Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Janabat Ke Ahkam (582 Questions)


Showing 50- 100 questions from 582 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3308
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: AssalamuAlekum! Dear Sir mey ek Married hoon, Mujhey Maloom Karna hey k Mujhey Qatron ka marz hey, mey so ker uthoon or kapron per koi nijasat na ho lekin ye shak hey ya yaqeen hey k qatra aaya ho ga to kya gussal wajib ho ga? Kya sirf Khayal anet se ya biwi se Kiss kerney se Qatra aaey to Gussal wajib ho ga?

Answer: 1)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee.
Mani ki 3 alamatain hain.
i) Shewat key saath niklay ii) Uchal ka nikley iii) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.
2) Jo ratubat shawat ubharnay per ya aurat k sath chair char k waqt insan apni sharamgah me mahsoos karta he wo paak he aur os se ghusl bhi wajib nahi hota.aur na hi wo wuzu ko batil karti he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345 , 70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3318
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: KIA SERF SAFED PAANI NEKL AANE SE GHOSAL WAJIB HOTA HE BAGHER KISI KO CHOVE ?

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee.
Mani ki 3 alamatain hain.
1) Shewat/ lazzat (Lust) k saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemaar honey ki sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.
or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg # 27,67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3511
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: KAYA KISI MARD YA AURAT KA KISI NA MAHRMA PAY DBARAH QASDAN NAZAR DALNAY PER GUSUL FARZ HOJATA HAI?

Answer: Do cheezo say insan mujnib(halat e janabat) ho jata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is k alawa ghusl wajib nhi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 344) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
3839
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agar neind me nijasat(mani) ajayeto ghusul jaruri hai? aur uski dua kya hai?

Answer: Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.
Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).

Ghusl e janabat ki dua perhna mustahab hay wajib nahi.or wo dua ye hay:
۱- Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÊÞÈá ÓÚíí æÇÌÚá ãÇ ÚäÏß ÎíÑÇð áí ¡ Çááåã ÇÌÚáäí ãä ÇáÊæÇÈíä æÇÌÚáäí ãä ÇáãÊØåÑíä
(Allaa humma tah hir qalbee watqabbal sa’yee waj’al maa indaka khairal lee . Allaahummaj al’nee mi’nat taw’wabeena waj al’nee minal mutatah’hireen )
۲- Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÇÔÑÍ ÕÏÑí æÃÌÑ Úáì áÓÇäí ãÏÍÊß æÇáËäÇÁ Úáíß ¡ Çááåã ÇÌÚáå áí ØåæÑÇð æÔÝÇÁÇð æäæÑÇð ¡ Åäß Úáì ßá ÔíÁ ÞÏíÑ

(Allaahumma tahhir qalbee wash’rh sadree wa ajir alaa lisaa’nee mid’hataka was’sanaaa alaik. Allaahummjalho lee tahooran wa shifaan a wa nooraa. innak alaa kulle shaiein qadeer.)
(Ref: sistani(d.b),sheh e urwatul wusqa,part#1, maslah#683 ).

Print

Id:
3885
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aoa,i wan to know tht is secretion before ejaculation pak or napak?kiya us k nikalnay k bad bhi nahany ya kapray badal k namaz perhni hoti hai?aur aurat/khatoon ki secrection k kiya orders hn?

Answer: 1) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or
2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
2) Agar discharge hone se murad vo pani he jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3986
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Mera sawal yeh hai kai kia mian biwi mulaqat kai bad aur ghusal sai pehlay kuch kha pee saktay hain.

Answer: Jee haan,hambistari k baad, ghusl say pehlay khana peena jaiz hay.laikin aisa kerna makhroh hay.haan agar haath monh dhoolain or kulli ker lain tu makhroh nahi hay.or agar sirif haath dhoolain tub hi krahiyat(makhroh) kam ho jaay gi.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#355).

Print

Id:
3988
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: suba ko jab ma apni sharwar pa niga dalta hon to wo karak hoe vi hote ha,to ma apni rat pa ghor karta hon to sirf ya pata chalta ha ka sirf money ka oochal na ka amal hoa ha baqi nishaniyan ni hoe to ma is ko money man lon. thank q.

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345).


