Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Jamaat K Ahkaam (124 Questions)


Showing 0- 50 questions from 124 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
226
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-05-27

Question: salam, 1,pls tell me the jamaat namaz rules in detail tht wht we hav to read with paish imam in zohrain and magribain. 2,during the break in magrib and isha can i offer my fajar namaz(qaz-e-umri) wuring the period. 3,wazo ki niyat kia hona zarori hian namaz le lie 4,agar koi shaks jamaat ke saath namaz parhna chahta hian to woh jamaat ke saath kaise start kare i mean woh namaz ke lie kia niyat kare jab ke jamaat akhri rakat main ho to. pls send me its answer as soon as possilbe iltamas-e-dua

Answer: Salam un alaikum, 1) You have to read every thing with paish-e-imam except Sor-e-Fatiha and second sora in 1st and 2nd rakaat. 2) Yes, you can offer the qaza of fajr. 3) Agar yeh niyyat kee jaye keh "Mein wuzu karta hoon qurbatan-ilal-allah". 4) Wo niyyat yeh karay ga keh "Mein namaz-e-jamaat parhta hoon qubatan-ilal-allah". Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 288, 1470

Print

Id:
263
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-28

Question: salaam orat kepiche orat jamat namaz perhti he to kitna sewab he aur ak mard ke peche jamat namaz perhti he orat to kitna sawab he plese ho sake to tafsel se jawab dejye shukra itemasedua

Answer: Motabar riwayaat main warid hoa hay kay Namaz-e-Jamat,Namaz-e-Furada say pachess guna(25 times) afzal hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khoei Pg.No.224,Masala No.1409.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1098
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaam Alaikum Namaaz-e-jamaat me imam-e-namaaz ke khare rehne ki zameen baqi namazion se Niche honi zaroori hai? agar hai to kitni niche honi zaroori hai aur agar equal ho ya buland ho to kya namaaz sahi shumaar hogi ?

Answer: Imam e Jamaat kay kharay honay ki jagah zaroori hay muqtadi kay kharay honay ki jagah say ziada oonchi na ho laikin agar maamooli oonchi ho to haraj nahi (Naiz agar dhalwaan zameen ho aur Imam us taraf khara ho jo ziada buland ho to agar dhalwaan ziada na ho to koi haraj nahi) Agar Muqtadi ki jagah Imam ki Jagah say oonchi ho to koi haraj nahi hay.Laikin agar isqadar oonchi ho kay ye na kaha ja sakay kay wo aik jagah jama hoay hain to jamat sahih nahi hay.naiz barabar ho to Jamaat sahih hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.1396-1397 Pg.220

Print

Id:
1235
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: jamat namaz parhte parhte furada namaz ker sakte hai ya nahi?

Answer: Zahir ye hay kay Namaz-e-Jamat main kisi bhi maqam par Furada ki niyyat karna Agarchay ikhtiyaar

kay saath ho JAIZ hay,chahay pehlay hi say is ka irada kion na rakhta ho.laikin Aihtiyaat ye hay

khusoosan jab pehlay hi say is ka irada rakhta ho,furada ki niyyat na karay magar ye kay zaroorat

is baat ka taqaaza karay.agarchay wo zaroorat dunyavi aitibaar say hi kion na ho.Ref:Tehreerul

Waseela Pg.483.Masala No.7.

Print

Id:
1259
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: as salam o alaikum. kya sunni fiqah ke pesh-imaam ke peeche namaaz e jamaat parhi ja sakti hai? is soorat mein niyyat kya hogi? aur juma ki namaaz ki jamaat ke baare mein kya hukm hai, aur niyyat kya hogi?

Answer: A.Sistani kay nazdeek Jamat namaz sunni ki imamat main parhna jaiz hay laikin aap ko qaraat khud karni hogee agarchay aahista aawaz main hi kion na karay (niyyat jamat ki hogee tareeqa furada wala hoga yani qaraat aur zikr khud parhna hoga)..Juma parhna bhi jaiz hay laikin ye juma kaafi nahi hoga juma kay baad zohar ki namaz bhi parhna hogee.Ref:Istiftaat I-40.

