Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Musafir Ki Namaz (44 Questions)


Showing 0- 44 questions from 44 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
251
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: I am defence person. My home is in Rawalpindi and now a days I am living in peshawar from last 3 years due to duties. One day I went to Rawalpindi (Home) for 3 days. After 3 days I came back in Peshawar, but after 2 days I again went to Rawalpindi (Home). Question is waht about my prayers, is it "QASAR" or "FULL" also what about my "FAST" (Roza). Thanks.

Answer: Wo shakhs jo kaseerus Safar ho yani ziada safar karta ho chahay is ka pesha safar say wabasta na ho jaisay wo shakhs jo haftay(week) main teen(3) din safar main guzaarta ho chahay is ka safar tafreeh ya sayahat kay liye ho aisay shakhs kay liye zaroori hay kay apni namazain poori parhay aur safar main rozay bhi rakhay.aur agar wo kaseerus safar na ho to hadd-e-tarakhus kay baad wo namazoo ko qasr anjaam day ga aur roza bhi nahi rakhay ga bashart ye kay namaz qasr honay ki baqi sharait bhi maujood hoon.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.209.

Print

Id:
977
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: mein ager safer mein ho aur nmaz qaser perhi wapsi per mein apni city se door hoon ke namaz kasur hai lekin rastein mein hoon aur azan ho gai mager kaza hone se phele phonch gaya aur namaz qaser perhoon ke poori shukrya

Answer: Aap ko Namaz poori parhna hogee.Ref: Mujtahid say pooochay gaey sawalaat Book-4 Q.No.77.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
2416
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: 1-agr koi shakhs zohr ke baad safr kataqreeban 2 baje safar karta hai aor kisi dosre shahar me 5 baje sham ko pahoch jata hai to whah pachne ke baad oh qasr namaz padhega ya pori namaz padhega ,is lie ki jab oh nikla tha apne shahr se to zohar ka waqt ho choka tha. 2-agr koi shakhs kisi shahr se apne watan 5 baje pahoch ata hai aor jab oh kisi shr se chala tha to zohr ka wakt ho choka tha ab apne watn jab sham ko 5 baje pahoch gya to oh qasr padhe ga ya pori namaz padhega,is lie ki jab oh kis shar se chala tha to os ke opr namaz qasr the.

Answer: 1) Agar namaz ka waqt aajaay or itna waqt ho k namaz perhi jasakti ho or wo shaks namaz nah perhay, or dosrae shahar jaaker perhay tu wo shaks namaz ko qasar perhay ga
2) Or isi terah agar namaz ka waqt dosray shahar main aajaay or itna waqt ho k namaz perhi jasakti ho or wo shaks namaz nah perhay, or apnay watan(shahar)aaker perhay tu wo shaks namaz ko poori perhay ga,
Kun k namaz k ada kernay k waqt ko daikha jaata hay k, nah k namaz kis waqt wajib hoe os ko daikah jaata hay. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#950).

Print

Id:
3974
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: namaz e qasar kitny fasly pr shroo hoti hai?

Answer: Zarori hay k musafir zuhar,asr or isha ki namaz 8 shara’it ki maujoodgi main qasar baja laay, yaani 2 rakat perhay.in 8 shara’it main say aik shart ye hay k safar 8 sharee farsakh(yaani taqreeban 44 kilo meter) ho.layhaza jis shaks k jaanay or wapis aanay ka mukammal safar 44km ho tu zarori hay k wo shaks namaz ko qasar perhay.
Mazeed ye k agar safar ka agaaz apnay sheher(city) say karay tu hadday takhkhus tak pohanch jaay. Or hadday tarakhkhus wo jagah hay jahaan say ehlay sheher hatta keh wo afraad jo sheher k muzafaat main sheher k bahar rehtay hain musafir ko nah daikh sakay or oski alamat ye hay k wo ehlay sheher ko nah daikh sakay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1259-1341).

Print

Id:
4059
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Molana Sahab, mai Iran-Iraq- Sham ki Ziarat Parhne ja rahahu Aup meri rehnumai Kare keh kis maqam per per puri Namaz parni chaiye aur kis maqam per Audhi Parni chaiye, Aur ye bhi batae keh agar mera stey kisi maqam per 10 din se ziada ho to muje namaz qasar parhni chaihe ya puri Namaz parni chaiey Jawab ka jald Muntazir hu Thanks

