Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Qayam (11 Questions)


Showing 0- 11 questions from 11 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
277
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-29

Question: asalam o alikum, namaz main ruku k foran bad ager sajday main bholy say cahlay jaain tuo kiya hukum hai. wassalam.

Answer: Ruku kay baad qayam rukn nahi hay lihaza agar koi shakhs isay bhool kar tark karday to is ki namaz sahih hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.945.

Print

Id:
2295
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam, namaz main qayam se kya muraad hai (qayam ka mutlab kya hai)? Q2 Rukoo main jane se pehle qayam s kya murad hai?

Answer: w.s. 1) takbirtul ehram khene se pehle aur is ke baad thodi der ke liye khada hona wajib he ta-ke yaqeen ho jaye ke takbirtul ehram qayam ki halat me kahi gaee he. 2) rukoo me jane se pehle insan ko qayam ki halat me hona chahiye, agar koi shakhs rukoo karna bhool jaye aur al-hamd aur sure ke baad beth jaye aur phir use yad aaye k rukoo nahin kiya to zaroori he k khada ho jaye aur rukoo me jaye, lekin agar sidha khada huye baghair, jhuke hone ki halt me rukoo kare to chunke woh qeya mutassil b-rukoo baja nahin laya is liye us ka yeh rukoo kifayat nahin karta. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 968 & 969)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3071
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam mera sawal yeh hai ke kiya shohar apni biwi ka dudh pi sakhta hai breast ko suck karke reply aur mera dusra sawal yeh hai ke qayam e mutasil ba ruku ke wakt kitni der khara rehna chaye coze yeh wajiberukni hai isliye poucha hai

Answer: 1) Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.) .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org).
2)Ruku se pehlay wala qayam, qayam e muttasil ba ruku kehlata hay, or ye ruqun he. Laikin ye wajib nahi keh sorah k mukammal honay k baad thorha sa sabr karain or os k baad ruku main jain.. (Ref : email Rcvd from Ayat Ullaha Sistani (d.b.), dated:26.01.11).

Print

Id:
10831
Mujtahid:
Ayatullah sistani Date:

Question: Salam ya ali as madad my ques is Q:ladies ko nimaz hath khol kar parhni chaheyeh ya seny par hath rakh kar ?

Answer: Wssalam o alykum,Orat or mard dono ko chahiye k hathon ko raan per rakh kar parhe(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 964 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).lekin orat k liye mustahib hai k apne seene k dono hisson ko apne hathon se daba kr rakhe (matlb apne hathon ko apne seene k dono hisson per rakhe lekin daba kr).

Print

Id:
15459
Mujtahid:
Date:

Question: Kya nimaz main hilna jaiz hai qayam k waqt

Answer: Jab insaan namaz main koe wajib zikr perhne main mashghool ho tu zarori hay k oska badan sakin ho or jab mustahab zikr perhne main mashghool ho tab bhi ehtiyaat e lazim ki bina yehi hokum hay or wo jis waqt khuch agaay ya peechay hona chahay ya badan ko daain ya baain janib thorhi se harkat daina chahay tu zarori hay k os waqt khuch nah perhay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 952) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
70276
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: baad wali takbeer k baad ?kia qayam muttasil ba rakoo 2 soorah k baad wali takbeer se pehly hai ya 2 soorah k

Answer: Qayaam muttasil ba ruku namaz k arkaan main se hay k koe shaks halat e qayaam se ruku main gaya hay, is bina per qayaam muttasil ba ruku ka matlab ruku se pehle theherna or phir ruku main jana nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaam e jild#1,Mafhoom e Maslah #1219). Update on dated 10-03-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88622
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamualekum kya bed par beth kar namaz padh sakte hen?

Answer: Jub tak insan kharhay ho kar namaz parh sakta ho tu zarori hai k beth kar nah parhay e.g agar taik laga kar ya sahara lay kar ya tairha khara ho kar namaz parhne par majboor ho to zarori hai k jesa bhi ho sakey kharaa ho kar namaaz parhay lekin agar wo kisi bhi tarah khara na ho sakta ho tu zarori hai k beth kar namaaz parhay or phir kursi ya bed per baith ker namaz perh sakte hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 957). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
102807
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-01-02

Question: Agar tang tot jye to namz kaise ada krni chahye

Answer: jab tak insan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hai keh na bethe masalan agar khara hone ki halat mein kisi ka badan harkat karta ho ya woh kisi chiz par tek lagane par ya badan ko thora sa terha karne par majboor ho to zaroori hai keh jaise bhi ho sake khara ho kar namaz parhe lekin agar woh kisi tarah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hai keh sidha beth jaey aur beth kar namaz parhe, jab tak insan beth sake zaroori hai keh woh let kar namaz na parhe aur agar woh seedha ho kar na beth sake to zaroori hai keh pehlo keh bal is tarah lete keh us k badan ka agla hissa qibla rukh ho aur ehtiyat e lazim ki bina par zaroori hai keh jab tak daen pehlo (right side) par let sakta ho baien pehlo (left side) par na lete aur agar dono taraf letna mumkin na ho to pusht kay bal is tarah lete keh us ke talwe qiblay ki taraf hon. (Ref #Ayataullah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail 41th edition, masla # 957,958).
[Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-06-29

Question: 4 rakat namaz mein 2 bhaith ker or 2 kharay hu ker perh lain tu yeh theek hy?

Answer: Jub tak insan kharhay ho kar namaz parh sakta ho tu zarori hai k beth kar nah parhay e.g agar taik laga kar ya sahara lay kar ya tairha khara ho kar namaz parhne par majboor ho to zarori hai k jesa bhi ho sakey kharaa ho kar namaaz parhay lekin agar wo kisi bhi tarah khara na ho sakta ho tu zarori hai k beth kar namaaz parhay or phir kursi ya bed per baith ker namaz perh sakte hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 957).
[Updated on 29-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-31

Question: Salam. Kabhi kabhi ek lmhey k liay turbah pr se nazar hat'ti hui mehsus hoti hai maloom nhi vehem hota hy ya kya lekin kya is se niyat toot jati hai ? Me kitni b koshsh krun lekin kbi kbi aesa rapidly hota e rehta hy kindly Meri rehnumayi farmayen.

Answer: Agar Pabandi or takeed k saath halat e qiyaam main apni nazar sajdagaah par or, halat e ruku main dono qadamon k demiyaan or baithanay ki halat main apne daman par nigah rakhi jaye tu ye cheezain namaz main tawajjuh paida karti hain. sajdaah se nazar hatanay namaz batil nahi hoti.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid se pochay day sawalaat, part #3, sawaal #76).
(Note: Namaz ke doran halat e qiyaam main nigah sajdegah par rakhna wajib nahin hai agar is se nigah hat jaye to namaz ya namaz ki niyat men koi asar nahin parta ).
[Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115630
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-28

Question: Kiya qaza namaz Beth Kar parh sktay Hain?

Answer: Jab tak insan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hai keh na bethe masalan agar kharay hone ki halat mein kisi ka badan harkat karta ho ya woh kisi cheez par tek lagane par ya badan ko thora sa terha karne par majboor ho to zaroori hai keh jaise bhi ho sake kharay ho kar namaz parhe lekin agar woh kisi tarah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hai keh seedha beth jaey aur beth kar namaz parhe. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #957,1356).
(Note: Namaz ada ho ya qaza, donon men yahi masalah hai jo upar bayan kiya gaya hai).
[Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print