Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz Parhney ki Jaga (54 Questions)


Showing 0- 50 questions from 54 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
294
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-29

Question: Assalam o Alaikum When me and my wife are offering prayer (Namaaz) to gether, but furada not jamaat. where will the place of my wife to stand with me for prayer (Namaaz)? Parrellel to me, Little back to me or behind me. Thanks

Answer: Salam un alaikum,As an obligatory precaution(aihtiyat-e-Lazim), women should stand behind men while praying. At least, her place of Sajdah should be in line with his thighs, when in Sajdah. Ref.http://sistani.org/html/eng/menu/3/inside/98.htm

Print

Id:
846
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salaam..... aik ghar kay malik nay ghar ki zameen par namaz ki ijazat nahee di aur on kay ghar main BA JAMAT NAMAZ hoti hay lakin IMAMA JAMAT ADIL nahee hay to kya os jaga par namaz namaz phari ja sakti hay jab kay os jaga par namaz ki bhi ijazat nahee hay .....lakin os jaga namaz pharna bhi hay kyun ka ham majboor hain plz is ka theeek masla bata dain.... w/salaam

Answer: Kisi ki Jaidaad main namaz parhna is soorat main jaiz hay jabkay is ka maalik sareehan ijazat day ya koi aisi baat kahay jis say maloom ho kay is nay namaz parhnay ki ijazat day dee hay masalan agar kisi shakhs ko ijazat day kay is ki jaidaad main baithay ya soay to is say samjha ja sakta hay kay is nay namaz parhnay ki ijazat bhi dedi hay.ya maalik kay raazi honay par doosri wujoohaat ki bina par itmeenaan rakhta ho.iskay ilawa kisi ki jaga par namaz nahi parhi ja sakti.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.865,Pg.No.145.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
881
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: what should b the distance b/w ladies and gents while offering prayers,give me answer acc. to aqaye khoi sahib & aqaye seestani sahib.

Answer: A.Sistani kay nazdeek : Namaz parhtay waqt aurat ko mard say itna aagay kharay hona chahiye kay mard kay ghutnay rakhay ki jaga par aurat kay sajda karnay ki jaga ho aur Aihtiyat e
Mustahib ye hay kay mard kay kharay honay ki jaga par aurat kay sajda karnay ki jaga ho.aur agar dono saath saath kharay hon to beech main koi aisi cheez Haail honi chahiye jis ki wajah say dono aik dosray ko na dekh sakain ya phir dono kay darmiyan 10 haath ka faasla ho.Is masalay main Mehram aur Na mehram aur Shohar aur Bewi main koi Farq nahi hay.Ref: Minhaajus Saliheen A.Sistani Pg.182,183 Masala No.545.... A.Khoie kay nazdeek : Agar mard aur aurat aik saath kharay hon ya aurat aagay ho to in kay darmiyan koi deewar ya pardah ya koi doosri cheez Haail ho kay jis say wo aik doosray ko na dekh sakain ya phir in dono kay
darmiyan aik baalisht ka fasla hona chahiye.aur agar 10 haath say kam faasla ho to namaz makrooh hogi.Ref: Tauzeehul Masail A.Khoie Pg.163,Namaz parhnay ki jaga (6th shart).

Print

Id:
2586
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salamun alehkum janab mera sawaal ye hai ke mai madene me rahta hu our maine ye suna hai ke haram me jo jagah RIYAZUL JANNA hai usme sirf farz namaaz he pad sakte hai & RIYAZUL JANNA me kaleen bhi padi hai to is par namaaz padney ka kya hukm hai

Answer:
Jee nahi riyazul janaanh main wajib or mustahab her qisam ki namaz perhi jaasakti hay bal k bohat ziyadah mustahab hay.is k alawah masjid e nabavi k or jagah bhi namaz perhna mustahab hay.laikin qaleen per sijdah kerna sahi nahi hay,balkeh wajib hay k sijdah zameen per kerna sahi hay or her os cheez per kerna sahi hay jo zameen say ugti hon,laikin insaan nah tu osko khaatay hon ,nah pehentay hon or naahi wo maadniyaat(minerals) main say ho.maslan mitti(sand),lekri(wood),darkht k pattay (leaf),sang e marmar(marble),patthar(stones),aqeeq(stone for finger ring), ghaas (grass),cement floor,kaagaz(paper) etc. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 854-880,1063-1070) .

