Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz Ke Ahkam (249 Questions)


Showing 50- 100 questions from 249 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1887
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya Namaz kay akhri(last) Sajde mai "Subhana Rabiyal Alaho Wabe Hamday" kahne kai baad bhi kuch aur kahna/pharna zaroori(necessary) hai?

Answer: b.t."Subhana Rabiyal Alaho Wabe Hamday" kahne kai baad kuch aur padhna zaroori nahi he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1036)

Print

Id:
2439
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam,namaz mein qirat ki agarchey koshish jari rahey magar phir bhi agar kaheen ghalti hojaye to hajj aur namaz k baarey mein kia hukum hai??

Answer: Agar insaan nay koi lafz jis terah yaad kia ho osay sahi samajhta ho or namaz main isi terah perhay or baad main pta chalay(yani yaqeen hojaay) k os nay ghalat perha that tu os k liay namaz ka dobarah perhna zarori nahi hay.agar qirat main earraab(zabar, zair ,paish) sahi arbi main ada nah ker sakta ho or nah jaannay main mazoor ho(yani os k liay mumkin nah ho),tu oski namaz sahi hay.or agar nah jaannay main mazoor nah ho,tu os per sahi qirat seekhnay k baad namaz dobarah perhni hogi.or namaz e tawaf ko bhi agar makkah say nikal gay hon tu agar zehmat nah ho tu ehtiyaat e wajib ye hay k makaam e ibraheem k peechay dobarah baja laain werna jahan bhi ho baja laain. .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#988 & Masnasik e haj maslah #332).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
2511
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.muharram k ulawa shariat me black libas pehenne ka kia hukum he.aur namaz me jo black libas makroh he wo full black ko kaha gaya he ya kuch aur,plz detail me batadn ,plz reply

Answer: Black libaas pehenna namaz k doraan ya is k alawa makhroh nahi
hay.(ref: Aytullah Seestani(d.b),Tauzee hul masail,maslah # 853). & (Ayat ullah Seestani(D.B),mujtahid say pochay gaay sawalaat.sawal #84).

Print

Id:
2535
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kya namaz jute pahanke padi ja sakti hai?As Wahabi tells?

Answer: Namaz main Halat e sijdah main Zarori hay k pair k dauno angothay(toes) zameen per lagaay jaain.( ref: Ayat ullah Seestani(D.B),Tauzee hul masail maslah # 1049).

Print

Id:
2747
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: AOA,mujhey please bataiye k shia womens bhi shia males ki tarah hi namaz ada karti hain. yani kiya females bhi apney hands ko open rakhti hain ya phr chest pe fold karti hain. ya male or female ka namaz parhney ka tariqa according to shia Fiqh same hai. waiting for your answer anxiously

Answer: Mustahab hay k namaz main qiyaam k waqt hatoon (Hands)ko raano(thigh) per rakha jaay.is main aurat or merd ka koe farq nahi, dono k liay yehi mustahab hay .haan agar aurat is mustahab per amal nah karay or apnay haton ko seenay(chest) per rakhay to bhi koe maslah nahi ,magar ye khiyaal rahay k dono haatho ko mila ker nah rahay kun k haath baandhnay say namaz ehtiyaat e wajib ki bina per batil hojaati hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#964 &1116)

Print

Id:
2889
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: sala sir kia mirror k samne namaz parhna makroh he.

Answer: Aainay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref : email rcvd from A.sistani(d.b),dated Mar 19, 2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
2911
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: pls ye bataiye k womens namaz mein apney hands kahan rakein gi during qiyaam?

Answer: Aurat per mustahab hay k qiyaam ki halat main apni hathailiyaan apny seenay per raikhain[Q k maqsad ye hay namaz ki halat main aurat k badan ka kam se kam hissa zahir ho].(Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), urwatul wusqa,part#1, Maslah#1687, ehkaam e baanwaan, pg#58 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
2961
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Aslam-o-alaikum, if someone enters in the house and says aslam-o-alaikum, and you are offering your prayer, can you reply to him during namaz?

