Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz-e-Juma (135 Questions)


Showing 50- 100 questions from 135 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
9325
Mujtahid:
i dont know Date:

Question: JUMA ke namaaz ki niyat

Answer: 1) Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki bargah men pasti or khuzu k izhaar k liye parhe or ye zarori nahi k niyat ko apne dil se guzare ya maslan zaban se kahe k (2 rakat namaz, fajr ki sunnat parhta hun qurbatan illal_laah).
2)zaroori hai k insane shuru sai aakhir tk apni niyat par qaim rahe.Agr wo namaz men is tarah gafil ho jaye k agr koi puche k wo kia kr reha hai to os ki samajh men na aye k kia jawab de to is ki namaz batil hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930_932.(Khuda apki tawfiqat men izafa farmaye)

Print

Id:
10668
Mujtahid:
aqai sistani Date:

Question: slam agha namaz e juma main agar koi shaks sure juma galt prhe to namaz sahi hai plz jawab dain ,e dua

Answer: Wssalam o alykum, ager jaan booj kar galat phare to batil hai, or ager galati se phare to batil nahi hia. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 987 , 988 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
10856
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alaikum Ma Japan me jis company me job karta hon wahan juma ke din choti nahi hoti balke sunday ko hoti hai. Is bare me Islam me June ki namaz ka kya Ehkaam hain?

Answer: Wssalam o alykum, is ki jaga zuhar ki namaaz pharain, kun ke jumme ke din mukallaf (insan) ko jumme (ager tamaam sharait hon to) or zuhar ki namaz ke dermiyaan iktiyaar, pas ager jumme ki phar le to zuhar ka pharna wajib nahi hai or is hi terhan ager zuhar ki pharh le to jumme ki pharna wajib nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 720 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
12643
Mujtahid:
dar_e_batool Date:

Question: jumah ki nimaz farz ha ya mustahib????

Answer: Namaz e Juma wajib e takhyiri(optional) he. Is se murad ye he ke jumma ke din mukallaf ko ekhtiar he ke agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain laihaza agar insaan jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13966
Mujtahid:
Date:

Question: namaz joma chand ra kat ast

Answer: Namaz juma do rakat ast wa bayad ba jamat bashad.(Urdu Translation: Namaz e joma do rakat hai aur jamat say parhna zarori hai). ( Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720)

Print

Id:
14399
Mujtahid:
Date:

Question: Ass salam alai kum... i have join in domestic call center in bangalore in our office they will not allow me to go for jumma namaz also if i ask they will infrm me its a company policy so pls help me wht to do ... not only for me they some colliges with me they will not allow to go so plz hel p me its very urgent

Answer: Jume ki namaz wajib e takhyiri he. is se muraad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz layhaza agar insan jume ki namaz parhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say gurara jay ya maslan zaban say kaha jay. (Ref:Ayatullah sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#720,930). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16166
Mujtahid:
sistani shab Date:

Question: salam, 1)kiya namaze juma kay khutybhay kay doran koi mustahab namaz parhna jaiz hai. 2)karachi may juma namaz thu time per nahi hoti thu kiya may zoharain awal waqat parhna sahi ya phir juma 3)karachi may fajar ki jamat namaz awal waqat say half hour kay bad hoti hai thu kiya may farda awal waqat parhnay may ziada sawab hai ya phir jamat namaz may

Answer: 1)Namaz batil nhi ho gi albetta ehtiyat ki bina par donoo khutboo ka sunna wajib hai.
2)Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 722, 720)
3)Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phail jae to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklnay taq hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 729).
4)Mustahabb hai k insan sabr kray ta k namaz jamat k sath parhay aur namaz e ba-jamat os namaz sai behtr jo aw’wal waqt mai furada parhu jaeyani tenha parhi jae aur fazilat k waqt k baad parhi janay wali jamat ka, fazilat k waqt mai parhi janay wali furada sai behtr hona maloom nhi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1383)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16230
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia namaz e juma mai shirkat krna wajib hai?