Print

Id:
3700
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: in UBL MASJID some momineen are saying they have checked the orignal direction of Qibla is around 20 Degree rightword from the Qibla of the Masjid and they are praying Namaz 20degree rightword from the Qibla of Masjid. but all Ahlesunnat n some momineen praying according to the Qibla of Masjid. what should the better practice to pray namaz???

Answer: 1) Khana e kaba ka wo maqaam jo makkah e mukarrama main hain, wo hamara qiblah hay layhaza zarori hay k is k saamnay kharhay ho ker namaz perhay laikin jo shaks is say dhoor ho agar wo is terah kerha ho ker k loog kahain k qiblay ki taraf monh ker k namaz perh raha hay tu kafi hay.(Ref: A.Sistani(d.b), tauzeeul masa’il, maslah#764)

2)jo shaks namaz perhna chahay tu zarori hay k qibaly ki samt ka ta’ey’yun kernay k liay koshish karay takeh qiblay ki samt k baray main yaqeen ya aisi kaifiyat jo yaqeen k hokum main ho(maslan aisay 2 aadil aadmiyo ki gawahi jo hiss ya is jaisi kisi cheez ki bunyaad per qiblay ki samt ki gawahi day rahay hoon ) hasil ker lay or agar aisa nah ker sakay tu zarori hay k musalmaano ki masjid k mehraab say ya momineen ki qabaro say ya dosray tariqo say jo gumaan paida ho is k mutabiq amal karay hatta keh agar kisi aisay faasiq ya kaafir k kehnay per jo science k qawaa’id k zeri’ay qiblay ka rukh pehchanta ho qiblay k baray main gumaan paida karay tu wo bhi kaafi hay.( Ref: A.Sistani(d.b), tauzeeul masa’il, maslah#770). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3930
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: some people say that women cannot offer prayer in front of na mehram.is it right or wrong?

Answer: Jee nahi,auratm, merd k saamnay namaz perh sakti hay.laikin ehtiyaat e laazim ki bina per zarori hay k aurat merd say kam az kam itna peechay kharhi ho keh is k sijday kernay ki jagaah sijday ki halat main merd k guthnay rakhnay ki jagaah say aagay nah ho.agar aurat merd k baraber ya aagay kharhi ho or dono aik hi waqt main namaz perhnay lagain tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay namaz ko dobarah perhain or yehi hokum hay agar aik,dosray say pehlay namaz shuru kerdain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#874 & shart#6).

Print

Id:
7730
Mujtahid:
Date:

Question: A.A,mera sawal ye hai ke agar room men bichey hue carpete per bachay ne peshab or pakhana kia hua ho yani carpete napaak ho to us ke uper jaey namaz bicha kr namaz parrh sakte hen ya nahi?

Answer: Agar namaz prhnay ki jigha najis ho aur najasat aisi ho jo namaz ko batil kar danay wali ho to itni martoob(gilli) na ho k is ki ratoobat namaz parhnay walay badan ya libas tak pounchay. Lakin agar sijday me peshani rakhnay ki jigha najis ho to chahae wo khusk bhi ho namaz batil he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # namaz parhnay ki jigha ki panchwe (5) shrt) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9523
Mujtahid:
Date: 2018-05-29

Question: namazi k aage se guzarna sakht gunah hai to namazi apne aage kia rakhe or satra ka minimum size kia hai

Answer: Agr koi shakhs logo ki rahghuzar(aam rasto) per namaz perh raha ho ya koi or shakhs is k saamne khara ho to namaze k lye mustahab hai k apne saamne koi cheeze rakh le or agr wo cheeze lakri(wood) ya rassi(roop) ho to bhi kafi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #886 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
11351
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam-O-Aalikum..Mera Sawal Yeh Ke Agar Tshirt Par Kisi Jandar Ki Embroidery Bani Woh Bi Pocket Ke Uper Choti Si To Kya Namaz Ho Jati Hy Aur Mein Ne Suna Tha Ke Agar Kisi Jandar Ki Aankh Bani Phir Namaz Nahi Hoti Hy Kya Asa Sahi ..Plz..Meri Rehnumai Kare..JAZAKALLAH KAHIR

Answer: Jis jagah jaandaar ki tasweer ho chahay namaz perhne walay k saamnay nah ho tu os jagah namaz perhna makhroh hay.laikin namaz batil nahi hoti. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#885 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12313
Mujtahid:
Date:

Question: phayli rat nafal ik sat kharay ho ky parnay haan yah kisi or tahran yah miyn agay karay ho k paray ga bivi usky pichay jo tarika hy bata dayn or phayli raat hambistari karna zarori hy ky nahi matlb bad main bhi kar saktay hn jaysy ik dusray ko janay ky baad