Answer: 1) Zarori hay k musafir zuhar,asr or isha ki namaz 8 shara’it ki maujoodgi main qasar baja laay, yaani 2 rakat perhay.in 8 shara’it main say aik shart ye hay k safar 8 sharee farsakh(yaani taqreeban 44 kilo meter) ho.layhaza jis shaks k jaanay or wapis aanay ka mukammal safar 44km ho tu zarori hay k wo shaks namaz ko qasar perhay. Mazeed ye k agar safar ka agaaz apnay sheher(city) say karay tu hadday takhkhus tak pohanch jaay. Or hadday tarakhkhus wo jagah hay jahaan say ehlay sheher hatta keh wo afraad jo sheher k muzafaat main sheher k bahar rehtay hain musafir ko nah daikh sakay or oski alamat ye hay k wo ehlay sheher ko nah daikh sakay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1259-1341).
2)Agar musafir 10 din ya us se ziada kisi jagha rahe to zarori he k namaz puri parhe. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1280 se pahle) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6254
Mujtahid:
Date:

Question: I just wanted to ask that I lived in karachi but at now I am at Gujranwala so should I per form the Namaz e Safar or if yes then wht is procedure to perform it.

Answer: 1) Zarori hay k musafir zuhar,asr or isha ki namaz 8 shara’it ki maujoodgi main qasar baja laay, yaani 2 rakat perhay.in 8 shara’it main say aik shart ye hay k safar 8 sharee farsakh(yaani taqreeban 44 kilo meter) ho.layhaza jis shaks k jaanay or wapis aanay ka mukammal safar 44km ho tu zarori hay k wo shaks namaz ko qasar perhay. Mazeed ye k agar safar ka agaaz apnay sheher(city) say karay tu hadday takhkhus tak pohanch jaay. Or hadday tarakhkhus wo jagah hay jahaan say ehlay sheher hatta keh wo afraad jo sheher k muzafaat main sheher k bahar rehtay hain musafir ko nah daikh sakay or oski alamat ye hay k wo ehlay sheher ko nah daikh sakay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1259-1341).
2)Agar musafir 10 din ya us se ziada kisi jagha rahe to zarori he k namaz puri parhe. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1280 se pahle) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7615
Mujtahid:
Date:

Question: Mufti sahab mera swal namaz k bary main ha agar kahin kisi masjid main sirf ek musfar hi nmaz karva skta ho aur wo kahy k musafir hony ki waja se main sirf Aadi nmaz hi parun ga tu agar 4 rakat ki namaz ho gie tu wo kahy k main 2 rkat namz parun ga aur 2 rkat par k main salam phair dun ga aur ap loog mery salam phrny k bad apni apni namaz ki 2 raktn khud par lena phr wo Musafir 2 rkat par k salam phair data hai aur uss k pechy namz parny walay salam nah pharty wo khary ho jaty hien aur apni namz ki 2 rakt par kar phar slam pharty hien tu kia ye sai hai

Answer: Jee haan ye sahi he magar jo musafir zohar, asr aur isha ki namazain qasar kar k parhta ho os k lie makrooh he k in namazoon me aisay shakhs ki iqtida karay(yani paish namaz banna) jo musafir nahi he. Aur jo musafir na ho os k lie makrooh he k in namazoon me kisi musafir ki iqtida karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1471) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7774
Mujtahid:
Date:

Question: qasar namaz zohar ki kitni raktain parni chaheya?shukarya

Answer: zaroori he k musafir zohar ki namaz 8 shrait hotay huay qasr baja laye yani 2 rakaat parhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1259 k upper pg # 204) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9004
Mujtahid:
ayatollah sistani Date:

Question: salam main rawalpindi me rehta hoon to kya mera safer tb shuru ho ga jb me rawalpindi se bahir chala jao?

Answer: Agr koi musafir apne rehash gah(is se murad wo shehr ya gaon hai jis men insan rehta hai) se 44 kilometer(matlb is qadr safr kre k uska ana jana mila kr 44 kilo metre bane) ya is se ziyada safar kare to is ki namaz zahor, asar or aisha qasar (2 rakat ) parhni paregi. musaferat ka aghaz aksar aokaat shahr(city) ke aakhiri area(elaqe) se kiya jata hai. is hawale se jab ap Rawalpindi se nikal rahe hon to shehr k us akhri hisse pohnce jo shahr ka akhri hissa shumar hota ho to wahan taqriban 22 kilometers safar krne k bad apki namaz qasr hojaye gi or 22 kilometers k andar apkinamaz puri parhenge. (Ref:Jadeed Faqhi Masail,Ayat-ul-allah Sistanai(a.s), eidition 5,Ques # 71 , pg # 70,)

Print

Id:
9463
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamoaalaikum, I live in a foreign country and my father lives in different country. when i visit them for 10 days do i have to pray full namaz or qasr?

Answer: if you know that you will stay 10 so you have to perform full namaz not qasar. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 207) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
13788
Mujtahid:
Date:

Question: .mufti sb. Mujhe ye janna hai k namaze qasr kitne dino k safar pe padhna zaroori hota hai ?pls rply....shukriya..