Answer: A person offering prayers should not greet anyone with Salam, and if another person says Salam to him, he should use the same words in reply without adding anything to it.
For example, if someone says Salamun alaykum, he should also say Salamun alaykum in reply, without adding Wa rahmatullahi wa barakatuh. As an obligatory precaution, he should not utter Alaykum or Alayka before the word Salamun if the one who greeted him did not say so. In fact, the recommended precaution is that the reciprocation must fully conform with the way Salam was initiated.
So if he said: Salamun alaykum, the reply should be Salamun alaykum, and if he said: As-Salamu alaykum, then the reply should be the same. Similarly, the reply to Salamum alayka will be Salamun alayka. But if someone initiated Salam saying Alaykumus Salam, then the answer can be given in any of the phrases.
(Ref : E mail rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : February 03, 2011 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3736
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asalam o alekum,Ya Ali madad. Main ye poochna chahti hon k namaz 5 time 5 wqt pe perhni chaheye ya 3 wqt. main kis wqt ko preference dn? Mene syed Agha raza mehedvi jo ayatullal seestani r.a k wakeel hain unka kehna hai k ap ager chahen to 3 wqt perhen or chahen to 5 wqt dono surtn me perhna behter hai unk kehne k mutabiq hamen ayema tahireen ki zindagi se pata chalta hai k unhn ne 5 wqt bhi perhi or 3 wqt bhi. kindly mujhai iska detail me answer de dejeye. Hamare imam hussain a.s ne karbala me itni musibat me bhi asar ki namaz perhi, Quran me nabi pak s.a.w.w k asar ki namaz ka ziker hai pher pura shia maslak 3 wqt namaz ko kun prepfer kerta hai iski kya logic or kya ahmiat hai.

Answer: Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. ( Ref : website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3762
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: S/A Mera swal mere bade bhai ke liye hai jin ki umar 38 saal hai jo ki donon hath aur dono paron se puri tarah majoor hai.Bas is tarah samajh lijieye ki rozmarrah ki zarooraton ke liye 5 se 7 kadam door baitulkhala jane mein ek ghante se ziyada waqt sarf ho jata hai. Meri maan (jo ki ab kafi zaieef ho chuki hain) ke alawa koi aur un ki khidamt ke liye nahi hai.MERA SAWAL UNKI WAJIBAT(esp. NAMAZ) KE MUTALLIQ HAI. MOUJUDA HALAAT KE TAHAT UMUMAN WO HAFTE MEIN EK HI DAFE GUSLKHANE JA PATE HAIN AUR TABHI PURE YAQEEN KE SAATH WO APNE AAP KO PAAK SHUMAR KARTE HAIN. ASL SAWAL "AISE HALAT MEIN JAB KI INSAAN HAMESHA NAJASAT KI HALAT MEIN HO AUR ROZANA APNE AAP KO PAAK KARNA KISI BHI TARAH MUMKIN HI NA HO TO INSAAN US HALAT MEIN APNE SHARAI WAJEBAT(ESP. NAMAZ) KAISE PURA KARE?

Answer: Najis badan aur libas k sath majboor honay ki surat me namaz perhna jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 835). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3834
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: molana sahib: Salam. maine bohat saal baad nama parhna dobara shuru ki hai to main aik cheez bhool gaya hoon k isha ki namaz main jo rakat namaz witar parhtain hain us main surah-e-fatiha k baad koi bhi ayat parhtay hain lykin us ayat k baad jo dobara Allah-o-Akbar keh kar jo aat parhtain hain wo main bhool gaya hoon k "ayat-ul-kursi parhty hain ya "dua-e-qunoot" parhty hain so plzzz mujhy kindly yeh batain k kya parhty hain hain......

Answer: 1)Ethiat e wajib ki bina per eiaha ki nafila beth kar parhni zurari he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752)
2) Is namaz me quran ki 100 ayatain parhna mustahib he aur bahtr ye he k is ki pehli rakat me surah al humd k bad surah e waaqia aur dosri rakat me surah e ikhlas parhein aur salam k bad jo dua chahaein parhein. mifathi ul jinnan , hashia, Pg # 120)

Print

Id:
3850
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: what is ikhfa

Answer: Ikhfa say muraad qir’at ya zikr ko dheemi awaaz(down voice) main perhna.Ikhfa qir’at ko pehchaan e ka miyaar urf e aam(aam loog) hay.yani agar aam loog ye keh dain k ye awaaz Ikhfa hay tu is ko Ikhfa samjha jaay ga.Ikhfa qir’at main ye laazim hay k zabaan or haunt(lips) harkat karain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen part#1,malah#620)

Print

Id:
3937
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: asalamoalikum imam sb mera app say sawal hai k jab may paint pehanta ho to namaz k doran usay nechay say fold karo ya nahi pls jald jawab day sukriya

Answer: Aisa kerna wajib nahi hay.(Ayat Ullah Khoie(d.b),Tauzee hul masail, maslah#806-847).