Answer: 1) Jab bhi merd or aurat aik saath namaz perhna chahain tu ehtiyaat e lazim ki bina par zarori hay k aurat merd se kam se kam itna pechay kharhri ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main merd k dono guthno k baraber ho.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# Before 874)
2) Agar koe aurat merd k baraber ya aagay kharhi ho or dono aik waqt main namaz perhne lagain tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k namaz ko dobara perhain , yehi hukum hay agar aik, dosray se pehlay namaz shuru ker day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 874)
3) Agar merd aur aurat aik dosray k baraber kerhay hoon ya aurat aagay kerhi ho or dono namaz perh rahay hon laikin dono k dermiyaan diwaar ya perdah ya koe aisi chhez haa,il(maujood) ho k aik dosray ko nah daikh sakain ya on k dermiyaan 10 haath se ziyada ka faasla ho tu dono ki namaz sahi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 875).
4) Shadi ki pehli raat hambistari kerna wajib nahi hay. (ref : E-mail rcvd from ssitani(d.b),dated:26. 05-2010

Print

Id:
12995
Mujtahid:
Date:

Question: assalam 0 alaikum Mein ya jana chtaa hoon, agr mard ghr mein namaz parhay tou us ka koi nuksanat tou nahi ya agr hai tou wo kia hai.

Answer: Islam ki muqaddas shariyat main bohat takeed ki gae he k namaz masjid main perhi jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 880).
Mutaber riwayaat k mutabiq baa jamaat namaz , namaz e furada(alone) namaz se 25 guna afzal he.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1381)
Bay perwaahi barat,tay hoay namaz e jama,at main shareek nah hona jaiz nahi hay or insan k liay ye munasib nahi he k baghair majbori k namaz e jama,at ko chorhay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1382). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14092
Mujtahid:
Date:

Question: me sudan me kam karta hu mere kamre me 7 log rahte he me jaha namaj padhta hu uske peeche hindu ke but ke tasveer he kya me waha namaj padh sakta hu

Answer: Jee haan aap os jagah namaz perh saktay hain.Laikin aisi jagah namaz perhna makhrooh hay jis gagah photo ho chahay nanamzi k saamne nah ho.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 854-886). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14309
Mujtahid:
islam Date:

Question: Road pe Namaz Parhna jaiz hai ya nai ? agar jaiz hai to wo kese or agar jaiz nai to wo bhi btaen

Answer: 1.Sarhak(Road) aur gali kochay may namaz parhna makrooh hay magar ye k ghuzarnay waloo k liay baa-ise zehmat nah ho aur agar inhain zehmat ho tu in k rastay may rokawat dalna haram hay.
2.Agar koe shakhs logo ki ghuzr gahoo par namaz parh raha ho to namazi k liay mustahab hay k apnay samnay koe cheez rakh lay aur agar wo cheez lakrhi ya rassi ho tu to bhi kafi hay.) Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 885-6). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Print

Id:
14329
Mujtahid:
Date:

Question: tasveer ya ainay ke samnay aap ki nazar na jaey tu namaz kabool huti hai ya nahi?

Answer: Aainay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref : email rcvd from A.sistani(d.b),dated Mar 19, 2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14390
Mujtahid:
aiyat ullah sistani Date:

Question: Maira question hai k kya us jagha per sijdah sahe hai jiss k agay zuljanah ya kisi aur terha ke Islamic shabi bane hue ho.

Answer: Jee haan aap os jagah namaz perh saktay hain.Laikin aisi jagah namaz perhna makhrooh hay jis gagah photo ya mujasmay ho chahay nanamzi k saamne nah ho .(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 854-886). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14426
Mujtahid:
aiyat ul lah Sistani Date:

Question: mei nay aap say question kya tha k kya us jagha per sijdah sahe hai jiss k agay zuljanah ya kisi aur terha ke Islamic shabi bane hue ho. aap ka reply Jee haan aap os jagah namaz perh saktay hain.Laikin aisi jagah namaz perhna makhrooh hay jis gagah photo ya mujasmay ho chahay nanamzi k saamne nah ho .(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 854-886). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) i want to ask that iss ka matlab ager musjid k under imam bargah ka separate portion ho janha zuljana aur degar shabee bne hue ho tou kya us masjid mei bhe namaz perhna makroh hai

Answer: Jee haan is sorat main bhi makhooh hoga. Jaandaar k photo ya mujasmay k saamnay namaz perhna makhrooh hay magar ye k osay dhaanp diya jaay(tu phir makhrooh nahi hoga).Isi terah os jagah bhi namaz perhna makhroh hay jis jagah jaandaar ka photo ho chahay namaz perhne walay k saamne nah ho. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 885).Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14969
Mujtahid:
Date:

Question: Kya aurat ka masjid main namaz pahna jaez hy????? agr hy to AHADEES ka hawala zroor dyn....