Answer: Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka bais hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Lekin is ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 51, pg # 36)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16298
Mujtahid:
Date:

Question: mera question ye hay ke namaz-e-juma ke kitnay shartain hain? or kon kon si? or kitnay shartain pory na honay per namaz-e-juma nahee hoti? thanks

Answer: 1)Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain:1:Waqt ka dhakil hona, 2:Namaz parhnay waloo ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hoon, 3: Imam ka jamia shrait imamat hona.
2)Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain: 1:Ba-jamat namaz parhna, 2:Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna, 3:Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16447
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal yeh hai ka main is waqt basra iraq main hoon aur yaha juma ki namaz ka koi immam nahi hi hai aur kia aisa shakh namaz parha sakta hai ju hafiz Quran ho aur uski darhi na ho aur wo aik larki k piyar main hoo kia us shakh ki immamat main namaz hogi please i am waiting to your answer

Answer: Agar in me imam jamat ki sharait mujood hai to in k peche namaz perhe jasakte hai. Imam e jamat ki shriat ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho. Aadil honay ka matlab hai k insan wajibat ko anjam deta ho aur haram kamoo ko trk krta ho. (Ref : Tauzeeh ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1434)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
17224
Mujtahid:
shia Date:

Question: MOULANA SAB NAMAZ EID OR NAMAZ JUMMA K BARAY MAIN BATAIN K GHAIBAT IMAM MAIN PARHNI CHAYEE ?

Answer: 1)Imam a.s. k zamana e hozoor mai eid ul fitr aur eid e qurban ki namazain wajib hain aur in ka jamat k sath parhna zaroori hai. laikin hamaray zamanay mai jab k imam a.s. gaibat mai hain, ye namazain mustahabb hain aur ba-jamat aur furada donoo terh parhi ja sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1497)
2)Gaibat k zamanay mai namaz e juma wajib e eini nhi hai bal k wajib e takhyiri hai, is se muraad yeh he k jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood hon to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
22802
Mujtahid:
Date:

Question: Salam Ya Ali Maddad Sir mere Sawal ye hai ky jab Namaz-e- juma mstahib aur takhayari hai to is ki niyat kaisy ho gi aur namz-e-juma ky baad hum 4 rakaat namaz-e-zuhar parhty hain to wo kiyon aur us ki niyat kaisy hogi please mujhy jawab den

Answer: Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say gurara jay ya maslan zaban say kaha jay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720-930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
34746
Mujtahid:
AYATULLAH SISTANI SAHIB Date:

Question: ASSALAM-O-ALIKUM WHAT IS THE NIYAT FOR FRIDAY PRAYER. THANKS AUN ALI

Answer: Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzara jay ya maslan zaban say kaha jay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720-930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
39739
Mujtahid:
Culcatta Date:

Question: Asalam walekum mein ek fouj mein hu esliye aksar meri duty jumma ke din bhi aati hai aur yah koi masjid nahi hai to mein jumma ki namaz ke liye apne dost ko phone laga ke wah mere gaon ki maszid mein jakar spekar ke pass apna mobile rakhta hai wah ke imam sahab jo kudba padhate hai wah mein sunta hu aur imam sahab ke pichhe namaz padata hu wah masjid maharashtra mein hai ky ye sahi hai ya koi rasta batade

Answer: G nahi ye sahi nahi hai ye juma shumar nahi hoga ap k liye behtra ye hai k Ap namaaz e jumma ki jaga namaaz e zuhar ada kijye is liye k jumme ki namaz wajib ikhtiyari hai apko ikhtiyar hai juma namaz ada kre ya zohr ki namaz ada kren.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 720 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
40619
Mujtahid:
khumani rehmt tuallhaaleh Date:

Question: salam sir me saudi arab me ho.n apko pta he yah.n sad ahle hadis he.n me jume ki namaz kese ada karo. hamari masjid bohat dor he tashi ki iska koi hall btayn plzzzzz

Answer: Namaz e juma is zamanay mai wajib e tekhiri hai yani insan ko ikhtiar hai k chahay namaz e juma parhay chahay namaz e zohar. Namaz e juma parhna afzal hai jab k zohar ehtiyat k mutabiq hai. is sai ziada ehtiyat ye hai k namaz e juma aur namaz e zohar donoo parhay. (Ref :Tehreerul wasila jilad 1 pg # 417)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
42524
Mujtahid:
Date:

Question: agar jummay ka 2 farz sa pehlay 4 sunnat ra jaiy to kia karna chaiye?

Answer: Jummay ki namaz 2 rakat hain aur aur jummay k din zohar aur asar ki 16 rakat fafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtr ye hai k puri 20 rakat zawal sai pehlay parhi jae siway ye k 2 rakat k jin ka waqt zawal k waqt parha jana behtr hai. laikin nafal namazain parhna mustahab hai agar nahi parhain to bhi jummay ki namaz ho jae gi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 752)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44755
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: slam.men sunni sy shia pe convert hua hon .kindly mujy namaz e juma ka tareqa detail sy bta den kasy parhtey hain jumat ky sath...

