Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Taqleed Key Ahkam (78 Questions)


Showing 50- 78 questions from 78 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
25125
Mujtahid:
Date:

Question: agar kaqleed zrori hey to charoun mein say ksi aik imam ki kar li jay? Imam Abu Hanifa (Ramatullah Alhe) ki he taqleed kyoun zrori hey? Quran aur Hadith say wazih karian.

Answer: Note:is website par fiqahe jafria k mutabiq jawb dia jata hai.

1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.”
Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.)
2)Taqleed mujtahid k fatway k mutabiq amal karney ka naam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap nai apne amal ko haar ki terah mujtahid ki gardan me daal dia hai aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hai. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
37016
Mujtahid:
sistani Date:

Question: mera sawal yeh hy ky meri cousin agha khamnae ki taqleed krti han aur wo agha sistani ki taqleed men ana chati han un ka kehna hy ky agha khamnae sy rabta bhi ni hota hy na unki tauzeeh hy is bana par wo kia taqleed change kar sakti han?

Answer: Taqleed karnay ka meyar ye hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamanay k digar mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr salahiat rakhta ho. Is k alawa aap taqleed change kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1-12)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
37418
Mujtahid:
agga khumanai Date:

Question: ya Ali as madad. plz takleed k baray main quran o hadees ka hawala dy k batain k takleed karni wajib hy.

Answer: 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.”
Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.)
2)Taqleed mujtahid k fatway k mutabiq amal karney ka naam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap nai apne amal ko haar ki terah mujtahid ki gardan me daal dia hai aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hai. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
44635
Mujtahid:
Date:

Question: mujtahide taqleed kya hota hy

Answer: 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho, is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain, baghair is k keh is maslay me mazeed koi justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)
2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1).
3)Zaroori hai k os mujtahid ki taqleed ki jae jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhnay ki behtr slahiat rakhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
52916
Mujtahid:
ayyat ul llah sastani Date:

Question: aoa.....kya taqleed farz hai namz ki trhan?????????????????

Answer: Jo khud mujtahid na ho aur na he ehteyat per amal karta ho us k lye wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare.
Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baliq(4) aqil(5) shia(6) halal zada(7)zinda ho aur adil ho )

Zaroori hai k us mujtahid ki taqleed ki jaye jo aalam ho yani apnay zamany k diger mujtahideen ki nisbat ahkam e Elahi ko samajhne ki behtr slahiyat rakhta ho.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1,2)

Print

Id:
54552
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: asalam o alaikum agar kisi sai umrah mufradah main koi galati hou jaye aur hajj k bad usay maloom hou k us ka umrah batil hai tou uska haj sahi hai

Answer: wssalm o alykum, masale ke sahi jawaab ko jaanne ke liye umre main hone wali galti ko bataain ya kisi Alim se mulaqaat kar ke masala deryaaft karain.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54605
Mujtahid:
Date:

Question: srry taqleed ka mean nai pata

Answer: Mujtahid ke fatwe per amal karne ko taqleed kehtain hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 02 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
60871
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: que.. akhbariat kya hai ? nd iska maqsad kya hai ye kon log hain ? plss answr in details ..??

Answer: Akhbari Mazhab e Shia k un Ulama ko kehte hain jo fiqhi Ehkamaat ko Riwayaat se Ilm e Usool (aj ke dor main ik esa ilm hai jo ehkamaat ko hasil karne main madad deta hai) ke bageer hasil karte the.
Or in k or Hamare maqsad (Allah Taala k ehkamaat ko hasil karna) main koi farq nahi hai. or un k Ilm e Usool ko na-istemaal karne ki wajohaat main se aik ye hai k Ilm e Usool us waqt mojood nahi tha.(Ref : Al-Manhaj Al-Fiqhi , pg # 05 , 06 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
63553
Mujtahid:
Date:

Question: Salam Bahi Taqlid kia hay.... Taqlid kis cheaz pey wajib hay.... Taqlid ki Islam may kia muqam hay..... Taqlid wajib hay to koi ref Tozi k Ilawa mean koi Mutaber Kitab Jinko taklid na karny waly b taslim kary...