Answer: Islam ki muqadas shriat mai bohat taqeed ki gae hai k namaz masjid mai parhi jae. Auratoo k lie behtr hai k namaz aisi jigha parhain jo na mehram sai mehfoos honay k lehaz sai doosri jagha sai behtr ho chahe wo jigha makan ho ya masjid ho ya koi aur jigha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 880-81 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15569
Mujtahid:
Ayatullah sistani Date:

Question: Assalamu aalekum kya miya aur bivi ek sath mager fasle per namaz padh sakte hai.maslan tahajut

Answer: Ehtiyaat e lazim ki bina per merd o aurat ka aik sath baraber main kharhay ho ker namaz perhna sahi nahi ya aurat ka merd se agay kharhay hona bhi sahi nahi .balkeh lazim hay k aurat merd se kam se kam itna pechay kharhri ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main merd k dono guthno k baraber ho. Or ehtiyaat e mustahab ye hay k aurat k sajdagah merd k pechay os k kharhay honay ki jagha per ho.ya merd o aurat k demiyaan ko rukawat ho ya dono k dermiyaan 10 hath(460 cm / 4.50 meter) se ziyada faasla ho. Or is maslay main mehram or na-mehram ka koe farq nahi or shohar or bivi main bhi koe farq nahi, laikin ye hokum baligh afraad se makhsoos hay. Or ye faaslay ka hokum halat e ikhtiyaar se makhsoos hay. Or halat e majbori(iztiraar) main koe haraj nahi or isi terah makkah e mukarramah k hujoom main bhi koe haraj nahi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Mainhaajus saliheen,part#1, maslah #545 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32840
Mujtahid:
Date:

Question: kia us jaga nmaz ada ho sakti he jhan tasaveer hn

Answer: Jis jagah jaandaar ki photo ho chahay wo namaz perhne walay k saamnay nah ho, wahaan namaz perhna makhrooh hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
34714
Mujtahid:
sunni Date:

Question: kon sa amal kartay hovay namazai ky agay sy guzarna jaiz ha?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Namazi k aagay sai ghuzarnay mai koi haraj nahi hai albetta agar koi shakhs logo ki ghuzarnay ki jigha par namaz parh raha ho ya koi aur shakhs os k samnay khara ho to namazi k lie mustahab hai k apnay samnay koi cheez rakh lai aur agar wo cheez lakri ya rassi ho to bhi kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 887)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
38627
Mujtahid:
Date:

Question: masjid may bina wazu anai jayaz hai.

Answer: Baz fuqha nai farmaya hai k masjid mai janay k lie wazoo krna mustahab hai. laikin Ayatullah Sistani(d.b) k nazdeek is mai wazoo ka mustahab hona sabit nahi hai. albetta agar koi shakhs mustahab honay k ehtimal k sath wazoo karay to wazoo sahi hai aur is wazoo k sath har wo kam kar sakta hai jo ba-wazoo ho kar karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
43725
Mujtahid:
Ayatul Sistani Date:

Question: Sir mai yeh janna chahata hoo ki kya Saas Apne Sage Damad Ya dewar k samne namaza Pad sakti Hai

Answer: Kisi insan k maqabil mai namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
45169
Mujtahid:
delhi Date:

Question: ASSALAMU ALEKUM WA REHMATULLAH WA BARKATUHU SIR MEIN YE JANNA CHAHTA HOON AGAR GHAR MEIN DEEWAR PAR MAKKA MADINA KAABA SHAREEF KI PHOTO LAGI HAI TO KYA HAMARI NAMAZ HO JAYEGI

Answer: Gee haan aisi jagah namaz perhna jaiz hay or makhrooh bhi nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #885). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45689
Mujtahid:
namaz Date:

Question: kia aurt khuly asman k nichy namaz parh sakti hy ?