Print

Id:
1791
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asalam wa Alekum Please yeh battain kay agar main Zohar Asar magrab ya Isha ki Jamat kay doran pehli dosri tesri ya chothi rakat kay baad shamil hota hay to woh kis tareqa say ada karega.

Answer: w.s. agar koi shakhs us waqt iqteda kare jab imam rukua me ho aur imam k ruku me sharik ho jaye agar-che imam ne ruku ka zikr padh liya ho to us shakhs ki jammat saheeh he. (ref: tawzihul masail Aqai Seestani (d.b.) masaala no.1408)

Print

Id:
1832
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: AOA.Sir mera sawal yeh hai keh kia aik shia murd kisi ghair shia immam ke pechhy namaz parh sakta hai.

Answer: bismehi taala, imame jamaat ko baligh, aqil, shia isna asheri, adil aur halal zada hona chahiye (ref: tawzihul masail Imamm Khumeni (r.a.) masaala no. 1450)

Print

Id:
2070
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: KIYA jamaat namaz perhte hoye pehly sift me bhetna ki ziada fazilat hia?

Answer: bismehi taala, namaze mayyat me aakhri saf me hona afzal he jab k digar jamaat namaz me imama-e-jamaat se jitna ziyada qreeb ho woh afzal he, paheli saf me bhi right ki tarf khade rehna left k muqable me ziyada fazilat rakhta he (ref: minhajus saleheen part 1 Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 834)

Print

Id:
2160
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: jamat namaz parhte parhte furada namaz ker sakte hai ya nahi?

Answer: bismehi taala, agar namaz k dawran muqtadee kisi uzar k bagair furada ki niyyat kare to us ki jamat k saheeh hone me ishkal he lekin us ki namaz saheeh he. magar yeh k us ne furade namaz me us ka jo fariza he, us par amal na kiya ho, to ehteyate wajib ki bina par zaroori he k namaz ko dohraye. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1404)

Print

Id:
3548
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: CHAR RAQAT NIMAZ KI JAMAAT MAIN AGAR TEEN RAQAT CHOOT GAYI TO KYA KARNA CHAHIYAY

Answer: Agar imam e jama’at chauthi(4th ) rak’at main ho or muqtadi(namaz e jama’at main shirkat kernay wala namazi) jaanta ho k agar imam k saath qiyaam ki halat main iqtida(jama’at main shamil hona) karay ga or al-Hamd perh’hay ga tu imam k saath ruku main shamil nah husakay ga tu ehtiyaat e wajib ki bina par zarori hay k ruku min jaanay tak intayzaar karay is k baad ruku main imam k saath shareek ho jaay or dosray sijday k baad jaiz hay k furadah(akayla) ki niyat ker k kharhay ho ker dosri ,tessri,or cauthi rak’atain perh ker namaz ko mukammal karain.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#1422 ).

Print

Id:
3866
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam kya namaz-e-jamat mai muqtadi qirat kar sakta hai jab k zohrain mai imam halqi awaz mai qirat karte hain plz reply me quickly

Answer:
Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay.or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rak’at main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447 & Minhaajus saliheen,Part#1,maslah#812 ) .

Print

Id:
3997
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam third or fourth rakat mai tasbeehat-e-arbah se pehle bismillah parhna zaroori hai aur jamaat namaz mai imam jo qunoot mai dua parhain wo humay yaad nahi ho to hum koi doosri dua parh saktay hain

Answer: Third or fourth rakat mai tasbeehat-e-arbah se pehle bismillah parhna wajib nahi hay. (Aytullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen Part#1,masla#625).Namaz e Jamaat main imam jo qunoot mai dua parhain wo muqtadi k liay perhna zarori nahi hay.aap koe sa bhi qonoot perh saktay hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Rcvd E-mail dated:04.08.10).

Print

Id:
3998
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: jamaat namaz mai muqtadi qirat k ilawa baqi juz khud parh sakta hai ya nahi?

Answer: Zarori hay k muqtadi Al-hamd or sorah k ilawah namaz ki sab cheezain khud perhay.laikin agar is ki pehli or dosri rak’at Imam ki teesri or chauthi rak’at hu tu zarori hay k Al-hamd or sorah bhi perhay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1442).

