Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz-e-Ayaat (12 Questions)


Showing 0- 12 questions from 12 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
4575
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kahtay hain k jo aurat pragnent hai us ko suraj girhan ya chand girhan k time par koi kaam nhi karna chahiye bus seedhi late jaye or apne jism ko harkat bhi nahi deni warna jab bache ki wiladat ho gi to us main koi nuqs ho ga...yeh baat kahan tak sahi hai? jab k suraj girhan or chaad girhan ki namaz parhna wajib hai us time par aap pragnent aurot aaram kar rahi hoti hai...or namza qaza ho jati hai

Answer: Namaz e aayat ka perhna wajib hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1472)

Print

Id:
5730
Mujtahid:
ayatullah khamenai Date:

Question: assalmo alaikum,mera sawal yeh hai kay namaz e ayat parhna sirf unhi logon pay parhna wajib hojaty hai jahan suraj/chand girhan ho or us country main nazar bhy aaye,ya phir sub ko parhny hoty hai,if us country main na bhy ho,plz reply me soon,mainay kuch months pahlay bhy aik sawal bhaja tha laikin uska bhy reply nahin aaya abhy tuk,ALLAHHAFIZ.

Answer: Jin cheezon k lie namaz e aayat parhna wajib he wo jis alakay me ho aur mahsoos ki jay faqat usi alaqay k logo k lie wajib he k namaz e aayat parhein aur doosray maqamat k lagoo k lie is ka parhna wajib nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1475)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
14486
Mujtahid:
NONE Date:

Question: salam namaz-e-ayath kiya hy aur kesy parha ja tha agr dua hy tho bejy mujy koi ilam nahe hy is ky bary mai ap smjha dy plz?

Answer: 1-Namaz e ayaat 3 chezo ki wajah se wajib hoti hay: 1-soraj girhan 2-chand gerhan agarchah in dono k khuch hissay ko hi girhan lagay or chahay insaan per oski wajah se khoof bhi taari nah hoa ho.3-zajzalah, ehtiyaat wajib ki bina per, agarchah is se koe khoofzada bhi nah hoa ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1472).
2- Namaz e Ayaat perhne ka tariqa jaane k liay aap is link ki janib ruju karain. (Ref: http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index3/11.htm ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
98607
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-07-18

Question: Method of namaz e ayyat?

Answer: Namaz e ayaat ka tariqa is link peryehay.(Ref: http://qoitrat.org/hadees.php?id=82).
[Updated on 18-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111688
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-30

Question: Asalamalaikum kya hum ak saat sari namaz per sakty hai masjid mai.

Answer: W/Alaikum Salam, Jee nahin, har namaz ka alag waqt moayyan hai zaroori hai k jis namaz ka jo waqt ho usi waqt par adaa ki jaaye. faqat zohar or asar aik waqt mai or maghrib or ishaa aik waqt mai ada ki jaa sakti hai. Lekin is tamam namzon ko aik waqt men ada nahin kiya jasakta.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatollah seestani(d.b), edition 39th, maslah # 730,743).
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112333
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2021-11-28

Question: Fajar ki namaz dher tak parh sakte hain

Answer: Suraj nikalte hi fajar ki namaz qaza ho jaati hai lehaaza is sai pehle namaz e fajar adaa karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, ayatullah seestani, edition 41, maslah #729).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121511
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-09

Question: Salam, kiya arbi zuban k ilawa kisi zuban main namaz parna jaiz hai.. Wazahat karain with proof,

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Jee nahin, balke zaroori or wajib hai ke namaz ki qirat Arabi me ki jaye.
Note: Agar aap zel me diye gaye chand Masail par tawajjuh den to aap ke liye baat waazih ho jaye gi ke namaz Arabi zaban me parhi jaye ya Arabi ke alawa kisi aur zaban me parhi jaa sakti hai.

1: Zaroori hai ke insaan rozaana ki wajib namazon ki pehli aur dusri rakat main pehle Al-hamd aur phir kisi aik surah ki tilawat kare aur Ahteyat e Wajib ye hai ke aik mukammal surah ki tilawat kare aur surah “Zuha” aur “Nashrah” aur isi tarah surah “Feil” aur “Quresh” - Ahtiyat-e-wajib ki bina par namaz main aik surat shumaar hote hain.