Answer: Aurat k lie behtr hai k namaz aisi jigha parhay jo na mehram sai mehfooz honay k lihaz sai doosri jigha sai behtr ho chahae wo jigha makan ya masjid ya koi aur jigha ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 881)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46935
Mujtahid:
hnafi Date:

Question: mard ka farz namaz ghar pe parhne kesa hai namaz hijati hai

Answer: Namaz ghar mai bhi parhi ja sakti hai magar Islam ki muqadas shriat mai bohat taqeed ki gae hai k namaz masjid mai parhi jae. Is k alawa masjid mai ziada jana chaheay aur os masjid mai jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid k paroos mai rehta ho aur koi wajah bhi na ho to os k lie masjid k alawa kisi aur jigha namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 880-884)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46948
Mujtahid:
Agha Seestani Date:

Question: kya muhram Maa Bhai Behan ek hi room main ek sath namaz par sakty hain

Answer: 1)Jab bhi mard or aurat aik sath namaz perhna chahain tou ehtiyat e lazim ki bina par zarori hay k aurat mard se kam se kam itna pechay khari ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main mard k dono guthno k baraber ho.2) Agar koi aurat mard k barabar ya aagay khari ho or dono aik waqt main namaz perhne lagain tu ehtiyat e wajib ki bina per zarori hay k namaz ko dobara perhain , yehi hokum hay agar aik, dosray se pehlay namaz shuru ker day.3) Agar mard aur aurat aik dosray k baraber kharay hon ya aurat aagay kheri ho or dono namaz perh rahay hon laikin dono k dermiyan diwar ya pardah ya koi aisi cheez haa’il(maujood) ho k aik dosray ko nah daikh sakain ya on k dermiyan 10 hath se ziada ka fasla ho tu dono ki namaz sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 874 and 875) note : Is mai farq nahi parta k wo mard aur aurat bhai behan hon ya maa beta ho ya koi aur hon. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47078
Mujtahid:
Sunni Date:

Question: Asslamu-alaikum--Mera ques hai ke mard or aurat 1 sath bethkar namaz padh sakte hai ya ni.. agr ni too kyu ni iski vjhaa kyaa hai.. Khuda Hafiz.

Answer: 1)Jab bhi mard or aurat aik sath namaz perhna chahain tou ehtiyat e lazim ki bina par zarori hay k aurat mard se kam se kam itna pechay khari ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main mard k dono guthno k baraber ho.2) Agar koi aurat mard k barabar ya aagay khari ho or dono aik waqt main namaz perhne lagain tu ehtiyat e wajib ki bina per zarori hay k namaz ko dobara perhain , yehi hokum hay agar aik, dosray se pehlay namaz shuru ker day.3) Agar mard aur aurat aik dosray k baraber kharay hon ya aurat aagay kheri ho or dono namaz perh rahay hon laikin dono k dermiyan diwar ya pardah ya koi aisi cheez haa’il(maujood) ho k aik dosray ko nah daikh sakain ya on k dermiyan 10 hath se ziada ka fasla ho tu dono ki namaz sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 874 and 875) note : Is mai farq nahi parta k wo mard aur aurat sohar aur biwi hon ya koi aur hon. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
52081
Mujtahid:
Date:

Question: Namaz jaga Badel Badel k parho a k qayamat k roz wo jaga b bayes e magfirat ho skti h.. Es baat mai kitni Sachae h or agr sach h tu kahan ye likha h koun c Hadith h ayat h ya rawayat h? Kindly infom me

Answer: Mustahab hay namaz ko mukhtalif maqamaat main perha jay takeh wo zameen qiyamat k din os shaks ki gawah ban jay. Hadees main hay rawi ne sawaal kia hay aba abdillah (a.s) shaks apni nafil namaz ko aik jagha perhe ya mukhtalif maqamaat per tu aap(a.s) ne fermaya k: nahi balkeh yahaan or wahan(yani mukhtalif jagho per) pas ye jagha tere liay qayamat main gawah ban jay gi. Or inhi(a.s) se riwayat ki gae hay k : masjid main mukhtalif maqamaat per namaz perho, pas qiyamat k din har maqam namazi k liay namaz perhne ki gawahi day ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), urwatul wusqa, part#2, maslah #1382) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53106
Mujtahid:
tozi ul masail Date:

Question: zarori hai k khanakaba k under har rukn k mutabik do rakat phari jay

Answer: Khana e kaba k ander har rukun k muqabil 2 rakat namaz perhna mustahab hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 879). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
57341
Mujtahid:
Date:

Question: Jis Room Main Tasveer lagi ho wahan nimaz Q ni hoti

Answer: jis jagha photo ho khah wo namaaz perhne wale k saamne nah ho namaaz perhna makrooh hai laikin namaaz sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #885 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
57798
Mujtahid:
Date:

Question: Mai jis jaga namaz parhti hun wahan aksar aik powder ( face powder ) rakha hota hai jis par aik shakal bne hai mai us ko hatana bhool jati hun tw kya mere namaz hojati hoge ? ... lekin wo powder ka dibba mre pechy hota hai agay nae

Answer: Jis jagah jaandaar ki photo ho chahay wo namaz perhne walay k saamnay nah ho, wahaan namaz perhna makhrooh hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61193
Mujtahid:
Date:

Question: kiya kisi fasad kii jaga par namaz padna jayaz hai ya nahi

Answer: Zarori hai k insaan aise jagha namaaz perhe jaha namaaz pure perhlene ka ehtemaal (chance) ho laikin agar kise aise jagha umeed ki niyat se namaaz perhe jaha ise itmenaan ho k maslan hawa aur baarish ya (lougo) ki waja se waha pure namaaz na perh sake gha ittefaaqan se pure namaaz perh le to jaaiz hai or namaz bhi sahi hai.agar kohe aise jagha namaaz perhe jaha thehrna haraam ho maslan kise aise chat (roof) k neche jo anqareeb girne waali ho to wo ghunaghaar hoga laikin namaaz sahe hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, before maslah # 870,masla 870)
namehram mard aur aurat ka tanhaai me aik aise jagha hona jaha ghuna me mubtela hone ahtemaal(chance) ho haraam hai. aur ehteyate mustahab(behter ) ye hai k aise jagha namaz na perhe (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #876 )
jis jagha ghaana ghaaya jaata ho ya haraam mouseqi bajaai jaati ho waha namaaz perhna baatil nahe hai laikin in ka sunna aur istemaal karna ghuna hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 877)
roads aur ghali koche me agar ghuzarne waalo k lie baais zehmat na ho to namaaz perhna makroo hai aur agar in louqo ko zehmat ho to in k raaste me rukaawat daalna haraam hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61195
Mujtahid:
Date:

Question: kisi aur ki zamin par bagair e jazat namaz pad sakte hai kiya

Answer: Kise ki jaadaad( maqaan, ghar waghaira ) me namaaz perhna us surat me jaaiz hai jab k maalik wazaahat se namaaz perhne ki ijaazat de ya maalik k raazi hone per dosere wujuhaat ki bina per itmenaan rakhta ho . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #865 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
66243
Mujtahid:
Date:

Question: Foam (gaddy) py namaz jaiz hai? un logo ny lie jo zamen py bheth nae sakty kisi takaleef ky wajh se?

Answer: Agar is per hile jule baghair nah reh ker namaz nah perh sakte hoon tu namaz batil hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #869). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89174
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kya kesi chalti hoe train me Nmaz parh skty hen

Answer: Zaruri hai keh namazi ki jagah wajib namaazon mein aisii na ho keh neez harkat namaazi ke khade hone ya ikhtiyaari ruku aur sajud karne mein man’e ho balkeh ehteyaat-e-lazim ki bina par zaruri hai keh os ke badan ko sakin rakhne mein bhi man’e na ho aur agar wo waqt ki tangi ya kisi aur wajah se aisii jagah massalan bus, truck, kashti ya railgadi mein namaaz parhe to jis qadr mumkin ho badan ke thhera’o aur qible ki simt ka khayaal rakhe aur agar transport qible se kisi dusri taraf mud jaay to apna monh qible ki janib mod de. Agar mukammal taur par qible ka khayaal rakhna mumkin na ho to koshish kare keh 90° se kam ikhtelaaf ho agar yeh bhi mumkin na ho to sirf takbeeratul haraam kahte waqt qible ka khayaal rakhe aur agarche yeh bhi na ho sake to qible ka khayaal rakhna zaruri nahin. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #867). Update on dated 20-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
89195
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aurat mard se pahle namaz padh skti hbkya mane azan hote hi Namaz pdh skti h ya Mard padhkr aye uske baad