Answer: 1) Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is tarah mujtahid ki raey k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahiay usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki tarah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #22 se pehle , Pg #49 , Eidition# 5
2)Hazrat imam hasan askari (a.s) : lougo ko chahiay k fuqaha (yani ahkaam e shariyat ko tafseel o tehqeeq k sath jaane wale mujtahideen) me se jo shaks apne aap ko gunaho se bachata ho, apne deen ki hifazat karta ho, apne nafsani khahishaat ka ghulaam nah ho aur ahkaam ilaahi ki itaat karta ho us ki taqleed kare. (Ref: Ehtijaaj e tabarsi, Jild#2, Pg#263). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63735
Mujtahid:
Date:

Question: taqleed k meaning kia hn? or q zuri hy ? or taqleed ka tareeqa bata den plz

Answer: 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is tarah mujtahid ki raey k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahiay usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki tarah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #22 se pehle , Pg #49 , Eidition# 5).
2)Hazrat imam hasan askari (a.s) : lougo ko chahiay k fuqaha (yani ahkaam e shariyat ko tafseel o tehqeeq k sath jaane wale mujtahideen) me se jo shaks apne aap ko gunaho se bachata ho, apne deen ki hifazat karta ho, apne nafsani khahishaat ka ghulaam nah ho aur ahkaam ilaahi ki itaat karta ho us ki taqleed kare. (Ref: Ehtijaaj e tabarsi, Jild#2, Mafhoom e Pg#263). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
3)Jo shaks khud mujtahid nah ho aur na he ehtiyaat per amal karta ho us k liay wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare(yani os k fatwe k mutabiq amal kare). Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baliq(4) aqil(5) shia(6) halal zada(7)zinda ho aur adil ho ). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65619
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: taqlid kis tara karty han?

Answer: Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is tarah mujtahid ki raey k mutabiq jis kaam ko anjam dena jaiz ho os ko anjam dain aur jis ko tark kerna chahiay usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki tarah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hay. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #22 se pehle , Pg #49 , Eidition# 5). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71021
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: There is a book written by, Aayat-ul-Allah Seestani with the titlle of A CODE OF PRACTICE FOR MUSLIMS LIVING IN THE WEST, my question is that the fatwas in this book are those specifically for Muslims living in Non-Muslim Country's? Can I use this book and the information in it as a guidance from my Mujtahid for my life here in Thailand? Please advise.

Answer: Yes, all follower of him can use it and follow this book. This is not only for Non Muslim countries. This book is useful for all over the world. Update on dated 28-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72335
Mujtahid:
Date:

Question: i dont know d meaning of Mujtahid-e-taqleed

Answer: Mujtahid yani wo shaks jo (sharhe ) ahkaam ko daleel k zarie hasil kare aura am louq us k batae hoe fatwe per amal kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1 ) Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72347
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Haram or makro may kaya farq ha

Answer: Haraam yani: har wo kaam jis ka tark karna shariat ki nigha me zarori ho.aur makroh yani napasandeda – wo kaam jis ka anzaam dena haraam na ho laikin anzaam na dena behter ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 488,493) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73049
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam ager banda ijtehad k rutbe per faiz ho tu kia us per taqleed karna wajib hai kia wo kisi ki taqleed kar sakta hai????

Answer: Jo shaks mujtahid nah ho os k liay zarori hay k wo ehtiyaat per amal kare ya ijtehaad kare, or jo shaks mujtahid ho wo ehtiyaat ya apne ijtehaad per amal ker sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Urwatul wusqa Part # 1 , Maslah #2). Update on dated 25-08-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76542
Mujtahid:
Date:

Question: Salam Sir abhi jo mujthedeen hayat hain unky names mil skty hain,

Answer: Khuch Zindah mujtahideen k naam: Ayatullah sistani, ayatullah Vahid Khorasani, ayatullah Ishaq fayyaz, Ayatullah Mousa Shubairi Zanjani, ayatullah Basheer Hussain Najafi, ayatullah Muhammad Sa'id al-Tabataba'i al-Hakim,ayatullah Naser Makarem Shirazi waghaira. Update on dated 13-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81291
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mujtahideen ki taqleed kis tarha ki jati or kis mujtahid ki taqleed krni chaiye? kia taqleed farz hai momin pr?