Print

Id:
4067
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salat of a woman As salamu alaykum wa rahmatullahi wa barakatuh Is it permissible for a woman when she prays, to NOT move her lips at all or utter the prayer quietly but rather to pray silently within herself, neither whispering nor moving her lips? Jazakallahu Khayran

Answer: 1) It is obligatory(Wajib) for a woman to recite Surah al-Hamd and the other Surah silently with whispering(ie. Moving lips is necessary for her) while offering Zuhr and Asr prayers.
2) A woman can recite Surah al-Hamd and other Surah in Fajr, Maghrib and Isha prayers loudly or silently with whispering . But, if a Na-Mehram hears her voice, she should, on the basis of precaution, recite them silently whit whispering, especially if allowing him to listen is unlawful(haraam). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 979 , 981) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4073
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Agar namaz padte waqt koi aur kaam dimaag me aa jaay to namaz makru ho jati hai.

Answer: Har wo kaam jo namaz k hosho o khozoo ko khatam kar de makrooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1144) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4277
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is it Haraam or Makhru to pray Namaaz(Salaat) in front of a mirror?

Answer: Aainay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref : email rcvd from A.sistani(d.b),dated Mar 19, 2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4300
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam u Alaikum Maulana sahab,main converted hun,aur meri family ko is baat ka ilm nhen hai main namz shia tareke se hi adaa kerti hun aur sajdah Tissue Paper pe ada kerti huun.Aik din meri behan ki mjh pe nazar per gye to us ne mjhe toka k tum tissue per sajda kyun ker rehi ho?aap bataye is silsile main mere lye kia hukum hai?kia main sajdah tissue k beghair ker skti hun?ager koi mere samne maujud ho to.mri family shiat ko bhtt ghalat samjhti hai aur main abhi engg k last year main hun maine un logo k samne kuch declare nhen kia kuk mjhe dar hai k meri taleem rukwa di jayegi.plzzz mre sawal ka jawab djyega. ALLAH HAFIZ.

Answer: 1)sajdah zameen per or on cheezo per kerna zarori hay k jo khaae or pehni nah jati hoon or zameen se ugti hoon.maslan lakri, darakhto k pattay, concrete, cement k farash or mosaic waghaira per bhi sajda kerna jaiz hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1063+ http://sistani.org/index.php?p=827020&id=937&page=3&perpage=10 + http://sistani.org/index.php?p=827020&id=937&page=4&perpage=10)
2) Agar ta’qai’yah ki bina agar aap sijda gaah na rakhein to namaz sahi ho gi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 61, pg # 41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4354
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Aasalam o aalaikum! Mera sawal ye hai ke agr mene fajr ki namaz ada ki ho or kisi waja se zuhur ki namaz k liye oth na saki hon to muje zuhur ki namaz asr k sath ada karne ki ijazat hai yani muje pehle asar ki namaz ada krke zuhur kaza krni hogi ya koi or tareka hai zuhur ki kaza parne ka ?

Answer: NOTE : Is web site per fiqh e jaffaria k mutabiq jawabaat diew jatay hein.

1) Zohar aur asar ki namaz ka waqt zawal e aaftab se ghroob e aaftab tak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718)
2)Jo shaks safar main nah ho or agar os k paas ghoob e aaftab tak 5 rakat namaz perhnay k andazay k mutabiq waqt ho tu os chahiay k zuhor or asr ki dono namazin tarteeb se perhay.(Ref:Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 737)
3) Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. ( Ref : website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4372
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: isha ki namaaz mein kitne rakaat hote hain?

Answer: Isha ki Namaz 4 rakaat perhna ferz hay. or 2 rakat namz naïfl(mustahab/sunnat) hay jo k ehtiyaat e wajib ki bina per baith ker perhni chahiay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 717 se pahle,or maslah# 752,754). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4423
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalaam-o-alaikum.maine isha me 17 rikaat ki jaga 19 rikaat padhli hai to kya mujhe iski tauba karni chahiye

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Isha ki namaz 17 rakaat nahi hay bakeh rozana k paancho ferz namazo ki rakaat ki kul tadaad 17 hay. Isha ki 4 rakat namaz ferz hay or 2 rakat namaz nafil(mutahab/sunnat) hay jo k ehtiyaat e wajib ki bunyaad per baith ker perhni chahiay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 717 ka muqadma or maslah#752) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4474
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: I have a confusion about Farz Rakaat of all Prayers. One of my friend says that we only have to read the Farz of all prayers and we will be asked by Allah only about Farz and not about Sunnah and Nafal. and he dont even read Witar in Isha prayer. But i believe that Isha can not be completed with out reading Witar. As we are told that in Fajar we cant leave 2 Sunnah. In Zohar Farz Rakaat are 4 sunnah, 4 Farz, and 2 Sunnah. And we can leave 2 Nafal. Please answer this question and tell me in detail that how many Rakaat are Farz for all prayers and what Rakaat we must have to offer.

