Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Istelahaat (Fiqhi Terms) (19 Questions)


Showing 0- 19 questions from 19 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
105
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: Salamunalaykum There are lot of terms use in the fiqa regarding the niyyat of any act. I need the explaination of "what is the meaning of niyyat of Qurbat". Was-salam Iltimas-e-duaa

Answer: Marzeea parwardigaar say qareeb honay ka irada.

Print

Id:
3032
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam. me phle bhi do baar ye sawal kar chuki hn lekn apne reply nahi kia k ahtiat e wajib aur ahtiat e lazim same hn ya nahi? agar same nahi tu ahtiat lazim ki definition kia he ?aur mirror k samne namaz parhna makroh he k mubah?plz reply.

Answer: 1) Agar mujtahid kisi kaam k wajib or lazim honay ka istefaada ayat aur riwayaat se is tarah karay k is ka khuda ki taraf munsoob karna mumkin ho to os ki tabeer lafz “wajib” se ki jati hay aur agar wajib or lazim honay ko kisi aur zariay se maslan aqli daleel se samjha ho is terha k is ka khuda ki taraf mansoob karna mumkin na ho to is ki tabeer lafz lazim se ki jati he.
Ethiat e wajib aur eyhiat e lazim me isi farq ko peshay nazar rakhna chahae, laikin muqallid k lie maqam e amal me “wajib” aur “lazim” k darmian koi farq nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istehilat pg # 477 , 478)
2)aaynay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref :e-mail Rcvd Ayatullah Sistani(d.b),dated: 19/03/10). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3090
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ahtalaam kia ha.? or ek mahinay ma ketne dafa hona chai . or ye kun hota ha.?

Answer: sotay main(yani neend ki halat main) mani k kharij honay ko ethilam kehtay hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),tauzeehul masa’il, maslah#1571). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3115
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Whats the tashreeh of word "Salle" in Durood? Is there any resemblance in "salle" and "Salaat"?

Answer: “salle” means “tu rehmat baijh”
“Sallat” means “namaz or dua”

Print

Id:
5912
Mujtahid:
Date:

Question: salam:farz aur wajib mai kia faraq hia explain kara aap

Answer: Wajib or farz dono ka aik hi matlab hay. Wajib or farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zarori or laazimi ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) fiqhi istelahaat pg # 479). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9914
Mujtahid:
Date:

Question: Mustahab kise kehte hain?

Answer: wo kaam jis ko karne main sawaab ho lekin na karne main guhnaah na ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # fiqha istilahaat , pg # 493 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
15980
Mujtahid:
Date:

Question: kia sunnat chorrna jaiz hay.suna hay k arab amarat main sunnat nahain parrhi jati.hadees ,sunnat aur quran k hawalay say is ka jawab dain.

Answer: Mustahabb ya sunnat yani pasandidah. Jo kaam Allah ko pasand ho lekin os kaam ko wajib qarar na dau. Har wo hokum jis ko krnay mai sawab lekin trk krnay mai ghunnah na ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Jaded maslah pg # 479) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
46289
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Makrooh kay kia matlab hai aur agar koi shaks makrooh kam karta hai tu kia us ko gunah milata hai ya nai

Answer: Makrooh yani na-pasandidah, yani wo kaam jis ka anjam dena haram na ho laikin anjam na dena behtr ho. Albetta is k anjam denay mai koi ghunah nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, fiqhi istehalat pg # 493)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
103545
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-15

Question: MAKROOH KI SIMPLE DEFINATION ? AGAR MAKROOH KO KHUDA KA NAPASANDIDA AMAL SAMJHA JAE TO SAHE HAI?