Answer: 1-Mujtahid ki taqleed os k fatway per amal kerne se ki jaati hay, yani mujtahid k jis fatwe per amal kia jaey tu kaha jaey ga keh aap ne os k os fatwe main oski taqleed ki.
2-Taqleed aisay mujtahid ki, ki jaey jo mard, baligh, aqil, 12 imami shia, halaal zadah, adil or zinda ho. Or agar maloom ho k paish anay walay masael main mujtahidden main ikhtelaaf hay tu phir aalam mujtahid ki taqleed ki jaey, yani os ka ilm digar mujtahideen se ziyada ho. Aaj k zamanay main Ayatullah sistani aik aalam mujtahid hain, aap on ki taqleed k mutabiq apnay amaal baja laa sakti hain.
3-Monin per farz hay k wo hokum e khuda k mutabiq apni zindagi k tamaam umoor ko baja laey or ibdaat o maamlaat main khuda k hokum per amal karay, or is k laiy ya tu khud mujtahid banaiy yani itna ilm hasil karay k khud Quran o tamaam ahadees ko perhay or samjahy or phir os se hukum e khuda ko hasil karay, ya phir apni ehtiyaat per amal kare yani apni ibadaat ko is terah baja laey k kisi mujtahid k fatwe k khilaaf nah ho, or ijtehaad o ehtiyaat k liay bohot ziyada ilm ki zarorat hoti hay jo k awaam k bas ki baat nahi. Layhaza jo shaks in dono kaamo se ajiz ho os per wajib hay k taqleed kare or mujtahid ki tehqeeq per amal kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame, Mafhoom e Maslah #3). Update on dated 18-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85008
Mujtahid:
Date:

Question: khoei saheb ki taqleed mein hoon.kya seestani per convert ho sakta hoon.

Answer: Agar marhoom mujtahid zinda k muqaable mai aalam ho tu marhoom mujtahid ki taqleed par baqi rehna zaroori hai.(Ref: tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 mafhoom e masla 8). Update on dated 21-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86197
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Please also define Ehtiaat-e-Lazim in every consent or specially in Mutta.

Answer: If an A'lam Mujtahid gives a fatwa on some matter, his follower cannot act in that matter on the fatwa of another Mujtahid. But if he does not give a fatwa, and expresses a precaution (Ihtiyat) that a man should act in such and such a manner, for exam ple if he says that as a precautionary measure, in the first and second Rak'at of the namaz he should read a complete Surah after the Surah of "Hamd", the follower may either act on this precaution, which is called obligatory precaution (Ihtiyat Wajib), or he may act on the fatwa of another Mujtahid who it is permissible to follow. Hence, if he (the second Mujtahid) rules that only "Surah Hamd" is enough, he (the person offering prayers) may drop the second Surah. The position will be the same if the A'a lam Mujtahid expresses terms like Ta'mmul or Ishkal.
(Ref: Islamic laws, pg#19-20, problem#7). Update on dated 14-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
98987
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asak786 Kya hum seestani sb ki taqleed bina unki ijazat ke badal sakte hain? India mae kafir se perhez bohot mushkil hai aur foreign mae haram jagah koi student kaam na kare not possible.seestani sb k according hum nhi ker sakte jabki khamnayi sb k according kafir paak hai aur student job bhi ker sakta hai

Answer: Agar aalam mujtahid ki taqleed ki jaey tu phir lazim hay k osi ki taqleed ki jaey.(Yani aalam mujtahid ki taqleed ko choorh kar kisi or mujtahid ki taleed nahi kar sakte). (Ref: https://www.sistani.org/persian/qa/0850/)

Print

Id:
101177
Mujtahid:
ayatula khamnei r.a Date:

Question: aslaamo alaikum mera sawal yeh hai ke kya mein agha e khamnaei ko change kar ke agha e sistani ki taqleed kar skti hun? kyunke mujhe agha e sistani ke ahkamat zyada malum hai agha e khamnaei ka sahi se mein nahi smj pati or jab mein puchti hun toh mujhe unke ahkamat ke bare main jawab nahi milta isi liye mein chnge krna chahti hun or change karne ke bad mujhe kya karna hoga? plzz plz plzz mere is email ko zrur ans kare...