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

It is obligatory to perform the following five prayers during day and night:
• Dawn prayers (Fajr) - 2 Rakats.
• Midday (Zuhr) and Afternoon prayers (Asr) - each one consisting of 4 Rakats.
• Dusk prayers (Maghrib) - 3 Rakats and Night prayers (Isha) - 4 Rakats.
(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 717)

There are many Mustahab prayers which are generally called Nafilah, These are not obligatory but more stress has been laid on the daily Mustahab prayers. The number of the Rakats everyday excluding Friday, is 34. It is an follows:
• 8 Rakats Nafilah for Zuhr
• 8 Rakats Nafilah for Asr
• 4 Rakats Nafilah for Maghrib
• 2 Rakats Nafilah for Isha
• 11 Rakats Nafilah for Tahajjud (Namaz-e-Shab)
• 2 Rakats Nafilah for Fajr
As an obligatory precaution, the Nafilah for Isha prayers should be offered while sitting, and therefore its 2 Rakats are counted as one. But on Friday, 4 Rakats are added to the 16 Rakats of the Zuhr and the Asr Nafilah, and it is preferable that all these 20 Rakats are offered before the Zuhr sets in. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 752). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4674
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Kya namaz me niyat karna jaroori hai.from bukhari shariff

Answer: Is site per fiqh e jafariya k mutabiq jawabaat diay jaatay hain

Print

Id:
4725
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: MERA SAWAL YHE HE KE KYA MARDE BINA SARE (HEADE)DHAKE NAMAZ PAR SAKTE HE

Answer: Jee haan.bina sar dhakay namaz pehna jaiz hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#852).

Print

Id:
4727
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Yali Madad.... My Question is about namaz ? My friends are related to Ahle Sunat ,so they are asking me that tell me any quran ayat or rawayat or any reference from shia books that namaz should be performed according to your fiqah Alh-e-shia ? Please Provide the evidence so that i can open there minds THANKS

Answer: Tell them to bring their own proofs. We do not need to show any proofs as we believe this is the way the Prophet (pbuh) offered his prayers.(E-mail from English@alssitani.org dated:14-11-10).Please refer to the books that mention that(Email Rcvd from Sistani(d.b),Dated:23-09-10).

Print

Id:
4767
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Ek shia muslim jo dil se imaan pe yakeen rakhta hai sab nek kaam karta hai koi gunah k kaam nahi karta magar namaz pabandi se nahi padta uske liye kya hukum hai..?

Answer: Namaz deni aamal me se aik behtreen amal he. Agar ye bargah e allahi me qabool ho gye to dosri abadat bhi qabool ho jayen gi aur agar ye qabool na hui to dosray ammal bhi kabool na hoon ge. Rasool akram(p.b u h ) ne farmaya he ke “ jo shaks namaz ko ah’miat na de aur use mamuli cheez samja vo aakhirat me azaab ka mustahiq he” (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b pg no 121)

Print

Id:
4972
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: pls tell me about namaz ke wagibat

Answer: Wajibat e namaz 11 hein. 1) niyat 2) qayam 3) takbeeratul ahram yani Allaho akhber kehna 4) rukooa 5) sujood 6)qaraat 7) zikr 8)tashshahud 9) salam 10) tarteeb 11) mawalat yani ajzay namaz ka pe dar pe bajalana. (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b pg no 155)

Print

Id:
5026
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: SALAM.janab main ya pochna chahata hon kay namazin kitnee hain? or har namaz ki kitne faraz raqatin hotee hain? quran-e-pak main namaz or faraz namaz kaimm karnay ka ziqar ahaya hai or agher ahaya hai to kitne jaga ahaya hai? agher ape mugheay is sawal ka jawab QURAN-E-PAK ki surate or ayate number kay refernce kay saat bata sakain to maray leay bather ho ga.

Answer: W salam, Wajib namazein 6 hein.1)rozana ki 5 waqt ki namazain 2) namaz e aayat 3) namaz e mayyit 4)khana e kaba ka wajib tawaf ki namaz 5)baap(father) ki qaza namazain jo berhay betay per wajib hein. 6) jo namaz e ijara , mannat , qasam , aur ayhed ki waja se wajib hoti hain. (namaz e jumma rozana ki namazoon main say hain).
1)rozana ki namazain : zohar ,asr aur eisha (har aik ki 4 rakat) maghrib (3 rakat) fajar (2 rakat)
2) namaz e aayat (2 rakat)
3) namaz e mayyit (is main 5 taqbirain hain)
4)khana e kaba ka wajib tawaf ki namaz (2 rakaat)
(ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla # 717 pg # 122).