Print

Id:
4019
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: my name is sarfraz sir mera sawal ye hai ke shewat ke ane se drops lazmi niklte hai ya kabhi kabhi niklate hai aur aur sir mujhe shewat bohat ziada ati hai aur main bar bar bath room jakar check karta ho ke koi drops tu nahi nikla aur mujhe shak bohat hota hai yani main bohat wahmi ho gaya ho plz iska ka koi tarika bataye ke mera shak door ho jaye i m very thankfull to you

Answer: 1)Wo ratubat jo khabi khabi shawat ubhrney per mard k peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71)
2) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
3) Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345)
4)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4391
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir mein apni girl friend se bath kar raha tha`` khuch hansi mazak kya aisi hi` mera koi ghalat erada nai tha. bulke ek serious topic pe bath ho rahi thi. khuch der bad aise mehsos hoa jaise koi qatra baher aya ho` bath room ja ke dekha tou ek mamoli sa qatra tha kya roza makhro ho gea hai`` aur woh mani kum lagti thi...

Answer: 1) Wo ratoobat jo khabi khabi shehwat abhrney per mard k maqam e peshab se kharij hoti he usi mazi kahte hein wo pak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70)
2)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345).

Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei Q k gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4414
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mara yah sawal hai k hambistri k bad BV ka lehay gusal karna lazmi hai?

Answer: jee hay. hambistari k baad shohor or b.v dono ko ghusul kerna hoga.Q k
1)Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
2) ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4587
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera sawal ye hai ke hum bistar hone ke baad janabat ki ghusul mard ku jahiz hai

Answer: Agar koe shakhs jima karay aur azu e tannasol supari ki miqdaar tak ya us se ziada aurat ki faraj(sharamgaah) me daakhil ho jaay to chahay ye dhakhool faraj me ho ya dubur(pakhanay ka maqaam) me ho aur chahay baligh ho ya
na-baligh aur chahay mani kharij ho ya na ho dono per ghusl wajib ho jay ga.( (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 348)

Print

Id:
4659
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam,kya janabat ki halat ma QURAN parh sakta hain?aur kia tahreer ko touch kar ka bhi parh sakta hain ya nhi...pl tell me soon as possible

Answer: Quran majeed ki 7 se ziadah(more) asi aayat perhna jin me sajdah wajib na ho makrooh he.aur jin ke perhna se sajdah wajib hota he haram he. Apnay badan ka koi hissa(part) Quran majeed ke alfaz se mas(touch) karna haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 354 , 355)

Print

Id:
4694
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam hazrat ap muje batae jnabat hoti kiya hai plz??

Answer: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).

Print

Id:
4916
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: When exactly Ghusl-e-Janabat becomes wajib for a woman? what is the tariqah?

Answer: b.t. 1)Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. 2)Agar koi shakhs jima karey aur azu e tannasil supari ki miqdar tak ya us se ziada ayrat ki faraj me dhakil ho jay to khown ye dhakool faraj me ho ya dubr me ho aur kaown balig ho ya na balig aur khown mani kharig ho ya na ho donoo per ghusl wajib ho ga. Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 , 348 , 367 , 372)

Print

Id:
5067
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Subject: ghusal k masaail sir, mje ye driaft krna ha k agr rat ko hm bistri ki ho r sari rat r subh tk sperm absorb rhn lykn subh ghusal kia r bad me dophr ko urine k sath ya waisy sperm kharij ho gay to nahana farz ho jata ya nahi? halanke shuhwat se na nikle hn?plz mje jaldi jawab dijie ga me bri kush makush me hn. thanx a lot.

Answer: Mani kharij honey k baad insaan k lie peshaab karna mustahab he. Aur agar peshaab na karay aur ghusl k baad is k makharaj e peshab se ratubat kharij ho jis ke baray me wo na janta ho k mani he ya koi aur ratubat to wo ratubat mani ka hakum rakhti he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 347)

Print

Id:
5070
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Subject: ghusal k masaail sir, mje ye driaft krna ha k agr rat ko hm bistri ki ho r sari rat r subh tk sperm absorb rhn lykn subh ghusal kia r bad me dophr ko urine k sath ya waisy sperm kharij ho gay to nahana farz ho jata ya nahi? halanke shuhwat se na nikle hn?plz mje jaldi jawab dijie ga me bri kush makush me hn. thanx a lot.

Answer: Mani kharij honey ke bad insane ke lie peshab karna mustahab hay. Aur agar paishaab na karay aur ghusl k baad is k makhraj e paishaab say ratubat kharij ho jis k baray me wo nah jaanta ho ke mani he ya koe aur ratubat to wo ratubat mani ka hakum rakhti hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 347).