Answer: Jee haan aurat mard say pehly namaz parh sakti hy, agar wo dono aik jagah namaz parh rahy ho to Ehteyaat-e-lazim ki bina par zaruri hai keh aurat mard se kam se kam itna pechhe kharhe ho keh sajda karne ki halat mein mard k do zano k barabar faasle par ho. Or Agar koe aurat mard k barabar ya aage kharhi ho aur dono aik hi waqt namaz parhne laggain to Ehtiyaat-e-wajib ki bina par zaruri hai keh namaz ko dobara parhjaey. Yehi hukum hai agar ek, dusre se pahle namaz shuru kar de. Or Agar mard aur aurat ek dusre ke barabar kharhe hoon ya aurat aage kharhi ho aur dono namaz parh rahe hoon laikin dono k darmiyaan deewar ya pardah ya koe aur aisi cheez ha’el ho keh ek dusre ko nah dekh sakagaey ya on k darmiyaan das haathh se ziyadah faasla ho to dono ki namaaz sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #874/875/786)+ (https://www.sistani.org/urdu/qa/17522/). Update on dated 18-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92134
Mujtahid:
Date:

Question: Agar koi Namaz parh raha ha aur billi jaiyenaymaz Kay Barbar main baithe hue ha tou namaz hue ya nahe

Answer: Jee namaz sahi hogi. (Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #812/813 ) Update on dated 10-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92797
Mujtahid:
Date: 2018-10-25

Question: tasveer wali shirt pahan kar namaz ho sakti hai?

Answer: Fuqahaa e karaam is ko makrooh maante hai k namazi k libas per jandaar ki tasveer ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 852).khuda aap ko uloom e aale muhammad s.a.w.w seekhne ka ajar ata farmaaye.
[Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93491
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-01-04

Question: Aise office mai job karna jaiz hai kya jha namaz ki ijazat na hoo.

Answer: w.salam
agar job karne k wajah se namaz qaza hoti ho tu phir is jagah jaiz nahi hay. (Ref : Aqai Sistani (db), Jadeed faqhi masail , masala # 64 , pg # 75 , eidition #5). Update on dated 11-05-2015.
[Updated on 03-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95177
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-04-04

Question: Kia aurat mard k pichy namaz ada kr skti hai?

Answer: Jee aurat mard k peeche jamaat ada kar sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41, maslah#1414)
[Updated on 04-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
95751
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualaikum Mai non Muslim hu or Mai namaz ata krti Hu lekin Ghar me nhi library me namaz ata krti Hu Ghar me nhi krr Sakti mammy Papa ne Dekh liye to Khair nhi MERI Mai abhi 21 Saal ki Hu jab tak Mai Kuch ban nhi jati Mai unhe Kuch b nhi bataogi jab ban jaogi tab unhe bataogi bhi or Islam b kubool krungi Mai library k ek room me mam k permission se USS room me namaz ata krti Hu ky ye Sahi he

Answer: Wa alikum salam. Jee aap k liay jaiz hay k aap ghar k kisi bhi jagah namaz perh sakti hain. or library waghaira main bhi namaz perh sakti hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #854-879). Update on dated 29-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102311
Mujtahid:
Sunni Date: 2019-12-06

Question: Assalamualaikum sir mjhy ye pchna ha k js jga camera lga hoa wa o whn nmz prhna jaiz ha Kiya?

Answer: Aurat k lie behtr hai k namaz aisi jagah parhay jo na mehram sai mehfooz honay k lihaz sai doosri jigha sai behtr ho chahae wo jagah makan ya masjid ya koi aur jagah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 881)
[Updated on 06-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
102779
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-03

Question: Assalam o Alaikum. I m moving to USA for 6 months so I have few questions: 1. Kia me esi jagha p nmaz perh sakti hon jahan se merdon ka guzar ho sakta ho, like uni me koi esi jagha? 2. Agar me kisi non Muslim k gher jaon or wahan namaz ka waqt ho jae to Kia me wahan namaz perh sakti hon?

Answer: 1,2- Aurat k lie behter hai k namaz aisi jagah parhay jo na mehram sai mehfooz honay k lihaz sai doosri jagah sai behtr ho chahae wo jagah makan ya masjid ya koi aur jagah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 881)

[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
104521
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date: 2020-04-24

Question: Assalam-o-alaikum Saf almari me Jota ho or wo samne ho Toh namaz ho jati h k nhi

Answer: Jee haan aisi jagah namaz perhna jaiz hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #885).
[Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111146
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-02-08

Question: Salam, Aehl e sunat ke han aik hadees sahi kahi jati ha jo ke yeh ha "agr ksi shaks ko andaza ho jai ke namazi ke agay se guzarnah kitna bara gunnah ha to woh apni sari zindagi wahi betha rahay"....kya yeh hadees shia ithna ashri ke han bhi sahi hadees shumar hoti ha ....neez yeh bhi bta dain ke namazi ke agay se guzarnah gunnah ha ya nhi ?