Print

Id:
5239
Mujtahid:
Date:

Question: salam, mera ek problem hai k, mein jab namaaz parhti hn tou pta nai q parhnay sey phlay bht khushi hoti hai k Allah k samanay jaa rahi hn mgr parhtay waqt bs dil karta hai k jaldi sey khatam ho jaye, koi wazeefa bhhi mustaqil nai kar pati, plz help

Answer: Surah aur namaz parthe waqt un k mani ki taraf tawajah dein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1004)

Print

Id:
5265
Mujtahid:
Date:

Question: Aaslamu alikaum Moulana saheb mere sawal hai key. 4rakath fard jo padh thai hai. 1st or 2nd rakath mein sureh fatiha baad mein koye ek sura. mujhe yeh poochna hai key 3rd or 4th rakath mein kiya padhna chahen?

Answer: Namaz ki 3rd aur 4th rakat me faqat aik dafa surah e al hamd ya aik dafa tasbeehat e arbah perhi ja sakhti he. Yani namaz parhne wala aik dafa kahay “subhaanal laahi wal hamdo lillahi walaa ilaaha ill’lal laa ho wal laaho akbar” aur behter he ke is ko 3 dafa kahain. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 992)

Print

Id:
5640
Mujtahid:
Namaj Date:

Question: Namaj me rafaden karna kaisa hai iski sahi hadis bataye

Answer: Mustahab hay k namaz ki pehli takbeer or namaz ki dermiyaan digar takbain kehtay waqt haatho ko kano k baraber tak lay jain(yani rafa yadain karain).(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 942 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5715
Mujtahid:
namaz main qirat ka islami tareeqa: Date:

Question: namaz main qirat kar na ka islami bayan kya hai? yani buland ya ahista awaz se padna chahiay? please is question ka answer islami taleemat ki roshni main bayan kar dain. thanks a lot.

Answer: Mard per ehtiyaat ki bina per wajib he k subah , maghrib aur ishaa ki namazoon me al-hamd aur surah buland aawaz se parhay aur mard aur aurat danoo per ehtiyaat ki bina per wajib he k namaz e zohar aur asar me al-hamd aur surah aahista parhain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 979). Was-salam

Print

Id:
6053
Mujtahid:
Date:

Question: asalamualikum, mera sawaal hay ki agar hum nimaz pad rahay hay aur walidien may say koi aawaz day to jawaab deynay ka tareeqa hay ,meharbani karkay donu yanay faraz aur sunnah nimazu ka hawalla dy,, shukriya

Answer: Ikhteyari halat me wajib namaz ka tourna ehteyat wajib ki bina jaiz nahe hai. laikin maal ki hifazat aur maali ya jismani zarar(nuqsaan) se bachne k lye namaz toorne me kohe haraj nahe balke wo tamam deni aur dunyavi kaam jo namazi k lye aham ho ,in k lye namaz toorna jaiz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition, maslah # 1146)
Lekin mustahab (sunnat) namaz halate ikhtiyar me bhi torna jaiz hai. (ref: ulwatul wusqa, aqa sistani , pg: 21o, jild: 2.)

Print

Id:
6091
Mujtahid:
shia Date:

Question: how many wajibat e namaz???

Answer: Wajibat e namaz 11 hein. 1) Niyat 2) Qiyam 3) Takbeeratul ehraam yani Allaho akhber kehna 4) Rukoo 5) Sujood 6) Qiraa,at 7) Zikr 8) Tasha,hud 9) Salam 10) Tarteeb 11) Mawalaat yani ajza,ay namaz ka pe dar pe bajalana. (Ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b pg no 155) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6112
Mujtahid:
Aagha Saistani Date:

Question: 1.Agar Shia namaz kafi fasly ph available ho (1km) to Kia namaz ahle sunat ky aalim ky peechy parhi ja sakti hae? or is ki nayat frada ki ho gi ya jamat ki?treeqa kia hoge?agar jaaiz nhi to kia itahade umat ky izhar ky lye khabi kabhi ada ki ja sakti hae? 2.Khums ky lye muqarra date pr ager ap ky pas kuch paisy hun lakin ap ky zimy kuch qarz bhi ho jo aap forun ada na kr sakty hun jaisy leaze ph li gia ghari ky wajibat to kia hukm hae? 3.Mansoba bandi ky bary mn kia hukm hae? detail sy batayen? 4.Kia Shuhr apni bivi ka doodh pi sakta hae? agarchi wh chand qatry hi hun? 5.Agar Waledain fout ho gye hun to un ky zimy wajibaat olad pr wajib haen?or agar wajib nhi haen to kia olad agar chahy to un ky zimy wajibat ada kr sakti hae ya krwa sakti hae? 6. Aqeeqa krna wajib hae ya mustahab or tareeqa kia ho ga?