Answer: Musafir kisi jigha 10 din ya is sai ziada din rehnay ka irada na rakhta ho to namaz qasr ho gi aur agar 10 din kisi jigha par rahay to zaroori hai namaz puri perhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 207) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15339
Mujtahid:
Date:

Question: aslamualikm sir mara sawal ya ha k safr m kasr krni parti ha agr rozana ka mamool ho 200 ya 250kilometer safr krna to kia us m kasr krni chayea..kun k m saudi arab m driver hun daily 250 kilo meter safr lazmi krta hun kindly mja tafseel sa bataeya..thanks

Answer: Jis shaks ka pesha (profession) safar se he wabasta ho jise driver , post man waghera aisay afrad k lie zaroori hai apni namazain puri perhain.( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # musafir ki namaz, shrt # 7) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
16336
Mujtahid:
Date:

Question: May pakistani kaa citizen hoon magar main UAE(abudhabi) basilsila rozgar mustaqil rehish pazeer hoon abb agar main pakistan(karachi) one week ki chuti per jata hoon to kiya main qasar namaz parhoon gaa yaa puri namaz parahoon.

Answer: 1)Agar aik shaks kise aise maqaam per pouche jo kise zamane me is ka watan raha ho aur baad me is ne ise tarak kardeya ho to chahe is ne koi naya watan apne lye mintakhb na bhi kiya ho to zarore hai ka wahan puri namaz na perhe.(to is hawale se agr apne Karachi rehne ka irada khatm krdiya hai or apne ye ikhtiyar kr liya hai kap hmesha UAE men rahenge to UAE apka watan hojayega Karachi apka watan nahi rahega albatta 6 din k liye Karachi men rahe to namaz Qase hogi lekin agr 10 ya us se ziyada din krachi men rahe to phir puri namaz parhni paregi)
2) jo shaks 2 maqamaat per zindaghi ghuzarta ho ,maslan 6mahene aik sheair me aur 6 mahene dosere sheair me rahta ho to dono maqamaat is ka watan hai.(yani dono jaga ye puri namaz parhega.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1320,1318)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16954
Mujtahid:
Qasar Nanaz Date:

Question: Asslamualaikum Warahmatullah main ek student hu aur main paancho waqt ki namaz padhta hu Alhumdulillah.Mera sawal hai k college wale humein 3 din ke liye industrial tour par le ja rahe hai shehar se bahar to mujhe ab namaz qasar karni hai par mujhe iska sahi tariqa nahi maloom.To main puchna chahta hu k qasar namaz ko kaise ,kis jagah padhenge kyunki wo jagah mere liye anjaan hai aur mere saath mere sabhi classmate bhi honge to main ab kya karu aap mujhe iska sahi hal batayein.Aapke jawab ke intejar me rahunga aur ho sake to jaldi jawab dijiyega,Khuda hafiz.

Answer: 1)Zaroori hai k musafir zohar, Asr aur isha ki namaz qasar baja laye yani 2 rakat parhay. Aur magrib ki 3 aur fajar ki 2 rakat namaz parhay. Yani zohar, Asr aur isha ki namaz ko doosri rakat par khatam kr dain.
2)Mustahabb hai k musafir har qasar namaz k baad 30 martaba “ ﺴﺒﺤﺎﻦﺍﷲﻮﺍﻠﺤﻤﺪﷲﻮﻻﺍﻠﻪﺍﻻﺍﷲﻮﺍﷲﺍﻜﺒﺮ ” kahay aur agarchah ye zikr har wajib namaz ki taqeeb mai mustahabb hai laikin is morid mai bohat ziada takeed ki gae hai bal k behtr hai k musafir in namazoo ki taqeeb mai yahi zikr 60 martaba parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17201
Mujtahid:
Date:

Question: Dear Sir Umeed haiy app Khariat saiy hoon gay mera aik sawaal haiy jo main phelaiy bhi urz kiya tha magar shayad app ki nazar say nahi guzraa dubra uraz ker raha hoon umeed haiy kaiy jawab zaroor milay gaa mera sawal haiy kaiy main Pakistani hoo or karachi main residence haiy magar main yahan Abudhabi main job kaiy silslalay main rehata hoon or sall main aik do dafa pakistan jana hoo ta haiy agar mera stay karachimain sirif aik week yaa 10 din kaa haiy to jub kaiy ajj kal meraiy rehsih uae main haiy to kiya pakistan aik week kaiy liya jaa ker main qasar namaz add karoon gaa yaa puri agar jawab miljaiy to bari mehr bani hoo gii

