Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz-e-Shab (43 Questions)


Showing 0- 43 questions from 43 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3858
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: As-salam-alaikum mujhe tahajjud ki namaz ke baare mein janna hai ki tahajjud ki namaz ki kitni rakhat hoti hai aur use kaise aur kitne waqt per padna rahta hai mujhe tahajjud ki namaz ke baare mein puri jankari chahiye. shukriya, allah hafiz

Answer: Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say,2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay.namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu raja e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay
(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104).

Print

Id:
4306
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: 1)tahajjud ki namaz ki niat our tarika(2)ghusal kab kab farz hota hai

Answer: 1) Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say,2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay.namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu raja e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104).

2) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. 3) Agar koi shakhs kisi aise murda insane k badan ko mus karay jo thanda ho chukka ho aur jise ghusl na dia gya ho to zurari he k ghusl e mus e miyat karey. 4) wo ghusl jo munnat ya qasam wagira ki wajah se wajib ho jay.
5)agar chand ya suraj ko mukammal girhan laga ho aur mukallaf jan booj kar namaz e ayat na parhe yahan tak k namaz qaza ho jay to ethiat e wajib ki bina per zurari he k is namaz ki qaza k lie ghusl karey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg #356,511, 62)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
5446
Mujtahid:
ehle sunnat Date:

Question: namaz e tahjud mei kitni rakat parhi jati hein or ye namaz or namazoon ki tarah ha ya mukhtalif ha plz pori maloomat dein thnx

Answer: Note: Is wibesite per fiqh e jaffriyah k mutabiq jawabaat diay jatay hain:

Ans : Namaz e tahjud (namaz e shab) 11 rakaat hoti hain jo keh namaz e fajr ki terah 2, 2, rakat ker k perhi jaati hain,or in me se 8 rakarein naaf’la e shab ki niyat se , 2 rakat namaz e shafa ki niyat se , aur aik rakat namaz e witr ki naiyat se perhi jaay.Aur naafla e shab ka mukammal tareeqa duao ki kitaboon me muzkoor he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 753 , 761)

Print

Id:
5617
Mujtahid:
Date:

Question: Information about Tahajjud Namaj ?

Answer: Namaz e tahajjud 11 rak,aat hay.8 rak,aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak,at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak,at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak,at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay namaz shab me faqd 1 rakhat witar per iqtefa karsakte hai (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104, (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 498, eidition 1435 )
Namaz e tahajjud ki rakato me surah al hamd per iqtefa kar sakte hai aur dosere surah perhna wajib nahe hai. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4,ques # 78, pg # 47) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5927
Mujtahid:
Aytullah sestani Date:

Question: method of namaz-e-tahjud & timing

Answer: Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say,2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay.
Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu raja e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104).

Print

Id:
6627
Mujtahid:
sistani sahab ki Date:

Question: my self ali mehdi mera qus. Hai k me abhi safar me hu or hotel me hu or namaz e shab me kay pda jata hai ya simpl hai abhi jawab do plz

Answer: Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay.
Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11459
Mujtahid:
Date:

Question: kya thajd nmaaz k lyee neend hona zroori hay?

Answer: Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 761 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15925
Mujtahid:
Date:

Question: Me arsa 3 saal namaz e tahajud parh rahi hun. ab kuch wajoohaat ki bina par me jari nahi kar sakti lekin jb mein chorti hun to bohat ziada mushkillat aa jati hen. ap koi aisa treeqa btaen ta k mein tahajud na b parhun aur mushkilaat b na hoon. jazak Allah.

Answer: Namaz e shab parhnay ki taufeeq k lie: Hazrat imam Jaffar e sadiq a.s. farmatay hain k Rasool e khuda s.a.w.w. nai farmaya : jo shakhs ye chahta ho k wo namaz e shab k lie jag uthay to wo sotay waqt ye dua perhay : (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 6)
2)Surah e takver surah no. 81 ka 21 martaba perhna mosibatoo sai nijat k lie faida mand hai. (Ref : Payam e shifa pg . 217) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
35164
Mujtahid:
Hanafi Date:

Question: Namaz-e-shab ke baare mein tafsil se jan na chahta hoon.

Answer: Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
39800
Mujtahid:
allama shistani sahab Date:

Question: namaze shab ka koi, muqarar waqt kya hai,kya mujhe haqiq,feroza,yaqoot , duray najaf pehna chaeye?