Answer: 1) Ehl e sunnat k saath onki namaz e jama,at main namaz perhna jaiz hay laikin zarori hay k khud hamd or sorah ki qir.at karain agarchah aahista hi ho tu namaz sahi hay laikin on k saath namaz e juma kaafi nahi hay, isi terah namaz e maghrib chonkeh waqt se pehlay hoti hay on k saath sahi nahi hay.(A.sistani(d.b),jaded masa’il, part#4, pg #181,183 ) .
2) Agar khums ki date tak qarza ada nah kia ho tu jitni raqam majood ho oska khums daina hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#1231 )
3)Aurat k lie jaiz he k wo hamila honay se bachnay k lie aisi tamam ehtiyaati tadabeer se istefida karay jo zarrar na pohanchati hoon.or aurat k liay hamal se bachane wali aisi adwiyaat ka istemaal jaiz hay jo ziyada nuqsaandah nah hoon chahay oska shohor raazi ho ya nah ho.laikin qaraar e nutfa(mani) k baad isqaat e hamal( abortion ) jaiz nahi hay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Jadeed Masayl # 70,71,73).
4) Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.) .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org).
5 i) Agar bap ne apni kuch namazain na parhi hoon aur un ki qaza parhnay per qadir ho to agar is ne khuda k hakum ki na farmani kartay huay in ko tark na kia ho to ehtiyaat e wajib ki bina per is k barhay batay (elder son) per wajib he k baap k marnay k baad is ki qaza namazain parhain ya kisi ko ujrat de kar perhwa,ay aur maa ki qaaza namazain is per wajib nahi, Agar chahah behter he k oski bi perhay ya perhwa,ay.or koe bhi shaks merhoom ki qaza namaz perh sakta hay.
5 ii) Baap k merne k baad berhay baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay k baap k rozo ki qaza isi terah baja laay jaisay k namaz k sisilay main bayan kia gaya hay.wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gm khana kisi faqeer ko day dain.chahay wariso k razi honay ki sorat main miyat k maal se hi day dain.
5 iii) Jo haj mernay walay per wajib ho or qarza or maali wajibaat maslan khums, zakaat or radd e mazalim jin ka ada kerna wajib ho onhain merne walay k asal maal(yani meraas) se ada kerna zarori hay, agarchah merne walay ne on k liay wasiyat nah bhi ki ho. Laikin kaffaraat, nazar nazar kiay hoay hajj ki agar wasiyat ki ho tu 1/3 maal(meraas) se ada kiay jain.Laikin agar aap k walidain khums dainay ka aqida hi nahi rakhtay thay ya ye k khums daitay hi nahi thay tu zarori nahi hay k aap or dosray wariseen in dono ka wajib shuda khums ada karain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1371,1683,1725,2682+ (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#, Maslah#744) .
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1371)
6) Aqeeqa karna mustahab he.or mustahab hay k aqeeqa 7th din kia jaay or agar kisi majbori ya baghair majbori k takheer hojaay tab bhi ye saqit nahi hoga or is ko baad main kerna bhi mustahab rahay ga.or zarori hay k jaanwer 3 maweshiyoon main se ho: 1- bhairh, bakra, dumba(Sheep, Goat, Ram/Ewe) 2- Gaay, Bail, Bheens(Cow,Bull,Buffalo) 3-Ont(Camel). Aqeeqay k jaanwer ka mota hona mustahab hay. Munasib hay k aqeeqay k jaanwer ki haddiyo(bones) ko torha nah jaay or mustahab hay k daa,e(i.e nurse ya doctor jo bachay ki wiladat main maan ki madad kerti hay) ko aqeeqay k gosht ka 4th hissa diya jaay or oska hissa raan or kohlay(hip/bottom) per mustamil ho.or jaiz hay k iska ghost taqseem ker diya jaay ya isko pakaya jaay, isi terah jaiz hay k isko paka ker momineen ko daawat di jaay.Afzal hay k momineen 10 ya os se ziyada hoon or wo os main se khain or bachay k haq main dua karain. Or makhrooh hay k is gosht main se bachay ka baap ya wo jo baap k zair e kifalat hoon(maslan bachay k behen,bhai) kha,in or khaas taur per bachay ki maan balkeh ehwat e mustahab hay k maan is ghost k khanay ko terk karay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 394-5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6372
Mujtahid:
Date:

Question: kya namaz mein quran dekhkar padsakte hai

Answer: Namaz ki halat me quran majeed ki tehreer ko dekhna jaiz hay or namaz batil nahi hogi, magar makrooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1144).
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6487
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAM O ALAIKUM muj say har subah ki niamaz kaza hote hai or mai phie is ko kaza par be laita ho magar yai mai buhat aarsai say kar raha hoo yai tareka tek hai

Answer: Namaz deni aamal me se aik behtreen amal he. Agar ye bargah e allahi me qabool ho gye to dosri abadat bhi qabool ho jayen gi aur agar ye qabool na hui to dosray ammal bhi kabool na hoon ge. Rasool akram(p.b u h ) ne farmaya he ke “ jo shaks namaz ko ah’miat na de aur use mamuli cheez samja vo aakhirat me azaab ka mustahiq he” (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b pg no 121)
2)Aankh na khulnay ki wajah se agar namaz e fajar qaza ho jay to ulma farmatay hein k agar sonay se pehlay surah e baqra ki ayat no 125 ko 3 bar sotay waqt parh lay aur khuda se moien waqt per jagnay ki dua karay to wo os waqt jag jay ga. (ref : Kitab payam e shifa pg # 186) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6551
Mujtahid:
Date:

Question: Kya namaz padhte waqt quran dekh kar padhna sahi hai? Agar sahi hai to plz hawale k sath bayan karen.

Answer: Namaz parhtay huay quran majeed ki tahreer ko dekhna makrooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1144) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6708
Mujtahid:
Hanafi Date:

Question: Khawateen ke Namaz ka complete Tariqa with Faraiz,Wajibaat and sunnat

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Print

Id:
6821
Mujtahid:
aqae sistani Date:

Question: hw much distance is necessary for a women to keep when offering prayers with a man by her side?

Answer: 1) As an obligatory precaution, women should stand behind men while praying. At least, her place of Sajdah should be in line with his thighs, when in Sajdah.

2) If a man and a woman are standing side by side in namaz, or woman is in front, but there is a wall, curtain, or something else separating them, so that they cannot see each other, the prayers of both of them are in order. Similarly, the prayers of both will be valid if the distance between them is ten arms (460 CM). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 873 , 875) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7412
Mujtahid:
Date:

Question: If Wazoo during jamat namaz is broken or have a doubt then should we broke the namaz right at that time or wait till jamat ends and again offer the namaz alone.

Answer: Doubt has no value. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : July 4, 2011)

Print

Id:
7605
Mujtahid:
ayatulla sistani Date:

Question: salamun alaikum....mera sawal ye hai k agr hm namaz padh rahe ho aur koi hme salam kare to hme kya karna chahiye...

Answer: Agar koe shaks kisi aisay shaks ko salam karay k wo shaks namaz perh raha ho tu tu namaz perhnay walay shaks k liay zarori hay k jawab day.laikin jawab salam k jaisa ho yani zarori hay k asal salam per izafa nah ho,…maslan agar kaha gaya ho : salaamun alaikum tu jawab main kahain :salaamun alaikum or agar kaha gaya ho k: assalaamo alaik tu jawab main kahain: assalaamo alaik or agar kaha gaya ho: alaikumos salaam k jawab main alaikumos salaam, assalaamo alaikum, salaamun alaikum kehsaktay hain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1124) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7606
Mujtahid:
mufti ismail toro sahab Date:

Question: ASalam o Alaikum mara app sa 2 sawal ha ak 1 kaya tshirt main namaz hoti ha? 2 ager namaza maghrib main 3 ka bjaye 4 farz ho jaye to kaya namaz ho jati ha bajamat?