Answer: 1)Imam a.s. ki gaibat k zamanay mai Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din aap ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki sharait maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz parhain. aur Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain:1:Waqt ka dhakil hona, 2:Namaz parhnay waloo ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hoon, 3: Imam ka jamia shrait imamat hona. Is k alawa jumay ki namaz subah ki terah 2 rakat hai is mai aur subah ki namaz mai faraq ye hai k jumay ki namaz sai pehlay 2 khutbay bhi hain. Aur jumay ki namaz mai pehli rakat mai ruku sai pehlay aik qunoot hai aur doosri rakat mai ruku k bad qunoot parhay aur phir sajday mai jain. Is k alawa Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain: 1:Ba-jamat namaz parhna, 2:Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna, 3:Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 722, 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
44759
Mujtahid:
sunni Date:

Question: Agr 3 ya ose ziada jumme ki namaz nai pardi ho to kehte hain k islam se kharij hojate hain. kia ye bat sahi hai? or agr sqahi hai to ab kia krna chahiye?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka bais hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Lekin is ka wajoob tkyeri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Leikin jumay ki namaz waqt sai pehlay nhi parhi ja sakti hai aur na hi jamat k bagaor.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 51, pg # 36)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45274
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: slam.mera sawal hy kia juma parhna har ik pe lazam hy.aur dosara yeh ky mein suni sy shia convert hua hon par mery ghar waly mujy fiqah jafiriya ki nimaz e juma parhny ki ijazat ni dety asi surat mein mujy kia karna chahy.mene suna hy ky jo 3 jumy lagatar chor dy uska emaan ni rehta is bat ki bhi wazahat kar den..

Answer: Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain).
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45427
Mujtahid:
Date:

Question: Ager ghar k qareeb masjid na ho to Kia hum namaz e jumma ghar main perh sakty hain?

Answer: Imam a.s. ki gaibat k zamanay mai Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din aap ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki sharait maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz parhain. Laikin jumay ki namaz jamat k bagair nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45431
Mujtahid:
Aqa-a- Sistani Date:

Question: namaz juma kis niyat sa parni chahiya

Answer: Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzara jay ya maslan zaban say kaha jay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720-930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
47514
Mujtahid:
Date:

Question: jumma ke din jumme and johar ki namaj ki rakaton ka kya sequence hona chahiye.

Answer: Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47703
Mujtahid:
Syad Sistani Sahib Date:

Question: Jumama ki niyat wajid ke bina par pare jae ya sunnat ke bina par our koi aisa amal bataen k men jis jaga shadi karna chahta hun wahan mere shadi ho jae our please doa be farmaye ga mere leye pleas pleas ap ko Allah ka wasta

Answer: 1)Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zaroori nahi keh niyat ko apnay dil say guzara jay ya maslan zaban say kaha jay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720-930)
2)Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta dastiyab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47977
Mujtahid:
hanfi devband Date:

Question: assalam walekum mera sawal hai ki juma ki namaz kahan hosakti hai namaz hone ke liye keya keya hona chahiye mere gaon me namaz shuru huwa hai per kuch logon ko etraz hai ki abhi yahan namaz nahi ho sakta hai aap ko bata den ki hum logon ne ek mufti saheb se masla puchha tha to unhon ne kaha ki namaz ho sakti hai aur hamare gaon ki aabadi taqreeban 4500 hai jis me muslim 2000 hain town se laga huwa hai hamara gaon

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
1)Imam a.s. ki gaibat k zamanay mai Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din aap ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki sharait maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz parhain. aur Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain:1:Waqt ka dhakil hona, 2:Namaz parhnay waloo ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hoon, 3: Imam ka jamia shrait imamat hona. Is k alawa jumay ki namaz subah ki terah 2 rakat hai is mai aur subah ki namaz mai faraq ye hai k jumay ki namaz sai pehlay 2 khutbay bhi hain. Aur jumay ki namaz mai pehli rakat mai ruku sai pehlay aik qunoot hai aur doosri rakat mai ruku k bad qunoot parhay aur phir sajday mai jain. Is k alawa Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain: 1:Ba-jamat namaz parhna, 2:Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna, 3:Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 722, 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49556
Mujtahid:
Date:

Question: juma ki namaj chot jai to bad main faraig namaj kitni pade na chaye

Answer: Agar jume ki namaz na perhi jaay to jume k din ki namaz zohar perhna zarori hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #720 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50243
Mujtahid:
shia Date:

Question: Me poochna chahti hun k ek masjid se dusri masjid me kitna fasla hona chahye... Me ny kahin alim se suna tha k 1 meel ka fasla hona chahye mafar mujhe koi hawala b chahye . Me aap se request krti hun mera jawab mjhe zrur dijiyega.. pleaseeee

Answer: Masjid k darmian k faslay ka masla nhi hai albetta juma ki 2 namazo k darmian 1 farsakh yani taqreeban 5.5 km ka fasla hona zaroori hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52363
Mujtahid:
aqa Seestani Date:

Question: salam mujhay khwateen k hisab say jumma ki farz o nafila namazoon ki tadad o auqat bata dain plz

Answer: Juma ki namaz subah ki namaz ki tarah do rakat hai, is men or subah mki namaz men faraq ye hai k us namaz se pehle 2 khutbe bhi hen, juma ki namaz wajibe takhyiree hai, is ka matlb ye hai k juma k din namazi ko ikhtioyuar hai k agr namaz e juma ki sharten mojud hon to jum aki namaz parhe ya zuhr ki namaz parhe lehaza agr insane juma ki nanamz parhe to wo zuhr ki namaz ki kifayat krti hai(matlb phir zuhr ki namaz parhna zaruri nahi hai).
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #720)
Juma k din zuhr or asar ki 16 rakat nafil pr 4 rakat ka izaafa hojata hai, behtr hai k puri puri 20 rakat zawal se pehle parhi jaen siwaye do rakat k jin ka zawal k wqt parha jana behtr hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #752)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
57552
Mujtahid:
Date:

Question: juma ki namaz reh jae to iss k mutbadel kya pro

Answer: Namaaz e Zuhar ada karain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #720 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57783
Mujtahid:
Date:

Question: kya nmaz e juma village ( gao) me ada ki ja sakti h . agar ho sakti h to uski kya sarte h

Answer: Juma ki namaz subah ki namaz ki tarah do rakat hai, is men or subah mki namaz men faraq ye hai k us namaz se pehle 2 khutbe bhi hen, juma ki namaz wajibe takhyiree hai, is ka matlb ye hai k juma k din namazi ko ikhtioyuar hai k agr namaz e juma ki sharten mojud hon to jum aki namaz parhe ya zuhr ki namaz parhe lehaza agr insane juma ki nanamz parhe to wo zuhr ki namaz ki kifayat krti hai(matlb phir zuhr ki namaz parhna zaruri nahi hai). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #720) Juma k din zuhr or asar ki 16 rakat nafil pr 4 rakat ka izaafa hojata hai, behtr hai k puri puri 20 rakat zawal se pehle parhi jaen siwaye do rakat k jin ka zawal k wqt parha jana behtr hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #752)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
60888
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam sir mera sawal ye ha k agar jummay ki namaz me pehli rikat ma shamil na ho paun to kia dosri rikat se namaz me shamil ho sakta hun koi ashkal to nahi ? w.salam jawab ka muntazir

Answer: Agar muqtadi(namazi) nama e juma ki doosri rakat k ruku se pehle imam k sath shamil ho jay tu oski namaz sahi hay or wo os k baad aik rakat furada perh le ga or agar wo doosri rakat k ruku main shamil ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per is namaz e juma per iktefa nahi ker sakta or zarori hay k zuhur ki namaz perhe. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # before 720 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
65900
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: Aslam O Alikum kia Zohar ki Namaz Jummha ki Namaz se pehle add ki ja sakti hai........ main is waqt thailand main hon au yahan per zohar ki namaz ka time 12:20 pm hai aur jummha ki namaz ka time 1 baje hai.......is hisab se kia main zohar ki namaz jummha ki namaz se pehle ada kar sakta hon.....

Answer: Jume k din ikhteyaar hay k agar jume ki namaz ki sharait maujood hoon tu juma ki namaz perhe ya zuhur ki namz perhe. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #740). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73007
Mujtahid:
Date:

Question: assalamoalaikum hazrat ek masla PESH AAYA HAI KE meri juma ki namaaz chooth gai mai kaafi masroof tha hamare saath do aur log the to kya ham log baad me ba jamaat zohar ada kar sakte hai ya nahi???