2: Insaan ke liye zaroori hai ke namaz ki qirat ko sahi parhe aur jo shaks kisi tarah poore surah Al-hamd ko sahi nah parh sakta ho to jis tarah bhi parh sakta ho parhe jab ke Al-hamd ki sahi parhi jaane wali miqdar bhi aik qabil tawajjah miqdar ho. Laikin agar wo miqdar bahut kam ho to ehtiyat e wajib ki bina par quran ke dusre sooron main se jis qadar sahi parh sakta ho us ke sath mila kar parhe aur agar aisa nah kar sakta ho to tasbeeh ko us ke sath mila kar parhe aur agar koi shaks Al-hamd ke baad parhe jane wale poore surah ko nah sekh sakta ho to zaroori nahin ke us ke badle kuch parhe. Har haal main Ahtiyat-e-mustahb yeh hai ke namaz ko jamaat ke sath baja laye.

3: Agar kisi ko Al-hamd achi tarah yaad nah ho to zaroori hai ke apni zimmedari ada karne ki koshish kare chahe is tarah se ke Al-hamd sekh laiy, ya koi use parhwaye aur wo parh laiy, ya namaz jamaat main kisi ki iqtada kar laiy ya shak ki surat main namaz ko duhra laiy aur agar waqt tang ho aur wo is tarah parhe jaisa ke guzishta masale main zikr hua to us ki namaz sahi hai laikin agar Al-hamd nah sekhne main is ka apna qusoor ho to agar mumkin ho to azaab se bachney ke liye jamaat ke sath namaz parhe.
4: Wajibaat e namaz sikhaane ki ujrat lena ehtiyat ki bina par Haram hai laikin mustahbat e namaz sikhane ki ujrat lena jaiz hai.
5: Rasool Allah(s.a.w.w) ki hadees hai ke "Namaz aise parho jaise mujhe parhte dekhte ho".

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #965,984,985,986. + Bihar ul Anwar, jild #82, pg #279).

[Updated on 09-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121542
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-15

Question: سلام،اکتوبر'2022 میں سورج گرھن کے بارےمیں خبر ھے کہ زیادہ خطرناک ھے، برائے مہربانی کچھ دعائیں اور اعمال سے آگاہ فرمائیے کہ اس کے برے اثرات سے امان میں رہ سکیں۔بہت شکریہ اجرکم الی اللہ

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 16-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121543
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-15

Question: سلام،اکتوبر'2022 میں سورج گرھن کے بارےمیں خبر ھے کہ زیادہ خطرناک ھے، برائے مہربانی کچھ دعائیں اور اعمال سے آگاہ فرمائیے کہ اس کے برے اثرات سے امان میں رہ سکیں۔بہت شکریہ اجرکم الی اللہ

Answer: 1: Baaz hadesaat aur tabaei waqeat ki wajah se mukallaf par namaz parhna wajib hoti hai ke jisay "Namaz e Ayaat" kehte hain. Namaz e ayaat 3 cheezon ki wajah se wajib hoti hai: un me aik Suraj girhan hai.
2: Namaz-e-aayaat main yeh bhi mumkn hai ke insaan niyat karne aur takbeer aur Al-hamd parhne ke baad aik sure ki aayatun ke 5/Panch hisse kare aur aik aayat ya us se kuch ziyadah parhe balke aayat se kam bhi parh sakta hai laikin ehtiyat ki bina par zaroori hai ke mukammal jumlah ho, surah ki ibtida se shuru kare aur bismillah kehne par iktifa nah kare aur us ke baad ruku main jaye aur phir kharah ho jaye aur Al-hamd parhe bagair isi surah ka dusra hissa parhe aur ruku main jaye aur phir khara ho jaye aur Al-hamd parhe bagair isi surah ke dusra hissa parhe aur ruku main jaye aur isi tarah is amal ko duhrata rahe hatta ke 5/Panchwain ruku se pehle surah ko khatam kar day. maslan surah falaq main pehle "Bismillah hir rahman nir raheem, Qul aauhzu bi rabbil falaq" parhe aur ruku main jaye is ke baad khara ho aur parhe "Min sharre maa khalaq" aur dubara ruku main jaye aur ruku kr baad khara ho aur parhe "Wa min sharre ghasiqin izaa waqab" phir ruku main jaye aur phir khara ho aur parhe "Wa min sharrin naffaasaati fil uhqad" aur ruku main chala jaye aur phir kharah ho jaye aur parhe :Wa min sharre hasedin izaa hasad" aur is ke baad panchiwein ruku main jaye aur (ruku se) khara hone kr baad 2 Sajde kare aur dusri rakat bhi pehli rakat ki tarah baja laye aur is ke dusre Sajde ke baad tashahhud aur salaam parhe. Yeh bhi jaiz hai ke surah ko 5 se kam hisson main taqseem kare laikin jis waqt bhi surah khatam kare lazim hai ke baad wale ruku se pehle Al-hamd parhe.
3: Sooraj girhan ya chaand girhan ki wajah se kisi mard o aurat par koi muzir asraat ya nuqsanaat nahin atay. haamla khawateen ka un girhanon se darnay ki koi zaroorat nahin. science, riwayaat aur mujtahideen ke fatawa kisi qisam ke nuqsanaat ka zikar nahin karte. Han sirf itna zaroor hai ke girhan ke waqt Sooraj ki janib baghoor nazar nah ki jaye. is se aankhon par asar ho sakta hai. waisay to poora saal hi Sooraj par baghoor nigah karne se aankhon par asar ho sakta hai. woh hidayat ya khatraat jin ka zikar nujoomi hazraat ya jantariyon mein kiya jata hai is ki koi bhi haqeeqat nahin, itna daraya jata hai ke lagta hai ke girhan nahin qayamat aanay wali hai. yeh awam-un-naas ki ghalati hai ke ilm e najoom ke daaway daaron ki apni janib se banai gayi kahaniyan ghor se suntay hain aur sanjeeda letay hain.