Print

Id:
5172
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aslam o alikum sir mera sawal yeh hy k..koi sexy sen yah larki sy phn par baat karny sy agr mazi kharij ho jay toh ghusal zarori hy? aur kya hum unhin kapron main nimaaz parh skty hain? plz plz reply

Answer: ye ratoobat paak he Aur kaprha bhi paak he is ratubat k saath hi namaz perhna sahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70).

Print

Id:
5230
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: Sir.. peshab k qatrey jism par lagne Gusul karna lazmi hai ya nai agar hai to konsa gusul kiya jata hai? or mani nikalne k bad konsa?

Answer: 1)Agar peshab k qatray jism per lag jain tu wo hissa najis ho jaay ga aur us ko paak karna ho ga na k poray badan ko dhona hoga. Paak karney ka tareeqa ye he k nijasat hata nay k baad 2 dafa paani baha’ein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 154)
2) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is se ghusl e janabat wajib ho jey ga.(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).

Print

Id:
5237
Mujtahid:
Date:

Question: agr be akhtiar uzue khas se pani nikle mean some drops when we think of any sexual incident. then is ghusl wajib aur it is ok to just wash the penis and cloth where drops were fell

Answer: 1)Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
2) Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345).

Print

Id:
5287
Mujtahid:
Date:

Question: assalam valekum,ghusl-e-jinbat kab kiya jata hain aur uski dua kya hai? Aadmiyon ke liya kitane ghusl hain aur unki dua kya hain?

Answer: Ans : 1) Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay.
2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356)
3)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين )
(allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).
4)Wajib ghusl 7 hein. 1) ghusl e istehazah 2)ghusl e haiz 3)ghusl e nifaas 4) ghusl e janabat 5)ghusl e mas e mayyat 6)ghusl e mayyit 7) wo ghusl jo mannat ya qasam waghera ki wajah se wajib ho jay. In 7 ghusl me se pahle 3 ghusl auratoon se khas hein baqi 4 ghusl mard or aurat dono per wajib ho sakhte hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) pg # 62).

Print

Id:
5374
Mujtahid:
JANABAT Date:

Question: a.s sir me yeh pochna chahta hu k jab me sex ki story sunta hu to mere sharam gha se pani nikaltey hai ab mujhey ye pata b nahi k ratoobat kya hai bas wo pani k tarha hai yani k peshab nahi hai to us pe ghusal wajin hai aur kapre ko dhona chaiye k nahi thankssss plz plz ive me a solution

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee.
Mani ki 3 alamatain hain.
1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.
or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67)

Print

Id:
5389
Mujtahid:
AHLE HADEES Date:

Question: AGAR BIVI K SAATH HAMBISTRI NA KI JAYE SIRF BOSA KIA JAYE OR IS DURAN MANI KHARIJ HO JAYE JABKAY SHARAMGAHAIN TOUCH NA HOON TO KIA IS SURAT MAIN GHUSAL KARNA CHAHYE?

Answer: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Aur is se ghusl e janabat wajib hota he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).

Print

Id:
5428
Mujtahid:
.......... Date:

Question: salaam! sir m unmarried girl. me panch waqt namaz parhti hun, mera masla ye hay k me jab koi love story parhti hun ya koi romantic drama dekhti hun to ratubat kharij hoti mehsoos hoti hay, mera libas kharab nhi hota hay, kia ye kamzori ki waja se hay ya ye napaki hay? is soorat me mujh par ghussal farz hoga ya nhi me bagher ghusal k namaz parh skti hun? jawab jaldi dijyega..

Answer: wo rutubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Had tak ho keh usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.or isi terah bina ber ehtiyaat e wajib agar hejaan e shewat ki intayha tak bhi nah pohanchay magar paani itna ziyada ho jitna poori rizamandi k mauqay per kharij hota hay.(yani aisi sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per ghusl wajib hoga).

Print

Id:
5521
Mujtahid:
Date:

Question: is there any dua for ghusal after haiz according to hadis

Answer: Dua is not compulsory in ghusl. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 379) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5602
Mujtahid:
Date:

Question: kya wife k saat humbisteri k bad bager gusal k quarani ayyat par kar so sakte hai?