Answer: Jis jagah ko insan nay apni mustaqil sakonat or bood o baash k liay muntakhab kia ho, wo oska watan hay chahay wo wahaan paida hoa ho or woo s ka abaa,e watan ho ya os nay khud os jagah ko zindagi basar kerne k liay ikhtiyaar kia ho.(Ref: .( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1315 ). 2) Agar aik shaks kisi aisay maqam per pohnchay jo kisi zamanay main oska watan raha ho or baad main os nay osay terk ker dia ho tu chahay os nay koe naya watan apnay liay muntakhab nah bhi kia ho tu zarori hay k wahan pori namaz nah perhay.(.( ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1320 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
42538
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Agr mai sefr mai hun or mjy malum nei a k mai yahan kitny din rehun ga to aise surt mai kya mai qesr namaz ada kerun ga k puri namaz perun ga?

Answer: Musafir kisi jigha 10 din ya is sai ziada din rehnay ka irada na rakhta ho to namaz qasr ho gi aur
agar 10 din kisi jigha par rahay to zaroori hai namaz puri perhay. (Ref: Ayatullah
Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 207) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa karay).

Print

Id:
42602
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Imam qasar nimaz ki waja si 2 rakat k baat salam phair de aur muqtadee kharay ho janyan gain. to remaining 2 rakat muqtadee khamoosh kayam karan ge or soorah fatiha paran ge. ple gudie.

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
1)Jo musafir na ho os k lie makrooh hai k on namazoo mai jo qasar kar k parhi jati hai kisi musafir ki iqteda karay.
2)Agar iqteda karay to phir agay sai wo namaz ko furada ki niyat sai tamam karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1471, 1433)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
66468
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam, Main daharki Sindhi mein job karta hun Jo Karachi se takreeban 600 km dour hai aur main normally har 15 se 30 din mein Ghar (Khi) ata hun tou Ab agar main safar karta hun ramzan mein tou mjhe roza rakhna hoga ya ny. Mjhe teenon cases mein batayay ga agar mein zuhr se pehle safar shuru karon, zuhr ke baad shuru karon aur mera stay dus din se zyada ho ya dus din se kam

Answer: Jo skhas mahine main kam az kam 10 baar safar per jaey ya 10 din safar main rahe tu wo kaseerus safar kehlata hay or Kaseerus safar shaks ko safar main namaz pori perhni hoti or roza bhi rakhna hota hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1296). Update on dated 16-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81784
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ayatollah Sistani k nazdeek Watan ki kya Tareef hai. Tafseel k saath bataye? Or Kya Biwi ka Apna Ghar (Maika) watan me shumaar hota hai?

Answer: Ayatollah Sistani ky nazdeek watan ki 3 qismen hen
1-Jahan insaan peda hawa ho(barth place).
2-Jahan wo rehta ho or hamesh rehny ka irada kia ho.
3- Jahan insaan aik muddat k liay rehnay ka irada karay.
Biwi ka maika in qismon main say agar kisi qism main dakhil ho to wo watan
ki haisiyat rakhy ga or namaz poori hogi or rozay rakhny parhen gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Masael e muntakhaba, maslah #146). Update on dated 16-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
84989
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: salam men chakwal,punjab,pakistan ka rehne wala hun aur sargodha men study kerta hun(jo k 135 km door ha mere muqam se)...aur mere mamoo (relative) lahore rehte hen(jo k sargodha se 170 km door ha)...aur men ziada ter chutaian mamoo k pass guzarta hun....lihaza aksaro bashter(mostly) men week end pe lahore jata hun...aur 2,3 din k bad wapse sargodha aa jaata hun... kia lahore men mere namaz qasar ha k nai.... kia un muqamaat per b namaz qasar ho jati ha jahan insan aksaro bashter jata ho.... kia mamoo(close relative) k ghar b namaz qasar ho jati ha jahan insan ko aksar aana jana perta ha.... jawab ja mutazir hun... shukria...

Answer: Jo shaks mahine main kam az kam 10 din safar main rahe ya 10 din safar kare tu aisa shaks kasirus safar shumaar hoga. Or wo safar main bhi pori namaz perhe ga. Or agar kasirus safar shumaar nah ho tu safar main or os jagah jahan 10 din kam ka qayam ho wahan qasar namaz perhe ga. (Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 page no 208 and 209) Update on dated 07-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102841
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-21

Question: Assalam alikum Mera sawal Ye he k qasar namaz me sunnat parhi jati he Ya nahi

Answer: safar ke doran chaar rakati wajib namazon ki nawafil saqit hain aur unhen nahi baja lana chahiye chunacheh zuhur , asar aur isha ke nawafil saqit hain aur nafilah e shab , nafilah e subah aur nafilah e maghrib ko baja laya ja sakta hai. (Mafhoom)
(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, https://www.sistani.org/urdu/book/61/3639/)
[Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
103265
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-25