Print

Id:
5844
Mujtahid:
ayatullah seestani Date:

Question: assalam alekum sir main riyadh main muqeem hoon aap ko yeh ilm ho ga k yahaan shioon ki koi masajid nahin hain is wajha say hamari namaz-e- jumma nahi ho pati ub aap yeh batain k aaya hum jummay ki namaz k liye sunnioon ki masjid main ja ker apni namaz ada ker lain ya na purrhna behter hay jo bhi sahi tareeqa hay plz mujhay juld uz jald jawab say muttala ker dain allah aap ko sehat or zindagi ata karay aameen

Answer: Gaibat e imam e zamana (a.s.) k zamanay me namaz e jumma wajib e aini nahi he , insane awal e waqt me bila takheer zohar ki namaz parh sakhta he.
Is k alawa Jumma ki namaz k sahi honay ki chand shartain hein jin me se aik jumme ki namaz ka baa jammat perhna zarori he, dosri shart namaz e jumma se pahle 2 khutbey, tesri shart jumma ki 2 namazoon k dermian aik farsakh se kam ka fasla na ho. Is k alawa jumma namaz parhnay waloon ki tadat jo k imam k sath 5 afrad he aur jab tak 5 afrad jema na hoon jumma ki namaz wajib nahi hoti. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720).

Ehl e sunnat k saath juma ki namaz kafi nahi hay.(Ref: A.sistani(d.b),jaded masa’il fuqaha or mujtahideen ki nazar main, masalah # ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6052
Mujtahid:
Date:

Question: asalamualiekum , mera sawaal hay ki farz jammat nimazu may aakhri dou rakatu may muqtaddi ko bhi surah fathiha padna chahyee ki nahi,hum log us waqat immam sahab kay mathad hotay hay, meharbani hogee jald hi jawaab arsaal karray ,,,

Answer: Agr koi rozana ki wajib namaz jamat k sath parh raha ho to us ko 3 or 4 rakat me alhamd perhe ya ek martaba tasbiaat arba yane sabhan allahe wal hamdu lilahe wala ilaha illalaho wal la o akbar perhe.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33st edition, maslah #1442 )

Print

Id:
6113
Mujtahid:
Aagha Saistani Date:

Question: 1.Agar Shia namaz kafi fasly ph available ho (1km) to Kia namaz ahle sunat ky aalim ky peechy parhi ja sakti hae? or is ki nayat frada ki ho gi ya jamat ki?treeqa kia hoge?agar jaaiz nhi to kia itahade umat ky izhar ky lye khabi kabhi ada ki ja sakti hae? 2.Khums ky lye muqarra date pr ager ap ky pas kuch paisy hun lakin ap ky zimy kuch qarz bhi ho jo aap forun ada na kr sakty hun jaisy leaze ph li gia ghari ky wajibat to kia hukm hae? 3.Mansoba bandi ky bary mn kia hukm hae? detail sy batayen? 4.Kia Shuhr apni bivi ka doodh pi sakta hae? agarchi wh chand qatry hi hun? 5.Agar Waledain fout ho gye hun to un ky zimy wajibaat olad pr wajib haen?or agar wajib nhi haen to kia olad agar chahy to un ky zimy wajibat ada kr sakti hae ya krwa sakti hae? 6. Aqeeqa krna wajib hae ya mustahab or tareeqa kia ho ga?

Answer: 1) Khud hamd or sorah ki qirat karain agarchah ahista tu namaz sahi hay laikin in k sath namaz e juma kafi nahi hay isi terah namaz e maghrib chun k ahle sunnat k han waqt se pehlay hoti hay in k sath sahi nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Masail,part#4, pg # 183) masail, part#4)
2) Agha Tabish.
3) G han mansuba bandi krna jaaiz hai lekin qarar e nutfa k bad isqate hamal jaiz nahi hia,(yani jab nutfa orat k rehm men thehr jaye to us k bada is hamal ko zaya krna jaiz nahi hia) lekin agr khoaf ho k hamal ka baqi rehna orat ki zindagi k liye nuqsandah ya na-qabil brdasht harj ka baais ho to agr hamal men agr jaan na pari ho to isqat jaaiz hai.lekin hamal men jan parne k bad bache ka zaya krna hargiz jaiz nahi hai.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tozeeh-yl-masaail,Jadeed Masaail, masala#69, pg #466)
4) G nahi ehtiyat e Wajib ki bina pr apni biwi ka doodh peena jaiz nahi hai.(Ref:Ayat_ul_Allah Sistnai (www.sisitani.org)
5) Agha tabish.
6) Aqeeqa mustahib hai. (Ref:Ayat Allah Sistani, Part#3,Page#118, Masla#394 )