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
1)Jee haan T shirt me namaz ho jati he.merdo k liay namaz main haatho ko chopana wajib nahi hay.
2)Namaz e maghrib ki 3 rakaat hein aur 4 prhnay se namaz baatil ho jati he. Jab namaz k wajibaat me se koe cheez jaan boojh kar kam ya ziada ki jay to chahay aik harf hi q na ho namaz batil ho jati he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 786-834, 1250) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7620
Mujtahid:
Date:

Question: Mujhe nawaz padhne ka tarika yani 5 waqt me kitni rakat padhi jati h aur kis waqt kitna rakat padha jata h

Answer: Rozana ki wajib namazain 5 hein.
1, 2 - Zohor 4 rakaat or Asr 4 rakaat(zohr aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftaab k baad se garoob e aftaab tak he. )
3,4- Maghrib 3 rakaat or isha 4 rakaat (magrib aur isha ki namaz ka waqt maghrib honay se aadhi raat tak baqi rehta he.)
5- Fajar 2 rakaat (Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi opper uthti he jise fajar e awwal kaha jata he aur jab ye safaidi phail jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka awwal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne taq he.)
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 717 to 729) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7913
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Sahab Date:

Question: Salaam Kya Namaz Ko Ham Apni Madri Zabaan Me Pad Sakte Hai Plz Ref. ke Saat bataye

Answer: Prayer must be in arabic. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 2, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7946
Mujtahid:
Aqae Sistani Date:

Question: Molana sahib mujhe ap se ye swal karna hai k agar kisi shakhs per ghusl e janabat wajib hai or wo kisi waja se ghusal nhi kar pata yaha tak k namaz ka time bhi end pe aa jata hai yani agr ghusal ya ghusal k badley tayammum kre to namaz qaza ho jae gi to kya is surat mai baghair ghusal ya tayammum k namaz ada kre ya namaz qaza kr k parhe? jawab de kar mashkoor farmae.

Answer: Ghusal k badlay tayummum karain aur jis shakhs k pas namaz ki faqat aik rakat ada karnay ka waqt ho ose chahae k namaz ada ki niyat se parhay albetta ose jan boojh kar namaz me itni takheer nahi karni chahae. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 736) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7983
Mujtahid:
MUHAMMAD SAHRAZI Date: 2023-09-04

Question: namaz main shahadat e salisa parni chaye ya ni

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai parhna jaaiz nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01758/)
[Updated on 05-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
8024
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam-0-alikum mera sawal ya hai ka muja peshaab ka katray ane ke bemari hai is bemari mai wazoo or ghusal ka keya mesail ate hai or ase soorat ma muj par namaz ka mesail be beyan kejeya keya is ma bar bar ghusal karna or kapray badelna zarory hai

Answer: 1.Agar kisi shakhs ko ye merz ho k paishab k qatray girtay rehtay hoon, agar osay Yaqeen ho k Namaz k Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak itna waqfa mil jaey ga k wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay k waqfay k doraan namaz parh lain aur agar osay sirf itni muhlat milay jo namaz k wajibaat ada karnay k liay kaafi ho to is doraan sirf namaz k wajibaat anjaam day aur zaroori hay k Mustahab Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day.
2.Agar os ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz k dooran aik martaba ya chand martaba paishab k qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat k dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz k doraan Lazim nahi hay k paishab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..
3.Agar os ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aik wuzu chand namazoon k liay bhi kafi hay siwaey ye k koe doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay k har Namaz k liay aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat k liay doosra wuzu zaroori nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#306-308
). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8057
Mujtahid:
Ashlamualekum.. Date:

Question: Namaje isha me kitni rakat hoti he...?

Answer: Namaz e isha ki char (4) rakaathoti hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla rozana ki wajib namazain pg # 122) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9746
Mujtahid:
Date:

Question: kia namaz-e asar k baad bulan awaz k sath zikr jaez hey?

Answer: 1) Mard aur aurat par ehtiyaat ki bina par wajib hay k namaz e zohar aur asr may al-hamd aur surah aahista awaaz se parhay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 979)
2) Mard aur aurat par ehtiyaat ki bina par wajib hay k namaz ki teesri or chothi rakat main Al-hamd ya tasbihaat e arba,ah aahista awaaz se parhay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 994)
3)mustahab hay k namaz e zohar aur asr ki pehli or dosri rakato main bismilaah buland awaaz se kahain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#1004 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9899
Mujtahid:
Zakeer naik Date:

Question: Namaz me hath kidar bana chahiye aur rafadeen ka tarikh

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

1) Apnay hathoon ko aajizi aur adab ki niyat se baandhnay se namaz ehtiyaat e wajib ki bina per batil ho jati hay.or agar namaz main haath baandhnay ka kaam shariyat ka hokum samajh ker karain tu aisa kerna haram bhi he .
2) Mustahab hay k namaz ki perhi takbeer or namaz ki dermiyaan digar takbain kehtay waqt haatho ko kano k baraber tak lay jain(yani rafa yadain karain).(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 944,1113 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print