Question: اگر مسافر کہیں نماز کے لیے رکے اور قصر نماز پڑھ رہا ہو تو باقی آنے والے افراد اس کے پیچھے قصر نماز پڑھیں گے یا پوری

Answer: Har shaks apne apne fareezay k mutaabiq amal karay ga. Yani jo musafir hain wo qasr parhain gaey or jo musafir nahi hain wo mukammal parhain gaey. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1343).
[Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104069
Mujtahid:
fiqh hanfia Date: 2023-08-16

Question: kasar ki nawaz ketne fasle par wajib hoti he

Answer: Agar koe musafir apni rehaish gha se 44 kilometer ya is se ziyada safar kare to is ki namaz zahor , asar aur aisha qasar (2 rakat ) perhe jaay ghi . musaferat ka aghaz aksar aokaat shehar (city) k aakhiri gharo se kiya jaay gha. albata bare (big) shehro ka hokum is se muktalif hai jahan aik mahalle se dosare mahalle ki taraf muntakil hona safar shumaar hota hai. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 71 , pg # 70, eidition 5)
[Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104551
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-04-21

Question: Assalam u Alaikum Wa Rehmatullah!!! Ya Ali a.s Madad. Mohtaram me Job k gharz se har monday to thursday ka irada kar k Nawabshah se Hyderabad jata hu jis ka ek taraf ka travel 120KM banta hai. Is doran me stay apni khala k ghar karta hu. mere lie Namaz or Roze ka kia hukum hoga?

Answer: 1)Aap ke liye mukammal namaz parhna zaroori hogi, Agar aap saal main 6 mahino main har mahine 10 din sarf main rehte hoon ya 10 safar karte hoon. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 1307)
2)Jis musafir k lie safar mai 4 rakat namaz 2 rakat ho jati hai osay roza nahi rakhna chaheay. Yani jab os ka safar 44 kilometer sai ziada ho aur 10 din ya os sai ziada rehnay ka irada na ho tab roza nahi rakhna chaheay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1685)
[Updated on 22-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
107130
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-02

Question: I came to Islamabad to my brothers house for a month .will i pray kaser.if yes how many days?

Answer: Musafir kisi jigha 10 din ya is sai ziada din rehnay ka irada na rakhta ho to namaz qasr ho gi aur agar 10 din kisi jigha par rahay to zaroori hai namaz puri perhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 207)
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111144
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-12-01

Question: Aslam u Alikum. Maine Lahore se Abu Dhabi Travel kia aur idher Government ne Airport se mujhy 14 din k liye qurantine kar dia. kya namaz qasar ho ge ya Pori parni hai? Please advice

Answer: Jis jagah ko insan nay apni mustaqil sakonat or bood o baash k liay muntakhab kia ho, wo oska watan hay chahay wo wahaan paida hoa ho or wo os ka aabae watan ho ya os nay khud os jagah ko zindagi basar kerne k liay ikhtiyaar kia ho.(Ref: .( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1315)
[Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112765
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-01-29

Question: zuhar namaz kasar ka distance kya hai

Answer: Musafir ka safar 44 kilo meter se kam nah ho or degar sahrait bhi maujood hoon tu 4 rakati namaz ko qasar kar k perha ajey ga. (Ref: (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1259).
[Updated on 29-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113270
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-02-23

Question: Aoa mujhe ye puchna tha out of country se saal bad apny ghar pak ana ho toh safar ki namaz ka kia tariqa ha or kitny din stay k bad ap par safr ki namaz wajib nai rehti?

Answer: Apney watan jub wapis aayen gay tou namaz poori hi parhni hogi
lekin agar aap ka darmiyaan mai kisi or jagah 10 din sai kum qayaam hota hai tou us soorat mai zohar, asr or isha ki namaz qasr yaaney 2 rakaat parhi jaayen gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 page no 207).
[Updated on 23-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
113940
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Musafir ko maghrib ki kitni rakatein pahrna chaahiye

Answer: Zaroori hay ke musafir zuhar, asr or isha ki namaz 8 sharait ki maujoodgi main qasr baja laye, (yaani 2 rakat parhay). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, before maslah #1259).
(Note: Qasr namaz parhne ka hukum sirf 4 rakati namazon ke bare men hai jese zuhar, asar aur isha namaz hai. lekin jo namazain 4 rakat se kam hain jese maghrib aur fajar ki namaz to in ke bare men ye hukum nahin hai. lehaza maghrib 3 rakat hi parhi jaye gi aur fajar 2 rakat hi parhi jaye gi ).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114131
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-21