Print

Id:
6396
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: pehli rakkat main jab imam ruku main ho to new milnay wala direct ruku main jay ga ya pehlay kiyam krna zarori hay...?

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Jamaa,at main shamil honay walay ko chahiay k namaz e jama,at ki niyat k baad takbira tul ehram kehnay k baad imam k saath raku me shareek ho jain. Aur wo aik rakaat shumar ho gi.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1408) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8039
Mujtahid:
Date:

Question: agar hum ny khud he koie namaz per li aur kuch dar bad wohi namaz jamat k sath per sakty hain?

Answer: Jab jamaat k sath namaz parhi janay lagay to mustahabb he k jis shakhs ne tanha namaz parhi ho wo dubara jamaat k sath namaz parhay. Aur agar ose baad me pata chalay k is ki pehli namaz batil thi to doosri namaz kafi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1384) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9030
Mujtahid:
Date:

Question: assalamualikum janab imam sahab ke jane ke baad hum jin ke piche namaaz padhte hai unke quran me galtiyan hai to kya hum sabhi muqtadiyon ko namaaz dohrani padhegi.aur agar unke piche sahi padhne waala maujud hai to kya unhe namaz padhani chahiya.

Answer: Imam e jamat ki shriat ye hain. 1) Balig ho 2) aaqil ho 3) shia isna ashri ho 4) aadil ho 5) halal zada ho 6) namaz sahi parh sakta ho.(lehaza agr wo qarat sahi nahi kr paraha to phir us ki iqtada krna sahi nahin hogi)
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434)

Print

Id:
9033
Mujtahid:
Date:

Question: Agar koi aalim namaz baith kar padhaye(zyaada umr beeemari ki vajah se) aur uske pich hafiz maujud hai to namaz kise padhani chahiya alimko ya hafiz ko.

Answer: Jo shakhs khara ho kr namaz parhta ho wo kise ayse shakhs k pheichhe namaz nahi parh sakta jo beth kr namaz parhta ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1436)

Print

Id:
9069
Mujtahid:
Date:

Question: jab namaz ka liye aqamat parhi jati hai tab kis time namaz ba-jamat k liye khary hona chahye is se related koi hadees b hai to wo btayen

Answer: Mustahabb hay k ﻘﺪ ﻘﺎﻤﺖ ﺍﻠﺻﻼﮦ kehnay k baad muqtadi kharay ho jain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1465) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9226
Mujtahid:
Date:

Question: kaya imam ky pechy namaz pahrty waqt al hamad shareef parni chaheya ya nai

Answer: Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak

Print

Id:
11552
Mujtahid:
Sayed Ali sastani sahib Date:

Question: ya ali a.s madad, assalam o alaikum. janab mje ye poochna hy k, 1:- Molana or Allama my kia farq hy? or 2:- member par baitne ke kia requirements hy? kia har doosra sakhs member par bait saktha hy ? 3:- kia Females member par bait sakthi hy ? 4:- kia females imamati(masjid my nimaz parha sakti hy) males ko?

Answer: 1,2,3,4) Aap is silsele me ‘www.qoitrat.org’ ki website per maujood ketab maqsad e hayaat ka mutaalla karain. (http://qoitrat.org/Books/maqsad/fahristmaqsad.php?myid=1 )
5) Aurat ,aurato ki imam e jamaat ban sakte hai .Laikin namaaz me ehteyaate wajib ye hai k sab aik dosere k barabar khere hoon aur imam namaz perhne waali aurato se aage nah khare ho, (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434,1461) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
12616
Mujtahid:
a Date:

Question: kia namaz e zuhar aur asar mein (ba jamaat)Muqtadi ko surah Fatiha aur koi aur surat parhni chahiye?ba jamat namaz mein?