Answer: Quran majeed ki 7 se ziadah(more) asi aayat perhna jin me sajdah wajib na ho makrooh he.aur jin ke perhna se sajdah wajib hota he haram he. Apnay badan ka koi hissa(part) Quran majeed ke alfaz se mas(touch) karna haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 354 , 355)

Print

Id:
5605
Mujtahid:
Date:

Question: kya wife k saat humbisteri k bad bager gusal k quarani ayyat par kar so sakte hai?

Answer: janabat ki halat me quran ki wo ayaat perhna jis me sajda wajib ho haram hai.in k ilawa baaqi quraan perhna jaaiz hai. Quran majeed k wajib sajday: (1)Surah sajdah surah # 32 para # 21 ayat # 15 (2)Surah fussilat(ha meem sajdah) surah # 41 para # 24 ayat # 37 (3)Surah Najam surah # 53 para # 27 ayat # 62(last ayat) (4)Surah alaq surah # 96 para # 30 ayat # 19(last ayat) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #354 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5610
Mujtahid:
Agha-e-Sistani Date:

Question: .Assalamoalikum...nend ki halat mai shewat hoo ..or uss k badd pani k kuch drops nikal ayyin ...jo k mazi ki tahan k hootay hai...tu kiya wo ehtailam he khalyee ga ...kya uss halat mai ghusal wajib hoo jata hai... REPLY ASAP Shukriya Allah Haffiz

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayatullah Seestani (d.b), Tauzee hul masail, maslah#345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5651
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: salam.kya khwateen ki money bhi kharij hoti ha?aur kya bgher sex kiye bhi kharij ho skti ha?aur agr aesi surat ho to kya ghusal wajib hota ha ya nahi?aur raham se nikalne wali deegar ratoobat k bary ma kya ahkam han?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5704
Mujtahid:
Date:

Question: Agar kisi bimari ki wajah se rozana raat ko ek ya do qatre kharij hote hon,tou insan napak hojata hai ya pak hi rehta hai?

Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe. Aur ghusal bhi wajib nahe hogha aur wazu bhi batil nahe hogha (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,344,345 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5747
Mujtahid:
Date:

Question: asslam o alaikum sir mera sawal ya hai ky larki jab apny sath khud kuch karti hai or mani waste hoyi hai to kia us par gusal farz hai.larka hn par mujy is bat main confuion hai sir plz is ky bary main mere elam main azafa karian.

Answer: 1)Aurat k lie apni sharam gaah ko itna cherna jaiz nahi he keh is ki lazzat urooj tak pounch jaay aur usay inzaal ho jaay aur agar us se is ki lazzat urooj tak pounch jaay aur us ka behna wala mawaad kharij ho jaay to is per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266).

Print

Id:
5759
Mujtahid:
Date:

Question: mai pochna chahta ho k agr bina sehwat k jism se pani aa jay lekin itna khas pat nai chalta/ to is sorat me gusal karna faraz hai? or mery zehan me beth chuka hai k mera gusal thak nai hota agr ho saky to thek tareka bata dain shukkrya

Answer: 1)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345) 4)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.)

2) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.
(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
(Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357)
3)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 383)

Print

Id:
5770
Mujtahid:
akha shistani Date:

Question: salam agar najasat ka alam hai aur namaz ka waqt nazdeek hai , aur itna nazdeek hai k ghusl nahi kiya ja sakta to kya us halat mein namaz kaza karein ya padhein

Answer: Jab waqt tang ho k agar aik shakhs ghusl karay to sari namaz ya is ka kuch hissa waqt k baad parha ja sakhe to zarori he k ghusl k badlay tayammum karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 668). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5771
Mujtahid:
___________ cant understand this word Date:

Question: Assalamo Alaikum Mera masla yeh hai kay agar 1 ya 2 dafa taharat na ki jay to nahay begair namaz ho jay gi ya ghusal wajib ho ga. thanks

Answer: 1) Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. 1) jima(intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Jima ya mani k nikalnay k baad ghusl e janabat namaz ,roza or isi jaisi dosri ibadaat k liay wajib hojata hay.
2)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5857
Mujtahid:
Hazrat-e-Sistani Date:

Question: Kiya aik maan halat-e-janabat main apney bachey ko Doodh pila Sakti hey? is breast feeding allowed in Janabat?

