e arba,ah aahista awaaz se parhay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 994)
3)mustahab hay k namaz e zohar aur asr ki pehli or dosri rakato main bismilaah buland awaaz se kahain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#1004 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16276
Mujtahid:
Date:

Question: kya nimaz k har raakat main mukhtalif surah parhnay ka hukm hai ya hum har rakaat main surah ikhlaas parh saktay hain??

Answer: 1-Mustahab ye hay k tamam namazo ki pehli rakat main “sorah e qadr” or dosri rakat main “sorah e ikhlas” perhay.
2-jo sorah insan pehli rakat main perhay osi ka dosri rakat main pehna makhrooh hay. Laikin agar sorah e ikhlas dono rakato main perhay tu makhrooh nahi hay.
Ref : TauzeehulMasailAyatullah Sistani d.b. masla #1005,1008 ).

Print

Id:
31930
Mujtahid:
sistani sahab Date:

Question: Salam - Sir mera sawal ye h ki Namaz e Subha aur Magrib, Isha mai Sure taiz awaz se aur zohar, asar mai ahista kyon pade jate h ? khuda hafiz.

Answer: Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32664
Mujtahid:
dnt knw Date:

Question: 4 rakat namaz ya 3 rakat namaz mein pehli 2 rakat namaz k kyam or akhr rakato k kyam mein parhnay ka kch farak hta ha?

Answer: Zaroori hai k insan wajib namazoo ki pehli aur doosri rakat mai pehlay al-hamd aur phir kisi aik surah ki tilawat karay. Aur namaz ki teesri aur choti rakat aik dafa ah-hamd ya aik dafa tasbeehat e arbea parhi ja sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 965-92)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
33081
Mujtahid:
Aya tullah Sistani Date:

Question: aoa...namaz me halat e qayam me al hamd o sura k bad durood parh sakte hen??

Answer: Gee han parh sakte hen, is liye k durood ek qism kin dua k alfaz hen namaz men quran parhne or dua krne men koi harj nahi hia. .( Ref : Ayat-ui-Allah Sistani, Tozih Masaail, Edition#1433, Masalah#1122)(khuda apki tofiqat men izafa frmaye)

Print

Id:
40471
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Namaz mai khabi kabar qirat k doran kisi lafz ki sahi adaigi k lie os lafz ko 2 sai 3 bar takrar krnay k baray mai kia hokum hai? kia is surat mai namaz sahi hai?

Answer: Jee han, Namaz sahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 54,pg # 39)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
41417
Mujtahid:
Date:

Question: salam . main ye pochna chahta ho ki 5 waqat ki nimazo main kon konsi rakato main surat parna chaheye ao konsi main nahe parna chaheye

Answer: Zarori hai k insan rozana ki wajib namazo ki pehli aur dusri rakat main pehlay surah e al-hamd aur phir kisi aik surah ki tilawat karay aur ehtiyaat e wajib ye hay k aik mukammal surah ki tilawat karay .surah e waz-zuha aur surah e alam-nashrah isi terha surah e feel aur surah e qureesh ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai aik surah shumaar hoti hain. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #965). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
44341
Mujtahid:
Aqae Sistani Date:

Question: Q1.Agar koi shakhs jaanboojh kar namaze jamat mein surae hamd aur sura padhe(jabki uski niyyat jamat padhne ki ho) to kya uski namaz batil ho jayegi jabki usko pata ho ki namaze jamat mein surae hamd sura nai padha jata. Agar woh aisa masala na jaanne ki wajah se kare to uski namaz sahi hogi ya nahin. Q2.Koi shakhs agar aisi jagah jaye jahan uski namaz qasr ho jayegi aur wahan se 4-5 dino ke baad apne watan wapas aye aur uski koi namaz qaza ho jaye to apne watan pohoncne par qasr padhega ya poori padhega. Q3. Sehme sadaat ke mustahiq kon afraad hain. Shariat ke hisaab se mustahiq kise kaha jayega.