Answer: 1-Zarori he k muqtadi(namaz e jamat main shamil namazi) Al-hamd or sorah k alawah namaz ki sab chezain khud perhay. Laikin agar iski pehli or dosri rakat, imam ki teesri or chothi rakat ho tu zarori he k Al-hamd or sorah bhi perhay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1442)
2-Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jama,at ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat(yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan(bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1443). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13643
Mujtahid:
sistani Sahab Date:

Question: Assalamoalykum, mai ye janna chahta hun k agar namaz jamat me ho rahi ho aur mai saath me namaz shuru nahi kar paya, aur jab mai namaz k liye pohcha to ye nai samjh paya k namaz kis rkat me pohach chuki hai ,to maine namaz ki saf k bagal me khade ho kr furadah ki niyat se namaz padh li..to kya ye jaiyez nai hai k jamat me namaz padh rahi saf k bagal me furada ki niyat se namaz padhi jaye, aur agar ni hai to kya isse jamat me namaz padh rahe lago ki namaz batil hui..aur jamat me deri se pohachne k bawajud namaz me khade hone k kya aadab hain ..is baare me mujhe tafseel se batayen..meherbani hogi..Shhukriya

Answer: Aap ki furada namaz batil qaraar nahi pay gi or na hi namaz e jama,at batil qaraar paay gi.(Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat,Ayatullah Sistani(d.b),part#4, Sawaal#70)

Print

Id:
13771
Mujtahid:
imam azam Date:

Question: Assalamo-Alaikum Jnb mera sawal ha k. imam k peshay namaz may qurat(twelevet) karnay ka kia hukam ha.

Answer: Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay.or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rak’at main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447 & Minhaajus saliheen,Part#1,maslah#812) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13790
Mujtahid:
hanfi Date:

Question: kiya farz namaz me imam k pichay sora fatiha nahi padhte

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
1)Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jamat ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat(yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan(bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi.
2)Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay.or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rak’at main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14085
Mujtahid:
Date:

Question: agr jamat ho rahe hai or apni namaz parhi jay imam ky pichy na parhi jay tuh kia aisa mumkin hai masjid mn

Answer: Aap ki furada namaz sahi shumaar hogi. Laikin agar is kaam se namaziyo ko imam e jama,at ki adalat par shak paida ho{k aap on k peechay nahi perh rahay} tu beher haal aisa koe kaam jaiz nahi hay jis se momin ki bay hurmati hoti ho.(Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat,Ayatullah Sistani(d.b),part#4, Sawaal#70) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14332
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: salaam. mujhy ye pochna tha k tashud e namaz mein jo paeesh namaz shahdat e salisa yani ali un wali ullah parhta ho un k pechay us namazi ki namaz ho sakti hai jo shahdat e salisa ni parhta ar jis ka mujtahid iski ajazat ni deta.plz jawab zaror dain pehlay bi ye sawal kar chuka hon lakin jawab ni mila.

Answer: Agar mamoom(yani namaz e jamaat main shamil namazi) or imam e jama,at k dermiyaan namaz k ajza(parts) or shara,it main ijtehaad ya taqleed k wajah se ikhtelaaf ho jaay,or mamoom ko maloom ho k imam e jamat ki namaz batil hay(yani imam e jama,at k mujtahid k fatway main ye namaz batil ho), tu ye mamoom is imam e jama,at k peechay namaz mukammal nahi ker sakta.siwaay is sorat k , keh agar imam e jama,at ki namaz main koe aisi ghalati ho jo k jaahil e qasir{Jaahil e qasir aisay laa ilm shaks ko kehtay hain jis ki jahalat/laa,ilmi ka uzr qaab e qobool ho} k liay maaf ho tu phir mamoom k liay jaiz hay k wo is imam e jama,at k peechay apni namaz ko mukammal karay.(ref: Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#1, maslah#810). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14682
Mujtahid:
Ayatullah Sistani sahab Date:

Question: ruku me nazar kahan rakhni chahye sajde gah pe ya tango ke darmian?