Question: 12 din kay leyiay mulk say bahar ja raha hoon rozay kay kia ehkam hain

Answer: Aap ko Namaz pori parni hogi aur rozay bhi rakhne hon gay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1323,1685).
[Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: Assalam o Alaikum Aghr kisi shakhs ky 2 ghr hon or unke darmayan mn 35 kilometer ka fasla ho or wo agr aik ghr sy dusaray ki taraf safar kry to rastay mn woh kia namaz pori phray ga

Answer: Agar wapis bhi ana ho tu phir namaz ko qasar parhna hoga. Q keh safar ki musfat 44km meter ho tu namaz qasr pargna lazim hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Chapter musafir ki Namaz, shart #7 Maslah #1306).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115168
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-06-25

Question: Kya Musafir par namaz Farz hai

Answer: 1)g han albatta usay namaz qasar kar k perni hoti hay.
2)Insaan ki namaz qasr us waqt hoti jb uska anay aur janay ka total safar 8 sharai farsakh ho(yani taqreeban 44 km) ho. Safar ka hisab us jaga say kerna zarori hai jahan say guzar janay k baad admi musafir shumaar hota hai aur omoman wo jagah shehr ka aakhri hissa yani ending hoti hai laikin baaz barhay cities mai mumkin hai k wo city ka akhri muhalla ho jo ending shumaar hota ho. 2-3-Musafir kisi jaga agr 10 din ya os say ziada rehnay ka irada rakhta ho tu namaz puri parhay or agar 10 din se kam rehna ho tu namaz qasr perhni wajib hogi.
(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1267,1279) .
[Updated on 25-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116016
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-09

Question: Agar safar wapsi main ho to ghar pohanch ney sey kitney pehley qasar parh saktey hain

Answer: Agar wapis bhi ana ho tu phir namaz ko qasar parhna hoga. Q keh Musafir agar apne watan wapis aa raha ho jab tak wo apne watan na punhche zaroori ke qasar namaz parhe.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1306).
[Updated on 10-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116328
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-29

Question: Salam Muharram ya Safar k Mahinay (month) mai kisi aziz ki shadi mai shirkat ki garz say safer (travel ) kr saktai hain. jb k shadi 12 rabi ul awal ko hain. Bara i karam detail mai batyai.

Answer: wsalam.
jee safar kia jaa sakta hai koi harj nahi hai.Ref:(https://www.sistani.org/arabic/qa/02170/).

[Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121438
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-29

Question: Salam mera yeh sawal hai k mai apny shar (city say dosry city) ja rha hun 9 days k liey or mery pas pori namaz parhny ka b waqt ho. To kia mai tab b qasar namaz parhun 2 rakat kar k ya pori namaz parhun??

Answer: Agar aap ka 10 din rehne ka irada nahin hai to aap ko namaz qasr namaz hi parhni hogi. Q ke zaroori hai ke musafir zuhar, asr or isha ki namaz 8 sharait ki maujoodgi main qasr baja laye, (yaani 2 rakat parhay). in me se aik shart ye hai ke agar kisi jagh 10 din rehne ka irada na ho to namaz qasr parhna zaroori hai.

(Note: Qasr namaz parhne ka hukum sirf 4 rakati namazon ke bare men hai jese zuhar, asar aur isha ki namaz hai. lekin jo namazain 4 rakat se kam hain jese maghrib aur fajar ki namaz to in ke bare men ye hukum nahin hai. lehaza maghrib 3 rakat hi parhi jaye gi aur fajar 2 rakat hi parhi jaye gi).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before maslah #1259 and 1321).
[Updated on 30-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121640
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-10

Question: السلام عليكم ورحمة الله وبركاته كيف حالك Kiya jab larki ki shadi hoo jaati hai.... Uc k baad jab larki upnay ammi abu k gher 10 din se kaam rehnay k liye aati hai Aur 44 km se zayada safar b ho jaata hai...... Kiya larki namaz qasar parhay ge Ya puri namaz parhay ge.... Jawab Ayat Ullah Sistani k mutabiq dijeye ga.... Sukriya

Answer: 1: Ayatullah Sistani(d.b) ke nazdeek watan ki 3 qismen hain:
1. Jahan insaan peda hawa ho (birth place).
2. Jahan wo rehta ho or hamesh rehne ka irada kiya ho.
3. Jahan insaan aik muddat ke liye rehne ka irada kare.