Answer: 1)Har sorat main namaz sahi hay.(Ref: Email rcvd from Ayatollah sistani d.b, dated: 08-03-15 )
2)Qasar namaz ki qaza qasar hi hoti hay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , Mafhoom e sawaal # 71).
3) Jis Syed faqeer ko khumus diya jaey zarori hay k os main ye chand shrait hon. 1) 12 imami shia ho 2) Ye pata ho k Khusm ki raqam ko gunah k kaam main istimaal nahi karay ga. 3) Sharabi nah ho 4) Be-namazi nah ho 5) Aylaaniyah(Khul) ker ghunah nah kerta ho. 6) Khud Yaqeen ya itminaan ho k ye syed hay ya phir 2 adil shaks os k syed honay k tasdeeq ker dain. 7) Ehtiyaat e wajib ye hay k os ko shem e sadaat os k saal bhar k akhrajaat say ziyadah nah diya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1804-1819). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46333
Mujtahid:
Date:

Question: Kya Quran ko mobile me rakhna theek hy mobile to hm bathroom b lekr jaty hain plz btaiay.or ye b btaiay k online quran parhty huay wazoo ka hona lazim hy.

Answer: 1-Gee haan Quran mobile main rakhna theek haiy aur usay bathroom main lejana bhi jaiz hai.(Ref: Email rcvd from A.sistani d.b)
2-Quran parhtay waqt wuzu say hona lazmi nahi hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #321). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
49364
Mujtahid:
Date:

Question: kya namaz ki halat main quran e pak utha k parh skty hain ?

Answer: Jee haan, daikh ker perh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Urwatul wusqa,part#2, maslah #1521 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50787
Mujtahid:
Namaz Date:

Question: Asslam walekum... mera swaal ye hai ke 4 rikat farz namaz ke akhiri do rikat me kewal surah fateh padhna hota hai. agar koi surah fateh ke saath aur koi dusra surah bhi lga de to kya namaz ho jayegi.

Answer: wssalam o alykum, namazi ko iktiyaar hai ke wo namaaz ki 3rd or 4th rakat main al-hamd phare ya tasbehaat e al-arbaaah or tasbihaat ka pharna al-hamd ke pharne se behtar hai. or sura e fateha ke sath koi or sura ya dua pharne main koi harj nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 992 , 1122 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
51906
Mujtahid:
ayatullah sistani sb. Date:

Question: namaz ki 4th rakat me kya prha ja i...

Answer: Surah Al-Hamd ya Tsbehaat e Arba-aa (bina bar ehtiyaat e wajib). (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 994 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
53345
Mujtahid:
Agha Sistani Date:

Question: Assalamualaikum, sir mera question ye hai ki kon konsi namazain buland awaaz sai parhni chahiye, aur awaaz kitni buland honi chahiye ...yani awaaz kahan tak sunayiii deni chahiye....plz is question ka jawab zarur dain....

Answer: Mard kay liye ehtiyat ki bina par wajib hai k Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say parhay aur mard aur aurat dono par ehtiyat ki bina par wajib hai k namaz e zohor aur asr mai al-hamd aur surah aahista parhay aur is ka Mayaar URF hay (yani society k aam loog) aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahi hay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah #979)(Ref: Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53401
Mujtahid:
namaz may kya padhha jata hai Date:

Question: mujhe janna hai ki har namaz may pehle sana padhte hai fir alhamd padhte hai fir uske baad konsi surah padte hai ???? please let me know as soos as possible aur har waqt ki nazam ka bataiyega please.

Answer: Zaruri hai k insan rozana ki wajib namazon ki pehli or dusri rakat men pehle Surah Al_Hamd or phir kisi ek surah(kisi bhi quran ki surah) ki tilawat kre or Ehtiyat_e_wajib ye hai k ek sure ki tilawet kare.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2369).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
59386
Mujtahid:
Date:

Question: Can we read the same sura 2 time in namaj

Answer: Yes it is lawfull & valid but it is Makrooh except Surah Ikhlaas , If any one read Surah Ikhlaas is every two first rakat so it is not Makrooh.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 965 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
74433
Mujtahid:
Date:

Question: Namaz onchi awaz ma parhni chahiye????

Answer: Mard kay liye ehtiyat ki bina par wajib hai k Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say parhay aur mard aur aurat dono par ehtiyat ki bina par wajib hai k namaz e zohor aur asr mai al-hamd aur surah aahista parhay aur is ka Mayaar URF hay (yani society k aam loog) aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahi hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,mafhoome maslah #979)+(Ref: Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26). Update on dated 09-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
75602
Mujtahid:
Date:

Question: had rakaat mai kitni keraat zarori hai

Answer: Zarori hay k insaan rozana ki wajib namazo ki pehli or doosri rakat main pehle alhamd or phir kisi aik sorah ki tilawat karay or ehtiyaat e wajib ye hay k aik mukammal sorah ki tilawat kare.. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #965). Update on dated 18-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82165
Mujtahid:
Date:

Question: My question is that k farz namaz mai ayat khol jae. 2sri dafa ayat start ki phr bhol gya. 3rd time ak choti ayat tlawat kr k namaz complete krty waqt akhir mai sajda sahv kr dia.am I right or wrong?