Answer: Ruku me mustahabb ha k donoo paaou(legs) k darmian dekhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1030)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14779
Mujtahid:
Date:

Question: mera aap se sawal he ke bajamat namaz ke doran pehle rakat me tauz aur tasmia parhte he aur agly rakat ke shuru me bismillah parhte hein

Answer: Wo namazain jo dheemi aawaz sai parhi jaati hain un mai ehtiyat e wajib ki bina par mamoon (ba jamat namaz parhnay wala) ko al-hamd aur surah nahi parhni chahiay. (Bismillah surah ka hissa hota hai)aur koe zikr ya durood parhnay mai mashgool rehna afzal hai. Aur wo namazain jo buland aawaz sai parhi jaati hain un mai agar wo imam e jamat ki awaz sun raha ho to wajib hai k mamoon (ba jamat namaz parhnay wala) al-hamd aur surah ko na parhay. (Ref: Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # masla # 812) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14837
Mujtahid:
Date:

Question: ASLAM O ALYKUM.jnb muhtrm mera aik swal hy kia aik moulvi sb aik masjid maen jamat krwa chky hn to woh kisi dosri jaga jamat krwa skty hn k nhn.JAZAK ALLAH

Answer: 1)Agar imam e jamat ya muqtadi(imam k pechay namaz parhnay wala) jamat k baad namaz parhnay k baad isi namaz ko dubara jamat k sath parhna chahae to agar’che is ka mustahabb hona sabit nahi lakin rija’an(is namaz ko matloob e Khuda honay ki umeed mai anjam dena) dobara parhnay ki koi mumaneat bhi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1385 )
2)Aur agar namaz e eid hai to aik pesh imam ka doosri eid ki namaz parhana ehtiyat ki bina par jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 75). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14892
Mujtahid:
Date:

Question: agr jamaat ho chuki ho aur kuch log masjid mein late hazir huwy ho to wo dobara apni jamaat kra sakty hain?

Answer: Jee han doosri namaz e jamat qaim ho sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 911) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15050
Mujtahid:
Date:

Question: A.a main ap se ye pochna chahta hon ky ap mujhe pliz amam ky pichy namaz parny ka tariqa bta dain or agr jamat se late ho jaeen to masla pehli 2 raqat reh gai hom to baqi kis trah ada ki jatain hain?

Answer: 1)Namaz ki niyat karay, niyat kartay waqt zaroori hai k muqtaddi(namaz e jamat main shamil namazi) imam ko moean karay lakin imam ka nam jan’na zaroori nahi hai aur agar ye niyat karay k mai mojooda imam ki iqtida karta ho to is ki namaz sahi hai.
2)Zarori he k muqtadi(namaz e jamat main shamil namazi) Al-hamd or sorah k alawah namaz ki sab chezain khud perhay. Laikin agar iski pehli or dosri rakat, imam ki teesri or chothi rakat ho tu zarori he k Al-hamd or sorah bhi perhay.
3)Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jama,at ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat(yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan(bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi.
4)jo shakhs imam sai aik rakat pechay ho is k lie behtr ye hai k jab imam aakhri rakat ka tashahud parh raha ho to hathoon ki unglian(fingers) aur poun(leg) k talwoo ka agla hissa zameen par rakhay aur ghutnoo ko buland karay aur imam k salam parhnay tak intezar karay aur phir khara ho jae aur namaz ko mokummal karay.
(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1441-43, 1433). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15124
Mujtahid:
Date:

Question: kya nabena molvi ky pechy nemaz hote ha ager ni hote to kis waja sy aur molvi na alem ho aur na hafiz

Answer: Agar in me imam jamat ki sharait mujood hai to in k peche namaz perhe jasakte hai. Imam e jamat ki shriat ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho.(ref tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1434 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15133
Mujtahid:
Date:

Question: Namaaz Ba-Jamaat ke liye kis waqt khade hona chaiye?

Answer: Mustahab hai k qad qa’ma’tis salah khenay k baad muqtade (jamat k sate namaz perne wale) khare ho jain . (ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1465) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
16406
Mujtahid:
Ayt.sistani Date:

Question: Salam.imam e rattib kon hota hai detail main bataiye.2 jumma ki nimaz padane k liye kia qualification honi chahi hai.