Answer: Agar jume k din namaz e juma nah perhi ho tu zuhur perna zarori hay. or paish namaz ki sharaet ki maujoodgi main namaz ko ba jamaat bhi perha jasakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #720,1434). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77225
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Al\'salam-o-alaikum! Umeed ha ap sb khariat sa hn gay. Mera swal ya ha k kiya lagatar 3 namaz e jummah na parhna sa islam sa kharij ho jata hay? Or is galti ka kafara kiya ha?

Answer: Jume k din ikhteyaar hay k agar jume ki namaz ki sharait maujood hoon tu juma ki namaz perhe ya zuhur ki namz perhe. Jume ki namaz ko chorhna gunah nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #740). Update on dated 17-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
78569
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Islam me pehli nmazy juma Kahan Pari gai ???

Answer: Pehli namaz e juma madine main mehella e bani saalim main perhi gae. (http://www.tebyan.net/index.aspx?pid=131244). Update on dated 26-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86978
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Sir shia ki jumma namaz k baad kia parha jata hai namz e zohar ya asar.

Answer: Namaz e jumma ka waqt awal e zawal e urfi hy or awl e urfi men yeh nukta kabl e tawwjh hy k aghr khutba 40 mint ka ho or phir foran baghair faasly k namaz e jumma tamam sharaet k sath baja lae jaen to wo namaz sahi or kafi hay or namaz e jumma parhany ki zarorat nahi hay or agar namaz e jumma ka khutba 40 mint say lekar 75 mint tak ho jaey to ehtiyaat ki jaey or ehtiyaat e wajib ki bina pr namaz e zuhur baja laa,en, or agar 75 mint say ziyada ho to zahiran os sorat men juma kaafi nahi hay or zuhur ki namaz bhi parhana hogi, or os k baad asar ki namaz ada ki jaey (Ref: (https://www.sistani.org/urdu/qa/25586/). Update on dated 16-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
99635
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Jo shakhs 5 waqt ki namaz aur eid aur bakraeid ki namaz bhi na padhta ho to kya wo shakhs kisi majburi me juma ki namaz padha sakta h

Answer: Jee juma parh sakt hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #720-722). Update on dated 23-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).


Print

Id:
99797
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: kia jumma ki namaz Aurat pr Laazmi h??

Answer: Aurat per namaz e juma wajib nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #721). Update on dated 30-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
103252
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-31

Question: Kasbe me juma hai ya nahi

Answer: Jume ki do namazo k darmiyaan aik farsakh(5.5km) sse kam faasla nah ho. or namaz perhne walo ki tadaad imam k sath 5 honi chahiay. juma qasbe main bhi ho sakta hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#720).
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-30

Question: asalam u alaekum, mera sawal namaz e jumma k baray main hy k Quran main poree surah hy jis main hukum hy, phir bhi humare ulma ye q kehte hain k Imam e waqt k zahoor k baad wajib hogi.

Answer: Mujtahideen hamesha quran o ahadees k mutaabiq fatwaa dete hain or jummay ka maslah wo hai jis mai mujtahideen aapas mai ikhtilaaf rakhte hain koi wajib e takhyeeri kehta hai koi wajib kehta hai, ye ikhtelaaf hadees fehmi ki wajah se hay, lehaaza aap par laazim hai k aap apne mujtahid k fatway par amal karein.Ayatullah seestani k mutaabiq juma wajib e takhyeeri hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 720)
[Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103508
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-18

Question: Salam alaikum : janab mera sawal namaz e juma ke mautaliq hai agar mai masjid me us waqt pohoncha jab khutba shuru ho chuka tha ya 1 khutba nikl gaya tha to kya mujhe namaz e juma ke baad namaz e zohar bhi ada karni hogi khutba me had se had kitni takheer se pohoncha ja sakta hai

Answer: 1) namaz juma me jab imam jume ka khutba parh raha ho to hazir hona wajib nahin he. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # after 722)
2) Namaz e jumma ka waqt awal e zawal e urfi he. Pas jab bhi is se takheer ho jay is ka waqt khatam ho jata he.aur phir zurari he k zohar ki namaz parhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 720)
[Updated on 18-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104303
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-03-06

Question: Juma namaz masjad se dosre juma namaz masjad katna fasla hona cahya ?