Answer: Makrooh yani na-pasandidah, yani wo kaam jis ka anjam dena haram na ho laikin anjam na dena behtr ho. Albetta is k anjam denay mai koi ghunah nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, fiqhi istehalat pg # 493)
[Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107524
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-23

Question: ijazat ehtiyaat e lazim ka kya myob hota hai

Answer: Ehtiyat lazim ka matlab ye hota hay ke jo mujtahid aalam hai ( yani wo mujtahid jo apne zamaane dosere mujtahideen se hukme khuda ko samgene ki ziyada salaheyat rakhta ho ) ne kise masle me fatwa na dia ho or maslan ye kaha ho ke ehteyat ye hay ke namaz ki phele rakhat me alhamd ke baad aik pure sureh perhe jaay tu is mujtahid ki taqleed karne wala ya tu is ehtiyat per amal kare ya phir apne muntahid ke baad jo zinda dosera mujtahid hay or dosere mujtahideen se aalam hay us ke fatwe per bhe amal karsakta hay or dosere surah ko choor sakta hay.( Ref: tuiziul masail aqa sistani , masala no :2,6)
[Updated on 23-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110603
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-08

Question: "AYATOLLAH" ya matlab kya hai?

Answer: Aytullah ka (lafze) maana Allah ki nishani hai. mazeed maloomat ke liye is link ko visit karen.(Ref:https://ur.wikishia.net/view/%D8%A2%DB%8C%D8%AA_%D8%A7%D9%84%D9%84%DB%81
[Updated on 09-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115359
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-09

Question: Kya makhroo e shadid, kharahat wale kaam karne se guna huta hai kiya?

Answer: Jee nahin, is ke anjam dene se koi gunah nahin hota lekin in ka anjam na dena behtar hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #493).
[Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-28

Question: Makrooh or haram mai faraq

Answer: Har wo amal jis ka tark karna shariyat ki nazar me zaroori ho us ko haram kehtay hain. Jabkeh Makrooh yani na-pasandidah, yani wo kaam jis ka anjam dena haram na ho laikin anjam na dena behtar ho. Albatta is k anjam denay main koi gunah nahin hota hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Fiqhi Istelahat, pg #488,493).
[Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115706
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-15

Question: Asalam-u-eliakum My qestion is what the differnce between sunnat farz and nawafil

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
Fiqh e jafferiya ke mutabiq Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz bhi kaha jata hai. mustahab ya sunnat ka matlab ye hay ke pasandeda .jo cheez (allah )ko pasand ho laikin ise wajib qaraar na de .har wo hukum jis ko karne me sawaab ho laikin tarak karne me gunah na ho. or wajib ( ya farz ) ka matlab ye hay ke har wo amal jis anjaam dena shareeat ki nigaah men farz( yani zarore ) ho
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #7527& pg no: 479).
[Updated on 15-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115984
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-14

Question: Assalamunalekum Agha sahab, Mola Hussain AS ap ki aur tammamm team ki hajat ko pura karean Ameen Agha ji, me FINLAND me rehta hon , meri taqleed Ayatullah Khamenaee RA ki hai, ager app aik meri mushkil to asaan ker dean. jab kisi maslay per Imam Khamenaee RA aur Imam Sistani RA ki taref se IHTIYAT E WAJIB ki bina per fatwa ho tou aesi surat me kisi aur mujtahid ke fatwa ko maan ja sakta hai jis me ihtiyate wajib na lagaya ho aur clear fatwa diya ho? kiya Imam Khamenaee RA ke Ihtiyate wajib ke fatwa per Ayatullah Zanjani RA ke clear cut fatway ko maana ja sakta hai? kiya Ayatullah Zanjani ko FAL ALIM maana ja sakta hai iss surat me? me aik kum ilm bunda hon ap meri rehunumaee ker dean Ba naame BIBI SYEDA AS.