Answer: Raat ki ibtida se subha ki aazaan tak is ka waqt baqi rehta hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 761 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
41753
Mujtahid:
n/a Date:

Question: chehry py ronaq or khobsurati lany k liy koe wazifa bataen plz

Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai ghm ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45130
Mujtahid:
namaz Date:

Question: a.o.a....tahajjud ki namaz kaise padhi jati h...aur kya is namaz ko padhne k lye esha k bad sona lajmi h???mai rat bhar padhai krta hu, aur takriban 2 ya 3 bje sota hu,kya mai sone se pahle tahajjud ki namaz ata kar sakta hu..ya esha k bad ek nind lena zaruri h???plzzz peply me...

Answer: Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay. 8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay. Aur maghrib k bad sona zaroori nahi hai bal k maghrib k foran bad bhi parhi ja sakti hai. namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45875
Mujtahid:
rizq e halal Date:

Question: Namaz e shab se kiya muraad he? or Kitni rakat parhni chaiye?

Answer: 1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147)
2)Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rakat namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
46845
Mujtahid:
Date:

Question: Tahajjud ki namaz 11 rakat 2 2 rakat karke padhni chahye

Answer: Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
48006
Mujtahid:
ayatullah sistani sahab. Date:

Question: namaz-e-shab kaise padhy aur kya padhy us namaz me..... puri tafselaat ke sath samjh dejea plz... thank u so much..may god bless u ...

Answer: Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52618
Mujtahid:
mukhtar shah Date:

Question: sir nemaz e shab kese pdte hain

Answer: Namaaz e shab ki 11 rakatain hain, in main se 8 rakat do do kar ke namaaz e nafila e shab ki niyat se, 2 namaaz e shifa ki niyat se, 1 namaaz witr ki niyat se pharna zarori hai, or is ka waqt raat ki ibtida se shuro hota hai or subha ki aazaan tak baqi rehta hai, or behtar ye hai ke subha ki aazaan ke qareeb phari jaae. Or is ka mukammal tareqa duwa ki kitaboon main likha howa hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 753 , , 761 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53795
Mujtahid:
Date:

Question: mera naam shama hai mai 30 saal ki hu sir dheere dheere mere chehre ki khoobsurti kam hoti ja rahi hai apne namaz e shab k bare me bataya hai par namaze shab kaise aur kab padhi jati hai plz bataye

Answer: 2.2 rakat ker k 8 rakat namaz parhain, phir 2 rakat namaz-e-shafa ki neyat say parhain is k baad aik rakat namaz-e-witr ki neyat say parhain jis mai sura e alhamd aur 3 baar surae qul-huwallah parhnay k baad qunoot mai 40 zinda aur murda momineen k naam le kar bakshish ki dua mangain. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#753). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
57540
Mujtahid:
Date:

Question: sir AOA! mjhe btayen k tahajud k liye sona zrori h?r 12 bje parh skty hn tahajud?

Answer: Wssalam o alykum, G nahi sona zarori nahi,isko 12 b parh askte hen(Albatta fajar se qreeb qareeb parhne k both fawaid rawayat men makoor hen) (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 761 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57928
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam Sir kia hm Namaz e shab kI Qaza parh sakty hyn agr meri namaz e shab choot jay to??

Answer: Wssalam o alykum,G han qaza ki niyat se pharye. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal #57 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
59377
Mujtahid:
Date:

Question: tahjood ki namaz kitne rakaat hoti hai aur knyu padhte hai

Answer: Namaz e Shab 11 rakat hai or is k parhne k rawayat men boht sare fazaail or fawaaid btaye gaye hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 735). In main se ik ye hai jo Imaam Zeen u Abedeen (a.s) se marvi Hadees o Quraani Ayat ka mafhoom hai, ke Namaaz e Tahajjud Allah Taala se tanhai main mulaqaat ka naam hai, jis mulaqaat ke ewaz Allah Taala us ko marifat ata karta hai, jis ki roshni main wo gumraah logo ke dermiyaan chalta hai. (Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 9 , topic # namaaz e tahajjud , pg # 51) , (Ref : Quraan e Majeed , Sura # sura e al-anaam - sura no 6 - , ayat # 122 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60688
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam muje plz zara namaz e Shab mein last 2 aur witr k 1 rikat k bare me bataye shafa k 2 rikat mein kia parte hy aur last one mein kia

Answer: Wssalam o alykum, Namaaz e Shifa ki pehli rakat main Suar e Al-Hamd ke baad Sura e Al-Naas (sura no 114) or dosri rakat main Sura e Al-Hamd ke baad Sura e Al-Falaq (sura 113) pharain.
Namaz e tahajjud 11 rak,aat hay.8 rak,aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rak,at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak,at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak,at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay namaz shab me faqd 1 rakhat witar per iqtefa karsakte hai (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104, (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 498, eidition 1435 )
Namaz e tahajjud ki rakato me surah al hamd per iqtefa kar sakte hai aur dosere surah perhna wajib nahe hai. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4,ques # 78, pg # 47) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61884
Mujtahid:
Date:

Question: kya tahajjud ki namaj ka jkar quran me hai, agar hai to kahan hai, aur iski kya fajilat hai

Answer: 1)Quran me parah#15 ki surah e bani israael ki ayat#79 me namaaz tahajjud ka zikar hai.(Ref: Al-Quran)
2) Namaz e tahajjud ki fazilat k liay is link per click karain.(Ref: http://www.ahl-ul-bayt.org/ur.php/page,19008Unit53460.html?PHPSESSID=9ddbb48d5e3568ede0339affea65211b)
Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76700
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Namaaz e shab kon se namaaz ko khte hen

Answer: Namaz e shab, namaz e tahajjud ko kehte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #752). Update on dated 18-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87966
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salamun alaekum. Mai ye jaanna chhata hu k agar namaz-e shab k beech me azaan shuru ho jae to kya karna chahiye. Baaaz auqat pahli rakat k bad hi azaan hone lagti hai or baaz auqaat ham namaze shab ki niyat se masjid jate hain or shuru karne se pahle azaan ho jati hai

Answer: Namaz e shab ka waqt raat ki ibtidaa sai shuru hojaata hai(yaaney maghrib isha ki azaan ka waqt) aur subah ki azaan tak baaqi rehta hai lekin behtar yehi hai subah ki azaan k qareeb hi parhi jaye.
agar koe shaks us waqt bedaar ho jub fajar tuloo horahi ho tou ada or qaza ki niyat k baghair namaz e shab ada kar sakta hai.
or agar namaz e shab ka waqt baqi nah rahe tu baad main qaza ki niyyat sai ada kar sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 761 and 762)(mujtahid sai poochay gaye sawalaat part 2 sawaal 57). Update on dated 22-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93668
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-25

Question: Namaz e Shab k liye Sona zarori hai

Answer: Jee nahi sona zaroori nahi hai lekin behtar yehi hai k subah ki azan k qareeb parhi jaey agarcheh is ka waqt raat ki ibteda se hi shuru ho jaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#761).
[Updated on 25-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95413
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam kia namaz e shab isha ki namaz k baad foran parh skty hain aur kia is waqt namaz e shab parhny ki whe fazilat hogi jo akhir shab mai hai? Kia Allah ki nazar mai utni hi qadr o manzilat rakhygi?

Answer: Namaz e sahb ka awal waqt mash,hoor qoul ki bina per aadhi raat hay. Ye agarcheh ahwat o behtar hay laikin baeed nahi hay k os waqt raat ki ibteda se shuru ho or subh tak baqi rahe or behtar ye hay keh subah ki azan k qareeb perhi jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #761). Update on dated 15-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
96422
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-05-16

Question: namaz e vitr me ek rakat hai wo subha ki namaz se pehle padhti hu.usme jab qhunoot ke liye hath uthati hu to pura qhunoot padhti hu fr usi me 7 martaba HAZA MAKHAMUL AAYEZE BEKA MINAL NAARE. padhti hu. isi qhunoot ki position me he astkhferullah rabbi watube elh. 70 martaba padhna hai ya namaz khatam kar ke. fr 40 momin ke nam lene hai.uske bad 100 martaba alafwa Al afwa padhna hai.tarike me confuse ho gae hu.

Answer: Namaz e shab 2, 2 rakat kar k 8 rakat namaz parhain phir 2 rakat namaz e shafa ki neyat say parhain, is k baad aik rakat namaz e witr ki niyat say parhain jis mai sura e alhamd aur 3 baar surae qul huwallah parhnay k baad qunoot mai 40 zinda aur murda momineen k naam le kar bakshish ki dua mangain. (Ref: https://www.sistani.org/persian/qa/01067/ )
[Updated on 16-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102783
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-02

Question: Salam. Mera question hai kai kya namaz e shab puri 11 rakat hi parhni chahye ya mai end ki sirf 3 rakat bhi parh sakti hun khali namaz e shifa or namaz e witr?

Answer: Namaz e Shab 3 rakaat end (Namaz e shafa aur Namaz e Witr) ki bhi parh sakte hain or faqat namaz e witr per bhi iktifa kia jasakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752)
[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102784
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-02

Question: Salam. Mera question hai kai kya namaz e shab puri 11 rakat hi parhni chahye ya mai end ki sirf 3 rakat bhi parh sakti hun khali namaz e shifa or namaz e witr?