2: Sawal: shadi shuda khatoon jis ke susraal wale kisi aur shehr me hon jab apne waledian ke ghar aaye to namaz aur rozay ka kya hukum hai ? Qasr ya tamam ?
Jawab: Agar das din ya ziyada muddat ke liye aaye aur das din tak apne walidain ke shehar se bahar niklny ka koi iradah nah ho to wahan namaz tamam parhay aur roza bhi rakhay,
Lekin agar das din se kam muddat ke liye aaye ya das din ke liye aaye lekin kuch din kisi aur shehar mein guzaarne ka iradah ho ya walidain ke shehar se bahar 22 kilometer tak safar karne ka iradah ho agarchay sirf ja kar wapas ka iradah ho to is soorat mein yeh dekhna hoga ke khatoon ne apne walidain ke watan se airaaz kya hai ya nahin?
Agar airaaz kya ho to namaz qasr hogi
Agar airaaz nahin kya hai to namaz tamam hogi.
Airaaz se muraad yeh hai ke khatoon ko yeh yaqeen ya itminaan ho ke woh apne walidain ke watan dobarah zindagi guzaarne ke liye nahin aaye gi,
Airaaz nah karne ka matlab yeh hai ke usay itminaan ya yaqeen ho ke kisi bhi waqt wahan zindagi guzaarne ke liye aa sakti hai agarchay mustaqbil baeed mein,
Chunkay yeh masla mubtala beh hai is. liye uski kuch misalein bayan karte hain:
1. khatoon ko yeh yaqeen ya itminaan hai ke uska shohar khatoon ke walidain ke watan mein ghar banaye ga aur mustaqbil mein unki zindagi wahan guzray gi ,
2. khatoon ko yeh yaqeen ya itminaan hai ke uska shohar kisi bhi waqt usay Talaq day sakta hai aur usay apne walidain ke watan jana parre ga,
3. khatoon ko yeh yaqeen ya itminaan hai ke shohar ki duty uskay walidain ke watan mein hogi aur inhen wahan zindagi guzaarni parre gi, in teenon sooraton mein kaha jaye ga ke is ne airaaz nahin kya hai
4. khatoon ko yeh yaqeen ya itminaan ho ke shohar is ke walidain ke watan mein ghar kabhi bhi nahin banaye ga, aur nah kabhi usay Talaq day ga, aur nah uski duty wahan hogi aur nah hi kisi aur wajah se inhen wahan zindagi guzaarne ki zaroorat parre gi balkay woh dono shohar ke watan ya kisi aur jagah hi zindagi guzaren gay.
is soorat mein kaha jaye ga ke is ne walidain ke watan se airaaz kya hai,
Note: asal miyaar yahi hai jisay bayan kya, miyaar niyat karna ya nah karna nahin hai.

3: Sawal: baaz khawateen ki shadi ke waqt hi yeh niyat hoti hai ke har bachay ki wiladat pay 40 din ya kuch ziyada apne baap ke ghar aake rahay gi ab baap ke ghar un ki namaz ka kya hukum hai ?
Jawab: agar airaaz kya hai aur sirf 40 din ya kuch ziyada rehne ki niyat hai to 10 din se kam rehne ki soorat mein qasr warna tamam hogi.

4: Sawal: shohar ki duty kisi door jagah muntaqil honay ki wajah se shohar apne bachon ko apne susar ke haan chore dete hain ab biwi aur bachon ki namaz ka kya hukum hai ?
Jawab: agar shuru se airaaz nah kya ho ya airaaz to kya tha magar ab dobara dairh saal ya is se ziyada rehne ka pakka iradah hai aur mahinay mein kam az kam 22 din wahan rehne ka iradah hai to is jagah namaz tamam parhay.

5: Sawal: agar koi shakhs 20 saal pehlay kisi wajah se apna ilaqa chorney par majboor hua ab woh wapis aaya hai uski namazon ka kya hukum hai ?
Jawab: Sabiqa jawab hai,
Note: yeh hukum khatoon ke alawa baqi logon ke liye bhi hai jo aik shehar chore kar kisi aur jagah abad ho jatay hain.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, Edition #1443, pg #613 to 655).

[Updated on 11-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122116
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-05-17

Question: Mera sawal hay k safar mai qasar nimaz imam k peechay pad skty mtlb baajamat pad skty ya ni agr pad skty to rules kia hn pehli saaf m khara hoskty k ni?