Answer: aytullah sistani sahab ke mutabiq Agar mujtahid kisi masale men Ehtiyat e wajib ya Ehtiyat e lazim kehta hai to us masale men Aalam fa-Aalam ka khayal rakhte hue fa-Aalam ki taraf ruju kar sakte hain aur fa-Aalam fatwe par Amal kar sakte hain.
Agar mujtahid alam kisi masale men fatwaa naa de balkeh yeh kahe keh Ehteyaat is mein hai keh yuon amal kiya jaaye. Maslan Ehteyaat is mein hai keh Namaaz ki pehli aur dusri rakat men surah Al-hamd ke baad aik poori surat paṛhe to zaroori hai ke muqallid ya to is Ehteyaat par, jise Ehteyaat-e- wajib ya laazim kahte hain, Amal kare ya kisi dusre mujtahid ke fatwe par Aalam fa-Aalam ka khayal rakhte hue Amal kare. Pas agar woh (yani dasra mujtahid) faqat surah Al-hamd ko kafi samajhta ho to dusri surat tark ki ja sakti hai. Isi tarah Jab mujtahid Aalam kisi masale ke baare men kahe keh mahal tammul (محل تأمل) ya mahal ishkal (محل اشکال) hai to is ka bhi Yahi hukm hai (yani muqallid Ya to is mahal tammul ya mahal ishkal par Amal kare ya kisi dusre mujtahid ke fatwe par Aalam fa-Aalam ka khayal rakhte hue Amal kare).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #6).
[Updated on 14-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120412
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-11

Question: Jab larka baligh ho jaye to us kia krna paregha

Answer: Insaan ke andar khaas sharaait aur khususiyaat paayei jane ke baad ( yani insaan ke baliq or aaqil hojane ke baad ) laazim hai ke ahkaam e ilaahi aur qawaaneen e ilaahi ki peravi karay. Un sharaait ko sharaait e talkeef kaha jata hai aur agar us men se koi aik shart na ho to Insaan mukallaf nahin hota. Un sharaait men se aik shart Baaligh hona hai.
Ye Baaligh hona wo mubarak haalat hai ke Insaan is ke saaye men ye shaaistagi paida karta hai ke khilaab e ilaahi us ki taraf mutawajjah ho aur khuda e mutaal ke dastooraat aur faraameen us par wajib hon aur in umoor ka anjaam dena jis se mana kiya gaya hai us par haraam ho aur apne deeni wazaaif ko anjaam dene ke zariye khuda e mutaal se taqarrub haasil karay aur bandagi aur tasleem ke imtehaan men sarfraaz aur sar buland ho.( maslan wo namaaz perhe, ramzaan ke roze rakhe ,agar us ke maal me khums wajib hota tu khums de or jo haraam hay jise jhoote boolna , momin ki keebat wagira
(Ref: Tauzeeh ul masail jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, page #39,40).
[Updated on 11-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122928
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-22

Question: Wajib aur farq Mai KYa frq hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferiya men wajib aur farz dono ka matlab aik hi hai yani wajib aur farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zaroori aur laazimi ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, pg #494. + link: https://article.tebyan.net/265836/%D9%85%D8%B9%D9%86%D8%A7%DB%8C-%D9%81%D8%B1%D8%B6-%D9%88-%D9%88%D8%A7%D8%AC%D8%A8-%DA%86%DB%8C%D8%B3%D8%AA- ).
[Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126064
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-25

Question: Yahan Ahtiyat e wajib ka kiya mtlb hai?

Answer: Ehtiyat e wajib se muraad ye hai ke 'wo hukum jo ehtiyat ke mutabiq ho aur faqeeh ne us ke sath fatwa na diya ho. aise masaail me muqallid ( taqleed karne wala ) us mujtahid ki taqleed kar sakta hai jo aalam ( yani wo mujtahid jo apne zamane ke dosere mujtahideen se allah ke hukum ko samagene ki ziyada salaheyat rakhta ho ke ) [yani Ehtiyat e wajib me muqallid ke liye zaroori hai ke ya to is ehtiyat par amal kare ya is maslah me aalam fal-aalam ka khayal rakhte hue dusre mujtahid ki janib ruju kare].
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, fiqhi istelahat, pg #486).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126151
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-28

Question: Makrooh kia hota ha

Answer: Makrooh yani na pasandidah yani har wo amal jis ka anjam dena haram na ho laikin anjam na dena behtar ho albatta is k anjam denay main koi gunah nahin hota hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Fiqhi Istelahat, pg #488,493).
[Updated on 28-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print