Answer: Jee haan, Halat e janabat janabat main maan doodh pila sakhti hay Q keh Halat e janabat main mujnib per 5 chezain haram hain or 9 chezain makrooh hain.in main doodh pilana shamil nahi hay

Print

Id:
5863
Mujtahid:
Date:

Question: salam, jab my soti hu to muje nid me aksar orgasm hojata hai, kya is k liye gusul zarury hai ya nahi?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib(Jis par ghusl wajib hota hay) shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5886
Mujtahid:
Date:

Question: asalam o alkium sir mujh ap say ak sawal karna hai plz jawab zaroor dia ga...meri age21 hai and aksar maiin releax hojati hoon..mind main ajeeb batay aaati hain..jab main check karti hon tu mani nickal jati hai and main 5waqat ki namaz bhi parhti hon..kia yeh theek hai..plz jawab zaroor dein..by email main bohat pershan hon is chez ko lay kar

Answer: 1) Agar sochna mani niklnay ka sabab nah bane to ethiat e mustahib he k is kaam ko tark kar dia jay . (ref : Mujtahid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 199, pg # 82)
2 Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Kharij hoti hay Agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intehaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)
3) Aurat k lie apni sharam gah ko itna chehna jaiz nahi he k is ki lazzat urooj tak pounch jaay aur usay inzaal ho jaay aur agar us se is ki lazzat urooj tak pounch jaay aur us ka behna wala mawad kharij ho jaay to is per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266)

Print

Id:
5893
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mera sawal yeh hai k bivi sai mubashrat k baad insaan agar ghusal subah kerray to kia ghusal kernay say pahlay woh aisi halat main hota hai kai koi zikr ya tasbeeh ker sakay.

Answer: Koe bhi zikr ya tasbeeh parh sakhtay hein magar Quran majeed ki 7 se ziadah(more) asi aayat perhna jin me sajdah wajib na ho makrooh he.jab k jin ayat k perhnay se sajdah wajib hota he haram he. Apnay badan ka koe hissa(part) Quran majeed k alfaaz se mas(touch) karna haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 354 , 355)

Print

Id:
5943
Mujtahid:
none.. Date:

Question: asalam o alkium main ap say pehaly bhi kahin bar question kar chuki hon magar abi tak ap na reply nahi dia maujh plz bata dein... mujh zadaa tar sex ki feeling hoti hain jis ki wajha say mani nikal jati hai..jab k main 5tymz namaz quran wagira sab parhti hon...kia yeh theek hai..main bohat control karti hon magar phr bhi asaa hojataa hai plz mujh jawab zaroor dein...i m wai8ing

Answer: 1)Agar zehan(mind) me haram k baray me sochnay se mani niklnay ka sabab nah bane to ehtiyaat e mustahab he k is kaam ko tark kar dia jay(yani ye kaam haram nahi hay magar behter hay k is kaam ko terk kiaya jaay).Laikin agar mani nikal jaay to haram he. (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 2, ques # 199, pg # 82).
2) wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5955
Mujtahid:
Date:

Question: as salamo alaikum , pls. provide gusul ki dua for janabbate

Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين )
(allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5979
Mujtahid:
sunni Date:

Question: kia halat e janabat main darood pak parh sakte hain

Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
6031
Mujtahid:
none Date:

Question: mera sawal ye hai ke khawab main kuch sexy dekha ya feel kiya or khwab sexy nahi tha ankh khula to apni sharamgha main gela pan mahsoos kiya magar jab 4 ya 5 ghante bad uth kar dekha to sharamgha koi geli nahi thi or shalwar bhi geli nahi hui to kiya ghusal zarori hai

Answer: Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur ratubat ,agar ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan suss ho gaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai aur us par ghusal-e-Janabat karna wajib hai. laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat paak hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah #345 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6080
Mujtahid:
Ghusal Date:

Question: Salam sir mera sawal ye hai k biwi k sath hambistri k bad Ghusal kiye baghair nashta ya khana kha sakte hn ya nahi

Answer: Wsalam o alykum, hambistari ke bad khana pina haram nahi balke makrooh hai, han agr hath mon dho len or kulli karle to makroh bhi nahi ha.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeeh_ul_masail, maslah #355)
(Khuda tawfiqaat men izafa farmaye).

Note, agr hambistari namaaz e fajar or is hi terha or naamaazoo se pehle ki hai to zaroori hai ke namaaz ke liye gusal karen.