Answer: Namaz ki qaza karni hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1250 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82342
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kiya 2nd rakat main allhamdo sharif se pehle kuch pdhna chahiye

Answer: 2 rakat main alhamd se pehlay kisi cheez ka perhna zarori nahi hay sorah e alhamd ka perhna kaafi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #965). Update on dated 29-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84826
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: In salawat is it necessary to recite Allahuma Salli Alla Muhammad\"din\" Wa\'Allay Muhammad, or can it also be \"Allahum a Salli Alla Muhammad\"diw\" Wa\'Allay Muhammad. I have heard both variants.But Muhammad\"din\" seems to be the more commonly used version. But Muhammad\"diw\" fits better on my tongue.

Answer: Both method are lawful but 2nd method is better. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #991 ). Update on dated 03-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84830
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar Namaz ki teesri rakhat may Galati say Bismillah Phar lay toh Namaz batil to Nahein hoti hay.Sajdae Sahu Kurna paray ga is Galati ki Wajahat say. Tasbeehate arba Kay ellawa Namaz may tesrri aur chohati rakhat may Koi sura Phar suktay hay

Answer: 1: Aghr galti sy parha hy to namaz batil nahi hy.
2: Namaz ki 3rd aur 4th rakat me faqat aik dafa surah e al hamd ya tasbeehat e arbah perhi ja sakhti he. Yani namaz parhne wala aik dafa kahay aur behter he keh tasbihaat e arba ko 3 dafa kahay. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 992). Update on dated 01-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84835
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam kya akaile koi bhi farz namaz phade to jor se phad sakte hai

Answer: Mard kay liye ehtiyat ki bina par wajib hai k Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Surah Buland awaaz say parhay aur mard aur aurat dono par ehtiyat ki bina par wajib hai k namaz e zohor aur asr mai al-hamd aur surah aahista parhay aur is ka Maiyaar URF hay (yani society k aam loog) aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na jaanta ho to is soorat main namaz sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah #979). (Ref: Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26). Update on dated 01-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86972
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr Farz Namaz ki 3rd ya 4th rakat m Fathai k bad surat parh lein to kyaa ho ga usk jwab dy do??

Answer: Agar ghalti say parhi hy to namaz sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1250 ). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86973
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agr Farz Namaz ki 3rd ya 4th rakat m Fathai k bad surat parh lein to kyaa ho ga usk jwab dy do??

Answer: Agar ghalti say parhi hay to namaz sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1250 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87967
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agr koi isha ki bajamat namaz karayaa or pehle rakat ma kirat karain, or kirat kartay waqt us se surah fatiha k baid parhe jana wale surat ma se koi aik ayat miss hu jaya or peecha se namazi b na btayaa tu kia namaz hu jaya gee?? agr ni howe tu ab kia jayaa namaz ki qabooliat k lyee??

Answer: Agar ruku mai jaane k baad yaad aaye k alhamd ya soorah mai sai kisi aik ka parhna bhool gaya hai ya kuch hissa parhna bhool gaya hai tu us ki namaaz sahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 968). Update on dated 22-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2018-10-29

Question: ASAALAM U ELEKUM sir main pochna chah raha tha k bajumat namaz zuhar o asar main muqtadi khamosh hota he keya wo dil main allah k name ka wird kar sakta he

Answer: Was Salam. Muktadi ko zuhar or asar ki namaz main pehli or doosri rakaat main ehtiyaat ki bina par alhamd or surah nahi parhna chahiay aur mustahab hai k un k bajaay koe aur zikr maslan dorood ya subhanallah waghaira parhay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 1447).
[Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
97295
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-25

Question: Kya 4 raqat kaza namaz me 3 aur 4 raqat me sirf sureh e fateha hi pade

Answer: Namaz ki 3rd aur 4th rakat me faqat aik dafa surah e al-hamd ya tasbeehat e arbah perhi ja sakhti he yani namaz parhne wala aik dafa kahay aur behter he keh tasbihaat e arba ko 3 dafa kahay.qir (Ref: Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b maslah#992).
[Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101090
Mujtahid:
Ahmad Raza khan barelvi Date:

Question: Aoa agr imam k pichay sirri namaz prh rhy ho to pehli raqat mn tasmeeh prhna chahye ya tasmeeh mn b fatiah ki tarah khamosh rehna chahye?

Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabbat day jaate hain. Update on dated 15-10-19.

Print

Id:
104156
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-02-29

Question: Agar pbeli rakat m imam sahib surah. Fatima. Parhna xhoro kt Dai to Sana pRhne ha Y ahe Agar nahe to. Kb parhne ha

Answer: Zarori hai ke muqtadi (imam k pechey namaz e jamat perhne wala) Alhamd or surah ke alawa namaz ki sab cheezay khud perhe, or alhamd or sorah nah perhe, lekin agar iski 1st and 2nd rakat imam ki 3rd or 4th rakat ho tu zarori hay ke alhamd or surah bhi perhe.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Maslah#1442,43 Tauzeehul masail 31th edition)
[Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104539
Mujtahid:
Abcd Date: 2020-04-24

Question: Q2. Kia Namaz ki har rakat ma Surah Fatiha se pehley Bismillah parhna zaroori ? Q2. Namaz me jab hum Surah Fathih ky sath jo Sorah milaty to Surah shoro kerney se phely Bismillah Parhna chaheyi ya nahi.

Answer: Pehli aur dosri rakat me alhamd aur surah se pehly bismillah zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #965).
[Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108601
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-27

Question: asalomoalkum. please i want to know whether i can recite surah ikhlas in every rkt either farz or sunnat but tarteebwise or not. thku for your kind answer.

Answer: Ruling 1007. It is disapproved to recite the same surah in the second rakʿah that one has recited in the first rakʿah; however, it is not disapproved if one recites Sūrat al-Ikhlāṣ in both rakʿahs.(Ref: https://www.sistani.org/english/book/48/2222/)

[Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110395
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-26

Question: AOA molvi sahib kya Quran Pak ki Dil m pwehny s wasy e sawab mily GA jasy zuban s perhy hn???

Answer: Qirat main boolna zarori hay, is se murad ye hay keh makharij k sath is tarah perha jaey keh koe shaks boolne wale ka kalam sun lay agarcheh sargoshi hi ho, faqat kalam ka dil main perh laian kafi nahi hay.(Ref: minhajus saliheen, jild#1, maslah#620) [Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110869
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-10-07

Question: Sir, ASSLAM O ALIKUM farza namaz ma 4 rakta ho ti ha. 1 rakat ma surat fatha ka sat koi na koi surth millaty ha or 2 rakat ma surat fatha ka sat koi surth millaty mere question ya ha kia? 3 or 4 rakat ma srif surat fatha hi pharty ha or KOI surth BI SATH millaty ha best regards muddasar iqbal

Answer: Namaz ki 3rd aur 4th rakat me faqat aik dafa surah e al-hamd ya tasbeehat e arbah perhi ja sakti he yani namaz parhne wala aik dafa tasbihaat e arba kahay aur behter he keh tasbihaat e arba ko 3 dafa kahay.(Ref: Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b maslah#992).
[Updated on 07-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111518
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-27

Question: Salam.mera sawal hay kiya aurat gaher main boland awaz say azan iqamt or pore namaz boland awaz k saat ada kar sakti hay.gaher main ager bachay or sirf husband ho tu.

Answer: 1: Mard or orat k liye mustahab hai ke rozana ki wajib namazo se pehle azaan o iqaamat kahe. Or esa karna dosri wajib ya mustahab namazo k liye mashroo(yani jaiz) nahi hai. Iqamat kehna wajib nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, maslah # 903).
2: Subah Maghrib aur Isha ki namaz main aurat alhamd aur soora buland ya aahista aawaz say ,jaisa chahay parh sakti hay.laikin agar na-mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho to aihtiyat-e-wajib ki bina par aahista parhay. aur kaifiyat ye ho kay usay apni awaz sunana haram ho to zaroori hay kay aahista parhay aur is kay ba-wajood agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to aihtiyat ki bina par namaz batil hay. jab kay zohar aur asar ki namazoon main mardoo ki tarah aihtiyat ki bina par wajib hay kay aahista parhay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 39th edition, maslah # 979,981)
[Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112118
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-22

Question: اسلام وعلیکم آغا صاحب کیا نماز کی تیسری اور چوتھی رکعات میں فقط ایک دفع تسبیحات اربع پھڑ سکتے ھیں

Answer: Jee han, Faqat aik dafa Tasbeehat e arbah perhi ja sakhti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail maslah #992).
[Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114224
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-21

Question: Vah kaun sa Surah hai Quran mein jismein do bar Bismillah aata hai?