Answer: 1) Imam ratib wo namaz perhane wala hota hai jo sahib masjid ho (yani jo kise masjid me rozana perhata ho)
(Ref : Ulwat_ul_wusqa, Aqai Sistani (d.b), Jild #2, Pg #274, Masla#19)
2) Imam jumma aur rozana ki wajib namaz perhane wale ki shrten ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho. Aadil honay ka matlab hai k insan wajibat ko anjam deta ho aur haram kamon ko anjam na deta ho or kise ka husne zahir he is ki alamat hai jab k is k bar_khilaaf baat ki khabr na ho.(Ref : Ayat Ullaha Sistani (d.b.), Tauzeeh_ul_Masaail, 31th Edition, Masla # 1434,720).(Khuda aap ki tofiqat men izafa farmaye)

Print

Id:
31973
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Salamun Alaikum Agha.............. Kya tisri rakat me tasbihat e arba se pehle bismillah padhna wajib hai ya mustahab hai ..................... agar bismillah nahi padeinge to kya namaz jayez hai?

Answer: Namaz ki teesri or chothi rakat main perhi janay wali tasbihaat e arbah se pehlay bismillah perhna wajib ya mustahab nahi.agar koe bismillah perhay tu namaz batil nahi hogi.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 992). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32661
Mujtahid:
dnt knw Date:

Question: kya farx namaz mein imam k pechay kch parhna chahiye ya chup rehna chahiye

Answer: 1)Muqtadi(imam jamat k pechay namaz perhne wala) namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jamat ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho to zaroori hai k he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zaroori he k aahista perhay.
2)Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajay zikr e ilahi or dorood perhay. (note : baqi puri namaz muqtadi ko khud parhna ho gai.)(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32824
Mujtahid:
Date:

Question: kiya farz namaz me imam ko naeet karne chahea

Answer: Pesh namaz k lie jaiz hai k wo furada ki niyat sai namaz parhay aur logo ko btana bhi zaroori nahi hai magar furada ki surat mai pesh namaz ko jamat namaz ka sawab nahi milay ga. Aur agar pesh namaz jamat ki niyat karta hai to os ko jamat ka sawab milay ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 74,pg # 41)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
33110
Mujtahid:
ayatullah seestani Date:

Question: Assalam u alikum.agha sahab kia ahle sunnat ke peeche farz namaz pur sukte he ?aur neeyat farz ki ho gi ya farada ki?aur maghrib ka time hamara late he to kia maghrib ki namaz pur sukte he ahle sunnat ki jamat ke sath ya nahi?aur me jaha rehta hu waha hamari apni masjid bohat hi zyada faasle pur he.jaha tuk routine me jana impossible he.aur ahle sunnat ki masjid bohat hi zyada kareeb he to me kia farada room me namaz puro ya maire lie laazim he ke ahle sunnat ki masjid me jau.

Answer: Gee han parh sakte hen, or niyat wohi faraz or jamat ki hogi, lekin maghrib ki namaz nahi hogi q k ahle sunnat wqt se pehle ada krte hen or isi tarah un k sath jumma namaz bhi kjafi nahi hogi, albatta jis tarah furada namaz men apko har chiz khud parhni parhti hai isi tarah ahle sunnat ki namaz jamat men bhi apko qirat or azkar wgera sare khud parhne parhenge halanke niyat jamat ki hi hogi, agr ap shia namaz jamat men kisi waja se shirkat na kr paen to furada namaz ghar men parhne se yehi behtr hai k ap ahle sunnat k sath namaz parhen insha Allah sawab milega.( Ref : Ayat-ul-Allah -Sistani, Jadeed Masaail, Part#4, 1st Edition, Page#181)(khuda apki tofiqat men izafa frmaye)

Print

Id:
39614
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: asslamualekum q,agr koi shakh rishwat dy kr teacher bana ho aur wo juma parai to kia us ki iqtida jaiz he?