Print

Id:
6184
Mujtahid:
shia Date:

Question: AoA. ya ali madad . alama sahib meri ek problum hin wo ye hin k mujhy chotey peshab k saath mani k qatrey atey hain kabhi kabhi wasey bhi atey hain tu mujey bataye ke asi khalat main ghusal karna wajib hin ya nahi agar wajib hin tu koon si niyat pardni chahiye plz alama sahib mujey reply karin .khuda hafiz

Answer: Ager kisi shaks ke badan se koi ratoobat kharij ho or wo ye na jaanta ho ke mani hai ya pishab ya koi or cheez to ager wo ratoobat shehwat ke sath or uchal kar nikli ho or is ke nikalne ke baad badan sust hogaya ho to wo ratoobat mani ka hokum rakti hai(phir namaaz ke liye or is jesi ibaadaat ke liye gusal e janabat wajib hai), likin ager in 3 alaamatoo main se sari ki sari ya kuch mojood na ho to wo ratoobat mani ke hukum main nahi aae gi(yani wo mani nahi hai to gusal e janabat bhi wajib nahi hai). Likin ager insaan bimaar ho to phir zaroori nahi ke wo ratoobat oochal kar nikli ho or is ke nikalne ke waqt badan sust ho jaae balke ager sirf shehwat ke sath nikle to wo ratoobat mani ke hokum mian ho gi or agr shehwat k bger ho to mani ka hukm nahi rakhegi lehaza us ki waja se ghusl bhi wajib nahi hogi.
(Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzeeh_ul_Masaail, 31st edition, maslah # 345).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
6262
Mujtahid:
Ayat Ullah Sistani Date:

Question: Salam, When a person gets mujnib, can he/she wear the same shirt again after gusl?

Answer: Yes, you can wear these clothes if najasat has not transfered on the cloths. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 119). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6292
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal hai kay agar larki apni ungli farg main dalti hai tu kaya us pay ghusl faraz ho ga? kaya ye haram kam hai? us ka maza bhi lay?

Answer: 1 : Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Kharij hoti hay Agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intehaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345).
2: Aurat k liay apni sharamgaah ko itna cherhna jaiz nahi he k is ki lazzat orooj tak pouhanch jaay aur usay inzaal ho jaay aur agar us se is ki lazzat orooj tak pouhanch jaay aur us ka behnay wala mawaad kharij ho jaay to os per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6318
Mujtahid:
moiz Date:

Question: kia ahtilaam sab larkon ko hota hai? kia

Answer: Please refer to the doctors in that. (ref : e mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : April 5, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6403
Mujtahid:
Date:

Question: After hambistari of husband & wife in night it is gunah to enter kitchen, touch kitchen utensils, drinking water & broom before taking ghusl.

Answer: Mujnib per khana aur pina makrooh he. Laikin agar haath monh dho le aur kulli kar le to makrooh nahi he aur agar sirf haath dhoo le to bhi karahiyat khatam ho jati he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6422
Mujtahid:
Date:

Question: Kya ghusal k bagair khana peena jaiz hai?? or ager pani na ho to majboori mei kyaa kerna chahiyee??

Answer: 1)Mujnib per khana aur pina makrooh he haram nahi. Laikin agar haath monh dho le aur kulli kar le to makrooh nahi he aur agar sirf haath dhoo le to bhi karahiyat khatam ho jati he.
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 355). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6492
Mujtahid:
Date:

Question: mubasrat kay baad bina ghousal kya khan peena jaize hae ya na jaize

Answer: Mujnib k lie ghusl karnay se pehlay khana aur pina makrooh he lakin agar hath moo dho le aur kulli kar le to makrooh nahi he aur agar sirf hath dho le to bhi karahat kam ho jati he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6577
Mujtahid:
yes Date:

Question: sar raat ko bivi se humbisteri karne ke baad ghusal kiye baghair so sakte haen kiun ke subha uthhne se phele phir humbisteri karni ho,our kya bivi uzoo ko chat sakti hai

Answer: Jima k baad baghair ghusl k sona makhroh hay.albattah agar wuzu ker lain ya pani nah honay ki wajah se ghusl k badlay tayammum kerlain tu phir sona makhroh nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 355)
1) Aik dafa jima karnay k bad dubara jima karnay k lie ghusl k bagair jima karna makrooh nahi he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5)
2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)
3) Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Warna wajib nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print