Answer: Quran main surah namal ke jis ke aagaz mai aik bismillah hai or us ki ayat #30 mai aik bismillah hai. (Ref: https://quran.com/27).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114789
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-11

Question: Asslam o alikum Mara sawal ya k namaz ma phali surat dosri sy bari honi chayia ya phr randomly beh parh sakty hain

Answer: Zaroori hai k insan rozana ki wajib namazon ki pehli aur dusri rakat main pehlay surah e al-hamd aur phir kisi aik surah ki tilawat karay aur ehtiyaat e wajib ye hay k aik mukammal surah ki tilawat karay. surah e waz-zuha aur surah e alam-nashrah isi terha surah e feel aur surah e qureesh ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai aik surah shumaar hoti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #965).
[Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116333
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: Asalam o alikum mje yeh pochna tha main itne time say namaz parh rhi hun or mje yeh pata nai tha k namaz ki 3sri or 4thi rakat main tazbeh arba parhte hain to kia meri namaz galat hai iska kia hukum hai

Answer: Namaz ki 3rd aur 4th rakat me faqat aik dafa surah e al-hamd ya tasbeehat e arba parhi ja sakti he yani namaz parhne wala aik dafa tasbihaat e arba kahay. aur behter he keh tasbihaat e arba ko 3 dafa kahay. Is bina agar aap ne 3rd aur 4th rakat me tasbeehat e arba parhne ke bajaye Al-hamed parhi thi tab bhi aap ki namaz sahi hai. Q ke namaz ki 3rd aur 4th rakat me namazi ko ikhtiyar hai ke chahe to Al-hamed parhe ya tasbeehat e arba parhe. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #992,996).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120719
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-30

Question: Asalaamu alykum warahmatullah.... Kya hum obligatory prayers mein musabbihat surah padh sakte hai... Agar haan toh tareke bata dijiye aap ki bohut meharbani hogi??

Answer: Jee han, parh sakte hain aur tareeqa wohi hai jo deegar surah parhne ka hai abatta zaroori hai ke rozana ki wajib namazon ki pehli aur dusri rakat main pehlay surah al-hamd aur phir kisi aik surah ki tilawat ki jaye aur ehtiyat e wajib ye hay ke aik mukammal surah ki tilawat ki jaye. surah e waz-zuha aur surah e alam-nashrah isi tarah surah feel aur surah qureesh ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai aik surah shumaar hoti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #965,1005).
[Updated on 31-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121092
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-23

Question: Assalm o alaikum puchna ye tha k farz namaz main Al hamd k bad kon kon si surah parhi ja sakti hey kyu k baz ayat main sajda wajib ho jata hey or zyda lambi sorah parhne sey bhi mana kia gya hey

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Pehli or doosri rakat men Al-hamd ke baad (wo 4 surah jin me sajde wali ayaat hain jaise surah sajda, surah hamem sajda, surah al-najam, surah alaq ke alawa) koi bhi aik surah jo aap ko yad ho parh sakte hain. jaise ke surah kausar, surah tauheed, surah aala, surah shams ya surah qadr wagera wagera..... albatta ehtiyat e wajib ye hai aik mukammal surah ki tilawat ki jaye. Aur lambi surah ka parhna bhi mana nahin.
(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #965).
[Updated on 24-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121108
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-24

Question: Mobile me Jese normal videos bhi save hoti hai pictures bhi hoti hai or agar hum koi surah ya ALLAH pak ka Naam save krte hen parhne k lie or wahin aagey peche videos bh hon koi hamari ya normal toh isse gunnah milta hai? Mera sawal ye hai kiaa hum is halat me surah ya

Answer: Jee nahin, koi gunah nahin hai. or parha jaa sakta hai.
(Ref: Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + (Ref: email rcvd from a.sistani(d.b)).
[Updated on 25-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print