Answer: Agar in me imam jamat ki sharait mujood hai to in k peche namaz perhe jasakte hai. Imam e jamat ki shriat ye hain. 1)Balig ho 2)aaqil ho 3)shia isna ashri ho 4)aadil ho 5)halal zada ho 6)namaz sahi parh sakta ho. Aadil honay ka matlab hai k insan wajibat ko anjam deta ho aur haram kamoo ko trk krta ho. (Ref : Tauzeeh ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1434)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
39736
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Agr main Imam k peeche Bajamaat namaz adaa kr rha hon, to mujhe 3rd aur fourth rakaat mein kia parhna chahye? Ya kuch nahi parhna chahye?

Answer: Zaroori hai k jamat sai namaz parhnay wala shakhs al humd aur surah k alawa namaz ki sab cheezain khud paray yani teesri aur choti rakat k qayam mai muqtadi ko tasbeehat e arba parhni chahae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1442)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
39940
Mujtahid:
y Date:

Question: Asslam o alikum mara question yeh hai agr nama main imam aik ayat phrta hai agy bhool jatha hai.to muqtadi usko ko pechy sy batata hai phr imam phar leta hai,kia aub imam ko sajda sahu krna zaroori hai

Answer: Ge nahi,sajdah e sahw ki koe zarorat nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah#1223). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40376
Mujtahid:
Date:

Question: namaz jammath in detail me mujhe bhejiyeh ladies kA tariqa plz 5 times ki please

Answer: Agr autain namaz ko jamaat k saath parhain tu imam e jamat mard ya aurat hosakta hay.Agar imam e jamaat or muqtadi dono auratain hoon tu ehtiyaat e wajib ki bina par zarori hay k sab aik dusray k braber kharhi hoon.Laikin agar imam e jamaat merd ho tu zarori hay k aurtain kam az kam itna peechay kharhi hoon k on k sajdah kerne ki jagah imam se os k sajday ki halat main 2 zano k faaslay per hoon. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1434,1461,1462)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
40892
Mujtahid:
Maslak e Ala hazrat Date:

Question: Deobandi, wahhabi ke peeche namaz padhe ya nahi or kyun?

Answer: Note:is website par fiqhe jafria k mutabiq jawabat diye jatay hain.

Print

Id:
45296
Mujtahid:
Date:

Question: Imam sahab se pehle Ruku Sajda karne par hadees

Answer: Zaroori hai k muqtaddi , namaz mai jo kuch parha jata hai is k alawa namaz k doosray afaal maslan ruku, sujood imam k sath ya is sai thori dair baad baja laye aur agar in afaal ko janboojh kar imam sai pehlay ya itni dair baad anjam dai k isay imam ki parvi karna na kaha ja sakay to is ki jamat batil hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Is website par mujtahideen k fatway ki roshni mai jawabaat diay jatay hain aur mujtahideen khud quran aur hadees ki roshni mai fatwa dia kartay hain.

Print

Id:
45556
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Bazz jaga namaz e jammat ma imam ki jaga muqtadi k muqably ma nichy hoti ha es ki waja kiya ha?

Answer: 1)Imam e jamat k kharay honay ki jigha zaroori hai k muqtaddi ki jigha sai ziada ﺍﻭﻨﭼﻰ na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1396)
2)Aksar ahkam e sheri ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah # 6, kitab e meras, nashir maktab e naveed e islam, pg # 472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45992
Mujtahid:
ayetullah sistani Date:

Question: salam jamat namaz main kia chez perhne chayeh aur mia chez nahe

Answer: Zaroori hai k jamat sai namaz parhnay wala shakhs al humd aur surah k alawa namaz ki sab cheezain khud paray yani teesri aur choti rakat k qayam mai muqtadi ko tasbeehat e arba parhni chahae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1442)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46469
Mujtahid:
ayit ullah systani Date:

Question: kia syed ki nimaz khair syed ki iktada mai jaiz ha or kia mola ali(a.s) ki aisi koi wasiyat ha k mola ali(a.s) ne imam hasan (a.s) sai kaha k aal-e-rasool(saw) ki nimaz kisi or ki iqtad mai ni hoti?

Answer: je syed gheer syed ki or ye syed ki namaaz e jamaat main iqtida kar sakte hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1434 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print