Answer: 1: Jee parh sakte hain, magar jo musafir zuhar, asr aur isha ki namazain qasar kar ke parhta ho us ke liye makrooh hai ke in namazon me aise shakhs ki iqtida karay (yani peeche namaz parhe) jo musafir nahin hai. Aur jo shakhs khud musafir na ho us ke liye makrooh hai ke in namazon me kisi musafir ki iqtida karay.
2: Qasr namaz parhne wala musafir jab kisi aise paish imam ke peeche jamaat ke sath namaz parhe jo musafir nahin ho to namaz e jamaat ka tareeqa e kaar wohi hoga sirf aap ko do rakat parhni hongi, is tarah se ke jab aap imam ke sath pehli rakat se namaz shuru karen ge to imam dusri rakat ke dono sajdon ke bad tashahhud parhe ga aur aap ne bhi tashahhud parhna hai aur tashahhud parhne ke bad jab imam teesri rakat ke liye khara hoga to aap tashahhud parhne ke bad imam ke sath khare nah hon balke bethe rahen aur salam parh kar namaz ko tamam karen.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1471).
[Updated on 18-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122714
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-04

Question: ایک فوجی بندہ 2 ہفتے کی چھٹی پے گھر آتا ہے تو گھر میں اس کو نماز پوری پڑھنی ہوگی یا قصر؟

Answer: Namaz poori parhni hogi, Q ke jo jagh ya sheher(city) insaan ka apna watan ho to wahan namaz poori parhna zaroori hai.
Aur dusri baat ye ke insaan jis jagah 10 din rehne ka irada kare to zaroori hai ke wahan bhi poori namaz parhay.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1315,1321).
[Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122869
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Assalamualikum Mein dusra shehar aya hoa hoon 2 din ke liya meri dadi ka ghar hai ye mein yahan qasar namazoon ki jagaan namazein puri par raha hoon or roza bhi pura rakh raha hoon to kia meri ibadaat qabile qubool hai? kiun ke meri niyat saaf hai bilkul

Answer: Agar aap ki dadi ka ghar aap ka watan shumaar ho to zaroori hai ke namaz poori parhen, lekin agar dadi ka ghar aap ka watan shumaar nah ho to zaroori hai ke namaz qasr kar ke parhen, aur agar jaan bhooj kar qasr ki jagh poori namaz parhen gay to namaz baatil hogi aur aap ko dubara parhni pare gi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1315,1343).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122885
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-12

Question: Salam Aagha mera college mere ghar se 30 km dur h aane jane ka rasta 60 km hota hai or mujhe roz up down karna hota hai to aise me mujhe poora roza rakhna hoga

Answer: Aap ko poori namaz parhni hogi aur roza bhi rakhna hoga, Q ke Jo shahks mahine main kam az kam 10 din safar main rahe ya 10 din safar kare to aisa shaks kaseer-us-safar shumaar hoga. aur wo safar main bhi poori namaz parhe ga, isi tarah us ko roza bhi rakhna hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1296,1685).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122927
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-22

Question: Koi student hostelized ho or 20 din k bad ghar sirf 2 ya 3 din k lie ghar aye kia wo qasar nmaz parhy ga ghar aa kr ?hostel dusry city mein ho jis ka distance 20km ho

Answer: Pehli baat to ye ke insaan apne ghar yani apne watan me aaya ho to chahe 1 ya 2 din ke liye aaya ho, us ko namaz poori parhni hoti hai.
doosri baat ye ke 20km ye faasal (distance) kam hai jabke namaz ko qasar kar ke parhne ke liye faasla 22km chahiye.
Lihaza dono soorton wo student namaz poori parhe ga.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1261,1315).
[Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123140
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-16

Question: Mai apne husband k sath city me rehty hu husband k watan mujhe kbi kbi Jana padta h but mai proper unke watan abi tk ni rahi ..kya ramzan me 2 din k liye agr jau to roze ka kya hukm h ...Mera roza qasr hoga k ni

Answer: Agar wo aap ka watan nahin hai to agar wahan 10 din se kam rehne ka irada hai hai to wahan aap ki namaz qasar (yani 4rakhate namaz 2 rakhat )hogi aur aap ko roza bhi nahin rakhna lekin ramzan ke baad is rozay ka qaza karna zaroori hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1315,1317,1685).
[Updated on 17-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123782
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Qasir ki qaza nmz Kaisy parhi jahy..?

Answer: 8 Sharait (jin ka zikr Touzih ul Masail me kia gya hai) k sath musafir namaz e Zuhar, Asar or Isha ki namaz 2 rakat prhe.
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Musafir ki namaz, Masla No. 1259)
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125973
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-05

Question: Assalamoalaikum qibla hum shaban me iran ziarat k lye jarahe the visa b achuka hai magar mosam k halat ki waja se last shaban me qafla jaraha hai jo wapsi ramzan me hogi.Aisi surat e haal me jasakte hai ziarat k lye or roze k lye kya hukum hai.

Answer: Ziyaraat pe jaa sakte hain aur jis soorat me aap musaafir shumar hon (malsan jis jagah qiyaam karen lekin 10 din qiyaam karne ka irada na ho) to namaz qasr ke parhni hogi aur isi tarah jab musaafir shumaar hon to safar ke dauran rozay bhi nahin rakh sakte. lekin ramazan ke baad un chorhe gaye rozon ki qaza baja lani hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1685).
[Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print