Answer: Jummay ki namaz sahi hone ki sharait mai sai aik ye hai k dono jummay k darmiyan aik farsakh sai kum faasla na ho jo k takreeban 5.5 km hota hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah 720).
[Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104324
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-03-08

Question: Aa main China main abhi ek student ke haseyat se majood hun or yahan corona virus ke wajha sy bahir niklna bilkul mana ha to ham apny room main ya bahir sehan main jamat wagera kerwa lety han mera sawal ye ha Kay kaya jumma ka khutba koi or badmi de sakta ha or jama koi or banda parha sakta ha more over kaya jumma Kay khutby main hafiz logon ka hona lazmi ha ya mobile per sun ker jumma ke jamat kerwai ja sakti ha

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Jee nahin, Jo jumme ki namaz parhae ga wohi jumme ka khutba parhe ga. Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka daakhil hona,jo k Zawaal-e-Aaftaab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zarori hay k zohar ki namaz ada ki jaay. 2:Namaz parhnay waloon ki tadaad jo k Imam e jama’at k saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan jama na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti. 3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti. Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain . 1:Ba-Jama’at parha janay. 2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna. 3:ye k Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 Kilo Meter ka fasla maujood ho.) (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.720.)
[Updated on 09-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104327
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-03-08

Question: Assalm o Alikum! Mera sawal yh hai k mai china mai hn aj kal virus ki wja sy yahan masajid bnd hain to kya hm 3 dost mil k ghr mai jumma namaz adaa kr skty hain?

Answer: Jummay ki namaza may imam jamat ko mila kar 5 afrad ka hona shart hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah 720).
[Updated on 09-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104510
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-26

Question: Agr jumma ki namaz par lo us k bad zohar ki namaz parna zrori hai ya nhn

Answer: Agar namaz juma ki sharait majood hon to insan ko ikhtiyar ke juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain lahaza agar insan ne jumma ki namaz perhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani phir zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720)
[Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104579
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-03-18

Question: quran hadees ke mutabik kia namaz e juma k duran karobar karna sahee hai

Answer: Jis shaks per namaz e juma wajib e muayyanan taur per wajib ho os k liay namaz e juma ki azaan k baad khareedo furookh haram hay agar ye namaz k k liay rukawat ho. (Ref: (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#960,eidition 1439 ). [Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107924
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-27

Question: Mera sawal ye hai ki abhi jaise situation Co vid 19 chal raha h to masjid me namaz band h to hame kya dohar namaz padni chahiye ya jumma ki do rakaat

Answer: Namaz e juma ki kuch sharaait hain, aur shraait is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3637/ pe mojood hain, Agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain lahaza agar insane jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720)
(Note: Is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3637/ ko open kar ke masla number 719 aur 720 ko goar se parhain to aap ko sharait maloom ho jaaingi.)
[Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108400
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-06-19

Question: Namaz e jumma farz hy ya suunat

Answer: Ayatullah khumeni k nazdeek namaz e jumma wajib takhyeeri hai yaaney namaz e jumma or zohar ki namaz mai ikhtiyar hai k koi aik parh lay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khomeni maslah no 718).
[Updated on 19-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109190
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-08

Question: JAHN PER 5 WAQAT NAMAZ NA HOTI HO KAYA WAHAN JUMMA KI NAMAZ HO SAKTI HAY?

Answer: Jee haan parhi jasakti hay agar jumma ki namaz ki Sharait mukamal hoti ho tu maslan :
1:Waqt ka daakhil hona,jo k Zawaal-e-Aaftaab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zarori hay k zohar ki namaz ada ki jaay. 2:Namaz parhnay waloon ki tadaad jo k Imam e jama’at k saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan jama na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti. 3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti. Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain . 1:Ba-Jama’at parha janay. 2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna. 3:ye k Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 Kilo Meter ka fasla maujood ho.) (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.720.)
[Updated on 08-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
109528
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-08-04

Question: Agar fajar ki namaz nai parhi hoto jumy ki namaz hojaye gi.

Answer: jee jumy ki namz ho jaye gi (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720)
[Updated on 04-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110387
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-15

Question: Mola k gaibat k baad sabse pehla jumma kis ne aur kyo chalu kiya? 2nd) jumma wajib hai, wajib e taqvini hai ya musteheb hai? Aur ager wajib/ wajib e taqvini hai to ye kis masum ka koul hai?

Answer: Namaz e Juma wajib e takhyiri(optional) he. Is se murad ye he ke jumma ke din mukallaf ko ekhtiar he ke agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain laihaza agar insaan jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720).
Aap ke in tamam sawalon ke jawanbat, niche diye link par mojod hain , is link men mukammal tafeel mojod hai.(Ref:- https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2_%D8%AC%D9%85%D8%B9%DB%81
[Updated on 15-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print