Answer: wa alaikum salam.
Is tarah ki riwayaat fiqh e jaffriya main nahi hain, or namazi ka kisi shaks k saamne namaz perhna makhrooh hay. agar namazi aisi jagah namaz perhna chahay keh namazi k agay koe shaks ho tu os namazzi k liay mustahab hay keh apne saamne koe cheez rakhlay or agar wo cheez lakrhi ya rassi ho tu bhi kaafi hay.(Ref: wasaelush shia, urdu tarjuma, jild#3, pg#337-339 & tauzihul masael, ayatullah sistani, maslah#886)
[Updated on 08-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111224
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-28

Question: Kiya towel ya woh kapra jis se hath mouh dhone ke bad saaf karte houn ... Un kapron par namaz parna jaiz hai ya nahi

Answer: On kaprhoon per namaz ho sakti hay Q keh wo najis nahi hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah after 873 5th shart).
[Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111521
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-11-27

Question: aslam o alaikum ...agar koi samnay soya ho ya leta ho to kia namaz ho jati hy...?

Answer: Jee han, parh sakte hain lekin kisi insan k maqabil mai namaz parhna makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885)
[Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114781
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-16

Question: Agr aik jgha jahan pr phle washroom hua kerta tha. lakin ab wahan room bnaya gaya hai naya grh bnaty wkt. to kya us room mn namaz jaiz hai?? Us jgha namaz parh skty hain???

Answer: Jee han, jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, After Maslah #873, and 885).
[Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115741
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-09

Question: Jis room me zana ya najast giri ho us room me namaz par skty haun?

Answer: Jis jagah namaz parhi ja rahi hai agar wo wahi jagah ho jahan nijasat giri hai to agar nijasat khushk ho gayi ho (is tarah se ke namazi ke badan ya libaas ko touch na kare) to parh sakte hain.
aur agar jahan nijasat giri hai wo jagah koi aur hai or jahan namaz parhi ja rahi hai wo jagah koi hai har soorat men parh sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sisitani(d.b), maslah #1046).
[Updated on 09-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116103
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-19

Question: Kya aag par nimaz parhna jaiz ha? Kya ya shatani amal ha ya aag ke poja karna ka zumra ma ata ha ?

Answer: 1: Namaz parhne wale ki Jagah ki 7 Sharten hain un main se Aik Shart ye hai ke Zaroori hai ke Namazi ki Jagah wajib Namazon main aisi na ho ke tez Harkat Namazi ke khare hone ya ikhteyari Ruku aur Sujood karne mein rukawat ho balkeh Ehteyat-e-lazim ki bina par Zaroori hai ke us ke Badan ko Saakin rakhne main bhi rukawat na ho.
Doosri Shart ye hai ke Zaroori hai ke Insan aisi Jagah Namaaz parhe Jahan Namaz Poori parh lene ka Ehtemaal ho.
Bayaan ki gaye in 2 Sharait ke sath agar Aag par Poori Namaz parh saken ge to Jaiz hai.
2: Jee nahin ye Amal na to Shaitaani hai aur na hi Aag ki Pooja karne ke zumre men aayei ga, Q ke agar ye Amal Shaitaani mana jaiye ya Aag ki Pooja karna Shumar kiya jaye to jis Khana Kaba ki taraf Monh kar ke Namaz parhi jati hai is men bhi ye bat Laazim aaye gi ke Ham Khana Kaba ko hi Sajda kar rahe hain Jabke aisa nahin hai Balke Khana Kaba ki taraf sirf Monh hota hai aur Sajda Khuda ki zaat ke liye hota hai, isi tarah Buhat se Maqamat par yahi baat laazim aaye gi jese ke Khak e Shifa, Jay e Namaz wagera...
Aur doosri Baat ye hai ke Amal ka sara Daromadar Niyat pe hota hai agar Niyat Aag ki Pooja karne nahin hai to phir koi Haraj nahin hai ke Hum kahan pe Namaz parh hain, Isi tarah Aik Sharaei maslah hai ke "Aag aur Chiraag ke muqaabul (saamne) Namaz parhna, Bawarchi khane men ya Har us Jagah Namaz parhna Jahan Aatish Daan ho Makrooh hai" to yahan par bhi ziyada se ziyada Ulama Makrooh keh rahe hain Haraam phir bhi nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #867,885).
[Updated on 20-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print