Answer: Ehle e khubraa k mutabiq ayatullah sistani aalam mujtahid(Most learned jurist) hain, or inki taqleed karna wajib hay, lehaza aap per wajib hay keh aap apne mujtahid ki taqleed chorh kar aalam mujtahid(yani ayatullah sistani) ki taqleed karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2+ http://sratali.rigala.net/t7-topic ). Update on dated 19-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
110487
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-15

Question: kon si quran ki ayat me likha hai k mian bivi ik dosary k sharamgah ko mun laga skte hai

Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq ju koi khud mujtahid nahe hay ,Yani Deen ko khud ,Quran,hadees se direct hasil nahe karsakta or ahteyaat bhe nahe tu us ki zimmedaare hay ke taqleed kare ,Yani Apne zamane ke mujtihideen me se ju sab se zada ilm rakhta ho us ki baat per Amal kare inshallah wo qiyamat ke din is ke zarie or Jo wo mujtahid fatwa Deta hay us ke pass us ki daleel hote hay, jis ko wo quraan ,hadees se samaje kar awaam Tak pouchata hay (or Quran ohadees se fatwa Dena or sharhe masle ko haasil karna bhut se uloom per depends karta hay bass auqaat delelo ko samagena awaam ke lie mushkil hota hay balke khud ulama ke lie bhe mushkil hota hay).aytullah sistani sahab ke nazdeed Shohar or biwi aik dosray ki sharamgah ko monh (mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. balke ye aik mujtahid e aalam ka fatwa hai, aur mijttahid e aalam apni taraf se koi fatwa nahin deta balke wo Quran aur ahadees e masoomeen a.s ke matabiq fatwa deta hai, aur Quran me surah baqra ,ayat no 187 me shohar aur biwi ko aik dosre k lie libaas kha gaya hai, aur isi tarah Quran ki isi surah baqra ,ayat no 223 me kaha gaya hai, ke tumhari auratain tumhari khaitiyan hain bs tum apni khaitiyon me jese chaho aao.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15, tuiziulmasail,aqa sistani,Urdu ,masla:1,2,)
(NOTE : Aik mujtahid-e-Aalam apni puri zindagi kharch kerta hai sirf Quran or talimaat-e-Ahlebait a.s ko samjhne k liay, lehaza wo aam afrad ki ba-nisbat ziyada Quran or Ahadees-e-Masomeen a.s ko samjhne ki salahiyat rakhta hai, Wo Faqat riwayaat k zahiri Alfaz ko dekh ker koi Fatwa nahi deta balke os Hadees k bare men Mukammal Malomaat Hasil kerta hai. Q k Jis tarah quran ko uski tafseer k bagher faqt tarjume se samajhna na-mumkin hai isi tarah Ahadees-e-Masomeen a.s ko bhi samjhna Faqt tarjume se mumkin nahi hai lehaza aysi boht sari cheezen hoti hen jo kisi Ayat Ya Hadees ko samjhne se taalluq rakhti hen un sab ko nazar men rakh ker ek mujtahid phir Koe fatwa deta hai. Or in chizon ko samjhne k liye ilm hasil kerna zaruri hai. is topic k liye ek kitab (Ijtihad or taqleed per kiay gaey Aytarazat) ko perh lain insha Allah apki mazeed rehnumai hogi.)
[Updated on 16-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113743
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-03-26

Question: Ye maslon ka mafhoom "mafhoom e masla" kia ap khud se nikaltay hain ya ayatollah Sistani ?qasam kha kar btayea

Answer: (Note: Masail jitne bhi bayan kiye jate hain wo Ayatullah Sistani(d.b) ke hi hote hain lekin choonke ziyada tar in masail ki ebartain mushkil hoti hain ab awam ko samjhane ke liye in masail ko awan ki zaban men in ka mafhoom pesh kiya jata hai aur is wajah se (Reference) men (Mafhoom e Masalah) likha jata hai. lekin masalah number wohi hota hai jo likha jata hai bas faqat us ka mafhoom pesh kiya jata hai ).
[Updated on 26-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116267
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-01

Question: Kis ki taqleed Karen jab ke IMAM ka hukum 1 hi hota ha to apas mein mujtahid k fatwy alag alag kuin?