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, Edition #1443, pg #713. + Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #1472,1488. + Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011). + link: http://www.wilayat.com/post/Sun-and-Moon-Eclipse-and-the-Reality-of-Precautions-for-Pregnant-Women ).
[Updated on 16-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121561
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-01-18

Question: Kia chand or sooraj girhen manhoos hein ? Insani zindgi par inky asraat manfi hein jesy nagihani amwat waghera ?

Answer: Chand ya Sooraj girhan ki wajah se kisi mard o aurat par koi muzir asraat ya nuqsanaat nahin atay. haamla khawateen ka un girhanon se darnay ki koi zaroorat nahin. Q ke science, riwayaat aur mujtahideen ke fatawa kisi qisam ke nuqsanaat ka zikar nahin karte. Han sirf itna zaroor hai ke girhan ke waqt Sooraj ki janib baghoor nazar nah ki jaye. is se aankhon par asar ho sakta hai. waisay to poora saal hi Sooraj par baghoor nigah karne se aankhon par asar ho sakta hai. woh hidayat ya khatraat jin ka zikar nujoomi hazraat ya jantariyon mein kiya jata hai is ki koi bhi haqeeqat nahin, itna daraya jata hai ke lagta hai ke girhan nahin qayamat aanay wali hai. yeh awam-un-naas ki ghalati hai ke ilm e najoom ke daaway daaron ki apni janib se banai gayi kahaniyan ghor se suntay hain aur sanjeeda letay hain.

(Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011). + link: http://www.wilayat.com/post/Sun-and-Moon-Eclipse-and-the-Reality-of-Precautions-for-Pregnant-Women ).
[Updated on 19-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122145
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-21

Question: Agr mard or orat Sath namaz parh rhy ho to orat ko mard k kis traf namaz ada krni chahiye

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Aurat chahe mard ke jis taraf bhi kharhi ho agar dono ke darmiyan deewar ya pardah ya koi aur aisi cheez haail (rukawat) ho ke dono aik dusre ko na dekh saken ya un ke darmiyaan das hath (takreeban 4.5 meter) se zayada faasla ho to dono ki namaz sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #875).
[Updated on 22-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123486
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-08

Question: Is namaz aayat is wajib in Karachi

Answer: Jin cheezon ke liye namaz e Aayaat parhna wajib hai woh jis ilaaqe mein wuqu pazeer hon aur mahsoos ki jayen faqat usi ilaaqe ke logon ke liye zaroori hai ke namaz e Aayaat parhein aur dusre maqaamaat ke logon ke liye is ka parhna wajib nahin hai. Lihaza gar karachi walon ke liye saabit ho jaye ke wo cheez waaqe huei hai to namaz e Aayaat parhna wajib hogi warna nahin.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1475).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print