Answer: Namaz e Shab 3 rakaat (Namaz e shafa aur Namaz e Witr) ki bhi parh sakte hain or faqat witr bhi perhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752)
[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104081
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2020-02-27

Question: Asw..namaze shab padhne ke bad konsi dua pdhi jaaye??

Answer: Aap is link per namaz e shab ka tariqa or namaz k baad ki dua ko daikh sakhte hain. (Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2_%D8%B4%D8%A8)
[Updated on 27-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104444
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Tahajjud ka waqt kabse kabtak rahera hai

Answer: Namaz e sahb ka awal waqt mash,hoor qoul ki bina per aadhi raat hay. Ye agarcheh ahwat o behtar hay laikin baeed nahi hay k os waqt raat ki ibteda se shuru ho or subh tak baqi rahe or behtar ye hay keh subah ki azan k qareeb perhi jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #761).
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107348
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: Salaam Sarkar. . Mara Question yeh hai k namaz-e-shab 3 rakat me padh sakte hai.. 2 rakat shafa or 1 rakat Vitr ??

Answer: Namaz e Shab 3 rakaat (yani 2 rakat Namaz e shafa aur 1 rakat Namaz e Witr) ki bhi parh sakte hain or faqat namaz e witr bhi perhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752)
[Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107805
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Tahajud ki nimaz parhna chor dina gunash hai

Answer: Namaz e Tahajjud nafil namaz hai aur nafil parhna laazim nahi hai wo mustahab hai lehaaza tark kia jaa sakta hai aur is ke tark karne se koi gunah bh nahin milta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 752)
[Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112390
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: اسلام علیکم۔۔ میرا سوال ہے کے کیا نماز شب کی تمام 11 رکعات ہم بیٹھ کر پڑھ سکتے ہیں؟ مہربانی فرما کر تفصیل سے جواب دیں۔ شکریہ

Answer: Jee han, Nafl namazain halat e ekhtiar mai bhi beth kar parhi ja sakti hain aur ye bhi zaroori nahi hai k 2 rakaton ko aik rakat samjha jae albetta behtr hai k inhain kharay rah kar parhay. Aur zaroori hai k namaz e isha k nawafil ehtiyat e wajib ki bina par beth kar parhain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #754)
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112835
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-01

Question: Salam ! Namaz e shab main jo 40 momineen k liye dua krte hain woh namaz main hee krte hain ya namaz k baad???

Answer: Namaz k doran, namaz e witr k qunoot ma dua karte haini. mukammal tareeqa janne k liye is link par click karein.
(Ref:https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2_%D8%B4%D8%A8).
[Updated on 01-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115020
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-13

Question: Namaz e shab vohi parh skta hai jo 5 wqt ka nmazi ho?

Answer: Namaz e shab ka parhna takeedi mustahb hai aur ye wo afrad bhi parh sakte hain jo 5 waqt namaz nahin parhte, Lekin jo wajib namazen qaza ho gayi hain un ki qaza baja lana alag se wajib hai. aur jan bhooj kar wajib namaz ka tark(na parhna) karna haram o gunah e kabira hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #753,1356).
[Updated on 13-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116114
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-07

Question: Is it necessary to sleep before tahajjud ? Or if I stay late till night I can pray tahajjud ?

Answer: 1,2: Jee nahin sona zaroori nahin hai lekin behtar yehi hai k subah ki azan k qareeb parhi jaey agarcheh is ka waqt Raat ki ibtidaa(yani maghrib, isha ki azaan ke waqt) sai shuru ho jaata hai aur subah ki azaan tak baaqi rehta hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #761).
[Updated on 08-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121206
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-11-09

Question: Kiya hum namaz e shab ke 8 rakat ke Jaga qaza namaz parh sakte or phr namaz e shifa or namaz e witr parh lein... Kiya yeh tareeqa durust ha ?

Answer: 1: Jee parh sakti hain, lekin is surat me phir jo qaza namaz parhi jaye gi, wo faqat qaza namaz shumar hogi, namaz e shab shumar nahin hogi.
2: Insaan aisa bhi kar sakta hai ke rozana ke baaz nawafil ko parhay aur baaz ko nah parhay, aur namaz shab mein aakhir ki teen(3) rakat parhnay par iktifa kar sakta hai yani namaz e shafa aur witr parhay, balkay sirf witar par iktifa kar sakta hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #2063).
[Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121605
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-03