Answer: jis mujtahid ki taqleed ki jaaye us mai yeh baatein hona zaroori hai
mard ho, baligh ho, aqil ho, shia isna ashari ho, halaal zaada ho, zinda ho, aadil ho or apne zamaane mai deegar mujtahideen ki nisbat ehkaam e ilahi ko samjhne ki behtar salahiyat rakhta ho yaane aalam ho.(or jab taqleed kise aik mujtahid aaalm ( jo dosero se ziyada spcilest ho us ki karni hay tu fatwo ke ke ikhtelaaf se practicaly koi faraq nahe perhta)
mujtahideen k fatwon mai ikhtilaaf kaii wujoohat ki bina par hota hai baaz aukaat riwaayaat mai ikhtilaaf hota hai, kabhi aik hi riwayat mukhtalif wordings k saath hoti hain wagairaa...(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2).
[Updated on 02-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122181
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-26

Question: As salam o alikum, Can we change our taqleed.if it's hard to follow the rules.

Answer: 1: Taqleed karne ka meyar ye hai ke us mujtahid ki taqleed ki jaye jo 'Aalam' ho yani apnay zamane ke deegar mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhne ki behtar salahiyat rakhta ho.

2: Ehle e khubra ke mutabiq Ayatullah Sistani(d.b) aalam mujtahid (Most learned jurist) hain, aur in ki taqleed karna wajib hai.

lehaza agar aap Ayatullah Sistani(d.b) ki taqleed kar rahi hain to yahi wajib hai. lekin agar aap kisi dusre mujtahid ki taqleed kar rahi hain to phir aap par wajib hai keh aap apne mujtahid ki taqleed chorh kar aalam mujtahid (yani Ayatullah Sistani(d.b)) ki taqleed karain.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2. + link: http://sratali.rigala.net/t7-topic ).
[Updated on 27-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122672
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-21

Question: Kia taqleed badli ja sakti hai?

Answer: 1: Taqleed karne ka meyaar yeh hai ke zaroori hai ke aise mujtahid ki taqleed ki jaye jo Aalam ho yani apnay zamane ke deegar mujtahideen ki nisbat ahkam e ilahi ko samajhne ki behtar salahiyat rakhta ho.
2: Ehle e khubra ke mutabiq Ayatullah Sistani(d.b) aalam mujtahid (Most learned jurist) hain, aur in ki taqleed karna wajib hai.
lehaza agar aap Ayatullah Sistani(d.b) ki taqleed kar rahi hain to yahi karna wajib hai. lekin agar aap kisi dusre mujtahid ki taqleed kar rahi hain to phir aap par wajib hai keh aap apne mujtahid ki taqleed chorh kar aalam mujtahid (yani Ayatullah Sistani(d.b)) ki taqleed karain.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2. + link: http://sratali.rigala.net/t7-topic ).
[Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123065
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-16

Question: May rehber ka taqaleed karta hon. Mera duty gar say 52 km dur hai haftay may 4 din duty pay or 3 din gar par HOTA hon. Meray Liye Kya hukum hay Kya Mera roza qaser Hoga ya nhi

Answer: Is website par tamam jawabaat hawala jaat ke sath Ayatullah Sistani(d.b), ke fatawa ke mutabiq diye jatay hain.
[Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123066
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-16

Question: May rehber ka taqaleed karta hon. Mera duty gar say 52 km dur hai haftay may 4 din duty pay or 3 din gar par HOTA hon. Meray Liye Kya hukum hay Kya Mera roza qaser Hoga ya nhi

Answer: Is website par tamam jawabaat hawala jaat ke sath Ayatullah Sistani(d.b), ke fatawa ke mutabiq diye jatay hain.
[Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print