Question: Assalam alaikum mufti shaab m gori toh hu but mera face cutting AchA nhi h sblog mujhe bolte h m achi ni dikhti hu koi mujhe psnd ni krta koi meri trf dekhna v nhi chahta is tnsn me mera rang v down ho gya h mere face pr wrinkle v agye h meri age jyda nhi h meri abhi shaadi v nhi hui h but mere face or body ki skin loose hone lgi h plz mufti shaab mujhe koi aisa amal ya wazifa btaye jisse mera face dikhne me AchA ho jaye mere face me kashish ajaye mera rang phle jaisa gora ho jaye mere body or face pr jo jhurriyan h sb khtm ho jaye mera face khubsurt nurani or kashishdar ho jaye plzzzz mufti shaab plzzzzzzzzzz

Answer: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq(a.s) ka farman hai ke Namaz e shab chehre ko zeba (khoobsurat) aur aqhlaaq ko acha banati hai. Aur insan ko khushboodaar karti he. rizq ki ziyadti aur qarz ki adaigi ka baais banti hai ghum ko door karti aur ankhoo ko noor ata karti hai. Aik aur irshad ke aik jumla hai ke namaz e shab chehre ko safaid aur khoobsurat karti hai.
(Ref: Kitab payam e shifa, pg #147).
[Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121675
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-15

Question: کیا نماز شب کے لیے سونا لازمی ہے؟

Answer: Jee nahin, sona zaroori nahin hai, namaz e shab ko aadhi se pehle bhi parh sakte hain, lekin behtar yehi hai ke subah ki azan ke qareeb parhi jaye agarche is ka waqt raat ki ibtidaa (yani maghrib, isha ki azaan ke waqt) se hi shuru ho jaata hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #761).
[Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122189
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-29

Question: Agr namaz e shab ma 40 logo k name laina Bhool Jain to namaz ho jati Hy ? ..ya bhi bta dain Kon Kon c aham rukan hoty tahajad k

Answer: Namaz shab me agar 40 momineen ke naam na liye jayen tab bhi namaz sahi hai.
Namaz shab ki 11 rakat hain, jin me 8 rakat do do kar ke namaz shab ki niyat se (bilkul fajr ki nafil namaz ki tarah) parhni hain.
phir 2 rakat namaz e shafa ki niyat se parhni hain, aur is ki dusri rakat me qunoot nahin hai.
is ke baad aik rakat namaz e witr ki niyat se parhni hai jis me behtar hai ke Al-hamd ke baad aik baar surah e falaq aur aik baar surah e naas aur 3 baar surah e tauheed parhi jaye aur is me qunoot parhna mustahab hai, aur qunoot me 40 momineen ke naam lena zaroori nahin hain balke aam taur par jo dua e qunoot parhi jati hai wo parh sakte hain.

(Note: Is baat ka zikar karna munasib hai ke agar namazi, namaz shab mein sirf Al-hmd parhe aur koi surah nah parhay ya mukhtaser qunoot parhay ya qunoot bilkul nah parhay, tab bhi us ki namaz shab sahi hai).

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #2061,2062).
[Updated on 30-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122367
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-06-14

Question: Namaz e shab ma jo pehly 8 rakkat hoti h un ma qunoot par skty ha ya nhe

Answer: Tamam wajib aur mustahab namazon me dusri rakat ke ruku se pehlay qunoot parhna mustahab hai lekin namaz e shafa me qunoot parhna mustahab bhi nahin hai aur parhna chahen to zaroori hai ke raja e matlobiyat (hope of acceptance) ki niyat se parhen. aur namaz witr main bhi bawajood is ke keh aik rakat ki hoti hai, ruku se pehlay is me bhi qunoot parhna mustahab hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1104).
[Updated on 15-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123399
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: AslamOAlaikum mjh koi wazifa Bata den Din Be Din mer chehra Benoor Kala hota ja rha h acne Hoti h Nishbnat hojaty Hain meri age b 20 h or abhi s berang hogya h chehra

Answer: 1: Hazrat Imam Jaffar e Sadiq(a.s) ka farman hai ke “Namaz e shab chehray ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati hai. Aur insan ko khushbo daar karti hai. Rizq ki ziyadti aur qarz ki adaigi ka baes banti hai, gham ko door karti aur aankhoo ko noor ata karti hai”. Aik aur irshad ka aik jumla hai ke namaz e shab chehray ko safaid aur khoobsurat karti hai.
2: Chehray (face) ki khubsurati ke liye: chehray ko rozana dhone ke baad din me kam az kam 2 martaba safaid phitkari ke tukre ko gheela kar ke chehray par malen. ya kheere, tamater, podina, tulsi ka ras chehray par malen.
(Ref: Kitab payam e shifa, pg #147).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print